Nahin hai teri misal jaana
dabi dabi si wo muskarahat
labon pay apnay saja saja kay
wo naram lehjay main baat karna
ada say nazrain jhuka jhuka kay
wo aankh teri shararti si
wo zulf mathay pay nachti si
nazar hatay na ek pal bhi
main thak gya hun hata hata kay
wo teray hathon ki ungliyon ko
milla kay zulfon main kho sa jana
haya ko chehray pay phir sajana
phool chehra khila khila kay
wo hath hooroun kay ghar hon jaisay
wo paon pariyoun kay par hon jaisay
nahin hai teri misal jaana
main thak gya hon bata bata kay