Mar 25, 2015

woh aksar mujh se kehti thi



Woh aksar mujh se kehti thi 

Woh aksar mujh se kehti thi 
Wafa hai zaat aurat ki 
Magar jo mard hotay hain 
Bhout be'dard hotay hain 
Kisi bhanwray ki surat 
Gul ki khushboo lut jaati hai 
Suno tum ko qasam meri
Riwayat tor dena tum 
Na tanha chor kar jana 
Na yeh dil tor kar jana
MAgar phir youn huwa
Mujhay anjanay rastay par 
Akela chor kar us ne 
Mera dil tor kar us ne 
Mohabbat chor di us ne 
wafa hai zaat aurat ki 
Riwayat tor di us ne 

Baarishon kay mousam main waqat kay andheron main


Baarishon kay mousam main 
Waqat kay andheron main 
Main ne us se poocha tha
Chor to na jaao gay ?
Haath thaam kar us ne 
Kaan main bola tha
Kaisay chor sakta hoon ?
Aur aaj aisa hai , , , , , ! !
Waqat ki tamazat main 
Wehshaton kay mousam main 
MAin ne us se poocha hai 
Chor kar jaana tha ?
Muskuraati galiyon main 
Aas kiyon dilaai thi ?
Pyaas kiyon jagaai thi ?
Meray in sawalon par 
Chaltay chaltay woh bola
Mousamon kay khail main main 
Sab jo badaltay rehtay hain 

Aaj woh khatt likhnay ki ba'jaye khud chali aayi


Aaj woh khatt likhnay ki ba'jaye 
Khud chali aayi 
US ne haathon main aik gajra thaama hua tha
Kehnay lagi
MAin apni neendon kay qatal kay jurm main 
Tumhain giriftaar karnay aayi hoon 
Qaid khana-e-dil main qaid karnay aayi hoon 
Is se pehlay keh main kuch kehta ussay 
Us ne woh gajra meri kalaai main pehnaa diya 
Aur chal di  

Na ana meri qabar pe tum hamraah-e-raqeeban


Na ana meri qabar pe tum hamraah-e-raqeeban 

Murdon ko musilmaan jalaya nahin kartay 

Sookhay phoolon ki tarah hum shayed


Sookhay phoolon ki tarah hum shayed 

Gir chukay hain teri kitabon se 

Kya paya hai is sadiyon ki mohabbat se ?


Kya paya hai is sadiyon ki mohabbat se ?

Ek shairy ka hunar , doosra jaagnay ki saaza

Thaam kay dil jo main ne yeh poocha


Thaam kay dil jo main ne yeh poocha
Khair hai be'niqaab aaye ho 

Dheemay se muskura kay woh bolay 
Aashiqon ki nazar nahin lagti 

Hai tabiyat se insaan majboor warna


Hai tabiyat se insaan majboor warna

Dil lagana sawaab thori hai 

Meri aankhein khareedo gay ?


Meri aankhein khareedo gay ?

