May 2, 2017

Kuch ujaala sa rah guzar main raha


Kuch ujaala sa rah guzar main raha 
Koi jab tak meri nazar main raha 

Ik parao pe ruk gaya woh bhi 
Main akela hi phir safar main raha 

Kho gaya door ki uraano main 
Zor bhi kuch na baal-o-par main raha 

Itni muddat kay baad kya loat'ein 
Ab sha'nasa na koi ghar main raha 

Le chala dagh-e-dil nihaan dil main 
Kaisi duniya-e-be'basar main raha  


Do bhaid bharri aankhein


Do bhaid bharri aankhein 
Ik khawab ki chilman se her raat mujhay daikhein 
Do bhaid bharri aankhein 
Her subha ko chiriyon ki cheh'kaar main dhal jayein 
Phoolon ki qaba pehnein 
Shabnam main badal jayein 
Her shaam hawaon se ehwaal mera poochein 
Do bhaid bharri aankhein 
Karti hain ajab baatein kajal ki zuban se yeh 
Dil leti chali jayein andaz-e-biyan se yeh 
Do bhaid bharri aankhein 
Ik khawab ki chilman se her raat mujhay daikhein 
Do bhaid bharri aankhein 



Mata-e-shaam-e-safar bastiyon main chor aaye


Mata-e-shaam-e-safar bastiyon main chor aaye 
Bujhay chragh hum apnay gharon main chor aaye 

Bichar kar tujh se chalay hum to ab kay youn hua 
Keh teri yaad kahin raaston main chor aaye 

Hum apni dar-badri kay musha'hiday  aksar !!
Naseehaton ki tarah kam'sino main chor aaye 

Khiraaj-e-sil-e-bala iss se barh kar kya ho keh log 
Khullay makaan bharri baarishon main chor aaye 

Hamaray baad bhi ronaq rahay gi maqtal main 
Hum ehal-e-dil ko baray hoslon main chor aaye 

Urrein gay kya woh prinday jo apnay rizq samait 
Safar ka shouq bhi tootay par'ron main chor aaye 

Sada sukhi rahein chehray woh hum jinhein "Mohsin"
Bujhay gharon ki khulli khirkiyon main chor aaye


Meri eid ka taluq teri deed se raha hai


Meri eid ka taluq teri deed se raha hai 

Na hui deed teri na hui hai eid meri


Uss ki aankhon ki sur'khiyan de rahi hain pata



Uss ki aankhon ki sur'khiyan de rahi hain pata 

Keh raat uss ne bhi jaag kay guzari thi


Khiltay huye gulaab achay lagtay hain


Khiltay huye gulaab achay lagtay hain 

Khoobsurat chehron pe hijaab achay lagtay hain 

Tera na milna mera naseeb hi sahi


Tera na milna mera naseeb hi sahi 
Lakin 
Meri qismat main likha hai 
Tujhay toot kay chahana

Tumharay aur meray rishtay ka koi naam to ho ga


Be'naam rishta 

Tumhein kaisay pukaron main 
Tumharay aur meray rishtay ka koi naam to ho ga 
Adhooray un'kahay rishton ka koi naam hota hai ?
Sabhi logon ka , rishton ka koi ik naam hota hai 
Wohi pehchaan hota hai 
Keh jis ko bhi bulaana ho , ussi se hum bulaatay hain 
Koi poochay agar mujh se 
Tumhein main kya bulaati hoon 
To bolo kya bata'on main ?
Mohabbat , payar , ya phir dost bolon main 
Magar yeh saray rishtay , naam to apno kay hotay hain 
Jo dukh main aur khushi main bas hamaray saath hotay hain 
Inhein maloom hota hai keh kis lamhay hamein in ki zaroorat hai 
Kisi dukh main hamein inn ko bulana hi nahin parta 
Woh khud hi paas hotay hain 
Magar tum na khushi main saath thay meray 
Na apnay hi diye dukh main abhi bhi paas ho meray 
Aur apnay to kisi ko dooriyan de kar nahin jatay 
Na apnay naam ki ruswaiyon main chor jatay hain 
Koi poochay agar mujh se 
To bolo kya bata'on main 
Tumharay aur meray rishtay ka koi naam to ho ga 


Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...