Jun 5, 2014

Kis tarah sajatay ho maslehit ki shamon main


Kis tarah sajatay ho 
Maslehit ki shamon main 
Mehfalain mohabbat ki
Aur mohabbtein bhi woh , saal bhar mehak jin ki 
Dil ki sari galion main
Raqs karti phirti hain
Kis tarah jalatay ho 
Aandhiyon ky mousam main
Tum dia'ey  rafaqat ky , tum jo pyaar ki doulat
Apney dil ky hathon se 
Kushbo'on ki baton se
Is tarah luta'ty ho , jis tarah koi jugnoo
Shab ky raah guzaroon main
Roshni luta'ta hai
Tum jo habas ky aalam main 
aik hawa ka jhonka ho 
kistarah sajatay ho 
Maslihat ki shamon main 
Mehflain mohabbat ki 
Kuch hamain bhi batlayo
Kuch hamain bhi sikho
Hum to apney sehra ky be'nawa musafir hain
Hum tumharay jazbon ki naik si fizaonki
phool jaisi geeton ki 
raqs karti kushboo ky 
Be'qaraar shair hain

koi bhi aadmi poora nahin hota


koi bhi aadmi poora nahin hota
Kahin aankh , kahin chahera nahin hota

Yahan se koi kyon be'gana guzray
Yeh meray khwaab hain , rasta nahin hain

Jahan pe thay teri palkon ky saye
Wahan par ab koi saya nahin hai

Hazaron shaher hain , hamraah is ky
Musafir dasht main tanha nahin hain

Yeh kaisay khwaab se jagi hain aankhain 
Kisi manzar pe dil jamta nahin

Jo dekho to her ik janib samandar 
Magar peenay ko ik qatra nahin hai

Khuda ki hai yahi pehchaan shayed
Keh koi us jaisa nahin hai

Tum to aik hi dukh poochtay ho


Tum to aik hi dukh poochtay ho 

Tum to bas aik hi dukh poochtay ho

Kon sy dukh ki karain baat zara yeh to bata

Mousamon , sard hawaon , ki maseehai k adukh

Raah ki dhool main bikhri hui beenai ka dukh

Sang ky shaher main Khud dukh se shna'sai ka dukh 

Ya kisi bheegti barsaat main tanhai ka dukh

Kon se dukh ki karain baat zara yeh to bata dil ka dariya

Itni tughyani ki zr par hai keh kuch yaad nahin

Kab hamain chor gaya , kon sy harjai ka dukh

Tum to bas aik hi dukh poochtay ho

Kabhi tu ne khud bhi socha keh yeh pyaas hai to kyn hai


Kabhi tu ne khud bhi socha keh yeh pyaas hai to kyn hai
Tujhay paa kar bhi mer dil jo udaas hai to kyn hai

Mujhay kyon aziz tar hai Yeh dhuwaan dhuwaan sa mousam
Yeh hawa-e-shaam-e-hijraan mujhay raas hai to kyn hai

Tujhay kho ky sochta hoon meray daaman-e-talab main 
Koi khwaab hai to kyn hai koi aas hai to kyn hai

Main ujar ky bhi hoon tera , tu bichar ky bhi hai mera 
Yeh yakeen hai to kyn hai yeh qayaas hai to kyn hai

Meray tan-e-barhana dushman isi gham main ghul rahay hain
Keh meray badan pe salam yeh libaas hai to kyon hai 

Kabhi pooch us ky dil se keh yeh kush mizaaj shair
Bhout achi shairy main , jo udaas hai to kyon hai

Tera kis ne dil bhujaya , Meray aitabaar sajid
Yeh chraagh , hijar ab tak teray paas hai ti kyon hai

