Showing posts with label Atif Saeed Poetry. Show all posts
Showing posts with label Atif Saeed Poetry. Show all posts

May 1, 2017

Haqeeqat aashna meray



Guzarish

Haqeeqat aashna meray 
Hamein jeewan kay raston par kahan tak sath chalna hai ?
Kahan woh morr hai jis ne hamein tanhai deni hai 
Kahan tak tum mujhay thamo gay jab girnay lagon ga main 
Kahan par is tarah ho ga keh tum mujh ko na thamo gay 
Tumhein awaz doon ga tum meri jaanib na daikho gay 
Main jeeta hoon ya marta hoon meray baray na socho gay 
Janam din par karo gay phone na hi card bhejo gay 
Suno sathi !!!
Hamein jeewan kay rastay par jahan tak sath chalna hai 
Wahan tak tum mujhay aadi karo na is tarah apna 
Keh jab woh morr aaye aur apni raah main jaon 
To apnay raastay ko ajnabi apnay liye paon 


Mar 28, 2017

Chalay bhi aayo


Chalay bhi aayo !!

Chalay bhi aayo 
Keh main to khud ko tumharay rangon main rang chuka hoon 
Tumharay saanchon main dhal chuka hoon 
Tumharay kehnay par aa kay dekho 
Main khud ko kitna badal chuka hoon !


Feb 2, 2017

Aur kuch nahin badla


Aur kuch nahin badla 

Aur kuch nahin badla 
Aaj baad muddat kay 
Main ne uss ko daikha hai 
Woh zara nahin badli !

Ab bhi apni aankhon main 
100 sawaal rakhti hai
Choti choti baaton par 
Ab bhi khull kay hansti hai 
Ab bhi us kay lehjay main 
Wohi khan'khana'hat hai 
Woh zara nahin badli !

Ab bhi us ki palkon kay 
Saa'iye geelay rehtay hain 
Ab bhi uss ki sochon main 
Mera naam rehta hai 
Ab bhi meri khatir woh 
Iss tarah hi pagal hai 
Woh zara nahin badli !

Aaj baad muddat kay 
Main ne uss ko daikha hai 
To mujhay bhi lagta hai 
Main bhi uss ki chahat main 
Iss tarah hi pagal hoon 
Baad iti muddat kay 
Aur kuch nahin badla !!
Juz hamaray raaston kay 
Aur kuch nahin badla !


Apr 6, 2016

Mujh ko maloom nahin hijar kay qatal lamhay




" Mujh ko maloom nahin hijar kay qatal lamhay "

Mujh ko maloom nahin hijar kay qatal lamhay 
Tu ne kis aag main jal jal kay guzaray hon gay 
Kabhi lafzon main thakan tu ne sameiti ho gi 
Kabhi kaghaz pe faqat ashk utaaray hon gay 
Yeh bhi mumkin hai keh guzra hua lamha lamha 
Jis ko main aaj bhi seenay se laga rakhta hoon 
Teray nazdeek faqat yaad ki parchaai ho 
Door ki jaisay teri us se shanasaai ho 
Jis tarah dhoop december ki dareechay se lagi 
Be'irada kahin aangan main utar aayi ho 
Jaisay mehfil main kisi shakhs ki tanhai ho 

Kabhi qiyaas , kabhi woh gumaan badlay ga


Kabhi qiyaas , kabhi woh gumaan badlay ga 
Main jaanta tha woh apna biyaan badlay ga 

Meri aankhon main bhi rehna tujhay qabool nahin 
Bata keh aur tu kitnay makaan badlay ga 

Bas aik aas pe jeeta hoon aaj tak "Mola"
Kabhi to rang tera aasman badlay ga 

Yeh mum'tahin , yeh nateeja badal nahin sakta 
Ae dil faqat yeh tera imtihaan badlay ga 

Abhi to raah main kitany hi mor aanay hain 
Bata keh aur tu kitnay biyaan badlay ga 

Shikaar is liye mohtaat tha bhout "Atif"
Woh jaanta tha shikari machaan badlay ga  

Abhi to raat baqi hai




Abhi to raat baqi hai 

Abhi taray chamaktay hain 
Abhi suraj nikalnay main 
Zara ta'kheer baqi hai 
Abhi teri kahi baatein !
Meri palkon pe baithi hain 
Abhi manzir judaai ka 
Meri aankhon main thehra hai
Abhi ik aas ka deepak 
Meri aankhon main jalta hai 
Abhi jo khud se kehni hai 
Woh mushkil baat baqi hai 
Abhi kuch dair rona hai 
Abhi to raat baqi hai 

