Feb 27, 2014

O be khaber tujhay kiya khabar

Be Khabar

O be khaber tujhay kiya khabar
teri ankhon main kaisa jamal hai

tujhay dekh le jo bas aik nazar
us ke aankhon main phir yeh sawal hai

mujhay neend se kyn jaga diya
mujhay khwab kaisa dekha diya

koi noor hai ya koi hoor hai
ya keh sadge ki misaal hai

teri saans se meri ass hai
tu jo pass hai to yeh saans hai

meri zindage ke tu bheek de
meri zindage ka sawal hai

meri her nazar main basa hai tu
meray her qalam pe likha hai tu

tujhay soch loon to ghazal meri
na likh sakoon to khyal hai

Ujaray huaye logon se guraizan na hua kar

Ujaray huaye logon se guraizan na hua kar
halat ke qanron ke yeh katbay bhe parha kar

kiya janiye kyn tez hawa soch main gum hai
khawabeeda prindon ko darakhton se ura kar

is shaks ko tum se bhe marasm to hon gay
woh jhoot na bolay ga meray samney Aa kar

her waqat ka hansana tujhay barbad na kar de
tanhai ke lamhon main ro bhe liya kar

woh aj sadiyon ke musafat pe khara hai
dhondta tha jisay waqat ke dewar gira kar

Ae dil tujhay dushman ke bhe pehchan kahan hai
tu halq-e-yaraan main bhe mohtat raha kar

is shab ke muqadar main sehar he nahin
dekha hai kai baar chraghoon ko bhujha kar


Apni he dhun main rehte thi

Apni he dhun main rehte thi
aik larki shokh aur chanchal se
pholon se batain karte the
title ke rang pakarte the
ik dhanak the us anchal pe
phir janay kiya toofan aya
title ke rang bikhar gaye
Anchal ke rang utar gaye
jab poocha kisi ne Ae larki
tum ne yeh chup kyn sadhi hai
woh kuch na boli
bas ro de
aur khaak pe hath ke ungli se
ik lafaz 
Mohabbat  likh dala

woh jo hath choonay ko be-adbi samjhta tha


woh jo hath choonay ko 
be-adbi samjhta tha
galay se lag kar roya tha
bicharney se zara pehlay
ajeeb mohabaton ka kalam karta tha
kirchiyan kiya dil ko us ne
bicharney se zara pehlay
kaisi hijar prasti ka Aadi tha
woh shaks lahoo karta gaya mera
bicharney se zara pehlay
pakeeza mohabbat ka bharam to tor dala tha
ruswa kar gaya mujh ko 
bicharney se zara pehlay
bhout dewangee the 
us ke jasd-e-khake main
jala kar rakh kar dala
bicharney se zara pehlay

kaisay guzarte hai meri her aik shaam


kaisay guzarte hai 
meri her aik shaam teray bagair
agar to dekh le
to kabhi tanha na choray mujhay

Itna chaha hai tujhay zara ghour to kar


Itna chaha hai tujhay zara ghour to kar

itni to hamain apni bhe talab na thi

Ussay Keh do Hazaroon pal tumharay bin

Ussay Keh do

Hazaroon pal tumharay bin

na poocho kaisay kattay hain

kabhi yaadain rulati hain

kabhi mousam satatay hain

ussay keh do hum aye hain

humain mayoos mat karna

hamara maan rakh lena

hamain wapis nahin jana

humain dil main basa lena

humain apna bana lena

bhout tarpay huay dil se

bhout rootha  nahin kartay

mohabbat to ibaadat hai

aisay ruswa nahin kartay

zamanay se chupatay hain

kabhi charcha nahin kartay

sanam aisa nahin kartay

sanam aisa nahin kartay

Bin teray her baat adhoori lagti hai


Bin teray her baat adhoori lagti hai
Bin teray her raat adhoori lagti hai

kho jayon main jab teri yadoon main 
mujh ko meri zaat adhoori lagti hai

Mujhay sab qabool hai Ae falak gham-e-yaar mujh se talab na kar

 