Zindagi ko dhuwan main urata raha


Zindagi ko dhuwan main urata raha 
main bhi cigrate pe cigrate jalata raha

Reza reza hawaon main bikhray huye
Khwaab palkon pe chun kar sajata raha

Us ky anay ki umeed main raat bhar 
main zameen pe sitaray bichata raha

Meri aaghosh main woh tulooh ho gaya
sharam se chaand chahera chupata raha

Aalam-e-rang-o-boo ki wohi hayo ho 
Koi ata raha , koi jata raha

Hijar ky hath main loh mehfooz thi 
Ishq likhta raha , woh mita'ta raha

Dil nahin hai , mizaar-e-mohabbat hai yeh
Jis pe amjad main chadar charhata raha

Na phir se dair ho jaye


Chalo kuch aisa kartay hain
Tumhain hum yaad kartay hain
Dil-e-nasaad ko kuch aur hum 
barbaad kartay hain
tumhain awaaz detay hain tumhain wapis bulatay hain 
Kisi dyreena rastay se tumhain hum dhoond 
Latay hain
Jo ab tak keh nahin paye
Woh sab kuch aaj kehtay hain
zara sun lo yeh hum iqraar kartay hain
dil-e-bismal main pinhaan ho , tum hi se pyaar 
kartay hain 
kahin aisa na ho keh rasta andhair ho jaye
na phir se dair ho jaye
na phir se dair ho jaye

Baazi-e-ishq ki pooch na baat


Baazi-e-ishq ki pooch na baat
Jeet ki jeet hai , maat ki maat 

Rakh rakhao us aankh ka dekh 
chup ki chup aur baat ki baat

Pani ka to bahana hai 
Aag lagati hai barsaat 

Ramz-o-knaeya ki hai jaan 
us ki seedhi saadhi baat

Qatal us ko kon kahay 
Hans mujh aankhain , komal ghaat

jeenay waley jee hi lain gy
ab na milo gy achi baat

hijar main pehli nigha ka zikar
Kab yaad ayi kab ki baat

Tu ne rakha nahin khyal mera



Tu ne rakha nahin khyal mera
Warn hota na aisa haal mera

Rooh bhi thak chuki meri aakhir
Jisam pehlay hi tha nidhaal mera

Main mukahtab hoon aik aalam se 
Siraf tujh se nahin sawaal mera

Teri khwaish teri talab ky baghair
Beet jaye ga yeh bhi saal mera

Faqeerana aye , sada kar chalay


Faqeerana aye , sada kar chalay
Miyaan kush raho , hum dua kar chalay

Jo tujh bin na jeenay ko kehtay thay hum
so us ehad ko ab wafa kar chalay

Shifa apni taqdeer hi main na thi
keh maqdoor tak to dawa kar chalay

Woh kiya cheez hai Aah jis kay liye
her ik cheez se dil utha kar chalay

Bhout arzoo thi gali ki teri 
So yaan se lahoo main naha kar chalay

Dikhai diye youn keh be khud kiya 
Hamain aap sy bhi juda kar chalay

paristish ki yaan tak keh Ae buutt tujhay 
nazar main sab'oon ki khuda kar chalay

Kahin kiya jo poochay koi hum se mir
Jahan main tum aye thay , kiya kar chalay

Faqeerana aye , sada kar chalay


Faqeerana aye , sada kar chalay
Miyaan kush raho , hum dua kar chalay

Jo tujh bin na jeenay ko kehtay thay hum
so us ehad ko ab wafa kar chalay

Shifa apni taqdeer hi main na thi
keh maqdoor tak to dawa kar chalay

Woh kiya cheez hai Aah jis kay liye
her ik cheez se dil utha kar chalay

Bhout arzoo thi gali ki teri 
So yaan se lahoo main naha kar chalay

Dikhai diye youn keh be khud kiya 
Hamain aap sy bhi juda kar chalay

paristish ki yaan tak keh Ae buutt tujhay 
nazar main sab'oon ki khuda kar chalay

