Khayal so rahay tum ?
Khayal so rahay tum
Zara utho
Keh dil se uthnay wali hook
Aankh kay dareecha-e-makan tak ponch gayi
Keh jaisay chimniyon ki kokh se dhuwan fiza ki wusaton kay darmiyan tak
Malool si sada koi
Udaas aur muz'hamil hua koi
Jahan barf posh se
Teh nasheb aarzu rawan hai aik josh se
Lahu ki gardashon ki lehar lehar main
Chuppay huye azab kam'saye hain
Sampoliye kisi kameen'gaah main muda'khalat hui to khil'bilaye hain
Yeh khouf hai
Keh agr kahin koi kharash behtay behtay rooh ko nigal gayi
To is main so tarah kay intishaar ka jawaaz hai
Jo raaz hai hamaray dil ak jawaz hai
Jo raaz hai hamaray dil kay sabar ka
Abhi sambhalna bhi hai
Abhi to dhaalna bhi hai issay pannah main
Khayal so rahay tum
Utho keh soot
Be'zabaniyon ki qabar main pari pukarti hai weham se
Pukaar kay da'raaz saye is qadar moheeb hain
Keh khouf'naak raat bhi dabak gayi hai seham kay
Utho
Keh lafz mah'navi-o-jamal se tahi kharray ghreeb hain
Ajeeb hain
Yeh be'hissi kay saal bhi
Yeh be'jinaar dard bhi yeh un'ginat malaal bhi
Sawal hain keh jaagtay kahin nahin
Ya
Kaal hain keh bhaagtay kahin nahin
Khayal apnay baad'baan kiyon dabo rahay ho tum
Khayal so rahay ho tum
Shajar shajar pe jaal hai bahaar ka
Nazar nazar pe dhund hai ghubaar ki
Her aik simt sehar ki taari ho gaya hai
Phir kisi hisaar ka
Keh jaisay paniyon main aks door tak ho badalon ki daar ka
Aur aisay waqat main
Kahin pe ghaat main chuppi hui
HAwaon kay saron pe aik khabat hai shikaar ka
Utho yeh jaal kaat do
Ghubaar ko urra kay
Yeh hisaar ka talisam cheer phaar do
Hajoom ki tarah tamaam rah'guzar litaar do
Hawaon ko manha karo
Kaho keh ab her aik shay to khud hi hast ka shikaar ho chuki hai
Aik umar se
Jissay main dekh loon
Her ik apna aap maarnay pe tul gaya hai
Rul gaya hai rait ki tarah khud apnay dasht main
Kisi ka dharr ajal kay kaar'zaar main shakistagi ki intihaon par para hai
Aur kisi ka sar damakti zindagi kay tasht main
Khayal so rahay ho tum
To koi bolta nahin
Tumharay bad'naseeb se
Meray habib lag to yeh raha hai
Poori kainaat so gayi ho jaisay lambi taan kay
Yeh thaan kay
Keh ab kisi bhi tor jaagna nahin
Tumhein khabar hai ?
Koi khil raha hai dar-e-moheeb se muqadaron kay darmiyan
Kahin kisi saleeb se
Zara utho
Zara jaga sako
Bata sako
Dikha sako
Keh kuch ajeeb se kharab khawab hain fizaon main
Keh jis tarah kahin sulagti dhoop kay nishan chaon main
Guzar rahay hain jo hamaray is qadar qareeb keh soojhta koi nahin
Magar yeh kya , boojhta koi nahin
Khayal so rahay ho tum
Utho keh shaher-e-mout kay hisaar main ghira hua hai
Aur koi dar nahin
Tamaam sho'bada garon kay ghol mil kay
Apnay apnay junglon main
Apni apni zaat kay mufaad main
Jissay bulanay kay liye gaye hain woh bhi ghar nahin
Agarcha aisay dard'naak waqat kay ghubaar main
Tumhein to koi dar nahin
Magar tumhari neend bhi sahi nahin
Gharoor hai
Utho
Keh chup zada fiza ka jabar hum ne torna zaroor hai
Khayal so rahay ho tum
Utho
Keh log apni apni rooh kay
Aqeeda haye deen kay fishaar ka shikaar hain
Yeh zindagi kay iztraar main palay barhay huye
Yeh buz'dili kaar'daar naik log
Rog hain zameen par
Azaab se darray huye shareef hain
Wa'garna khud
Khuda kay sab se awleen hareef hain
Unhein jhan'jhor day , pakar kay daman yaqeen se
Nahin to chor de sakoon
Tor de sahulaton ki suratein
Harray bharray tamam zakham
Phor de
Khayal so rahay ho tum
Aur etimaad ki jarr main shak utar gaya hai
Youn keh jaisay din kay aakhri
Palon main siyah tairagi
Palak jhapaktay hi wafa ki sab chamak damak gayi
Khaloos ko
Hamari niyaton ka mail dhak gaya
