May 2, 2015

Raat kay pichlay pehar ronay kay aadi roye


Raat kay pichlay pehar ronay kay aadi roye 
Aap aaye bhi magar ronay kay aadi roye 

Un kay aa janay se kuch tham se gaye thay aansoo
Un kay jaatay hi magar ronay kay aadi roye 

Haye pabandi-e-adaab teri mehfil ki 
Keh sar-e-rag'guzar ronay kay aadi roye 

Aik taqreeb-e-tabasam thi baharan lakin 
Phir bhi aankhein huein tar ronay kay aadi roye 

Dard mandon ko kahin bhi to qaraar aa na saka 
Koi sehra ho keh ghar ronay kay aadi roye 

Ae Faraz aisay main barsaat kattay gi kiyon kar
Gar youn hi shaam-o-sehar ronay kay aadi roye

Kis ko gumaan hai ab keh meray saath tum bhi thay


Kis ko gumaan hai ab keh meray saath tum bhi thay
Haye woh roz-o-shab keh meray saath tum bhi thay

Yadish ba'khair ehad-e-guzishta ki sohbatein 
Ik dour tha ajab keh meray saath tum bhi thay

Be'mehri hayat ki shiddat kay ba'wajood 
Dil mut'maein tha jab keh  meray saath tum bhi thay

Main aur taqabil-e-gham-e-doran ka hosla 
Kuch ban gaya sabab keh meray saath tum bhi thay

Ik khawaab ho gayi hai rah-o-rasm-e-dosti
Ik weham sa hai ab keh meray sath tum bhi thay 

Woh bazam-e-dost yaad to ho gi tumhein Faraz
Woh mehfil-e-tarb keh meray saath tum bhi thay

Agar kisi se marasim barhanay lagtay hain


Agar kisi se marasim barhanay lagtay hain 
Teray firaaq kay dukh yaad aanay lagtay hain 

Hamein sitam ka gila kya , keh yeh jahan walay
Kabhi kabhi tera dil bhi dukhanay lagtay hain 

Safeenay chor kay saahil chalay to hain lakin 
Yeh dekhna hai keh ab kis thikanay lagtay hain 

Palak jhapaktay hi duniya ujaar deti hai 
Woh bastiyan jinhein bastay zamanay lagtay hain 

Faraz miltay hain gham bhi naseeb walon ko 
Her ik kay haath kahan yeh khazanay lagtay hain 

O meray masroof khuda apni duniya dekh zara


O meray masroof khuda
Apni duniya dekh zara 
Itni khalqat kay hotay 
Shehron main hai snaata 
Jhompri walon ki taqdeer 
Bujha bujha sa ik diya 
Khaak uraatay hain din raat 
Meelon phail gaye sehraa
Zaagh-o-zaghan ki cheekhon se
Soona jungle goonj utha 
Suraj sar par aa poncha 
Garmi hai ya roz-e-jaza
Pyasi dharti jalti hai 
Sookh gaye behtay dariya 
Faslein jal kar raakh huein
NAgri nagri kaal para 
O meray masroof khuda 
Apni duniya dekh zara

Hum faqeeron se dosti kar lo


Hum faqeeron se dosti kar lo 

Gur sikha dain gay tumhein baadshahi ka

Yeh aur baat hai keh tameer nahin ho sakta


Yeh aur baat hai keh tameer nahin ho sakta 

Warna her dil main aik taaj.mehal hota hai

Khawabon main khayal kho rahay hon jaisay


Khawabon main khayal kho rahay hon jaisay
Nashay main zamanay so rahay hon jaisay