Kahin kiya jo poochay koi hum se mir
Jahan main tum aye thay , kiya kar chalay

Teray hotay huye mehfil main jalatya hain chraagh


Teray hotay huye mehfil main jalatya hain chraagh
Log kiya sada hain , suraj ko dekhatay hain chraagh

Apni mehroomi ky ehsaas se sharminda hain
Khud nahin rakhtay to aur'on ky bujhtay hain chraagh

Kiya khabar un ko keh daaman bhi bhrak uth'tay hain 
Jo zamaney ki hwaon se bujhtay hain chraagh

Aisay be'dard huye hum bhe keh ab gulshan par
barq girti hai to zindaan main jalatay hain chraagh

Aisi tareekiyan aankhon main basi hain keh faraz 
Raat to raat hum din ko bhi jalatay hain chraagh

Teray hotay huye mehfil main jalatya hain chraagh


Teray hotay huye mehfil main jalatya hain chraagh
Log kiya sada hain , suraj ko dekhatay hain chraagh

Apni mehroomi ky ehsaas se sharminda hain
Khud nahin rakhtay to aur'on ky bujhtay hain chraagh

Kiya khabar un ko keh daaman bhi bhrak uth'tay hain 
Jo zamaney ki hwaon se bujhtay hain chraagh

Aisay be'dard huye hum bhe keh ab gulshan par
barq girti hai to zindaan main jalatay hain chraagh

Aisi tareekiyan aankhon main basi hain keh faraz 
Raat to raat hum din ko bhi jalatay hain chraagh

Na fikar-e-farda na yaad-e-mazi


Na fikar-e-farda na yaad-e-mazi

na chain dil ko na be'qarari 

n awasal ki larzashain nazar main 

na be'basi hijar ky samay ki

na had se guzra hua janoon woh

n abe'kali woh pehlay jaisi

bas ik udasi hai dheemi dheemi 
 
bas ik khamoshi hai be'kraan si

Bas ik be'naam si jalan hai 

bas ik be'dard si thakan hai

Jo zindagi ky adhooray pan ko 

hadoon se aagay barha rahi hai

Taskeen ko hum na ro'ain jo zoq-e-nazar mile


Taskeen ko hum na ro'ain jo zoq-e-nazar mile
Hooran-e-khld main teri surat magar mile

Apni gali main mujh ko na kar dafan baad qatal
Meray patay se khlq ko kyon tera ghar mile

Saqi gari ki shram karo aaj , warna hum
Her shab pia hi kartay hain mea jis qadar mile

Tujh se ti kuch klaam nahin lakin ae nadeem
Mera slaam kaho agar nama-e-bar mile

Lazam nahin keh khizar ki sab pairavi karain
Man akeh ik buzurag hamain hum safar mile

