Feb 23, 2017

Alfaaz kay jhootay bandhan main


Yeh ishq mohabbat mehar-o-wafa 

Alfaaz kay jhootay bandhan main 
Aaghaz kay gehray pardon main 
Her shakhs mohabbat karta hai 
Halan'keh mohabbat kuch bhi nahin 
Sab jhootay rishtay naatay hain 
Sab dil rakhnay ki baatein hain 
Kab kon kisi ka hota hai 
Sab asli roop chupatay hain 
Ehsaas se khaali log yahan 
Lafzon kay teer chalatay hain 
Ik baar nazar main aa kay woh 
Phir saari umar rulatay hain 
Yeh ishq mohabbat mehar-o-wafa 
Yeh sab kehnay ki baatein hain 
Her shakhs khudi ki masti main 
Bas apni khatir jeeta hai 

Feb 21, 2017

Rishta torr kay janay walay


Rishta torr kay janay walay 
Mujh ko chor kay janay walay 
Ab ki eid par 
Mujh ko jitnay card milay 
Un cardon main 
Sab se payara 
Sab se acha 
Pehla card tumhara hai 
Mujh ko chor kay janay walay 
Zara kaho tum 
Yeh kis taraf ishara hai ....?

Feb 3, 2017

Yeh haseen shaam apni


Yeh haseen shaam apni
Abhi jis main ghull rahi hai
Teray peh'rahan ki khushbu
Abhi jis main ghull rahay hain
Meray khawab kay shagoofay
Zara dair ka hai manzir
Zara dair main ufaq pe
Khillay ga koi sitara
Teri simat daikh kar woh
Karay ga koi ishara
Teray dil ko aaye ga phir
Kisi yaad ka bulawa
Koi qissa-e-judai
Koi kaar-e-na'mukamal
Koi khawab-e-na'shagufta
Koi baat kehnay wali
Kisi aur aadmi se
Hamein chahiye tha milna
Kisi ehad-e-meharban main
Kisi khawab kay yaqeen main
Kisi aur aasman main
Kisi aur sar'zameen main

Bujha diye hain khud apnay haathon


Bujha diye hain khud apnay haathon 
Mohabbaton kay diye jala kay 
Meri wafa ne ujaar di hain 
Umeed ki bastiyan basa kay 
Tujhay bhulaa dain gay apnay dil se
Yeh faisala to kiya hai lakin 
Na dil ko maloom hai na hum ko 
Jeeyein gay kaisay tujhay bhulaa kay 
Kabhi milein gay jo raastay main 
To munh phair kar palat parein gay 
Kahin sunein gay jo naam tera to 
Chup rahein gay nazar jhukaa kay 
Na sochnay par bhi sochta hoon 
Keh zindgani main kya rahay ga ?
Teri tamana ko dafan kar kay 
Teray khayalon se door jaa kay 



Neend bharri aankhon se ik sapna daikha


Neend bharri aankhon se ik sapna daikha 
Door , bhout door main ne koi apna daikha 

Ussay qadmon ki chaap sunaai deti hai 
Jissay kabhi ik zamanay se nahin daikha 

Woh loat aaye ga iss baat ka yaqeen to tha 
Par kabhi kisi ko itni dair kartay nahin daikha 

Aaj kiyon uss ki aankhein num lagti hain 
Jissay youn kabhi na main ne ashk'baar daikha 


Nahin hai yeh rutt milnay ki woh mousam aur hi ho ga


Nahin hai yeh rutt milnay ki woh mousam aur hi ho ga 
Teray aanay ki gharriyon ka woh aalam aur hi ho ga 

Koi madham mehak aa kar galay ka haar banti hai 
Udasi hijar ki jaisay wisaal-e-yaar banti hai 
Teray phoolon se honton par tabasum aur hi ho ga 

Jahan jis main rafaqat ki khushi mehsoos hoti hai 
Mohabbat jis main her shay da'imi mehsoos hoti hai 
Hamaray haal kay raazon ka mehram aur hi ho ga 


Feb 2, 2017

Din guzar jaata hai , raat guzar jaati hai


Din guzar jaata hai , raat guzar jaati hai 
Par teri yaadein aankhon ki nami ban kar 
Meray dil ki gehraai main kahin 
doob jaati hain 
Kabhi beh jaati hain palkon talay se
Kabhi dil hi main atak jaati hain 
Unn yaadon se daman churaana 
Un yaadon se bhaag jaana 
Meray bas main nahin 
Yeh soch kar 
Meri dharkanein tham jaati hain 
Aarzu'ein sulag jaati hain 
Sabhi raaha'tein seham jaati hain
agar main teri yaadon se 
Rihaai paa bhi loon 
Meri zindagi meri saan'sein jam jati hain 


Dil kisi yaar-e-ba'wafar ki tarah


Dil kisi yaar-e-ba'wafar ki tarah 
Ba'khabar hai bhout khuda ki tarah 
Zindagi bhar tumhara naam meray 
Dil se nikla kisi dua ki tarah 
Main ne her morr pe tujhay dhoonda 
Hijar kay shaher ki hawa ki tarah 
Umar bhar tera dukh uthaya hai 
Waqat ki di hui saza ki tarah 
Kuch nahin soojhta mohabbat main 
Khouf aur gham ki intihaa ki tarah 


Mujh se poochtay kya ho


Baarishon kay mousam main 

Mujh se poochtay kya ho 
Kiyon be'sabab meri aankhein 
Bain kar kay roti hain 
Tum ko to khabar ho gi ....
Baarishon kay mousam main 
Baarishein to hoti hain !!


