Feb 9, 2016

Asar us ko zara nahin hota


Asar us ko zara nahin hota 
Ranj rahat fiza nahin hota 

Tum hamaray kisi tarah na huye 
Warna duniya main kya nahin hota 

Na'rasai se dam ruk to ruk 
Main kisi se khafa nahin hota 

Tum meray paas hotay ho goya 
Jab koi doosra nahin hota 

Haal-e-dil yaar ko likhon kiyon kar 
Haath dil se juda nahin hota 

Kiyon sune Arz-e-Muztarib ae Momin
Sanam Aakhir Khuda nahin hota 

Sun to sahi jahan main hai tera fasaana kya ?


Sun to sahi jahan main hai tera fasaana kya ?
Kehta hai tujh ko khalq-e-khuda , ghaibana kya ?

Zer-e-zameen se aata hai go gul soz rabakuf
Qaroon ne raastay main lutaya khazana kya 

chaaron taraf se surat jaana.n ho jalwa'gar
Dil saaf ho tera , tu hai Aayna-e-khana kya ?

Siyaad , aseer daam rag gul hai Andleeb 
Dikhla raha hai chup kay daam dewana kya 

Talb-e-ilam na paas hai apnay , na mulk-o-maal 
Hum se khilaaf ho kay karay ga zamana kya 

Aati hai kis tarah se mir qabz rooh ko 
Dekhon to mout dhoond rahi hai bahana kya

Tirchee nigah se taahir dil ho chuka shikaar 
JAb teer kajj paray ga , urray ga nishana kya 

Youn muddai hasad se na de daad , tu na de 
Aatish ghazal yeh tu ne kahi Aashqana kya ?

Kis qadar aag barasti hai yahan


Kis qadar aag barasti hai yahan 
Khalq shabnam ko tarasti hai yahan 

Sirf andesha-e-Afi hi nahin 
Phool ki shaakh bhi dusti hai yahan 

Rukh kidher mor gaya hai dariya 
Ab na woh log na basti hai yahan 

Zinda dar'gor huye Ehl-e-nazar 
Kis qadar murda parasti hai yahan 

Zeest woh jins-e-giraan hai keh Faraz
Mout kay mool bhi sasti hai yahan

Qaatil kay qissay Maqtal ki baatein hain


Qaatil kay qissay Maqtal ki baatein hain 
Aaj ki mehfil main bhi kal ki baatein hain 

Dewano par ik ik lamha bhaari hai 
Hosh ki baatein kitni halki baatein hain 

Tang qaba'aye kaj'kalay , zareen kamray 
Is kaafir main saari ghazal ki baatein hain 

Apni tehi dasti par main sharminda hoon
Teray labon par taaj mehal ki baatein hain 

Aqal kay andhon ki mehfil main chup hai Faraz 
Kitni siyaani us pagal ki baatein hain   

Her gham ko dil'awaiz kiye deta hoon


Her gham ko dil'awaiz kiye deta hoon 
Ehsaas ki lu tez kiye deta hoon 

Tu zulf ko kuch aur pershaan kar de 
Main jaam ko labraiz kiye deta hoon

Qaaflay guzray hain zanjeer ba'pa


Qaaflay guzray hain zanjeer ba'pa
Daaim Aabaad rahay shaher tera 

Dil hai ya shaher-e-khamoshan koi 
Na koi chaap na koi dharkan na sada 

Aakhir-e-ishq ki ruswai hai 
Ab hua charcha to ghar ghar ho ga 

Tujh ko dekha hai to ab sochtay hain 
Tujh se milnay ka sabab kya ho ga 

Weham tha qaafla-e-hum'safran 
Murr kay dekha to koi saath na tha 

Shab-e-tera hi ghaneemat thi Faraz 
Chaand nikla hai to dil doob chala  

Inkaar na iqraar bari dair se chup hain


Inkaar na iqraar bari dair se chup hain 
Kya baat hai sarkaar bari dair se chup hain 

Asaan na kar di ho kahin mout ne mushkil 
Rotay huye bemaar bari dair se chup hain 

Ab koi ishaara hai na paighaam na Aahat 
Baam-o-dar-o-dewaar bari dair se chup hain 

Saqi yeh khamoshi bhi to kuch ghour talab hai 
Saqi teray meh-khawaar bari dair se chup hain 

Yeh barq nashaiman pe giri thi keh qafas par 
Murghaan-e-griftaar bari dain se chup hain 

Is shaher main her jins bani yousaf-e-kinan
Bazar kay Bazar bari dair se chup hain 

Phir naara-r-mastana Faraz ayo lagaein 
Ehal-e-risan-o-daar bari dair se chup hain 

Woh Qaol woh sab qaraar tootay


Woh Qaol woh sab qaraar tootay 
Dil jin se maal-e-kaar tootay 

Ho khatam khasha,kash zamana 
Ya daam-e-khayal-e-yaar tootay 

Phir tujh pe yaqeen kar rahay hain 
Woh dil jo hazaar baar tootay 

Khayein gay faraib hum khushi se 
Par, youn keh na Aitabaar tootay 

Woh pichla pehar shab-e-alm ka 
Aansoo bhi sitaara waar tootay 

Kya chortay yaad wusaton ki 
Woh teer jo dil kay paar tootay 

Kaamp uthay Faraz dono Aalam 
Jab saaz-e-wafa kay taar tootay

Sakoot-e-shab hi sitam ho to , hum uthaein bhi


Sakoot-e-shab hi sitam ho to , hum uthaein bhi 
Woh yaad aaye to chalnay lagein hawaein bhi 

Yeh shaher meray liye ajnabi na tha lakin 
Tumharay saath badalti gayein fizaein bhi 

Jo bazam-e-dost se uth kar chalay bazam tamaam 
Koi pukaray to shayed woh loat ayein bhi

Dilon ka qurb kahin faaslon se mit'ta hai
Yeh khud faraib tera shaher chor jayein bhi 

Hum aisay log jo ashoob-e-dehar main bhi hain khush 
Ajab nahin hai agar tujh ko bhool jayein bhi 

Sehar gazeeda sitaaron ka noor bujhnay laga 
Faraz utho ab us ki gali se jayein bhi
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...