Feb 25, 2014

onchay parbat neelay sagar pagal barish tum or main



onchay parbat neelay sagar
pagal barish tum or main

mehndi khushbo kajal anchal
band hatheli tum or main

door kehin barish main bheegi
pehli sarsoon tum or main

jab tu cheray zulfain meri
chandan khushbo tum or main

jangal main koi chota sa ghar
matti chulha tum or main

har rah har soo pehli khushbo
barish badal tum or main

kanda tera or sir mera
pagal c chup tum or main

kalay badal rim jim barish
neelay anchal tum or main

pas kisi koyal ki ku ku
gehra janga tum or main

onchay onchay ghane ganeray
bolte patay tum or main

Abi is taraf na nigah kar


Abi is taraf na nigah kar
main ghazal ki palkein sanwaar loon

Mera lafz lafz ho aaina
tujhe aainey me utaar loon

main tamam din ka thaka hua
tu tamam shab ka jaga hua

Zara theher ja isi mor par
tere sath shaam guzaar loon

agar aasman ki numaishon me
mujhe bhi izn-e-qayam ho 

To main motiyon ki dukaan se
tera chehra or nikhaar loon

kuch ajnabi tere sheher k
mere paas se u guzar gaye

Unhe dekh kr ye tarap hui
tera naam le k pukaar loon

Majboorion k dour me jaan se aziz log.....


   Majboorion k dour me jaan se aziz log

Bewafa na b hon badal zaroor jate hain

Hum apni bheegi hoi january ki shoorwat



Hum apni bheegi hoi january ki shoorwat

Tery bhakshy howy azab-e-tanhai sey karty hai

wo dil hi kiya tere milney ki jo dua na kare

 
woh dil hi kiya tere milney ki jo dua na kare
mai tujhe ko bhool ke zinda rahon khuda na kare 

rahegaa sath tera pyaar zindage ban kar 
yeh aur baat meri zindagi wafa na kare 

ye theek hai nahin marta koi judai main 
khuda kisi se kisi ko magar juda na kare 
 
Agar wafa pe bharosa rahe na duniya ko 
To koi shakhs mohabbat ka hosla n akare  
 
 suna hai us ko mohabbat duaein deti hai 
jo dil pe chot to khaaye magar gila na kare 
 
Bhujha dia hai naseebon ne mere pyaar ka chaand 
Koi dia meri palkon pe ab jala na kare 
 
 zamanaa dekh chukaa hai parakh chuka hai use 
qateel jaan se jaaye par iltaja na kare

Na kisi ki aankh ka noor hoon





Na kisi ki aankh ka noor hoon
na kisi ke dil ka karar hoon

Jo kisi ke kaam na aa sake
main woh ek musth-e-gubaar hoon

Mera rang roop bigar gaya
mera yaar muhjse bichar gaya

Jo chaman khizaan se ujar gaya
main usi ki faasl-e-bahar hoon

Na kisi ki aankh ka noor hoon
na kisi ke dil ka karar hoon

Main kahan rahoon main khahan basu
na yeh mujhse khush na woh mujhse khush

Main zamin ki peet ka boj hoon
main falak ke dil ka gubaar hoon

Na kisi ki aankh ka noor hoon
pade faatiha koyi aaye kyon

Koyi chaar phool charhaye kyon
koyi aa ke shama jhalaye kyon

Main woh be-kasi ka mazaar hoon
na kisi ki aankh ka noor hoon

Na kisi ke dil ka karar hoon
jo kisi ke kaam na aa sake

Main woh ek musth-e-gubaar hoon
na kisi ki aankh ka noor hoon

 Poet : bahadur shah zafar

Baat karni mujhay mushkil kabhi aisi to na thi



Baat karni mujhay mushkil kabhi aisi to na thi
jesi ab hay teri mehfil kabhi aisi tu na thi

Lay gia cheen kay kyun aaj tera sabr -o- qaraar
be qarari tujhay ay dil kabhi aisi tu na thi

Chashm -e- qatil meri dushman thi humaysha lakin
jesi ab ho gai qatil kabhi aisi tu na thi

Un kay aankhon nay khuda janay kia kiya jadu
keh tabiyat meri maa’el kabhi aisi tu na thi

Aks -e- rukh -e- yaar nay kis say hay tujhay chamkaya
tab tujh main mah -e- kaamil kabhi aisi tu na thi 