Mujhay sab qabool hai Ae falak gham-e-yaar mujh se talab na kar

main ussay kaisay bhula doon jo meri umar bhar ke talash hai

kisi ki khatar qarar khona koi sunay ga to kiya kahay ga

 
kisi ki khatar qarar khona koi sunay ga to kiya kahay ga
ratoon ko youn uth uth kar rona koi sunay ga to kiya kahay ga

beech safar main agar chor jatay to hum par bhe baat na ati
la kar sahil par dabona koi sunay ga to kiya kahay ga

Meray kufra-e-mohabbat pe na kar tanqeed ae saqi

 

 Meray kufra-e-mohabbat pe na kar tanqeed ae saqi

koi to baat dakhi the jo sajda kar liya main

Mera sawan bhe tum ho

Mera sawan bhe tum ho

Meri piyaas bhe tum ho

sehra ke banhoon main chupi aas bhe tum ho

tum youn to bhout door bout door ho mujh se

ehsaas yeh bhe hota hai meray pass bhe tum ho

her zakham ke aghosh main hai 

dard hai tumhara

her dard main taskeen ka ehsaas bhe tum ho

kho jayo to 

veeraan se ho jate hain rahain

mil jayo to phir jeenay ka ehsas bhe tum ho

likhta hoon to tum he utartay ho

qalam se

parhta hoon to lehja bhe tum ho

awaz bhe tum ho


Is main baat he kuch aisi the faraz


Is main baat he kuch aisi thi faraz 

agar dil na datay to jaan chali jati

Bujh gayi aas to koi ujala na raha

 

Bujh gayi aas to koi ujala na raha
shaam ke baad koi loatnay wala nahin raha

bas gaya hai kahin door ja kar woh awara mizaaj 
dar khula rakhnay ka bhe ab koi hawala na raha

Kaha tha na main nazak hoon na tarash mujhay


Kaha tha na main nazak hoon na tarash mujhay

tu ne kar diya hai junoon main pash pash mujhay

mujhay khaber karna jo mera nishaan payo kahin

bhout dino se hai apni talash mujhay

Hum ne dil lagaya tha barshoon ke mousam main

 
 Hum ne dil lagaya tha barshoon ke mousam main 

ik diya jalaya tha barshoon  ke mousam main

kis qadar thay nadaan hum kaghaz ke phoolon se

ik ghar sjaya tha barshoon ke mousam main

Itnay chupkay se meri rooh main samaye ho


Itnay chupkay se meri rooh main samaye ho
keh dil to kiya meri aankhon ko bhe khaber na hui

hum ne yeh socha tha keh umar guzarain ge lakin
teray sath to ik shaam bhe basar na hui

Dil main kisi ke rah kiye ja raha hoon main

Dil main kisi ke rah kiye ja raha hoon main
kitna haseen gunah kiye ja raha hoon main

mujh se lagay hain ishq ki azmat ko chaar chand
khud husan ko gawah kiye ja raha hoon main 

gulshan parast hoon mujhay kaliyan nahin aziz
kantoon se bhe nibah  kiye ja raha hoon main

youn zindage guzaar raha hoon  teray baghair
jaisay koi gunnah kiye ja raha hoon main

mujh se adaa hua hai jiger justagoo ka haq
her zaray ko gawah  kiye ja raha hoon

Poet : Jiger Murad Abadi

Meri dastaan-e-hasrat woh suna suna ke roye


Meri dastaan-e-hasrat woh suna suna ke roye
Mujhay azmaanay walay mujhay azma ke roye

koi aisa ehl-e-dil ho kay fasana-e-mohabbat!! 
main usaay suna ke roaon  woh mujhay suna ke roye

Meri aarzoo ki duniya dil-e-natawan ki hasrat !
Jisay Kho ke shaadmaan thay usay aaj pa ke roye

teri bewafiyon par , teri kaj adiyon par
kabhi sar jhuka ke roye  kabhi munh chupa ke roye

jo sunai anjuman main shab-e-gham ke aap beeti !
kai ro ke muskuraye kai muskura ke roye
Poer : saif-uddien -saif

