Jun 25, 2016

Kya yaqeen aur kya gumaan chup reh


Kya yaqeen aur kya gumaan chup reh 
Shaam ka waqat hai miyan , chup reh 

Ho gaya qissa-e-wajood tamaam 
Hai ab aaghaz-e-daastan , chup reh 

Main to pehlay hi jaa chuka hoon kahin 
Tu bhi jaana nahin yaahan , chup reh 

Tu ab aaya hai haal main apnay 
Jab zameen hai na aasman , chup reh 

Tu jahan tha , jahan jahan tha kabhi 
Tu bhi ab to nahin wahan , chup reh 

Zikar chaira Khuda ka phir tu ne 
Yahan hai insaan bhi rai'gaan , chup reh 

Sara soda nikaal de sar se 
Ab nahin koi aastaan , chup reh 

Ehar man ho , Khuda ho , ya aadam 
Ho chuka sab ka imtihaan , chup reh 

Darmiyani hi ab sabhi kuch hai 
Tu nahin apnay darmiyan , chup reh 

Ab koi baat teri baat nahin 
Nahin teri , teri zuban , chup reh 

Hai yahan zikar haal-e-mo'jooda 
Tu hai ab az-gaz'shat'gaan , chup reh 

Hijar ki jaan kani tamaam hui 
Dil hua Jon-e-be'imaan , chup reh 

Jun 14, 2016

Barson kay baad daikha , ik shakhs dil'ruba sa




Barson kay baad daikha , ik shakhs dil'ruba sa
Ab zehan main nahin hai par naam tha bhala sa

Aabru khichay khichay se aankhein jhuki jhuki si 
Baatein ruki ruki si lehja thaka thaka sa 

Alfaaz thay keh jugnu awaz kay safar main 
Ban jaye junglon main jis tarah raasta sa

Khawabon main khawab us kay yaadon main yaad us ki 
Neendon main ghull gaya ho jaisay keh rat'jaga sa

Pehlay bhi log aaye kitnay hi zindagi main 
Woh her tarah se lakin auron se juda sa

Agli mohabbaton ne woh nu'muradiyan dein 
Taza rafaqaton se dil tha dara dara sa

Kuch yeh keh muddaton se hum bhi nahin thay roye 
Kuch zehar main bujha tha ehbaab ka dilaasa 

Phir youn hua keh sawan aakhon main aa basay thay 
Phir youn hua keh jaisay dil bhi tha aabla sa

Ab sach kahein to yaaro hum ko khabar nahin thi 
Ban jaye ga qayamat ik waqiya zara sa 

Taiwar thay be'rukhi kay andaz-e-dosti kay 
Woh ajnabi tha lakin lagta tha aashna sa 

Hum dast thay keh dariya hum zehar thay keh amrat 
Na'haq tha Zoham hum ko jab woh nahin tha payasa

Hum ne bhi us ko daikha kal shaam ita'faaqan 
Apna bhi haal hai ab logo faraz ka sa  

Aazard'gaan-e-shaher ka jaisa bhi haal ho


Aazard'gaan-e-shaher ka jaisa bhi haal ho
Aye yaar-e-khush diyaar  tujhay kiyon malaal ho

Ab baat dosti ki nahin hoslay ki hai
Laazim nahin keh tu bhi mera hum'khayal ho

Khud mera haath jab meri bar'badiyon main tha
Teri jabeen pe kiyon arq-e-in'fa'aal ho

Phir tu ne chairr di hai gayi sama'aton ki baat
Woh guftagoo na kar keh tujhay bhi malaal ho

Meri zarooraton se ziyada karam na kar
Aisa salook kar keh meray hasb-e-haal ho

Toota to hoon magar abhi bikhra nahin Faraz
Meray badan pe jaisay shakiston ka jaal ho


Jun 13, 2016

Sitam gari ka her andaz meharmana laga


Sitam gari ka her andaz meharmana laga 
Main kya karon mera dushman mujhay bura na laga 

Her aik ko zoham tha kis kis ko na'khuda kehtay 
Bhala hua keh safeena kinaray ja na laga 

Meray sukhan ka qareena dao gaya mujh ko 
Keh jis ko haal sunaya ussay fasana laga 

Baroon-e-dar na koi roshni na saya tha 
Sabhi fasaad mujhay androon-e-khana laga 


Main thak gaya tha bhout pay-ba-pay uraano se
Jabhi to daam bhi is baar aashiyana laga 

Sitam kay ehad main , main bhi shareek hoon jaisay 
Mera sakoot mujhay sakhat mujar'mana laga 

