Apr 19, 2016

Kuch ilaaj-e-wehshat-e-ehal-e-nazar bhi chahiye


Kuch ilaaj-e-wehshat-e-ehal-e-nazar bhi chahiye 
Aik pathar bar dukan-e-sheesha gar bhi chahiye 

Na'mukamal hai saqoot-e-karwan ki daastan 
Is main thora sa biyan-e-rah'bar bhi chahiye 

Jin kay daman main duaon kay siwa kuch bhi nahin 
Un ghareebon ki duaon main asar bhi chahiye 

Gulistan-e-aarzu kay inqalabi dour main 
Aik jashan-e-mousam-e-barq-o-sha'rar bhi chahiye

Jo laga detay hain qasar-e-zindagi main aag si 
Aisay sholon kay liye ik ashk-e-tar bhi chahiye 

Phir inhi angraiyon main hashar kay saman hon 
Bazam-e-jana main koi aashfta sar bhi chahiye 

Hon na saghar jis main sang-o-meel ki pabandiyan 
Manzalon tak aik aisi rah'guzar bhi chahiye 

Dard kay maron pe hansta hai zamana be'khabar


Dard kay maron pe hansta hai zamana be'khabar 
Zakham-e-hasti ki kasak se hai nishana be'khabar 

Nikhaton kay saye main tootay paray hain chand phool 
Bijliyon ki yo'rashon se Aashiyana be'khabar 

Husan-e-barham ko nahin haal-e-parishaan se gharz 
Saaz-e-dil ki dharkano se zamana be'khabar 

Hum qaraar-e-dil nahin hain , hum nahin aankhon ka noor 
Hum sa awara kiyon hota hai , thikana be'khabar 

Dono aalam wusat-e-aagosh ki tafseer hain 
Dekhnay main hai nigah-e-mehar'mana be'khabar 

Aap apnay fun se na'waqif hai Saghar ki nazar 
Lal-o-gohar ki ziaon se khazana be'khabar 

Jab gulistan main baharon kay qadam aatay hain


Jab gulistan main baharon kay qadam aatay hain 
Yaad bhoolay huye yaron kay karam aatay hain 

Log jis bazm main aatay hain sitaray le kar 
Hum usi bazm main ba'deeda-e-num aatay hain 

Main woh ik rind-e-kharabaat hoon meh'khanay main 
Meray sajday kay liye saghar-e-jam aatay hain 

Ab mulaqaat main woh garmi-e-jazbaat kahan 
Ab to rakhnay woh mohabbat ka bharram aatay hain 

Qurb-e-saqi ki wazahat to bari mushkil hai 
Aisay lamhay thay jo taqdeer main kam aatay hain

Main bhi jannat se nikala hua ik butt hi to hoon 
Zouq-e-takhleeq tujhay kaisay sitam aatay hain 

Chasham-e-saghar hai ibadat kay tasawur main sada 
Dil kay kaabay main khayalon kay sitam aatay hain

Her shagoofa sanaan ki surat hai


Her shagoofa sanaan ki surat hai 
Mousam gul-e-khizan ki surat hai 

Lamha lamha hai bojh seenay main 
Waqat sang-e-giraan ki surat hai 

Hai wara-e-qaraar aansu bhi 
Dard ik meharban ki surat hai 

Raastay reh'numa-e-deed-o-dil 
Zindagi karwaan ki surat hai 

Zoq-e-tadbeer ho to her zarha 
Jalwa-e-keh'kishan ki surat hai 

Zindgani hai gosh bar'awaz !
Aadmi dastaan ki surat hai 

Haye ! dastoor-e-mehfil-e-hasti 
Khamoshi zuban ki surat hai 

Meray aashar sun kay farmaya !
Aik yeh bhi faghaan ki surat hai 

Apna veerana-e-alam Saghar 
In dino gulistan ki surat hai 

Chaman se , barq -o-shar'rar se khitaab karta hoon


Chaman se , barq -o-shar'rar se khitaab karta hoon 
Shaoor0o0fikar-o-nazar se khitaab karta hoon 