Bhout majboor halat main mujhay neelaam karni hain 

Koi mujh se naqad le le

Main thoray daam le loon ga 

Jo de de pehli boli to ussi kay naam kar doon ga

Mujhay bazaar walay keh rahay hain kam aqal taajir

Suno logo

Nahin hoon main koi hirs ka khwahan 

Nafa nuqsaan ki shatranj nahin main khailnay aaya 

Bari mehboob hain mujh ko yeh meri neem tar aankhein 

Magar ab bechta hoon keh 

Main ne ek khawab dekha tha

Ussay apna bananay ka 

Ussay dil main basanay ka 

Mujhay us khwab ka tawaan bharna hai 

Inhain neelaam karna hai 

Inhain neelaam karna hai 




Waqat apni rawani main dhalta raha


Waqat apni rawani main dhalta raha 
Main tanha tha , tanha hi chalta raha

Kabhi hansta tha apnay naseebon pe main 
Kabhi andar hi andar main jalta raha

Kahin shikwey milay aur kahin thokrein 
Chotein aisi lagein keh sambhalta raha

Us ko paanay ki khatir to sab kuch kiya
Wohi sang'dil tha rastay badalta raha 

Gham-e-zindagi teri raah main


Gham-e-zindagi teri raah main 
Shab-e-aarzoo teri chah main 
Jo ujar gaya woh basa nahin 
Jo bichar gaya woh mila nahin 
Jo dil-o-nazar ka saroor tha 
Meray paas reh kar bhi door tha
Wohi ik gulaab umeed ka
Meri shaakh-e-jaan pe khila nahin 
Mera hamsafar bhi ajeeb hai 
Aur ajeeb tar hoon main aap bhi 
Mujhay manzilon ki khabar nahin 
Ussay raaston ka pata nahin 
Paas-e-karwaan 
Sar-e-rah'guzar
Main shakista paa hoon to is liye
Keh qadam to sab se mila liye
Mera dil kisi se mila nahin 

Veeran si ujrri si tanha baithi woh larki




Veeran si ujrri si tanha baithi woh larki 
Kal raat akelay main 
Shayed kuch warq jala rahi thi 
Uth'tay huye sholon main kuch bhi ek shola
Nazar aa rahi thi
Jhuka kay sar woh aansoo baha rahi thi
Aisay main kisi ne guzartay huye poocha 
Pagal kitaab jala rahi ho ?
Tarap kar boli nahin khawaab jala rahi hoon 
Aik shakhs ka nisaab jala rahi hoon 
Bhout takleef deti hai us ki judai to dost 
Aaj ussi ki saari yaadon ko mita rahi hoon 

Meray qarb se , meray wajood tak ussay iktilaaf to sada ka tha


Meray qarb se , meray wajood tak 
ussay iktilaaf to sada ka tha

Meray gham se , meray junoon tak 
Yeh faasla bas anaa ka tha

Meri zindagi se meri saans tak
Woh falsafa bas dua ka tha

Meri baat se teray zikar tak
Koi silsala jo hawa ka tha

Meri haqeeqat se meray khwaab tak
Woh be'khabar intihaa ka tha

Meray weham se meray gumaan tak
Yeh marhala wafa ka tha

Meri talab se meray naseeb tak 
Yeh muamala khuda ka tha

Shakist dil ki hui , taar zehan kay tootay


Shakist dil ki hui , taar zehan kay tootay 
Hayaat to rahi , naatay hayat se tootay 

Para jo farq , teray zarf pe para ho ga 
Hamara kya hai khilonay thay hum , banay , tootay

Yeh kis kay haath main tha dor sa wajood apna 
Kabhi sirray se , kabhi darmiyaan se tootay 

Main neend main hi sahi jaag to raha tha aakhir
Khulli jo aankh to khawabon kay sil'silay tootay 

Woh ik baat bhi kitnay rukhon se karta hai 
Keh baarha meri nazar kay zawiye tootay

Saahil na janay "Muzaffar" se zarb-e-tanhaai
Ajab nahin keh yeh sheesha paray paray tootay 

Saahil udaas tha keh samandar udaas tha


Saahil udaas tha keh samandar udaas tha 
Lagta tha jaisay sara manzar udaas tha

Loati falak se to bari dil'geer thi dua
Ek khawab tootnay par muqaddar udaas tha

Phir chand ko laga kar galay ro pari ghata 
Aisa laga toofan bhi falak par udaas tha

Meri tabahiyon par ussay bhi malaal tha
Aaina khud ka tor kay pathar udaas tha

Jo shakhs shaher main sab ko hansi baant'ta raha 
Yeh dil ussi ki bazm main ja kar udaas tha

Jaana dil ka shaher , nagar afsos ka hai


Jaana dil ka shaher , nagar afsos ka hai 
Tera mera sara safar afsos ka hai 

Kis chahat se zehar-e-tamana manga tha 
Aur ab haathon main saghar afsos ka hai 

Ek dehleez pe jaa kar dil khush hota tha 
Ab to shaher main her aik dar afsos ka hi 

Hum ne ishq gunnah se bar'tar jana tha 
Aur dil par pehla pathar afsos ka hai 

Dekho us chahat kay pairr ki shaakhon par
Phool udaasi ka hai samar afsos ka hai 

Koi pachtawa sa pachtawa hai "Faraz"
Dukh ka nahin afsos , magar afsos ka hai 

Tu kya janay pagli koyal


Tu kya janay pagli koyal
Kon mujhay tarpaata hai 
Jaagi soi aankhon wala
Dil main utar'ta jata hai 