Woh laakh zood faramosh ho Faraz magar 
Ussay bhi mujh ko bhulanay main ik zamana laga 




Sehar kay suraj main ro raha hoon


Sehar kay suraj 

Sehar kay suraj 
Main ro raha hoon 
Keh mera mashriq lahu lahu hai 
Woh mera mashriq 
Jo mera bazu hai mera dil hai meri namu hai 
Jo meray atraaf ka nishan 
Meri aabru hai 
Lahu lahu hai 
Sehar kay suraj 
Main nisf tareek 
Nisf roshan hoon 
Kya hua hai 
Tujhay ghunn lag gaya 
Keh mera wajood tukron main batt gaya hai 
Teri shua'on ka noor andheron main ghatt gaya hai 
Keh aaj her rishta-e-rafaqat hi katt gaya hai 

Sehar kay suraj 
Main apnay paikar ki nisf tasveer ho gaya hoon 
Main aap hi aaj apni tehqeer ho gaya hoon 
Main ism-e-sagheer ho gaya hoon 
Main apna aadha badan liye kis taraf ko jaon 
Kissay dikhaon 
Yeh sheesha-e-jaan ki kirchiyan 
Apnay khawab rezay kahan chupa'on 
Main apni wahiddat kahan se laon 

Sehar kay suraj 
Sitam ki aandhi rukay 
To main yeh ujaar aankhein jhapak sakon ga 
Sis'sak sakon ga 
Lahu ki baarish thamay 
To main is dukhi badan ko thapak sakon ga 
Abhi to main jaan'kani kay dohray azaab main hoon 
Jo bujh chukay woh chragh daikhon 

Keh apnay maathay ka dagh daikhon 


Sehar kay suraj 
Meri nazar main to in rafeeqon kay qaaflay hain 
Jo ghar se niklay thay sar uthaye qadam jamaye 
Jo muntazir thay 
Keh rizam gaah-e-talab bulaye 
Jo aazmaish ki her gharri main 
Yaqeen ki mish'alein jalaye 
Watan ki na'moos kay liye 
Be'shumaar bazu ilam uthaye  
Rawan huye thay yeh ehad kar kay 
Keh in ki jaanein rahein , keh jayein 
Magar wafa par na harf aaye 

Sehar kay suraj 
Meri nazar main in hi rafeeqon kay qaaflay hain 
Keh jin ka pindaar reza reza 
Keh jin kay maathay arq arq hain 
Jo pa'zanjeer 
Munfa'ilgardanein jhukaye 
Adu kay narghay main 
In andheron ki sar'zameen ki taraf rawan hain 
Jahan haqarat kay ta'an 
Nafrat kay sang 
Ruswaiyon kay bazar 
Muntazir hain 

Sehar kay suraj 
Yeh main na daikhon 
Yeh tu na daikhay 
Yeh jaan'nisaron , shaheed yaron ka cham'chamata lahu na daikhay 
Yeh main na daikhon 
Yeh tu na daikhay 

Her tamashai faqat sahil se manzir daikhta


Her tamashai faqat sahil se manzir daikhta 
Kon dariya ko ulat'ta kon gohar daikhta 

Woh to duniya ko meri dewangi khush aa gayi 
Teray hathon mian wagarna pehla pathar daikhta 

Aankh main aansu jarray thay par sada tujh ko na di 
Is tawaqo par keh shayed tu palat kar daikhta 

Meri qismat ki lakeerain meray hathon main na thein 
Teray maathay par koi mera muqaddar daikhta 

Zindagi phaili hui thi shaam-e-hijran ki tarah 
Kis ko itna hosla tha kon jee kar daikhta 

Doobnay wala tha aur sahil pe chehron ka hajoom 
Pal ki mohlat thi main kis ko aankh bhar kar daikhta 

Tu bhi dil ko ik lahu ki boond samjha hai Faraz 
Aankh agar hoti to qatray main samandar daikhta  

Tujh se bichar kay hum bhi muqaddar kay ho gaye



Tujh se bichar kay hum bhi muqaddar kay ho gaye 
Phir jo bhi dar mila hai , usi dar kay ho gaye

Phir youn hua keh ghair ko dil se laga liya 
Andar woh nafratein thein keh baahir kay ho agye 

Kya log thay keh jaan se barh kar aziz thay 
Ab dil se mehav naam bhi aksar ho gaye 

Aye yaad-e-yaar tujh se karein kya shikayatein 
Ae dard-e-hijar hum bhi to pathar kay ho gaye 

Samjha rahay thay mujh ko sabhi naas'haan-e-shaher 
Phir rafta rafta khud usi kaafir kay ho gaye 