Kitna bojhal sa lehja tha




"Kitna bojhal sa lehja tha "

Kitna bojhal sa lehja tha 
Jab tu ne mujh se poocha tha 
Pyar kay baray main kuch bolo 
Ishq ki sari ramzein kholo 
Pyar ibadat kiyon hota hai ?
Dard ki koi had hoti hai ?
Hijar qayamat kiyon hota hai ?
Kitna bojhal sa lehja tha !
Jab tu ne yeh sab poocha tha 
Aur main us bojhal lehjay main 
Khud ko jalta dekh raha tha 
 
 

Teray meray beech zamana parta hai


Teray meray beech zamana parta hai 
Dil ko kitni baar bata'na parta hai 

Thehar gayi hai baat muqadar par aa kar 
Khud ko yeh aksar samjhana parta hai 

Sochon ko kab koi qaid kar paya hai 
Lakin khud ko to samjhana parta hai 

Rasta ho dushwaar ya raahi anjanay 
Is jeewan ka saath nibhana parta hai 

Khamoshi kay dasnay ka dar ho jis dam 
Aisay main khud shor machana parta hai 

Paas meray to sirf tumhari yaadein hain 
Yaadon se dil ko behlaana parta hai

Ajab si yeh mohabbat hai ajab sa rabt hai hum main




Ajab si yeh mohabbat hai 
Ajab sa rabt hai hum main 
Na ik doojay ko dekha hai 
Na ik doojay ki awazon main ik doojay ko dhoonda hai 
Tumhein jo kuch kaha main ne , ussay tum sach samajhti ho 
Mujhay jo kuch kaha tum ne , ussay main sach samajhta hoon 
Isi ik 
Chat window 
main 
Hum ik doojay kay jeewan kay her ik mousam main rehtay hain 
Ajab sa rabt hai hum main 
Ajab si yeh mohabbat hai 
Jissay tasveer aur awaz se kuch bhi nahin lena
Jissay khawaish nahin koi 
Kisi ko ru-ba-ru dekhein 
Kisi awaz ko poojein 
Mohabbat ki shabahat ko 
Kisi anmol saa'at ko  
Kisi kay aks main dhoondein 
Ajab si yeh mohabbat hai 
Keh jis main lafz kehtay hain aur aankhein kuch nahin kehtein 
Yeh lafzon se behalti hai , yeh un main saans leti hai 
Yeh un be'jaan tasveeron main kitnay rang bharti hai 
Ajab sa rabt hai hum main 
Ajab si yeh mohabbat hai 
Keh jaisay awaz aur tasveer se kuch bhi nahin lena 
Keh jo lafzon ki khushbu se dilon ko gun'gunati hai 
Keh jo palkon pe chahat kay hazaron khawab likhti hai 
Tumharay aur meray darmiyaan jo saans leti hai 
Ajab si woh mohabbat hai

Mujhay jo aankh se ojhal dikhaai deta hai


Mujhay jo aankh se ojhal dikhaai deta hai 
Woh chup rahay bhi to mujh ko sunaai deta hai 

Tumharay paaon main rakh di hai shairy apni 
Kisi ko kon youn apni kamaai deta hai 

Keh jaisay sab se gunnah'gaar hai woh duniya main 
Woh baat baat pe itni safaai deta hai

Jab khizaan ne sab darakhton ko akela kar diya


Jab khizaan ne sab darakhton ko akela kar diya 
Aik panchi dukh main dooba tehniyaan ginta raha 

Rait pe likhay huye woh naam kab kay mitt gaye 
Magar saahil pe baitha seepiyan ginta raha 

Jab talash-e-rizq ne chalnay ki taqat cheen li 
Baith kar foot'path par woh gariyan ginta raha

Abhi tak to hum khud'faraybi ki dhund main


Abhi tak to hum khud'faraybi ki dhund main 
Youn haathon ko thaamay 
Judai kay khadshon ko dil se nikalay 
Chalay jaa rahay hain 
Magar dhund chattay gi 
To maloom ho ga 
Keh hum is safar main akelay nahin hain 
Judai hamesha se thi saath apnay 