Hamein dariyaaf karnay se hamein taskheer karnay tak


Hamein dariyaaf karnay se hamein taskheer karnay tak 

Bhout hain marhalay baqi hamein zanjeer karnay tak 


Khamoshi raat ki daikhta hoon aur tujhay sochta hoon


Khamoshi raat ki daikhta hoon aur tujhay sochta hoon 

Mad'hosh aksar ho jata hoon aur tujhay sochta hoon 

Hosh walon main jata hoon to ulajhti hai tabiyat 

So be'hosh para rehta hoon aur tujhay sochta hoon 

Tu mann main meray aa jaa main tujh main samaa jaon 

Adhooray khawab sajota hoon aur tujhay sochta hoon 

Jama'nay lagti hai jab lahu mera furqat ki hawaein 

To shaal qurbat ki oorhta hoon aur tujhay sochta hoon 


Raat khawabon main tujhay daikhna


Raat khawabon main tujhay daikhna 

Din ujaalon main tujhay dhoondna 

Main niklon to bhala kaisay 

Shab-o-roz main phailay teri zaat kay sehar se


Baarish ka mousam hai


Baarish ka mousam hai 
Rooh ki fizaon main 
Gham zada hawaon main 
Be'sabab udasi hai 
Iss ajeeb mousam main 
Be'qaraar raaton ki 
Be'shumaar baaton main 
Un'ginat afsanay hain 
Jo bhout khamoshi se 
Dil par sehtay phirtay hain 
Aur yeh amar majburi hai 
Sab se kehtay phirtay hain 
Aaj mousam bhout acha hai 
Aaj hum bhout khush hain 


Kaisi yeh mohabbat ki shuruaat hui hai


Kaisi yeh mohabbat ki shuruaat hui hai 

Khud mujh se juda aaj meri zaat hui hai 

Jaata hai uss simt mero soch ka dhaara 

Jis shakhs kay haathon se mujhay maat hui hai 

Phoolon ki mohabbat ne mujhay din yeh dikhaaye 

Kaanton ki chubhan shaamil-e-halaat hui hai

Tum kya jano


Tum kya jano 
Aksar lafz bhout zehreelay 
Nagon jaisay ban jatay hain 
Aur aankhon main kirchi kirchi 
Khawabon jaisay ban jatay hain 
Kehnay wala bhool bhi jaye 
Sun'nanay walay kay kaano main 
Angaaray bhar jatay hain 
Tum kya jano 

Tu ne daikha hi nahin manzir meri tanhai ka


Tu ne daikha hi nahin manzir meri tanhai ka 

Ik qayamat hai jo her shaam guzar jaati hai 


Guzar gaye hain bhout din rafaqat-e-shab main


Guzar gaye hain bhout din rafaqat-e-shab main 

Ik umar ho gayi chehra woh chaand sa daikhay 

Teray siwa bhi kai rang khush nazar thay magar 

Jo tujh ko daikh chuka ho woh aur kya daikhay

Meri fitrat ghazal'go hai


Meri fitrat ghazal'go hai
Magar main nazam kehta hoon 
Meri majburiyan mujh ko 
Ghazal kehnay nahin deti
Mera asloob bhi mujh se shikayat karta rehta hai 
Meray ehbaab bhi mujh se shikayat kartay rehtay hain 
Shaher main aisi koi mah'jabeen bhi to nahin rehti 
Ghazal jis par kahi jaye 
"Alaf" sa naak ho jis ka 
To chehra "Noon" jaisa ho 
Haseen aankhein magar woh "Qaaf" kay nuqton jaisi hon 
To gaisu "Laam" jaisay hon 
Woh jis kay azam ki bhi istaqamat bas "Alaf" si ho 
Hon jis kay hont "Bay" jaisay 
Rukh-e-zeba kay khaal-o-khad hijjay hon 
To chehra "inqalaab" uss ka 
Agar tasveer khinch'waye to kaghaz par 
Faqat ik "inqalaab" aaye 