Ab kay na intizaar karein chara'gar ka hum
Ab kay gaye to ku-e-sitam'gar kay ho gaye 

Rotay ho ik jazeerah-e-jaan ko Faraz tum 
Daikho to kitnay shaher samandar kay ho gaye   

Jun 12, 2016

Kaha tha kis ne keh ehad-e-wafa karo us se


Kaha tha kis ne keh ehad-e-wafa karo us se 
Jo youn kiya hai to phir kiyon gila karo us se 

Naseeb phir koi taqreeb-e-qarb ho keh na ho 
Jo dil main hon wohi baatein kaha karo us se 

Yeh ehal-e-bazam tanak hosla sahi phir bhi 
Zara fasana-e-dil ibtidaa karo us se 

Yeh kya keh tum hi gham-e-hijar kay fasanay kaho 
Kabhi to is kay bahanay suna karo us se 

Faraz tark-e-taluq to khair kya ho ga !!
Yeh hi bhout hai keh kam kam mila karo us se  

Dil garifta hi sahi bazam saja li jaye


Dil garifta hi sahi bazam saja li jaye 
Yaad-e-jaana se koi shaam na khaali jaye 

Rafta rafta yahi zindaan main badal jatay hain 
Ab kisi shaher ki buniyaad na daali jaye 

Mushaf-e-rukh hai kisi ka keh biyaaz-e-hafiz 
Aisay chehray se kabhi faal nikaali jaye 

Woh murawat se mila hai to jhuka doon gardan 
Meray dushman ka koi waar na khaali jaye 

Be'nawa shaher ka saya hai meray dil pe Faraz 
Kis tarah se meri Aashafta khayali jaye 

Shagufta dil hain keh gham bhi Ataa bahar ki hai


Shagufta dil hain keh gham bhi Ataa bahar ki hai 
Gul-e-habaab hain sar main hawa bahar ki hai 

Hajoom-e-jalwa-e-gul par nazar na rakh keh yahan 
Jarahaton kay chaman par rida bahar ki hai 

Koi to lala-e-kho'nain-e-kafan se bhi poochay 
Yeh fasal chaak-e-jiger ki hai ya bahar ki hai 

Main tera naam na loon phir bhi log peh'chanain 
Keh aap apna ta'aruf hawa bahar ki hai 

Shumaar zakham abhi se faraz kya karna 
Abhi to jaan meri ibtidaa bahar ki hai 

Abar-e-bahar ab kay bhi barsa parray parray


Abar-e-bahar ab kay bhi barsa parray parray 
Gulshan ujaar ujaar hain  jungle harray harray 

Janay yeh tishnagi hai hawas hai keh khud'kushi 
Jaltay hain shaam hi se jo saghar bharray bharray 

Hai dil ki mout ehad-e-wafa ki shakistagi 
Phir bhi jo koi tark mohabbat karay karay 

Ab apna dil bhi shaher-e-khamoshan se kam nahin 
Sun ho gaye hain kaan sada par dharray dharray 

Rehtay hain ehal-e-shaher kay saa'iye se door door 
Hum aahu in dasht ki surat darray darray 

Gul ban kay phoot'ta hai lahu shaakh'saar se 
Zakham rag-e-bahar hain pattay harray harray 

Zinda dilaan-e-shaher ko kya ho gaya Faraz
Aankhein bujhi bujhi hain to chehray marray marray 

Ab kis ka jashan manatay ho !


Ab kis ka jashan manatay ho !

Ab kis ka jashan manatay ho 
Us dais ka jo taqseem hua 
Ab kis ka geet sunatay ho 
Us tann mann ka jo do neem hua 
Us khawab ka jo reza reza 
In aankhon ki taqdeer hua 
US naam ka jo tukray tukray 
Galiyon main be'touqeer hua 

Us parcham ka jis ki hurmat 
Bazaron main neelaam hui 
Us matti ka jis ki hurmat 
Mansoob adu  kay naam hui 

Us jang ka jo tum haar chukay 
Us rasam ka jo jaari bhi nahin 
Us zakham ka jo seenay pe na tha 
Us jaan ka jo wari bhi nahin 

Us khoon ka jo bad'qismat tha 
Rahon main bahaya tann main raha 
US phool ka jo be'qeemat tha 
Aangan main khilaya ban main raha 

Us mashriq ka jsi ka tum ne 
Nezay ki anni marham samjha 
Us maghrib ka jis ko tum ne 
Jitna bhi loota kam samjha 