Qadam qadam pe khilata hoon gul ma'ani kay 
Jahan shams-o-qamar se khitaab karta hoon 

Jabeen pe satoot-e-ilhaam kay taqazay hain 
Zaban-e-qalb-o-jiger se khitaab karta hoon 

Main aik mard-e-qalandar , main aik dewana 
Talooh-e-noor-e-sehar se khitaab karta hoon 

Mizaj-e-shabnam-o-lala baat hai meri 
Nigah-e-shola nagar se khitaab karta hoon 

Na karwan se shikayat , na reh'numa se kalaam 
Ghubar-e-rah'guzar se khitaab karta hoon 

Her ik gaam pe hain pathron ki dewarein 
Sakoot-e-ehal-e-humar se khitaab karta hoon 

Bi'nam-e-azmat-e-yazdan kabhi kabhi saghar 
Waqar-e-husan-e-bashar se khitaab karta hoon

Main iltafaat-e-yaar ka qaa'il nahin hoon dost


Main iltafaat-e-yaar ka qaa'il nahin hoon dost 
Sonay kar narm taar ka qaa'il nahin hoon dost 

Mujh ko khizan ki aik lutti raat se hai pyar 
Main ronaq-e-bahar ka qaa'il nahin hoon dost 

Her sham-e-wasal ho nayi tamheed-e-aarzu 
Itna bhi intizaar ka qaa'il nahin hoon dost 

Do chaar din ki baat hai nahin zindagi ki baat 
Do chaar din kay pyar  ka qaa'il nahin hoon dost 

Jis ki jhalak se maand ho ashkon ki aabru 
Us motiyon kay haar ka qaa'il nahin hoon dost 

Laya hoon be'hisaab ginahon ki aik fard 
Mehboob hon shumaar ka qaa'il nahin hoon dost 

Saghar ba'qadar-e-zarf luta'ta hoon naqad-e-hosh 
Saqi se main udhaar ka qaa'il nahin hoon dost


Hans nahin saktay shagoofay taazgi se rooth kar


Hans nahin saktay shagoofay taazgi se rooth kar 
Hum zamanay main jiye hain zindagi se rooth kar 

Zulf-e-jana se mili fikar-o-nazar ki chandani 
Zulmatein hum ne nikharein roshni se rooth kar 

Khud mananay kay liye aaye mujhay deir-e-haram 
Sajda-e-ilhaam paya bandagi se rooth kar 

Gham se ronaq ho gayi ka'shana taqdeer main 
Mut'maein hai dil ki duniya her khushi se rooth kar 

Aik din saqi ! yahi tootay huye jaam-o-sabu 
Meh'kaday tarteeb dain gay tishnagi se rooth kar 

Sochtay hain hasraton kay mor par shaam-o-sehar 
Jayein gay Saghar kahan un ki gali se rooth kar

Meray chaman main baharon kay phool mehkein gay


Meray chaman main baharon kay phool mehkein gay 
Mujhay yaqeen hai shararon kay phool mehkein gay 

Kabhi to deeda-e-nargis main  roshni ho gi 
Kabhi ti ujray diyaron kay phool mehkein gay 

Tumhari zulf-e-parishan ki aabru kay liye 
Kai ada se chinaron kay phool mehkein gay 

Chamak hi jaye gi shabnam lahu ki boondon se 
Rawish rawish pe sitaron kay phool mehkein gay 

Hazaron moj-e-tamana sadaf ucchalay gi
Tala'tamon se kinaron kay phool mehkein gay 

Yeh keh rahi hain fizaein bahar ki Saghar 
Jiger afroz isharon kay phool mehkein gay

Allah ray ! Us chasham-e-inayat ka jadu


Allah ray ! Us chasham-e-inayat ka jadu 
Ta'umar raha husan-e-mulaqaat ka jadu 

Maloom na tha sehar gazeedan-e-wafa ko 
Subhon kay pas-e-parda hai zulmaat ka jadu 