Angrai bhe woh laney na paye utha ke haath

Angrai  bhe woh laney na paye utha ke haath
dekha jo mujh ko choor diye muskura ke hath

be sakhta nighain jo aapas main mil gayein
kiya munh pe us ne rakh liye aankhain chura ke hath

yeh bhe neya sitam hai hina to lagayien ghair
aur us ke daad chiyain woh mujh ko dekha ke hath

be iktiyaar ho ke jo main paon pe gira !!!
thori ke neechay us ne dhara mukura ke hath

qasid ! teray biyaan se dil aisa thair gaya
goya kisi ne rakh diya seenay pe aa ke hath

dekha jo kuch ruka mujhay tu kis tabaak se
gardam main meri daal diye Aap a ke hath

koochay se teray uthain to phir jayein hum kahan
baithay hain yan to doono jahan se utha ke hath

dena woh is ka sagar mea yaad hai nizaam
munh phair ke udhar ko idhar ko barha ke hath

 Poet: syed Nizaam Rajpoori

Sab main shamil ho magar sab se juda lagte ho


Sab main shamil ho magar sab se juda lagte ho
sirf hum se nahin khud se bhe khafa lagte ho

aankh uthati hai na jukhte hai kisi ke khatar 
saans charte hai na rukhte hai kisi ke khatar

jo kisi dar pe na thehray woh hawa lagte hai 
Zulf lehray to aanchal main chupa late hai

Honth tharayen to dantoon main chupa late hai
Jo kabhi khul ke na barsay woh ghata lagte hai

jagi jagi na nazar aye ho soi soi !!!!!!
tum ho kiya apnay khylat main khoye khoye
kisi mayoos muqadar ki dua lagte ho
 
Poet : sahir Ludihanvi

Na poocho keh insaan kiya chahta hai

 
Na poocho keh insaan kiya chahta hai
samjh lo keh shaitaan kiya chahta hai
 
na jeenay se khush hai na marnay pe razi
bila Aakhir musalmaan kiya chahta hai
 
koi aik armaan koi aik hasrat
yeh dil hum se her aan kiya chahta hai
 
zameen ka to paywand hoon is se aagay
meray dost shaitaan kiya chahta hai
 
samjh main na ayein dana ke batain
na janay yeh nadaan kiya chahta hai
 
hafeez aakhri dard hai ghour kar le
meri jaan emaan kiya chahta hai

Poet: hafeez jalandri

Us ne agar karam bhi kiya to jafa ke baad



Us ne agar karam bhi kiya to jafa ke baad
aya meri khyber ko sitam gar qaza ke baad
hamdard kon sa hai phir is ashna ke baad
hum jee ke kiya karain ge dil-e-mubtala ke baad
Aakhir bashar ke wastay kuch sughal chiya
keejiya ga Aap kiya sitam narawa ke baad ?
hasrat se tak raha hai jo tujh ko sabab yeh hai
khaak uratay dekhta hoon  main apni wafa ke baad
bhagoon illag dard-e-mohabbat se kyn na main 
dain ge tabib zahr-e-yaqeen hai dawa ke baad
aaram kay liya hai tumhain arzoo-e-marg 
ae daag aur jo chaan  na aya fana ke baad

Poet : daagh dehlavi

Hai justagoo keh khoob se hai khoob tar kahan




Hai justagoo keh khoob se hai khoob tar kahan


ab therte hai dekhiya ja kar nazar kahan

ya rab is akhtalat ka anjaam ho bakhair

tha us ko hum se rabt magar is qadar kahan

ik umar chiye keh ghawara ho neesh ishq

dukhi hai aaj lazat-e-zakham jiger kahan

hum jis pe mar rahay hain woh hai baat he kuch aur

aalam main tujh se laakh sahi to magar kahan

hoti nahin qabool dua tark ishq ke

dil chahta na ho to zubaan main asar kahan

hali nishaat-e-naghma may dhoondtay ho ab

aye ho waqat subho rahay raat bhar kahan


Poet: Khwaja Iltaf Hussain Hali
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...