Un masoomon ka jin kay lahu 
Se tum ne farozan raatein kein 
Ya un mazlumon ka jin se
Khanjar ki zuban main batein kein 

Us mariyam ka jsi ki iffat 
Lut'ti hai bharray bazaron main 
Us Esa ka jo qatil hai 
Aur shamil hai gham khawaron main 

Un noha garon ka jinhon ne hamein 
Khud qatil kiya khud rotay hain 
Aisay bhi kahin dam'saaz huye 
Aisay jalaad bhi hotay hain 

Un bhookay nangay dhanchon ka 
Jo raqs sar-e-bazar karein 
Ya un zalim qaza'qon ka 
Jo bhais badal kar waar karein 

Ya un jhootay iqra'ron ka 
Jo aaj talak eefa na huye 
Ya un be'bas la'charon ka 
Jo aur bhi dukh ka nishana huye 

Us shahi ka jo dast-ba-dast
ayi hai tumharay hissay main 
Kiyon nang-e-watan ki baat karo
Kya rakha hai is qissay main 

Aankhon main chupaye ashkon ko 
Honton pe wafa kay bol liye 
Us jashan main , main bhi shamil hoon 
Nohon se bharra kash'kol liye     



Sab log liye sang-e-malamat nikal aaye


Sab log liye sang-e-malamat nikal aaye 
Kis shaher main hum ehal-e-mohabbat nikal aaye 

Ab dil ki tamana hai to aye kaash yahi ho 
Aansu ki jaga aankh se hasrat nikal aaye

Her ghar ka diya gul na karo tum keh na'janay 
Kis baam se khurasheed-e-qayamat nikal aaye 

Jo dar pe pindaar hain un qatal gahon se
Jaan de kay bhi samjho keh salamat nikal aaye 

Ae hum'nafso kuch to kaho ehad-e-sitam ki 
Ik harf se mumkin hai hikayat nikal aaye 

Yaro mujhay masloob karo tum keh meray baad 
Shayed keh tumhara qad-o-qaamat nikal aaye 


Suna to hai keh nigar-e-bahar raah main hai


Suna to hai keh nigar-e-bahar raah main hai 
Safar ba'khair keh dushman hazar raah main hai 

Guzar bhi jaa gham-e-jaan-o-gham-e-jahan se keh yeh 
Woh manzil'ain keh jin ka shumaar raah main hai 

Tameez-e-rehbar-o-rah'zan abhi nahin mumkin 
Zara thehar keh bala ka ghubaar raah main hai 

Garoh-e-kaj'kalan ko koi khabar to karay 
Abhi hajoom sar-e-raah'guzaar raah main hai 

Na janay kab ka ponchbhi chuka sar-e-manzil 
Woh shakhs jis ka hamein intizaar raah main hai 

Faraz agarcha karri hai zameen aatish ki 
" Hazaar haa shajar-e-saya'daar raah main hai "

Jun 11, 2016

Mat socho


Mat socho !

Aur us ne 
Meray saghar main 
May surkh undaily _____to kaha 
Mat socho !

Tum yahan aaye ho 
Is mulk kay is shaher kay 
Is hujla-e-taskeen main jahan 
Sab kay sab raqs-e-kinaan 
Naghma-e-bulb
Mast ada mat socho 
Jaagti raat 
Kay chehray pe hai khushbu ki rida 
Mat socho

Tum bhi kya log ho 
Pardais bhi aatay ho 
To le aatay hain 
Beemaar shab-o-roz-o-dil afgaar 
Azizaan-e-watan ki yaadein 
Apni zoleeda-o-boseeda qameezon ki tarah 
Jin kay dhabon ko to khud'kaar machin'ein bhi nahin dho sakti 
Yeh jo zangaar hain ghurbat kay 
Khud azaarjo tareekiyan zehno ki hain 
Ala'ishein jismon ki hain 
Is tarah sambhalay huye phirtay ho 
Keh jaisay yeh tumharay dil-o-jaan hon 
Is gharri tum ho jahan 
Mumlikat-e-khawab nahin 
Yahan kisi soch ka gardaab nahin 
Zindagi may ki tarah 
Shokh hai taraar nahin
Zehar ab nahin 
Apnay kash'kol ko dehleez pe rakh ayo 
Keh dar'youza gari 
Is jaga shamil-e-Aadaab nahin 
Mat socho ! 