Kitnay komay komal chehray 
Meri raah main aaye hain 
Lakin woh aik sundar chehra 
Sapno main aa jata hai 

Us ka dard chupa kar dil main 
Ghazlein likhta rehta hoon 
Her mousam ki pehli baarish 
Us ki yaad dilaati hai 

Baad-e-saba ka her aik jhonka 
Us ki yaad dilaata hai 
Tu kya janay pagli koyal 
Kon mujhay tarpaata hai 



Woh hi dar'paish hai phir zindagi khawabon khayalon ki


Woh hi dar'paish hai phir zindagi khawabon khayalon ki 
Kahan hai ab tumhari woh mohabbat itnay saalon ki 

Agar meray muqaddar main andhera hi andhera tha
Kahani kiyon sunaai thi mujhay tum ne ujaalon ki 

Bara hai farq dono main magar dil'chasp hain dono
Teri duniya jawabon ki meri duniya sawalon ki 

Tumhain jab se main likhta hoon tumhain jab se main parhta hoon 
Zaroorat hi nahin parti kitabon kay hawalon ki 

Taaluq jorna aur torna tum se koi seekhay
Kahan se aa gayi tum ko hahaarat aisi chaalon ki 

Shagufta dil ko rakha hai faqat is wastay main ne 
Zaroorat phir na par jaye tumhein meri misaalon ki 

Main nikla tujhay dhoondnay yaadon ki khulli sarkon par


Main nikla tujhay dhoondnay yaadon ki khulli sarkon par 

Khushk patton ki tarah roz bikhar jaata hoon 

Aankhon ka rang baat ka lehja badal gaya


Aankhon ka rang baat ka lehja badal gaya
Woh shakhs aik shaam main kitna badal gaya

Qadmon talay jo rait bichi thi woh chal parri
Us ne churaya haath to sehraa badal gaya

Koi bhi cheez apni jaga par nahin rahi
Jaatay hi aik shakhs kay kiya kiya badal gaya

Hairat se saray lafz ussay dekhtay rahay
Baaton main apni baat ko kaisa badal gaya 

Shayed wafa kay khail se uktaa gaya tha woh 
Manzil kay paas aa kay jo rasta badal gaya 


Ruswa karay gi yeh nami jo chashm-e-tar main hai


Ruswa karay gi yeh nami jo chashm-e-tar main hai 

Pee jaa ashak, ae aankh , keh baat abhi ghar ki ghar main hai 

Un pe zahir meray Armaan kis unwaan hotay


Un pe zahir meray Armaan kis unwaan hotay 
Main na kehta bhi to aankhon se numayaan hotay 

Kiyon na rehnay diya sar dosh-e-adu par apna 
Teray gaysoo to na thay hum jo pareshaan hotay 

Mout ne rok diye Ashk-e-mareez-e-shab-e-gham 
Yeh woh taaray thay jo din ko bhi numayaan hotay 

Kon dewana unhain chain se rehnay deta 
Phool agar meri tarah chaak-e-giribaan hotay 

Raat kiyon baat bikhairay thay na poocha main ne
Khawab ki baat ki sarkaar pareshaan hotay 

Ae dil hijar ki shab kat gayi dhoka hai tumhein 
Subha hoti to sitaray na darakhshaan hotay 


Lutf woh ishq main paaye hain keh jee jaanta hai


Lutf woh ishq main paaye hain keh jee jaanta hai 
Ranj bhi aisay uthaye hain keh jee jaanta hai 

Jo zamanay kay sitam hain woh zamanay jaanein
Tu ne dil itnay sataye hain keh jee jaanta hai 

Muskuraatay huye woh majmaa-e-aghiyaar kay saath 
Aaj youn bazm main aaye hain keh jee jaanta hai 

Kaaba-o-dair main pathraa gayein dono aankhein 
Aisay jalwe nazar aaye hain keh jee jaanta hai 

Dosti main teri dar'paish hamaray dushman 
Iss qadar apnay paraaye hain keh jee jaanta hai 

Daagh-e-waa'rafta ko hum aaj teray koochay se
Is tarah kheench kay laye hain keh jee jaanta hai 

Chalo rooth jaao tum hum tum ko manatay hain


Chalo rooth jaao tum hum tum ko manatay hain
Tum koi zid lagao hum ussay aagay barhatay hain 

