Daam-e-khushboo main griftaar saba hai kab se
Lafaz-e-izhaar ki uljhan main para hai kab se
Ae karri chup kar dar-o-baam sajanay walay
Muntazir koi ku-e-nida hai kab se
Chaand bhi meri tarah husan shanasa nikla
US ki dewaar pe hairaan kharra hai kab se
Baat karta hoon to lafzon se mehak aati hai
Koi anfaas kay parday main chuppa hai kab se
Shobada baazi-e-aaina-e-ehsaas na pooch
HAirat-e-chasham wohi shokh-e-kaba hai kab se
Dekhiye khoon ki barsaat kahan se hoti hai
Shaher pe chaai hui surkh ghatta hai kab se
Kor chashmon kay liye Aaina khana maloom
Warna her zarah tera aks numa hai kab se
Khoj main kis ki bharra shaher laga hai Amjid
Dhoondti kis ko sar-e-dasht hawa hai kab se