Ae saknaan-e-koocha dil daar dekhna 
Tujh ko kahin jo ghalib aasfata sar mile

Ussay apnay farda ki fikar thi , woh jo mera waqif-e-haal tha


Ussay apnay farda ki fikar thi , woh jo mera waqif-e-haal tha

Woh jo us ki subha-e-urooj thi , woh hi mera waqat-e-zawaal tha

Mera dard woh kaisay janta ,meri baat woh kaisay manta

Woh to khud fanaa ky safar main tha ussay rokna bhi mohaal tha

Kahan jayo gy mujhay chor kar main yeh pooch pooch ky thak gaya

Woh jawaab mujh ko de na saka Woh to khud srapa-e-sawaal tha

Woh jo us ky samnay aa gaya woh hi roshni main naha gaya

Ajeeb us ki haibat-e-husan thi ajab us ka rang.. jamaal tha

Dam wapsi ussay kiya hua na woh roshni na woh tazgi

Woh sitara kaisay bikhar gaya woh khud aap apni misaal tha 

Woh mila to sadiyon ky baad bhi meray lab pe koi gila na tha

Ussay meri chup ne rula diya jissay guftagoo main kamaal tha 

Meray sath woh lag ky ro diya , mujhay fakhri woh itna keh saka 

Jissay janta tha main zindagi woh to siraf weham-o-khyaal tha

Poet : Zahid fakhri

Hum khwaab baichney , sar-e-bazaar aa gye


Hum khwaab baichney  , sar-e-bazaar aa gye

Yeh soch kar keh gham ky kharidaar aa gaye

Awaaz de ky chup gayiher baar zindagi

Hum aisay sada dil thay keh her baar aa gaye

Hum kaj ada chragh thay , jab bhi hawa chali 

Gharon ko chor ky sar-e-dewaar aa gaye

Suraj ki dosti par jinhain naaz tha faraz

Woh bhi zer-e-saya dewaar aa gaye


Uljhi thi aqal-o-hosh main sagar raah-e-hayaat


Uljhi thi aqal-o-hosh main sagar raah-e-hayaat

Main le ky tera naam fanaa se guzar gaya

Palkain neend se boujhal zaroor hain lakin


Palkain neend se boujhal zaroor hain lakin

So gaye hum to tumhain yaad kon karay ga

Main chahta hi nahin tha ussay la'jawaab karna


Main chahta hi nahin tha ussay la'jawaab karna 

Warna jawaab meray pass us ky her sawaal ka tha

Us ki jeet se hoti hai kushi mujh ko

Yeh jawaaz meray pass apni haar ka tha

Palkon ky kinary jo hum ne kabhi bighoye nahin


Palkon ky kinary jo hum ne kabhi bighoye nahin

inhain lagta hai keh hum kabhi roye nahin

poochtay hain kaisay dejhty ho sapno main

inhain kiya maloom keh hum barson se soye nahin

Is ko bhi hum teray koochay main guzaar aye hain


Is ko bhi hum teray koochay main guzaar aye hain

Zindagi main woh jo lamha tha sanwarny wala 

Isi umeed pe her shaam bujhaye hain  chragh

Aik tara hai sar-e-baam ubahrney wala

Us ne hi kaha tha to yaqeen main ne kiya tha


Us ne hi kaha tha to yaqeen main ne kiya tha

Umeed pe qayam hai yeh duniya ussay kehna

Duniya to kisi haal main jeeny nahin deti

Chahat nahin hoti kabhi ruswa ussay kehna

Hum se zindagi ki haqeeqat na pooch wasi


Hum se zindagi ki haqeeqat na pooch wasi

Bhout pur'khaloos log thay jo tanha kar gaye

Ik umar se adat hai teray shaam-o-sehar ki


Ik umar se adat hai teray shaam-o-sehar ki

Ab kon teri yaad ky mamool se niklay

Shaam-e-furqat dhalay hum nahin jantay


Shaam-e-furqat dhalay hum nahin jantay

Gham se fursat milay hum nahin chahaty

Hum teray baad ujray huye thek hain 

Ab kahin dil lagay hum nahin janty

Raat baqi thi jab woh bichray thay



Raat baqi thi jab woh bichray thay

Kat gayi umar raat baqi hai

Khoon main kas'masa raha hai jawaab


Khoon main kas'masa raha hai jawaab

Kiya mohabbat pukarti hai mujhay

Un ko namoos bhi izzat bhi , pazerai bhi


Un ko namoos bhi izzat bhi , pazerai bhi

Mujh ko ronay ko muyassar nahin tanhai bhi

Apny hi haal pe hansana kabhi hans ky rona 

main be'yak waqat tamasha bhi tmashi bhi

Matti ki imarat saya de kar matti main hamwaar hui


Matti ki imarat saya de kar matti main hamwaar hui

veerani se ab kaam hai aur neerani kis ki yaar hui

her patti bojhal ho ky giri sab shakhein jhuk kar toot gayein

is barish se hi fasal ujri jis barish se tayaar hui

Ab is ki yaad se us ka badan trashtay hain


Ab is ki yaad se us ka badan trashtay hain

Woh khwaab hi to nahin tha keh hum bhula detay

Us ky wastay mohsin kahi hai taza ghazal

ab is ki saal'gira pe hum kiya detay

Mil bhi jatay to katt'ra ky guzar jatay hain


Mil bhi jatay to katt'ra ky guzar jatay hain 
Hayee mousam ki tarah dost badal jatay hain