Seenay se dhalak gaya hai kis ka aanchal
Khurasheed talooh ho rahay hon jaisay

Gawara bhi sahi jo dukh teray hain


Gawara bhi sahi jo dukh teray hain
Magar hum ko kai gham doosray hain

Ajab ehal-e-chaman kay din phiray hain
Baharon kay bagoolon main ghirray hain

Watan main wazah'daari ne na chora
Paraye shaher hum dar dar phiray hain

Samaye phir na duniya ki nazar main
Na janay kis bulandi se giray hain

Ghaneemat hai jo hans kar baat kar lein
Hamein mat chairiye hum sar phiray hain

Jo duniya kay huye woh sakhat roye
Khush woh log jo ab tak teray hain

Faraz aaj itafaqan mil gaye thay
YEh saahib bhi to deewane teray hain

Yeh phaili hui raat dhalay ya na dhalay


Yeh phaili hui raat dhalay ya na dhalay
YEh yorish-e-halaat talay ya na talay 

Roshan kar chragh-e-deer-o-kaaba
Phir shamma-e-kharabaat jalay ya na jalay

Yeh dour may-o-jaam chalay ya na chalay


 Yeh dour may-o-jaam chalay ya na chalay
Nashay se bhi phir kaam chalay ya na chalay

Hum ehal-e-kharabaat se youn bair na rakh
Saqi tera kal naam chalay ya na chalay

Tu meri zindagi hai magar jaan-e-man


Tu meri zindagi hai magar jaan-e-man
Ab woh ishq-o-mohabbat ki rasmein nahin

Meray dil main kai ghaao aisay bhi hain
Jin ka dar'man teri dastaras main nahin

Aik gham jis ki shiddat hama geer hai
Teray bas main nahin meray bas main nahin

Tera ehsaan hai tu ne meray liye


Tera ehsaan hai tu ne meray liye
Apni palkon se raahon kay kaantay chunay

Khud karri dhoop main reh kay meray liye
Tu ne zulfon kay shadaab saaye bunay

Meri khatar zamanay ko pagal kaha
Meri khatar zamanay kay tahnay sunnay

Meri afsurdagi se parishaan na ho


Meri afsurdagi se parishaan na ho
Tu meri talkhiyon ka sabab to nahin

Teri aankhein to meri hi dam-saaz hain
Thein kabhi ajnabi lakin ab to nahin

Tujh ko meri mussarat muqadam sahi
Tera gham mujh ko wajah-e-tarb to nahin

Kya rukhsat-e-yaar ki gharri thi


Kya rukhsat-e-yaar ki gharri thi
Hansti hui raat ro pari thi

Hum khud hi huye tabbah warna
Duniya ko hamari kya pari thi

Yeh zakham hain un dino ki yaadein
Jab aap se dosti pari thi

Jatay to kidhar ko teray wehshi
Zanjeer-e-junoon karri pari thi

Dar'yooza gir-e-hayat ban kar
Duniya teri raah main kharri thi

Gham thay keh Faraz aandhiyan thein
Dil tha keh Faraz pankhri thi

Urrtay panchi shikaar karnay walo


Urrtay panchi shikaar karnay walo
Gulzaar main geer-o-dar karnay walo 

Kitni kaliyan masal kay rakh dein tum ne
Tazeen-e-gul-o-bahar karnay walo

Her shaakh chaman ki jal rahi hai


Her shaakh chaman ki jal rahi hai
Kya baad-e-muraad chal rahi hai

Hum hain keh faraib kha rahay hain
Duniya hai keh chaal chal rahi hai

Youn dil main hai teri yaad jaisay
Veeranay main aag jal rahai hai

Rukh phair liya hai jab se tu ne
Duniya ki nazar badal rahi hai

Dar paish hai aaj bhi woh surat
Jo surat-e-haal kal rahi hai

Itni bhi Faraz bad'dili kya
Sambhlo ! keh fiza badal rahi hai

Phoolon ki jabeen jhulas gayi hai yaaro

 
Phoolon ki jabeen jhulas gayi hai yaaro
Gulzaar main aag bas gayi hai yaaro

Guzray hain kahan se rang-o-bu kay toofan
Shabnam ko fiza taras gayi hai yaaro

Her aik dil ko talab her nazar sawaali hai


Her aik dil ko talab her nazar sawaali hai
Keh shaher-e-husan main jalwon ki qeh saali hai

Kahan hai dost keh Aashoob-e-dehar se main ne
Teray khayal ki asoodagi bachaa li hai

Bata raha hai fiza ka atoot sanaata
Ufaq se phir koi Aandhi utarnay wali hai

Larz rahay hain shagoofay chaman main khiltay huye
Hina-e-dast-e-saba main lahoo ki laali hai