Jo bhi daroon-e-dil hai woh baahir na aaye ga


Jo bhi daroon-e-dil hai woh baahir na aaye ga 
Ab aagahi ka zehar zuban par na aaye ga 

Ab kay bichar kay us ki nadamat thi is qadar 
Jee chahata bhi ho to palat kar na aaye ga 

Youn phir raha hai kaanch ka paikar liye huye 
Ghafil ko yeh guman hai keh pathar na aye ga 

Phir bo raha hoon aaj un hi sahilon pe phool 
Phir jaisay moj main yeh samnadar na aaye ga 

Main jaan bulb hoon tark-e-taluq kay zehar se 
Woh mut'ma'ein  kh harf to us par na aaye ga 


Jo ranjishein thein jo dil main ghubaar tha na gaya


Jo ranjishein thein jo dil main ghubaar tha na gaya 
Keh ab ki baar galay mil kay bhi gila na gaya 

Ab us kay wada-e-farda ko bhi tarastay hain 
Kal us ki baat pe kiyon Aaitabar aa na gaya 

Ab us kay hijar main ro'ein na wasal main khush hon 
Woh dost ho bhi to samjho keh dostana gaya 

Nigah-e-yaar ka kya hai hui hui na hui 
Yeh dil ka dard hai payaray gaya gaya na gaya 

Sabhi ko jaan thi payari sabhi thay lab basta 
Bas ik faraz tha zaalim se chup raha na gaya 

Youn to pehlay bhi huye us se kai baar juda


Youn to pehlay bhi huye us se kai baar juda 
Lakin ab kay nazar aatay hain kuch Aasaar juda 

Gar gham-e-sood-e-ziyan hai to tehar ja aye jaan 
Keh usi morr pe yaron se huye yaar juda 

Do gharri us se raho door to youn lagta hai 
Jis tarah saya-e-dewaar se dewaar juda 

Yeh judai ki gharri hai keh jharri sawan ki 
" main juda gar yeh kinaan , abar juda , yaar juda "

Kaj'kalahon se kahay kon keh aye be'khabro 
Toq-e-gardan se nahin , tur'rah-e-dastaar juda 

Is qadar roop hain yaaron kay , keh khouf aata hai 
Sar-e-meh'khana juda aur sar-e-darbaar juda 

Ku-e-jaana main bhi khaasa tha Tar'madaar Faraz 
Lakin us shakhs ki saj dhaj thi sar-e-daar juda 

Khawab martay nahin


Khawab martay nahin 

Khawab martay nahin 
Khawab dil hain , na aankhein , na sa'atein keh jo 
Reza reza huye to bikhar jayein gay 
Jisam ki mout se yeh bhi mar jayein gay 
Khawab martay nahin 
Khawab to roshni hain , nawa hain , hawa hain 
Jo kaalay paharon se ruktay nahin 
Zulam kay dozakhon se bhi pukhtay nahin 
Roshni aur nawa aur hawa kay alm 
Maqtalon main ponch kar bhi jhuktay nahin 
Khawab to harf hain 
Khawab to noor hain 
Khawab suqraat hain 
Khawab mansoor hain 


Ab kay rutt badli to khushbu ka safar daikhay ga kon


Ab kay rutt badli to khushbu ka safar daikhay ga kon 
Zakham phoolon ki tarah mehkein gay par daikhay ga kon 

Daikhna sab raqs-e-bismal main magan ho jayein gay 
Jis taraf se teer aaye ga udhar daikhay ga kon 

Zakham jitnay bhi thay sab mansoob qaatil se huye 
Teray haathon kay nishan ae chara gar daikhay ga kon 

Woh hawas ho ya wafa ho baat mehroomi ki hai 
Log to phal phool daikhein gay shajar daikhay ga kon

Meri awazon kay saaye meray baam-o-dar pe hain 
Meray lafzon main utar kar mera ghar daikhay ga kon 

Hum chragh-e-shab hi jab thehray to phir kya sochna 
Raat thi kis ka muqadar aur sehar daikhay ga kon 

Aa faseel-e-shaher se daikhein ghaneem-e-shaher ko 
Shaher jalta ho to tujh ko baam par daikhay ga kon 

Her koi apni hawa main mast phirta hai Faraz 
Shaher-e-na'pursan main teri chasham-e-tar daikhay ga kon 

Ae Khuda jo bhi mujhay pand-e-shakeebai de


Ae Khuda jo bhi mujhay pand-e-shakeebai de 
Us ki aankhon ko meray zakham ki gehraai de 

Teray logon se gila hai meray aaino ko 
In ko pathar nahin deta to beenai de 

Jis kay eema pe kiya tark-e-taluq sab se
Ab wohi shakhs mujhay tahna-e-tanhai de 

Yeh dehan zakham ki surat hai meray chehray par 
Ya meray zakham ko bhar , ya mujhay go'yaai de 