Bhout din ho gaye taaron kay jhurmat ki chamak dekhye 
Tum likho geet hum tum pe ghazal gun'gunatay hain 

Abhi to waqat hai mutthi main aur jazbaat hain dil main 
Chalo ab maan jaao tum , hum tum se rooth jatay hain 

Meray haathon ko thaamo aur koi phir zid nayi kar do 
Chalo tum do qasam apni hum wapis loat aatay hain 

Aur bhi hain bhout se azmanay kay hunar baqi 
Rakho tum haath dil pe , hum tumhain dharkan sunatay hain 

Bhout din ho agye khamosh mohabbat ko nibhatay huye 
Hamein tum se mohabbat hai , hum kehna bhool jatay hain 

Qissa-e-hijar agar tujh ko sunanay lag jayein


Qissa-e-hijar agar tujh ko sunanay lag jayein 
Jaan-e-jaan umar nahin is main zamanay lag jayein 

Main ne is khouf se gham tujh se chupaye apnay 
Meray Aansoo teri aankhon se na aanay lag jayein  

Kaash aisa ho kabhi kuch na kahoon tujh se 
Meri aankhein  hi ehwaal batanay lag jayein 

Rat'jagay khilnay lagay phir se meri neendon main 
Rog mujh ko na kahin phir se puranay lag jayein 

Aisay Aalam main tujhay bhoolna mumkin hai 
Keh jab saray mousam hi teri yaad dilaanay lag jayein 

Ae dil-e-ishq'zaada mujh ko tujh se shikayat kaisi ?
Jab meray khawaab hi khud mujh ko jalanay lag jayein 


Hum teri Aas main youn behtay hain


Hum teri Aas main youn behtay hain 

Jaisay laa'ilaaj ko intizaar ho mout ka

Ab kay youn bhi teri zulfon ki shikan tooti hai


Ab kay youn bhi teri zulfon ki shikan tooti hai 
Rang phootay kahin khushboo ki rasan tooti hai 

Mout aayi hai keh taskeen ki Saa'at aayi 
Saans tooti hai keh sadiyon ki thakan tooti hai 

Dil shakista to kai baar huway thay lakin 
Ab kay youn hai keh her ik shaakh-e-badan tooti hai 

Itni be'rabt mohabbat bhi kahan thi apni 
Darmiyaan se kahin zanjeer-e-sukhan tooti hai 

Silsala tujh se bicharnay ka kahan khatam huwa
Ek zamanay se raah-o-rasm-e-kuhaan tooti hai 

Meray yaaron kay tabasum ki kiran maqtal main 
Nok-e-neza ki tarah zair-e-kafan tooti hai 

Reza reza main bikharta gaya her su "Mohsin"
Sheesha sheesha meri sangeeni-e-fun tooti hai 

Chooriyon se meri shikayaten kartay kartay


Chooriyon se meri shikayaten kartay kartay 

Phir se gayi hai , woh meri tasveer se rooth kar 

Qaflay raakh huwe dasht-e-junoon main kitnay


Qaflay raakh huwe dasht-e-junoon main kitnay 

Kaash keh khushiyon ki tarah dard bhi hijrat kartay 

Roshni ki dhaar par likhay kahani aur dukh


Roshni ki dhaar par likhay kahani aur dukh 
Aankh se behta hua khamosh pani aur dukh 

Meray kamray main ussi tarteeb se rakhye huwe 
Phool khatt waday dilasay ik jawani aur dukh 

Ek doojay se bichar kar umar bhar rotay rahay 
Raat sehraa khushk pattay ek raani aur dukh 

Ab meray lafzon main woh pehlay si kefiyat nahin 
Daal ab bhi jholi main teri meharbani aur dukh 

Raat sehraa main kisi ne bansuri ki hook par 
Rakh dain phir roti huwi yaadein purani aur dukh 