Aankhon main rawan kosar-o-tasneem kay mantar 
Zulfon main nihan sham-e-kharabaat ka jadu 

Aata ho jissay rasm-e-mohabbat ka wazifa 
Chalta nahin us par gham-e-halaat ka jadu 

Bar'bat ka jiger cheer gayi taar ki fariyad 
Mutrab pe asar kar gaya naghmaat ka jadu 

Lehraye woh gaisu keh uthein gahm ki ghata'ein 
Ashkon ki jharri ban gayi barsaat ka jadu 

Hum sahir-e-aqleem-e- sukhan ban gaye Saghar 
Is dhab se jagaya hai khayalaat ka jadu 

Qareeb-e-daar katta din to raat kaanton par


Qareeb-e-daar katta din to raat kaanton par 
Guzaar di hai kisi ne hayat kaanton par 

Taghiuraat se afzon hai irtaqa ka mizaaj 
Mila hai gul ko chaman main sabaat kaanton par 

Bala se daman-e-hasti jo taar taar hua 
Meray junoon ne lagaai hai ghaat kaanton par 

Chitak rahay hain shagoofay tumhari yaadon kay 
Saji hai shabnam-o-gul ki baa'raat kaanton par 

Yeh aur baat hai phoolon ka zikar tha Saghar
Keh itifaaq se ponchi hai baat kaanton par 

Nigaron kay melay , sitaron kay jhurmat


Nigaron kay melay , sitaron kay jhurmat 
Bhout dil'nasheen hain , baharon kay jhurmat 

Jawan hain agar wal'walon kay tala'tum 
To mojon main bhi kinaron kay jhurmat 

Meray chaar tinkon ki taqdeer dekho 
Chaman dar chaman hain shararon kay jhurmat 

Teray gaisu'on se janam paa rahay hain 
Gulistan gulistan nazaron kay jhurmat 

Chalakta raha hai mera jaam-e- zareen 
Mehaktay rahay hain chinaron kay jhurmat 

Jahan jal gayi shamm-e-bazam-e-tamana 
Wahin mil gaye jaan nisaron kay jhurmat 

Tujhay yaad rakhein gi Saghar baharein 
Teray shair hain Gul'zaron kay jhurmat

Teri nazar ka rang bahano ne le liya


Teri nazar ka rang bahano ne le liya 
Afsurdagi ka roop tarano ne lay liya 

Jis ko bhar bahar main ghunchay na keh sakay 
Woh waqiya bhi meray fasano ne lay liya 

Shayed milay ga qariya-e-mehtaab main sakoon 
Ehal-e-khird ko aisay gumano ne lay liya 

Yazdan se bach raha tha jala'lat ka ik lafz 
Us ko haram kay shokh biyabano ne lay liya 

Teri ada se ho na saka jis ka faisala 
Woh zindagi ka raaz nishano ne lay liya 

Afsana-e-hayat ki takmeel ho gayi 
Apno ne lay liya keh baygano ne lay liya 

Bhooli nahin woh qos-e-qazah ki si suratein 
Saghar tumhein to mast dhiyano ne lay liya

Sakoot-e-gham se jo guzray na phir mili awaz


Sakoot-e-gham se jo guzray na phir mili awaz
Yahin kahin in hi galiyon main kho gayi awaz

Yeh keh'kishan meray naghmaat ki larri yaro !!
Kiran kiran ki sama'at main hai meri awaz

Bhout dino se hai pa'maal dil ka her ghuncha 
Main muntazir hoon koi aaye shabnami awaz

Na chair azar-e-mohabbat ki daastan Ae dost 
Keh bazam-e-ishq main hoti hai khamoshi awaz

Main khud nigar hoon kisi mor pe na thehron ga 
Azal se deti rahi mujh ko zindagi awaz

Shab-e-firaq koi gun'guna kay guzra hai 
Keh ban gayi hai sitaron ki roshni awaz

Khuda karay keh sitaron ko na chu sakay "Saghar"
Saroor-e-zeest kay paron main doobti awaz
 
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...