Zameen ki tehon main dafan
Hirs ki dabaein jaisay pak gayein
Sisak kay reh agyein murawatein sabhi
Duaein janay kon kon se jahan tak gayein
Masaghi-e-farokhat gharz taluqaat be'samar huyein
To thak gayein
Tamaam tar saqafaton tamadano ki ifaton se bhaag kar
Palat kay phir jabilaton kay pinjron main
Qaid ho rahay ho tum
Khayal so rahay ho tum
Khayal so rahay ho tum
Shakista ho rahi hain sab imaratein
Imaratein ghreeb ho rahi hain toot toot kar
Musafatein grift main nahin rahein
Badan ka uzv , uzv muzmahil hai
Taar taar muztarib hai
Aur sama'atein cheekh rahi hain
Gang hain basaratein
Tijaratein urooj par hain mout ki
Nisf hai
Aur rawan da'wan ziyaan ka
Aik behar be'kinaar hai
Tumhari ghaflaton ka kya shumaar hai
Keh is tarah kay aalam-e-shadeed main bhi
Dushmano kay saath mil kay
Her safeena-e-rija ki jaan kay khilaaf
Apni sazishon kay jaal bun rahay ho tum
Khayal sun rahay ho tum
Sun rahay ho
Ab to aasman bhi keh chuka hai
Aur zameen bhi cheekh cheekh kar bata rahi hai
Jaag utho
Wagarna is jahan be'amaan kay her nishan ko
Yeh be'zuban neend chaat jaye gi
Jahan jahan bhi sheh'rag hayat kam'saye gi
Yeh neend us ko sirf lamha bhar main kaat jaye gi
Khayal
Sun rahay ho ya abhi talak
Malamaton ka bojh dho rahay ho tum
Khayal so rahay ho tum
Aur hum se to hamara apna aap
Itna door hota jaa raha hai
Ghair iradi tor par
Keh rokna mohaal hai
Nidhaal hai maza'hamatein shaoor ki
Yeh khud se ajnabiyon ka dour
Kitna dukh bharra sawal hai
Hamein malaal hai keh aisa waqat dekhna para
Uchaalni pari hain apni bigriyan zameen par
Bigaarnay paray hain apnay aainay
Kamal hai
Khayal so rahay ho tum
Utho zara
Keh chandani ki raakh urr rahi hai
Saray shaher main
Udaas ho rahay hain hum
Hamein apnay apnay yaad aa rahay hain
Jo yahein kahin bichar gaye
Ujar gaye jo raabtay aziyaton ki bheer main
Aziyaton ki bheer
Jo mohabbaton par baraf ban kar gir rahi hain aaj bhi
Samaaj main
Tumharay bin
Sada-e-ehtajaaj kay mizaaj ka rawaj hi nahin raha
Khayal
Maziyon ki sab rafaqaton ki
Baaz'gasht to tumharay dam se
Chahaton kay mousam ka rang tha
Tum hi se thi
Kali kali ki aankh main shaguftagi
Tumharay bin
Tumharay bin to zindagi kay
Her tarah kay ranj ka maza bhi kar'karahua
Faqat tumhari neend kay sabab
Hum apni kainaat se alehda ho agye
Woh kainaat bhi
Keh jo guzar gayi
Woh ijtamah la'shaoor
Woh shaoor mustaqil hazar haa sadi kay hast dabood ka
Woh ik yaqeen-e-munz'bat
Her aik shay ki qalb ka wajood ka
Laraz raha zulmaton kay khouf se
Tumhein yeh ilm hai keh is tarah zameer waqat main
Bhout bara gunnah bo rahay ho tum
Khayal so rahay ho tum
Khayal
Ab to saans main
Woh kacchi pakki matiyon ki lazatein nahin rahein
Woh kacchi pakki matiyan
Jo mayon ki tarah se la'zawal hain
Woh kacchi pakki matiyan
Jo dais ki so'hagano ka roop hain
Jo ooplon main khel kay jawan hoti dhoop main
Jo leh'lahatay khet hain
Jo sahilon ki gun'gunati rait hain
Jo khush'numa-o-khush khisaal aanchalon ka rang hain
Jo chan'chanati payalon ka ang hain
Jo junglon main khil'khilatay sawano ka dhang hain
Woh kacchi pakki matiyan bhi
Asal kho rahi hain apnay aap main
Asar nahin raha kisi alaap main
Safar nahin raha kisi ki chaap main
Magan paray huye ho apnay paap main
Utho
Keh khatra sakoot
Baj raha hai Til'bil-e-dil ki thaap main
Gham-o-alam kai siyah num ilm kinaar seena qadam qadam pe gaar kay
Kuchal rahay hain apni aah zariyan
Dino kay sang zaasmon ki taap main
Khayal so rahay ho tum
Hawas badan pe chaati jaa rahi hai
Phail phail kar akaash bail ki tarah
Mohabbaton ka looch bhi nahin raha hai