Itna be'sarfa na jaye meray ghar ka jalna 
Chasham-e-giriyan na sahi chasham-e-tamashai de

Jin ko pay'rahan-e-toqeer-o-sharf bakhsha hai 
Woh bar'hana hain unhein khil'at-e-ruswai de 

Kya khabar tujh ko keh kis wazah ka bismal hai Faraz
Woh to qaatil ko bhi ilzaam-e-maseehai  de 

Ab kay tajdeed-e-wafa ka nahin imkaan jaana


Ab kay tajdeed-e-wafa ka nahin imkaan jaana
Yaad tujh ko kiya dilayein tera paymaan jaana

yun he mosam ke ada dekh kar yaad aya hai
kis qadar jald badal jatay hain insaan jaana

Zindage teri ata the so terey naam ki
Hum ne jaisay bhe basar ki tera ehsaan jaana

Dil yeh kehta hai shyed ho afsurda tu bhi
Dil ki kiya baat karain dil to hai nadan jaana

.......Kaaf......

Awal awal ki mohabbat kay nashay yaad to kar 
Bay'pee'ay bhi tera chehra tha gulistan jaana

Aakhir aakhir to yeh aalam hai keh ab hosh nahin 
Rag-e-meena sulag uthi thi keh rag-e-jaan jaana

Mud'daton se yahi aalam na tawaqo na umeed 
Dil pukaray hi chala jata hai jaana jaana

Hum bhi kya sada thay hum ne bhi samjh rakha tha 
Gham-e-doran se juda hai gham-e-jaana jaana

Ab kay kuch aisi saji mehfil-e-yaaran jaana
Sar-ba'zano hai koi sar-ba'giribaan jaana

Her koi apni hi awaaz se kaamp uth'ta hai 
Her koi apnay hi saa'iye se ha'rasan jaana

Jis ko daikho wohi zanjeer bap'pa lagta hai 
Shaher ka shaher hua daakhil-e-zindaan jaana

Ab tera zikar bhi shayed hi ghazal main aaye 
Aur se aur huye dard kay unwaan jaana 

Hum keh roothi hui rutt ko bhi manaa letay thay 
Hum ne daikha hi na tha mousam-e-hijraan jaana 

Hosh aaya to sabhi khawab thay reza reza
Jaisay urrtay huye auraaq-e-parishan jaana

Yeh meri ghazlein , yeh meri nazamein tamam teri hikayatein hain


Yeh meri ghazlein , yeh meri nazamein 

Yeh meri ghazlein , yeh meri nazamein 
Tamam teri hikayatein hain 
Yeh tazkaray teray lutf kay hain 
Yeh shair teri shikayatein hain 
Main sab teri nazar kar raha hoon 
Yeh un zamano ki sa'atein hain 

Jo zindagi kay naye safar main 
Tujhay kisi waqat yaad ayein 
To aik ik harf jee uthay ga 
Pehan kay infaas ki qabaein 
Udaas tanhaiyon kay lamhon 
Main naach uthain gi yeh apsara'ein 

Mujhay teray dard kay ilawa bhi 
Aur dukh thay yeh maanta hoon 
Hazar gham thay jo zindagi ki 
Talash main thay yeh jaanta hoon 
Mujhay khabar thi keh teray aanchal main 
Dard ki rait chhaanta hoon 

Magar her ik baar tujh ko chu kar 
Yeh rait rang-e-hina bani hai 
Yeh zakham gulzaar ban gaye hain 
Yeh aah-e-sozan ghat'ta bani hai 
Yeh dard moj-e-saba hua hai 
Yeh aag dil ki sada bani hai 

Aur ab yeh sari mata-e-hasti 
Yeh phool yeh zakham sab teray hain 
Yeh dukh kay nohay yeh sukh kay naghmay 
Jo kal meray thay woh ab teray hain 
Jo teri qurbar teri judai 
Main kat gaye roz-o-shab teray hain 

Woh tera shair tera mughni 
Woh jis ki baatein ajeeb si thein 
Woh jis kay andaaz khusar'wana thay 
Aur ada'ein ghreeb si thein 
Woh jis ki jeenay ki khawaishein bhi 
Khud us kay apnay naseeb si thein 

Na pooch us ka keh woh dewana 
Bhout dino ka ujjar chuka hai
Woh koh'kan to nahin tha lakin 
Karri chitano se larr chuka hai 
Woh thak chuka tha aur us ka taisha 
Usi kay seenay main garr chuka hai 

