Anhoni ki aik dua
Chandi ka yeh taar
Meray siyah baalon main
Gharri gharri bijli ki tarah chamakta hai
Sotay jaagtay main is lishkaray ki zad main rehti hoon !
Aik lamha ti jaisay dil hi tehar gaya tha !
Aaina
Umar main pehli dafa
Sach bolta nahin laga tha
Shak ka faida beenai ko diya tha main ne
Lakin kitnay arsay ?
(Faisala kitna talta)
Kitnay aainay chup rehtay
Aur kitni aankhin mera dil rakh saktein thein
Jaan gayi hoon
Waqat
Meri bar'nai par
Pehla shab-e-khoon daal chuka hai
Kaisy kaisay chehray nazar main ghoom rahya hain
Fart-e-mohabbat se gul'naar
Josh-e-aqeedat se sar'shaar
Mujh ko dekhnay , mujh ko choonay , mujh ko panay ki hasray main
Koocha-ba-koocha khwaar
Sar-ta-pa-dildaar
Aaj hama tan chasham woh log
Mujh ko kaisay dekhain gay
Dekh sakain gay?
Maalik ! Ambwah-e-talab main
Kiya koi aisi aankh bhi ho gi
Jis ki chamak
Bujh janay kay bajaye
Chaandi kay is taar ko choo kar
Sonay jaisi ho jaye ?
Parveen Shakir