Hum abhi tak hain giriftaar-e-mohabbat yaro
Thokarein kha kar suna tha keh sambhal jatay hain 

Umar bhar jin ki wafaon pe bhrosa kejiye
waqat paray to wohi log badal jatay hain

in taghafal pe yeh aalam keh her ik mehfil se
woh bhi gaatay huye wali ki ghazal jatay hain

Us ky honton pe utar ayi dua meray baad


Us ky honton pe utar ayi dua meray baad
Yeh bhi ssd shukar mera naam liya meray baad

Apni hasti se to waisay hi ussay nafrat thi
Woh to karta hi raha khud se jafa meray baad

Hosh apna na kisi shakhs ki pechaan ussay 
Rog aisa hi koi us ko laga meray baad

Woh jo pathar ky khudaon main raha karta tha 
Us ki aankhon se koi ashk gira meray baad

Us ko ehsaas hua meray bichar janey se
Us ne mehfal main mera zikar kiya meray baad

Baad marney ky ussay maang raha tha rashid
Mujh pe hansta hi raha mera khuda meray baad

Main bhi jhoota tum bhi jhootay


Main bhi jhoota tum bhi jhootay
Ayo chalo tanha ho jayein

Kon mareez aur kon maseeha
is dukh se chutkara payein

Aankhein apni khwaab bhi apney
Apney khwaab kissay dikhayein

Apni Apni sochon main sab
Apney Apney korh sajaein

Apney Apney kandhon pe sab 
Apni Apni laash uthaein

Shyed lamha-e-aainda main
Log hamain sacha teh'raein

Hath dia us ne meray hath main


Hath dia us ne meray hath main
Main to wli ban gaya ik raat main

Ishaq karo gy to kmayo gy naam
toh'matein bat'ti nahin khairaat main

Ishq buri shy sahi par dosto
dakhal na do tum meri her baat main

Mujh pe tawaja hai sab aafaat ki
Koi kash'shish to hai meri zaat main

raah,numa tha mera ik saamari 
Kho gaya main shaher-e-talismaat main

Shaam ki gul rang hawa ho chali
Dard mehakney laga jazbaat main 

Hath main kaghaz ki liye chat'riyaan 
ghar se na nikla karo barsaat main

Rabat barhaya na qateel is liye 
Farq tha doonon ky khyalaat main 




Her kisi ky chaheray main ik zia si hoti hai


Her kisi ky chaheray main 
Ik zia si hoti hai
rukh ky aik hissay main
husan ky ilaqay main
Ik udasi hoti hai
us ko main ne dekha tha 
garam khoo maheeno main 
ik kushi ki mehfil main 
shaher ky makeeno main 
ik taraf kharay tanha 
jis taraf ko rastay thay
jin ky sath galiyaan thein
jin main log bastay thay
be'kash'shish makano main 
jaisay chandani ratein thein 
us ky sard chaheray par 
Kush'gwaar aankhain thein

Pas-e-dewaar ka manzar

 Pas-e-dewaar ka manzar

Khoon ky bya'baan main

kon yeh bataye ga 

umar bhar ki mehroomi

houl'naak raston par 

mout kyn dekhati hai

Janta hoon keh mera dil meray pehlu main nahin


Janta hoon keh mera dil meray pehlu main nahin 
Phit kahan hai jo teray halqa-e-gaysoo main nahin 

Aik tum ho keh tumharay hain pra'aye dil bhi
Aik main hoon keh mera dil meray qaboo main nahin 

dour-e-sayaad , chaman paas , qafas se bahir
Haye woh taqat-e-parwaaz keh bazoo main nahin 