Piyo sharaab keh naseh ne zehar bhi de kar
Hamari jurrat-e-rindaana Azma li hai

Aaj phir dana-e-gandum kay silsalay main Faraz
kisi Khuda ne meri khald baich daali hai

Ghunchay ki chatak sunaai de gi yaaro


Ghunchay ki chatak sunaai de gi yaaro
Saagar ki khanak sunaai de gi yaaro

Zindaan ka sakoot goonjh uthay ga jis se
Aisi dastak sunaai de gi yaaro

Dost jab thehray chaman kay dushman-e-jaan-e-bahar


Dost jab thehray chaman kay dushman-e-jaan-e-bahar
Zakham dikhlaein kissay phir seena-e-cha'kaan-e-bahar

Nasha-e-ehsaas-e-khush waqti ne andha kar diya
Barq bhi chamki to hum samjhay chraghan-e-bahar

Khoon rulwatay hain sab ko apnay apnay tajarbay
Woh pash-e-maan-e-khizaan hon ya pash-e-maan-e-bahar

Ab kay kuch aisi hi ban aayi keh hum mazoor hain
Warna kab phaira tha hum ne koi farmaan-e-bahar

Ae khosha ehad-e-khizan jab naghma pairaai to thi
Ab to surma dar guloo hain khush'nuwan-e-bahar

Gar youn hi baad-e-saba athkeliyaan karti phiri
Shola-e-gul se bharrak utthay ga daaman-e-bahar

Kab huye dil tang hum zindaan main bhi reh kar Faraz
Haan magar jab aa gayi hai yaad yaaran-e-bahar

Ik raah-e-taweel ik karri hai yaaro


Ik raah-e-taweel ik karri hai yaaro
Fataad ajeeb aa pari hai yaaro

Kis simat chalein kidher na jayein aakhir
Dorahay pe zindagi kharri hai yaaro

Kuch aisay hum ne kharabay basaaye shehron main


Kuch aisay hum ne kharabay basaaye shehron main
Jo dasht walay thay woh bhi uth aaye shehron main

Hamari sada dili dekhiye keh dhoondtay hain
Hum apnay dais ki baatein puranay shehron main

Kuch is tarah se her aik baam-o-dar ko dekhtay hain
Zamanay baad koi jaisay aaye shehron main

Suna hai jab bhi luti hai bahar-e-veerana
To chand aur chaman muskuraye shehron main

Qadam qadam pe huye talkh tajarbay phir bhi
hamein hayat kay gham kheench laye shehron main

Hawa na do keh yeh jungle ki aag hai yaaro
Ajab nahin hai agar phail jaye shehron main

Faraz hum woh ghazalan-e-dasht-o-sehra main
Aseer kar kay jinhein log laye shehron main

Jin kay dam se thein bastiyan abaad


Jin kay dam se thein bastiyan abaad
Aaj woh log hain kahan abaad

Jal rahay hain haray bharay Gulzaar
Gham hua hai kahan kahan abaad

Keh rahi hai shakistagi dil ki
Tha makeeno se yeh makaan abaad

Hum ne dekhi hai gosha-e-dil main
Aik duniya-e-be'karaan abaad

Chand manzir ujaarnay walo
Ho rahay hain kai jahan abaad

Ghar jala kar na rad-e-mohabbat main
Yeh to hota hai khan'maan abaad

Kitnay taray Faraz toot chukay
Hai abhi tak yeh khaak daan abaad

Barh jata hai dil ka rog gahay-ba-gahay

 
Barh jata hai dil ka rog gahay-ba-gahay
Kar letay hain apna sog gahay-ba-gahay

Jo yaad dila detay hain bhoolay sadmay
Mil jatay hain aisay log gahay-ba-gahay

Lafzon main fasanay dhoondtay hain hum log


Lafzon main fasanay dhoondtay hain hum log
Lamhon main zamanay dhoondtay hain hum log