Kia sabab tu jo bigarta hay “zafar” say har baar
khu teri hur -e- shamil kabhi aisi tu na thi

Mareez-e-mohabbat unhi ka fasana


Mareez-e-mohabbat unhi ka fasana
Sunaata raha dam nikaltay nikaltay


Magar zikr e sham e alam jab bhi aya
Charagh e seher bujh ga~ay jaltay jaltay


Irada tha tark e muhabat ka laikin
Faraib e muhabat mein phir aa gaye hum


Abhi kha kay thokar sambhalnay na paa'ay
Keh phir kha~ee thokar sambhaltay sambhaltay


Unhain khat mein likha tha dil muztarib hay
Jawab un ka aya muhabat na kartay


Tumhain dil laganay ko kis nay kaha tha
Behel ja~ay ga dil beheltay beheltay


Voh mehmaan bhee rahay to kab tak hamaray
Hoi shama gul aur doobay sitaray


Qamar is qadar un ko jaldi thi ghar ki
Woh ghar chal diya chandni dhaltay dhaltay

main nazar se pi raha hun ye sama badal na jaye



main nazar se pi raha hun ye sama badal na jaye
na jhukao tum nigahen kaheen raat dhal na jaye

mere ashk bhi hain is mein ye sharab ubal na jaye
mera jam chunevale tera hath jal na jaye

abhi raat kuch hai baqi na utha naqab saqi
tera rind girate girate kaheen phir sambhal na jaye

meri zindagi ke malik mere dil pe hath rakhna
tere aane ke khushi mein mera dam nikal na jaye

mujhe phunkane se pahale mera dil nikal lena
ye kisi ke hai amanat kaheen sath jal na jaye

Mere khuda mujhe itna to motabar kar dy




Mere khuda mujhe itna to motabar kar dy
Main jis makan mein rahta hun us ko ghar kar dy


Ye roshni k taqqub mein bhagta hua din
Jo thak gaya hai to ab is ko mukhtasar kar dy


Main zindagi ki dua mangne laga hun bahut
Jo ho sake to duaon ko beasar kar dy


Sitara-e-sahri dubne ko aya hai
Zara koi mere suraj ko ba-khabar kar dy


Qabila war kamanein karakne wali hain
Mere lahu ki gawahi mujhe na'dar kar dy


Meri zamin mera akhiri hawala hai
So main rahun na rahun us ko barawar kar dy


Main apne khwab se kat kar jiyun to mere khuda
Ujar de meri mitti ko dar-ba-dar kar dy

Woh ishq jo hum sae rooth gaya




Woh ishq jo hum sae rooth gaya
abb uss ka haal bataiyen kiya
woh ishq jo hum sae rooth gaya
abb uss ka haal bataiyen kiya
koi mehir nahi koi qehir nahi
phir sacha shair sunaien kya
woh ishq jo hum sae rooth gaya
ek hijr jo humko laahaq hai
ta der usay dohraien kya
ek hijr jo humko laahaq hai
ta der usay dohraien kya
woh zehar jo dil mein utaar diya
phir uss kay naaz uthaien kya
woh zehar jo dil mein utaar diya
phir uss kay naaz uthaien kya
koi mehar nahi koi qehar nahi
phir sacha shair sunaien kya
woh ishq jo hum sae rooth gaya
ek aag ghum-e-tanhai ki
jo saray badan mein phail gai
ek aag ghum-e-tanhai ki
jo saray badan mein phail gai
jab jism he sara julta ho
phir daman-e-dil ko bachaien kiya
jab jism he sara julta ho
phir daman-e-dil ko bachaien kiya
koi mehr nahi koi qehar nahi
phir sacha shair sunaien kya
woh ishq jo hum sae rooth gaya
hum naghma sara kuch ghazloun kay
  hum soorat hein kuch khawaboun kay
  hum naghma sara kuch ghazloun kay
  hum soorat hein kuch khawaboun kay
bay juzba-e-shoq sunaien kiya
koi khawab na ho tu batayen kiya
bay juzba-e-shoq sunaien kiya
koi khawab na ho tu batayen kiya
koi mehr nahi koi qehar nahi
phir sacha shair sunaien kya
woo ishq jo hum sae rooth gaya
abb uss ka haal bataiyen kiya
woh ishq jo hum sae rooth gaya
abb uss ka haal bataiyen kiya
woh ishq jo hum sae rooth gaya
abb uss ka haal bataiyen kiya






Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...