Dekhtay hain tumhain jatay huye aur jeetay hain 
Tum bhi qaboo main nahin , mout bhi qaboo main nahin 

Heef jis kay liye pehloo main na rakha dil ko
Kiya qayamat hai keh fani wohi pehloo main nahin

Nayi sehar ky log muntazir bhout hain , to kiya ho ga


Nayi sehar ky log muntazir bhout hain
Nayi sehar bhi jo kajla gayi to kiya ho ga

gham-e-hayat se be'shak hai khud kushi asaan
Magar jo mout bhi shrma gayi to kiya ho ga

shabaab gul-o-lala ko pukarney walo
Khizaan sar'shat bahar aa gayi to kiya ho ga

Jawaan khoon naye khait ko mufeed sahi
Zameen fasal ko khud kha gayi to kiya ho ga

Woh dastaan jo mas'saib main dafan hai
Zabaan khalaq pe aa gyi  to kiya ho ga

Hadsay is tarah bhi hotay hain


Hadsay 

Hadsay is tarah bhi hotay hain

Keh sar-e-raah youn hi rastay main 

Ajnabi aankh ka sehar jagay

Bijliyaan ban kar 

Zehan-o-dil pe giray

aur phir hosh kho baithein

Youn tera rastay main baitha hoon


Youn tera rastay main baitha hoon

jaisay ik shama-e-raah-e- guzar khamosh

Zara tehro chalay jana mujhay kuch tum se kehna hai


Zara tehro chalay jana
Mujhay kuch tum se kehna hai 
Ziada waqat nahin loon ga

zara si baat karni hai
na dukh apney suna'ny hain 
na koi fariyaad karni hai
na yeh maloom karna hai
keh ab halaat kaisay hain 
tumharay hamsafar thay jo 
tumharay sath kaisay hain 
na yeh maloom karna 
teray din raat kaisay hain
mujhay bas itna kehna hai 
mujhay tum yaad atay ho
bhout hi yaad atay ho

Kaho ab kiya irada hai



Kaho ab kiya irada hai 
Kaho ab kiya khaon tum se
btayo
kiya likhon tum ko
Mujhay tamheed do koi
mujhay umeed do koi
naya ik lafaz ho koi
jahan se baat chal niklay
meri mushkil ka hal niklay
btayo lehja kaisa ho
keh tum se baat karni hai
mujhay thora ujala do, basar ik raat karni hai
tum apni roshan aankhon ko 
agar kholo to main likhon 
tumharay lab se aye ga sukhan main aik kateela pan
tumhari aankh dy dy gi ,tkatab ko nasheelapan
kaho !
ab kiya irada hai ?
mujhay izhaar karna hai 
Keh be-tabi ziada hai 

Yeh jaan kar bhi dono kay rastay alag thay


Yeh jaan kar bhi dono kay rastay alag thay
Ajab haal tha , jab us se ho rahay thay alag

Yeh harf-o-lafaz hain duniya se gutagoo kay liye
Kisi se hum sakhni ky mukalmay thay alag

Khyal un ka bhi aya kabhi tujhay jana
Jo tujh se door bhout door jee rahay thay alag

Hum hi nahin thay hamari tarah ky aur bhi log
Azaab main thay jo duniya se sochtay thay alag

Akelay pan ki zaat ka ab gila kaisay ?
Faraz khud hi to aur'ron se ho gaye thay alag

Jis ki qismat hi dar badar tehray


Jis ki qismat hi dar badar tehray

Woh bujha chaand kiya kisi ky ghar tehray

Umar guzri sanwarty dil ko

Kaash ! woh dil main lamha bhar tehray

Ajab apna haal hota , jo wisaal-e-yaar hota


Ajab apna haal hota , jo wisaal-e-yaar hota
Kabhi jaan sadqay hoti , kabhi dil nisaar hota

