May 13, 2016

Ek pal main jo bar'baad kar detay hain dil ki basti ko faraz


Ek pal main jo bar'baad kar detay hain dil ki basti ko faraz

Woh log dekhnay main aksar masoom hotay hain

Rukh-e-yaar pe yeh zulfain youn phisal rahi hain goya


Rukh-e-yaar pe yeh zulfain youn phisal rahi hain goya 

Kabhi din nikal raha hai , kabhi raat dhal rahi hai

Ek tabasum hazaar shikwon ka


Ek tabasum hazaar shikwon ka 

Kitna pyaara jawaab hota hai

Aik muddat se teri yaad bhi na aayi hamein


Aik muddat se teri yaad bhi na aayi hamein 

Aur hum bhool gaye hon tujhay aisa bhi nahin

Bas itna yaad hai keh mujhay ishq hua tha


Bas itna yaad hai keh mujhay ishq hua tha

Phir kya hua us ki mujhay khabar nahin 

Kaash main loat jaaon bachpan ki wadi main


Kaash main loat jaaon bachpan ki wadi main 

Na koi zaroorat thi na koi zaroori tha

Tujh pe khul jaati meri rooh ki tanhai bhi


Tujh pe khul jaati meri rooh ki tanhai bhi 

Meri aankhon main kabhi jhaank kay dekha hota

Ik khwaab ne aankhain kholi hain


Ik khwaab ne aankhain kholi hain 

Kiya mor aaya hai kahani main 

Woh bjeeg rahi hai baarish main 

Aur aag lagi hai paani main

Kuch Apnay Lab-o-Lehjay Ko Tabdeel Woh Karta




Kuch Apnay Lab-o-Lehjay Ko Tabdeel Woh Karta
Phir Hum Se Bayan Ranj Ki Tafseel Woh Karta

Yak Tarfa Taqazay To Nibhaye Nhi Jatay
Kuch Apnay Farayiz ke Bhi Tameel to karta

Ilzam Lagata Barye Shoq sy lekin
Kuch Apnay Wadon ke Takmeel to karta

Kuch us ko Bhe Ehsas to hota Shab-e-Hijran
Kuch Khawaab Mary Khawabon sy Tabdeel to karta
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...