Ishq main ibadaton ki soch bhi nahin rahi
Dilon main dard ki jaga
Na'janay kaisa bojh aa kay bas gaya hai
Dass gaya hai
Aankh kay talay kahin
Nigah-e-haseen sach kay aas paas
Koi dekhta nahin
Kisi ko ghour se keh is ki justagoo samjh sakay
Kisi ko itna hosh hi nahin
Keh sari guf'tagoo samjh sakay
Faqat
Badan ki bhook ka aseer hai
Kabeer jurm jurm hi nahin raha
Badan ki kuch kasafaton kay zehar ka kharooj hai
Haqeer hai
Khayal so rahay ho tum
Mujhay pata hai munh chupa chupa kay ro rahay ho tum
Khayal so rahay ho tum
Yahan to pooray ijtamah ki nazar ko baandh kar
Na janay kis taraf ko haanka jaa raha hai
Aik be'misaal be'hissi kay saath
Zindagi kay naam be'namood par
Darindagi chupa chupa kay
Jung ho rahi hai iqtidaar ki
YEh rang-o-nasal-o-zaat-o-paat ki garoh bandiyan
Yeh harf-o-lafz-o-baat baat ki garoh bandiyan
Yeh shaam shaam raat raat ki garoh bandiyan
Yeh mulak ka gharoor Aatisheen
Tabahiyon kay jis karray maqaam tak ponch gaya hai
Ab wahan se
Wapisi bhi mum'kinaat main nahin
Agar kabhi
Yahan se wapsi hui
To ho gi sil aab-e-noh ki tarah kay
Aik sil-e-khoon se
Baray khathor ho
Koi baray sitam zareef ho
Paray huye kis qadar sakoon se
Bhala batao to sahi
Yeh apnay zehan ki kaseef rooh khud dal'dalon main
Kya bo rahay ho tum
Khayal so rahay ho tum
Tu jaagnay lagi hai kitni nafratein dabi hui
Atti hui
Munafqat kay rog main
Mukhasmat ki aag main jali hui
Paki hui
Katti hui mo'Aashrat kay sog main
Khayal so rahay ho tum
To jaagnay lagi hain
Kitni ishta'haein
Dil main intizaam be'basi liye
Isi liye
Keh lamha-e-karam ka dam nawaztay qahaar ka
Guzaar chasham-e-num chabhoo rahay ho tum
Khayal so rahay ho tum
Khayal so rahay ho tum
Dhuwein se att gaya hai sara aasman
Siyah badalon main aag bhar gayi
Hawa bujhi hui hai surkh zehar main
Zameen phatt chuki hai
Batt chukay hain kitnay raastay
Tarap tarap kay katt chukay hain taar-e-dil
Hai aaitabar-e-bandagi simat chuka
Ruton ki kuch rafaqaton pe
Khush gumaniyon kay jo niqaab thay
Ulat chukay
Musafton ki hum'rahi main
Rah'rawan-e-shouq bhi palat chukay
Khalaa
Fiza kay saath saath
Rooh kay jahan main bhi datt chukay
Khayal so rahay ho tum
Aur is tarah
Khud apnay zakham main
Na'janay kon kon sa sitam samo rahay ho tum
Khayal
Tum to no'jawan ho abhi
Kisi ka maan ho abhi
Maray huye khandar nahin ho tum keh be'nishan raho
Koi jahan ho abhi
Khayal tum to saye'baan ho abhi
Zaeef ya udhair umar cheez koi so bhi lay
To khair hai
Shabaab aur neend ka to pairr hai
Khayal
Is tarah ki goongi bastiyon main
Tum to khud zuban ho
Abhi
Sada-o-haroof-o-lafz ki
Sunehri dolaton se sair ho
Zara utho
Keh jo jahan jahan bhi so raha hai
Is ko kon aa kay is tarah jagaye ga
Keh jaisay subha ki dhoop
Ya bisharat-e-jahaad koi khawab main
Ya inkishaaf-e-haq
Badi kay mustaqil saraab main
Utho
Keh aanay wali nasal ki koi khatta nahin
Hai is ka kya qasoor jo hua nahin
Utho
Keh aanay wali nasal kay lahu ko
Seenchna hai tum ko
Apnay jaagtay khameer se
Utho keh in ko rif'aton pe taank'na hai
Noor kay zameer se
Talashnay hain aur kitnay raastay
Bulandiyon ki aakhri lakeer se bhi is taraf
Yeh kainaat to bhout bari hai door door tak
Kisi baray fakeer se bhi is taraf
Jissay hamein talash kar
Sanwarna nikharna hai
Aanay walon kay liye
Saja kay apna aap
Apnay ghar
Gali gali nagar nagar
Pukarna hai josh se
Magar khayal
Hosh se
Khayal so rahay ho tum
Libaas siyahon kay daagh dho rahay ho tum
Khayal apnay aarzon ko
Kiyon bighoo rahay ho tum
Khayal so rahay ho tum
Tumhein khabar nahin keh kitna kuch yahan bana hua tha
Jis ko kho rahay ho tum