Jo tumhari tarah tum se koi jhootay waday karta 
Tum hi munsafi se keh do , Tumhain aitbaar hota

Yeh maza tha dil-lagi ka keh brabar aag lagti
Na tujhay qaraar hota , na mujhay qaraar hota

Na maza hai dushmani main , na hai lutaf dosti main 
Koi ghair ghair hota , koi yaar yaar hota

Teray waday pe sitam gar abhi aur sabar kartay 
Agar apni zindagi ka hamian aitbaar hota

Shakista to thi aik dewaar ghar ki


Shakista to thi aik dewaar ghar ki

Magar meray dushman ko kis ne khabar ki

zaroorat ne aangan main kamray ugaye

Bhala kon sunta dohai shajar ki

Ja baja dekhney partay hain udhartay manzar


Ja baja dekhney partay hain udhartay manzar

Kaash! andar ko khuli aankh bhi si li hoti

Ab haqeeqat ky srabon main ghira sochta hoon

Zindagi teray tasawar hi main jee li hoti


Naqash thay hath ki lakeeron par


Naqash thay hath ki lakeeron par

dastaras se magar paray tum thay

Hum ne jis raah ka intikhaab kiya 

us ke her mor par kharay tum thay

Tu samney hai to phir kyn yakeen nahin ata


Tu samney hai to phir kyn yakeen nahin ata

yeh bar bar jo aankhon ko mal ky dekhtay hain

na tujh ko maat hui , na mujh ko maat hui

So ab ky dono hi chalein badal ky dekhtya hain

Aks pani main agar qaid kiya ja sakta


Aks pani main agar qaid kiya ja sakta

Ain mumkin tha main is shakhs ko apna sakta

Tum rooth jayo mujh se , aisa kabhi na karna


Tum rooth jayo mujh se , aisa kabhi na karna

Main ik nazar ko tarson , aisa kabhi na karna

main pooch pooch haroon , so so sawaal kar ky 

tum kuch jawaab na do aisa kabhi na karna

Isi din ghar nahin ata keh jab anay ko kehta hai


Isi din ghar nahin ata keh jab anay ko kehta hai 

Magar kiya rootna us se woh apni dhun main rehta hai

mujhay tujh se juda rakhta hai aur dukh tak nahin hota

meray andar teray jaisa yeh aakhir kon rehta hai

Dastak se dar ka fasla hai aitmaad ka



Dastak se dar ka fasla hai aitmaad ka

par loat janey ko yahi takheer hai bhout

Meri aankhon main aanso pighalta raha , chaand jalta raha


Meri aankhon main aanso pighalta raha , chaand jalta raha

Teri yadon ka suraj nikalta raha , chaand jalta raha

Yeh december keh jis main kari dhoop bhi meethi lagney lagay

tum nahin to december sulagta raha , chaand jalta raha

Jis tarah khwaab meray ho gaye reza reza


Jis tarah khwaab meray ho gaye reza reza

Is tarah se na kabhi na toot ky bikhray koi

Moahabbat main chalo hum bad'gumani chor detay hain


Moahabbat main chalo hum bad'gumani chor detay hain

Kahani aur chero to purani chor detay hain

Kabhi chopaal main ja kar suna detay hain sab qissa

Kabhi hum darmiyaan main hi kahani chor detay hain

Kehna ussay keh pyaas ky dharay udaas hain



Kehna ussay keh pyaas ky dharay udaas hain

Us raat main hain , jitney sitaray udaas hain

Ae kaash ! Koi aankh ka pani uchaal de

Dariya ky paas pyaas ky maray udaas hain

Yeh kis maqaam pe soojhi tujhay bicharney ki


Yeh kis maqaam pe soojhi tujhay bicharney ki

Keh ab to ja kahin din sanwarney wale thay