Hussan-e-gul hai bahaar deta hai


Hussan-e-gul hai bahaar deta hai 
Ishq hasti sanwaar deta hai 

Sirf aik dil ka rona rotay ho 
Gham to hasti ujaar deta hai 

Jo bhi dil chahay dil kay saath karo
Dil tumhain ikhtiyaar deta hai 

Chand gharriyaan udhaar maangi thein 
Aaj kal kon udhaar deta hai 

Aadmi baadshah hai jungle ka 
Ya to apnay bhi maar deta hai 

Khawaab main iltijaa woh kartay hain 
Qais ! zulfein sanwaar deta hai  

Sirf meray chehray ki udasi se bhar aaye us ki aankhon main Aansoo


Sirf meray chehray ki udasi se bhar aaye us ki aankhon main Aansoo

Dil ka Aalam to abhi us ne dekha hi nahin tha 

Tum ne poocha hai chalo tum ko bata detay hain


Tum ne poocha hai chalo tum ko bata detay hain 
Jo hum pe guzri hai tum ko bhi suna detay hain 

Teray baad hamein khud pe bhi Aetabaar nahin 
Lafz likhtay hain likh kar mita detay hain 

Nami aankhon main liye logon se kabhi hans lain 
To aisa lagta hai keh khud ko saza detay hain 

Teri yaad se ik pal bhi ghafil na rahay 
Youn hi dil kay behal janay ko bhula detay hain 

Hum ne hans kay teray saath guzaaray thay kabhi 
Yaad aatay hain jo woh pal to rula detay hain 

Kaash tum samjh patay


Kaash tum samjh patay

Kaash tum samjh patay
Kitna chaha hai tum ko 
Kitna manga hai tum ko 
Kis qadar mohabbat hai 
Kis qadar zaroorat hai 

Kaash tum samjh patay 
Jaan yeh tumhari hai 
Her khushi tumhari hai 
Dil lagi tum hi se hai 

Kaash tum samjh patay
Zindagi tum hi se hai 
Rooh ki zaroorat ho tum 
Dil ki dharkan ho tum 

Meri mohabbat ho tum 
Kaash tum samjh patay
Sirf tum se mohabbat hai 
Sirf tum ko chaha hai 

Kaash tum samjh patay
Kaash tum samjh patay

Ae dil dharak tarrap Magar itna yaad rakh


Ae dil dharak tarrap !
Magar itna yaad rakh 

Teray jazbaat aur hain 
Meray halaat aur hain 
Aur un kay khayalat aur hain  

Husn be'panah adaa-e-dil'ruba aur us pe yeh no'umri ka taaj


Husn be'panah adaa-e-dil'ruba aur us pe yeh no'umri ka taaj 

Haan tujhay zaib deta hai youn be'wafa hona 

Main ne bul'bul se jo poocha dard-e-judai ka ilaaj


Main ne bul'bul se jo poocha dard-e-judai ka ilaaj 

Uff shaakh-e-gul se gir pari , tarpi aur tarap kay mar gayi 

Khawab posh aankhon main Aanso'on ka bhar jaana


Khawab posh aankhon main 
Aanso'on ka bhar jaana 

Hasraton kay saahil par 
Titliyon ka mar jaana 

Habas ki hawaon main 
Khushbo'on ka ka dar jaana 

Dil kay garm sehraa main 
Umangon ka jhulas jaana 

Shikwa liye labon pe
Shikayaton ka ruk jaana 

Marz la'dawa hona 
Dard be'pannah hona 

Kya bhout zaroori tha 
Ab tera juda hona ?


Main ne kaano main pehan ki hai tumhari awaz


Main ne kaano main pehan ki hai tumhari awaz 

Ab meray wastay be'kaar hai chandi sona 

Uth'ti rehti hai aik gard mujh main


Uth'ti rehti hai aik gard mujh main 
Kon phirta hai dar-ba'dar mujh main 

Mujh ko mujh main jaga nahin milti 
Woh hai mojood is qadar mujh main 

Safar-e-zindagi main saanson ki doar


Safar-e-zindagi main saanson ki doar 
Bas do hi lafzon pe tikki hai 

Saans chalay to woh saath ho 
Aur saans rukay to woh paas ho 

Apnay dil ko teray dil se mila baithay hain


Apnay dil ko teray dil se mila baithay hain 
Zindagi ki khushiyan teray naam laga baithay hain 

Teri justaju main beet jaye gi umar hamari
Apni aankhon main teri tasveer bana baithay hain 

Zindagi sanwar gayi teray milnay se 
Teri chahat ko apni rooh main sama baithay hain 
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...