Jun 10, 2016

Chalo aik baar phir se ajnabi ban jayein hum dono




Khoobsurat morr

Chalo aik baar phir se ajnabi ban jayein hum dono 
Na main tum se koi umeed rakhon dil'nawazi ki 
Na tum meri taraf daikho ghalt andaaz nazron se
Na meray dil ki dharkan larr'kharaye teri baton se
Na zahir ho tumhari kash'ma'kash ka raaz nazron se
Tumhein bhi koi uljhan rokti hai paish qadmi se 
Mujhay bhi log kehtay hain keh yeh jalway par'raiye hain 
Meray hum'raah bhi ruswaiyan hain meray mazi ki 
Tumharay saath bhi guzri hui  raaton kay saye hain 
Ta'aruf rog ho jaye to is ka bhoolna behtar 
Taluq bojh ban jaye to is ka torna acha 
Woh afsana jissay anjaam tak laana na ho mumkin 
Ussay aik khoobsurat morr de kar chorna acha 
Chalo aik baar phir se ajnabi ban jayein hum dono 

Fiza'ein soch rahi hain keh ibn-e-adam ne


Fiza'ein soch rahi hain keh ibn-e-adam ne 
Khird ganwa kay junoon aazma kay kya paya 

Wohi shakist-e-tamana wohi gham-e-ayaam 
Nigaar-e-zeest ne sab kuch luta kay kya paya 


Faraib-e-jannat farda kay jaal toot gaye


Faraib-e-jannat farda kay jaal toot gaye 
Hayat apni umeedon pe sharam'saar si hai 

Chaman main jashan-e-darood-e-bahar ho bhi chuka 
Magar nigah-e-gul-o-lala so'gawar si hai 

Fiza main garam bagulon ka raqs jaari hai


Fiza main garam bagulon ka raqs jaari hai 
Ufaq pe khoon ki meena chalak rahi hai abhi 

Kahan ka mehar munawar , kahan ki tanveer'ein 
Keh baam-o-dar pe siyahi jhalak rahi hai abhi 

Umar bhar reengtay rehnay se kahin behtar hai


Umar bhar reengtay rehnay se kahin behtar hai 
Aik lamha jo teri rooh main wusat bhar de 

Aik lamha jo teray geet ko shokhi de day 
Aik lamha jo teri lay main mussarat bhar de 

Zakham khurda hain takhyul ki uranein teri


Zakham khurda hain takhyul ki uranein teri 
Teray geeton main teri rooh kay gahm paltay hain 

Sar'mageen aankhon main youn hasratein lo deti hain 
Jaisay veeran mizaron pe diye jaltay hain 

Teray nazuk se paron par yeh zar-o-seem ka bojh


Teray nazuk se paron par yeh zar-o-seem ka bojh 
Teri parwaz ko azaad na honay de ga 

Tu ne rahat ki tamana main jo gham pala hai 
Woh teri rooh ko abaad na honay de ga 

Ae tarb zaar-e-jawani ki parishan titli


Ae tarb zaar-e-jawani ki parishan titli 
Tu bhi ik bu-e-giraftaar hai maloom na tha 

Teray jalwon main baharein nazar ati thein mujhay 
Tu sitam khurda-e-adbaar hai maloom na tha 

Main ne jis waqat tujhay pehlay pehal daikha tha


Main ne jis waqat tujhay pehlay pehal daikha tha 
Tu jawani ka koi khawab nazar aayi thi 

Husan ka naghma-e-javed hui thi maloom 
Ishq ka jazba-e-be'taab nazar aayi thi 

Jun 9, 2016

Meri dar'manda jawani ki tamana'on kay


Meri dar'manda jawani ki tamana'on kay 
Muz'mahil khawab ki tabeer bata de mujh ko 

Teray daman main gulistan bhi hain veeranay bhi 
Mera hasil , meri taqdeer bata de mujh ko 

Kon janay meray amroz ka farda kya hai


Kon janay meray amroz ka farda kya hai 
Qurbatein barh kay pash-e-maan bhi hi jati hain 

Dil kay daman se lipat'ti hui rangeen nazrein 
Daikhtay daikhtay anjaan bhi ho jati hain 

Tera andaz-e-karam aik haqeeqat hai magar


Tera andaz-e-karam aik haqeeqat hai magar 
Yeh haqeeqat bhi haqeeqat ka fasana hi na ho 

Teri manoos nigahon ka yeh motaat payam 
Dil kay khoon karnay ka aik aur bahana hi na ho 


Teray hathon ki hararat teray sanson ki mehak


Teray hathon ki hararat teray sanson ki mehak 
Tairati rehti hai ehsaas ki pinhaai main 