Haseen kitna ziada ho gaya ha


Haseen kitna ziada ho gaya hai 

Woh jab se aur sada ho gaya hai 

Bicharney ka ussay bhi dukh hai shayed

Keh ab to woh bhi aadha ho gaya hai

Dil-e-pur'shauq ko pehloo main dabaye rakha


Dil-e-pur'shauq ko pehloo main dabaye rakha

Tujh se bhi hum ne tera pyaar chupaye rakha

Janey kis haal main hain kon sy shehron main hian woh

Zindagi apni jinhain hum ne banaye rakha

mujhay kuch aur kehna tha


Woh kuch sunta to main kehta mujhay kuch aur kehna tha 

Woh pal bhar ko jo ruk jata mujhay kuch aur kehna tha 

Ghalat fehmi ni baton ko barha dala youn hi warna

Kaha kuch tha woh kuch samjha , mujhay kuch aur kehna tha


Kiya zikar us ghari ka kari thi keh sehal thi


Kiya zikar us ghari ka kari thi keh sehal thi

Jo waqat jis tarah bhi guzra , guzar gaya 

Kar ky yaqeen phir se keh main mushkalon main hoon

Tehra nahin woh shakhs dobara guzar gaya

Hawa talash karain , roshni talash karain


Hawa talash karain , roshni talash karain
Hum aas paas kahin zindagi talash karain

Hum apni apni kushi to ganwa chukay hain sab hi
So dosron ki kushi main kushi talaash karain 

Udasion ka sabab dhoondney se kiya ho ga
Jo hum se rooth gayi , woh hansi talaash karain

Gulon ko khilney ki aadat nahin rahi to phir
Labon se lipti hui tazgi talaash karain 

Yahan ky log to apni tarah ky hain Mazhar
Jo apney jaisa na ho , Aadmi talaash karain 

Poet : Muhammad Mazhar Niazi

Thori si kami reh jati hai


Thori si kami reh jati hai

Her kaveeta mukamal hoti hai
Lakin woh kaghaz se qalam par
Jab ati ahi
Thori si kami reh jati hai
Her pareet mukamal hoti hai
LAkin woh gagan se dharti par
JAb ati hai
Thori si kami reh jati hai
Her jeet mukamal hoti hai
Sarhad se woh lakin aangan main 
Jab ati hai
Thori si kami reh jati hai
Phir kaveeta nai 
Phir pareet nai
Phiar jeet nai ... behlati hai
Her baar
Magar lagta hai houn hi
Thori si kami reh jati hai

Gardash-e-waqat azmaati hai


Gardash-e-waqat azmaati hai 
Zindagi rastay dekhati hai

Naam lay kar kisi bahaney se
Ab teri yaad bhi sta'ti hai

Khaan-e-dil main yeh hansi teri 
Ik ajab aag si lagati hai

Hum bura kiya kahain bahaar tujhay
Phool her rang ky khilati hai

Bhool jati hai apney wadon ko
Aur phir pyaar bhi jata'ti hai

Naam leti nahin kabhi mera
Bas meray shaer gun'gunati hai

Sochta hoon zia keh woh larki
Itney ansoo kahan se lati hai

Poet : Ahmed Zia

Umar ki Seeriyan


Umar ki Seeriyan

Haan ! suno dosto
Jo bhi duniya kahay
US ko parkhay bina , maan lena nahin
Sari suniya yeh kehti hai
Parbat pe charnay ki nisbat utarna bhout sehal hai
Kis tarah maan lain 
Tum ne dekha nahin
Sarfrazi ki dhun main koi aadmi
Jab bulandi kay rastay pe chalta hai to
Saans tak theek karney ko rukta nahin 
aur usi shaks ka 
umar ki seehrion se utartay huye 
paon uth'ta nahin 
is liye dosto , jo bhi duniya kahay 
us ko parkhay bin a, maan lena nahin 

Poet : Amjad Islam Amjad

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...