Zamanay se juda lagnay laga hai


Zamanay se juda lagnay laga hai 
Woh kitna ba'wafa lagnay laga hai 

Yeh kaisay dor main hum jee rahay hain 
Bashar bhi ab khuda lagnay laga hai 

Mujhay tareekiyon ne das liya hai 
Mujhay jugnoo diya lagnay laga hai 

Ajab si pyas thehri hai labon par 
Samandar bhi zara lagnay laga hai 

Dukhi logon kay aansoo ponjhta hai 
Woh kitna parsaa lagnay laga hai 

Youn apnay shaher main gum ho gaya hoon 
Keh her rasta naya lagnay laga hai 

Mohabbat ki tabiyat main agarcha gham nahin hota


Mohabbat ki tabiyat main agarcha gham nahin hota 
Magar khadsha judai ka ghamon se kam nahin hota 

Koi jugnoo, koi taara kahin se dhoond kar laao !
Gharon ko phoonk denay se andhera kam nahin hota 

Mohabbat karnay walay to hamesha saath rehtay hain 
Mohabbat main judai ka koi mousam nahin hota 

Mujhay tum chor kar khud bhi sari umar tarpay ho 
Koi aisi saza detay tumhein to gham nahin hota

Zameen walon se yeh keh kar falak se dhal gaya suraj 
Ujaala baant denay se ujaala kam nahin hota

Tum se milnay ka wada tha


Jeet 

Tum se milnay ka wada tha 
Jee karta tha 
Jaisay mujh ko tarpati ho 
Waisay hi tum ko tarpa'on 
Tum se aaj na milnay jaaon 
Lakin aaj bhi dekho jana !
Meri mohabbat , meri zid se 
Jeet gayi hai 

Apr 5, 2016

Abhi ik mor aaya hai abhi manzil nahin aayi


"Abhi ik mor aaya hai "

Abhi ik mor aaya hai 
Abhi manzil nahin aayi 
Abhi apnay diye se
Aur kitnay hi diye mujh ko jalanay hain 
Abhi to is safar main 
Aur kitnay mor aanay hain 
Abhi main taza dam hoon 
Abhi seenay main jalta woh diya 
Waisay hi roshan hai 
Abhi zulmat kaday main 
Apnay hissay ki sham'mein mujh ko jalani hain 
Keh youn bhi roshni taqseem karnay kay safar main 
Manzalon ki qaid kya ho gi 
Puranay sathiyon ko chornay ka 
Gham to hai dil main !
Keh jin kay saath chalnay se 
Safar ne apni sari mushkalein khud hi sameti thein 
Naye raston pe un ki yaad meri hamsafar ho gi
Puranay sathiyon ko chornay ka gham to hai dil main 
Magar mujh ko abhi to 
Roshni taqseem karni hai 
Abhi to mor aaya hai 
Abhi manzil nahin aayi

Aaj tak main nahin samjha teri duniya kya hai


Aaj tak main nahin samjha teri duniya kya hai 
Ae khuda tu hi bata de yeh tamasha kya hai 

Yeh suna hai lakeeron ki zubaan hoti hai 
Bol deti hain keh is haath main likha kya hai 

Aaj tak main nahin samjha teri be'chaini ko 
Ae meray dil ! yeh bata de teri mansha kya hai 

Bandagi aur ibadat main yeh dil jhukta hai !
Jis main yeh dil na jhukay , bol woh sajda kya hai 

Tu ne sab kuch hi mera cheen liya hai mujh se !
Zindagi ! aur bata tera taqaza kya hai

Khud ko tujh pe waar deta hoon


Khud ko tujh pe waar deta hoon 
Tera sadqa utaar deta hoon 

Jaisay kuch bhi nahin hai karnay ko 
Waqat aisay guzaar deta hoon 

Tum sitaron ko tor sakti ho 
Main tumhein Aaitabaar deta hoon 

Dukh musal'sal , in main khushiyon ko 
Chand lamhay udhaar deta hoon

Ajeeb si be'basi hai yeh


Be'basi

Ajeeb si be'basi hai yeh 

Tumhein keh bhi nahin sakta 

"Mujhay tum se mohabbat hai 

Kis qadar be'basi thi lehjay main


Be'basi

Kis qadar be'basi thi lehjay main 

Tu ne jab mujh se kaha tha ik din 

"Main tumhein sochti kiyon rehti hoon"

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...