Khiza'on main hota hai imtihaan wafaon ka


Khiza'on main hota hai imtihaan wafaon ka 

Jo shajar ko hon piyaray woh pattay nahin girtay

Mohabbat khawab ki surat


Mohabbat khawab ki surat 

Mohabbat khawab ki surat 
Nigahon main utar'ti hai 
Kisi meh'taab ki surat 
Sitaray aarzu kay 
Kuch is tarah se 
Jag'magatay hain 
Keh pehchani nahin jaati 
Dil-e-be'taab ki surat 
Mohabbat khawaab ki surat 
Mohabbat kay shajar pe
Khawab kay punchi utar'tay hain 
To shaakhein jaag uth'ti hain 
Thakkay haaray sitaray jab 
Zameen se baat kartay hain 
To kab ki muntazir aankhon main 
Sham'mein jaag uth'ti hain 
Mohabbat unn main jalti hai 
Chragh-e-aab ki surat 
Mohabbat khawab ki surat 

Gaye dino ka suraagh lay kar ,kidher se aaya kidher gaya woh


Gaye dino ka suraagh lay kar 
 kidher se aaya kidher gaya woh 

Ajab manoos ajnabi tha
Mujhay to hairaan kar gaya woh 

Khushi ki rutt ho ya gham ka mousam  
Nazar ussay dhoondti hai her dam 

Woh bu-e-gul tha keh naghma-e-jaan  
meray to dil main utar gaya woh 

Bas aik moti si chubbh dikhaa kar 
aik meethi si dhun sunaa kar 

Sitara-e-shaam ban kay aaya 
ba'rang-e-khawab sehar gaya woh 

Kuch ab sambhalnay lagi hai jaan bhi 
 badal chala rang-e-aasman bhi 

Jo raat bhaari thi tal gayi hai 
jo din karra tha guzar gaya woh 

Shakista paa kharra hoon raah main 
gaye dino ko bula raha hoon 

Jo qaafla mera humsafar tha 
ba'misal-e-gard-e-safar gaya woh 

Na ab woh yaadon ka charhata dariya  
na fursaton ki udaas barkha 

Bas zara si kasak hai dil main 
 jo zakham gehra tha bhar gaya woh 

Woh meh'kaday ko jaga'nay wala 
woh raat ki neend uraanay wala 

Yeh kya aaj uss kay jee main aayi
 keh shaam hotay hi ghar gaya woh 

Woh jis kay shaanay pe haath rakh kar 
safar kiya tu ne manzalon ka 

Teri gali se na'janay kiyon aaj 
Sar jhukaa kar guzar gaya woh 

Woh hijar ki raat ka sitara 
Woh hum'nafs hum'sukhan hamara 

Sada rahay naam uss ka piyara 
Suna hai kal raat mar gaya woh 

Woh raat ka be'nawa musafir 
Woh tera shair woh tera nasir 

Teri gali tak to hum ne daikha 
Phir na janay kidher gaya woh 



Sitaray baant'ta hai woh , zia taqseem karta hai


Sitaray baant'ta hai woh , zia taqseem karta hai 
Suna hai habs kay mousam main hawa taqseem karta hai 

Ussi ki apni beti ki hatheli khushk rehti hai 
Jo boorha dhoop main aksar hina taqseem karta hai 

Koi rokay ussay jaa kar sara'sar hai yeh pagal pan 
Jo behron kay mohallay main sada taqseem karta hai 

Ussi se maang tu Mohsin baqi chor de sab ko 
Jo pathar main bhi keeray ko ghizaa taqseem karta hai 

Aur kuch nahin badla


Aur kuch nahin badla 

Aur kuch nahin badla 
Aaj baad muddat kay 
Main ne uss ko daikha hai 
Woh zara nahin badli !

Ab bhi apni aankhon main 
100 sawaal rakhti hai
Choti choti baaton par 
Ab bhi khull kay hansti hai 
Ab bhi us kay lehjay main 
Wohi khan'khana'hat hai 
Woh zara nahin badli !

Ab bhi us ki palkon kay 
Saa'iye geelay rehtay hain 
Ab bhi uss ki sochon main 
Mera naam rehta hai 
Ab bhi meri khatir woh 
Iss tarah hi pagal hai 
Woh zara nahin badli !

Aaj baad muddat kay 
Main ne uss ko daikha hai 
To mujhay bhi lagta hai 
Main bhi uss ki chahat main 
Iss tarah hi pagal hoon 
Baad iti muddat kay 
Aur kuch nahin badla !!
Juz hamaray raaston kay 
Aur kuch nahin badla !


Bichartay lamhay uss ne kaha


Bichartay lamhay 
Us ne kaha 
Jee na paon gi 
Tumharay bin 
Phir aaj muddat baad 
Mehakti hawa
Suna gayi 
Haal us ka 

Feb 1, 2017

Yeh kis ne hum se lahu ka khiraaj phir maanga


Yeh kis ne hum se lahu ka khiraaj phir maanga 

Abhi to soye thay maqtal ko sur'khuru kar kay 


Mohabbat hai hamaray paas



Mohabbat hai hamaray paas

Agar woh baad'shah hota 
To koi baat bhi hoti 
Suna hai baad'shahon ko 
Dain koi aisa nazrana 
Jo sab cheezon se barh kar ho 
to apni baad'shahi tak 
Lut'ta detay hain woh aksar 
Mohabbat hai hamaray paas
Magar woh baad'shah kab hai  


Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...