Dhoondti rehti hain takhiyul ki baanhein tujh ko 
Sard raton ki sulagti hui tanhai main 

Tu kisi aur kay daman ki kali hai lakin


Tu kisi aur kay daman ki kali hai lakin 
Meri raatein teri khushbu se basi rehti hain 

Tu kahin bhi ho teray phool se aariz ki qasam 
Teri palkein , mei aankhon main jhuki rehti hain 

Pyar par bas to nahin hai mera lakin phir bhi


Pyar par bas to nahin hai mera lakin phir bhi 
Tu bata de keh tujhay pyar karon ya na karon 

Tu ne khud apnay tabasam se jagaya hai jinhein 
In tamana'on ka izhaar karon ya na karon 

Meri ujri hui neendon kay shabistano main



Meri ujri hui neendon kay shabistano main 
Tu kisi khawab kay paikar ki tarah aayi hai 

Kabhi apni si , kabhi ghair nazar aayi hai 
Kabhi ikhlaas ki moorat kabhi harjaai hai 


Meray khawabon kay jharokon ko sajanay wali


Meray khawabon kay jharokon ko sajanay wali 
Teray khwabon main kahin mera guzar hai keh nahin 

Pooch kar apni nigahon se bata de mujh ko 
Meri raton kay muqaddar main sehar hai keh nahin 

Chaar din ki yeh rafaqat , jo rafaqat bhi nahin 
Umar bhar kay liye Azaar hui jati hai 

Zinfagi youn to hamesha se parishan si thi 
Ab to her saans garaan baar hui jati hai 


Main ne her chand gham-e-ishq ko khona chaha


Main ne her chand gham-e-ishq ko khona chaha 
Gham-e-ulfat gham-e-duniya main samona chaha 

Wohi afsanay meri simat rawan hain ab tak 
Woh sholay meray seenay main nihan hain ab tak 

Wohi be'sood khalish hai meray seenay main hanooz
Wohi be'kaar tamana'ein jawan hain ab tak 

Woh hi gaisu meri raaton pe hain bikhray bikhray 
Wohi aankhein meri janib nigran hain ab tak 

Kasrat-e-gham bhi meray gahm ka madawa na hui 
Meray be'chain khayalon ko sakon mil na saka 

Dil ne duniya kay her aik dard ko apna to liya 
Muz'mahil rooh ko andaz-e-junoon mil na saka 

Meri takhiyul ka sheeraza barham hai wohi 
Meray bujhtay huye ehsaas ka aalam hai wohi 

Wohi be'jaan iraday wohi be'rang sawal 
Wohi be'rooh kasha'kash wohi be'chain khayal 

Aah isi kash mukash subha-o-masa ka anjaam 
Main bhi na'kaam meri saa'ei amal bhi na'kaam 

Taaj teray liye aik mazhar ulfat hi sahi


Taaj teray liye aik mazhar ulfat hi sahi 
Tujh ko is wadi-e-rangeen se aqeedat hi sahi 
Meray mehboob kahin aur mila kar mujh se 

Bazam-e-shahi main ghareebon ka guzar kya mahni 
Sibat jis raah main hon satoot-e-shahi kay nishan 
Us par ulfat bharri roohon ka safar kya mahni 

Meray mehboob pas-e-parda tasheer-e-wafa 
Tu ne satoot kay nishano ko to daikha hota 
Murda shahon kay muqabar se behalnay walay 
Apnay tareek makano ko to daikha hota 

Un'ginat logon ne duniya main mohabbat ki hai 
Kon kehta hai keh sadaq na thay jazbay un kay 
Lakin un kay liye tasheer ka saman nahin 
Kiyon woh log bhi apni hi tarah muflis thay 

Yeh imaraat-o-maqabar yeh faseelein yeh hisaar
Mutlaq-ul-hukam shehinshah'on ki azmat kay satoon 
Seena dhar kay na'soor hain kehna na'soor
Jazb hai in main teray meray ajdaad ka khoon 

Meri mehboob ! unhein bhi to mohabbat ho gi 
Jin ki sa'naahi ne bakhshi hai ussay shakal-e-jameel 
Un kay payaron kay maqabar rahay be'naam-o-namood
Aaj tak un par jalaai na kisi ne qandeel 

Yeh chaman zaar yeh jamna k akinara , yeh mehal 
Yeh munqish dar-o-dewaar yeh mehraab yeh taaq
Ik shehinshah ne doulat ka sahara lay kar 
Hum ghareebon ki mohabbat ka uraya hai mazaq
Meri mehboob ! kahin aur mila kar mujh se 


Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...