Tu zehar hi de sharaab keh kar saaqi
Jeenay kay bahanay dhoondtay hain hum log

Teri baatein hi sunanay aaye


Teri baatein hi sunanay aaye
Dost bhi dil dukhanay hi aaye

Phool khiltay hain to hum sochtay hain
teray aanay kay zamanay aaye

Aisi kuch chup si lagi hai jaisay
Hum tujhay haal sunanay aaye

Ishq tanha hai sar-e-manzil-e-gham
Kon yeh bojh uthanay aaye

Ajnabi dost hamein dekh kay hum
Kuch tujhay yaad dilanay aaye

Dil dharakta hai safar kay hungaam
Kaash phir koi bulanay aaye

Ab to ronay se bhi dil dukhta hai
Shayed ab hosh thikanay aaye

Kya kahein phir koi basti ujri
Log kiyon jashan mananay aaye

So raho mout kay pehlu main Faraz
Neend kis waqat na janay aaye

Kiyon nahin leta hamari tu khabar Ae be'khabar


Kiyon nahin leta hamari tu khabar Ae be'khabar 

Kya teray aashiq huye thay dard-o-gham khanay ko hum

Peri main Hatim ab na jawani ko yaad kar


Peri main Hatim ab na jawani ko yaad kar 

Sookhay darakhat bhi kahin hotay hain phir hray

Bars Ae abar jitna chahye tu ab , teri baari hai


Bars Ae abar jitna chahye tu ab , teri baari hai 

Kabhi dil tha to main bhi ro ro ik dariya bahata tha

Kon se zakham ka khula taanka


Kon se zakham ka khula taanka 

Aaj phir dil main dard hota hai

Hum ishq main tum husn main mashoor hain dono


Hum ishq main tum husn main mashoor hain dono 

Hai zikar hamara , kahin azkaar tumhara

Yaar aata nazar nahin aata


Yaar aata nazar nahin aata 

Hum ko hota na intizaar Ae kaash

Meri baat sunata hai is tor se


Meri baat sunata hai is tor se 

Keh kehta hoon goya kisi aur se

Mujh se mat jee ko lagaao keh nahin rehnay ka


Mujh se mat jee ko lagaao keh nahin rehnay ka 

Main musafir hoon koi din ko chala jaaon ga

Tarapti kiyon hai Ae bulbul kamal itna to paida kar


Tarapti kiyon hai Ae bulbul kamal itna to paida kar 

Keh tera ashk jis jaa gir paray gulzaar ho paida

Dil woh nagar nahin keh phir abaad ho sakay


Dil woh nagar nahin keh phir abaad ho sakay 

Pachtaao gay suntay ho yeh basti ujaar kay

Paas na'mose-e-ishq tha warna


Paas na'mose-e-ishq tha warna 

Kitnay aansoo palak tak aaye thay

Yaqoob ko aziz hai Yousaf ka pehrahan


Yaqoob ko aziz hai Yousaf ka pehrahan 

Yousaf ho jis kay paas ussay pehrahan se kya

Judai main agar aankhein na rotein


Judai main agar aankhein na rotein 

To hargiz raaz-e-dil Afshaa na hota

Us kay wisaal-o-hijar main youn hi guzar gayi


Us kay wisaal-o-hijar main youn hi guzar gayi 

Dekha to hans diya , jo na dekha to ro diya

Dekha na kabhi aftaab teray ru-ba-ru


Dekha na kabhi aftaab teray ru-ba-ru 

Jab ho gaya woh samnay saya sa dhal gaya

Suna hai keh woh aaj aanay ko hai


Suna hai keh woh aaj aanay ko hai 

Khuda janay sach hai keh afwaah hai

Main sust-gaam qafala-e-umar tez ru


Main sust-gaam qafala-e-umar tez ru

Tanha na chor jayein kahin humsafar mujhay

Mohsin maron na main to bhala jee kay kya karon


Mohsin maron na main to bhala jee kay kya karon 

Ik dik bisaat main tha so main woh bhi kho chuka

Kya kahon apni main parishani


Kya kahon apni main parishani

Dil kahin , main kahin hoon , dhiyaan kahin

Jis kaam ko jahan main tu aaya tha ae Nazeer


Jis kaam ko jahan main tu aaya tha ae Nazeer

Khana kharaab tujh se wohi kaam reh gaya

Juda kisi se kisi ka gharz habeeb na ho

 
Juda kisi se kisi ka gharz habeeb na ho

Yeh daagh woh hai keh dushman ko bhi naseeb na ho

Hai teri jaan ka yehi dushman

 
Hai teri jaan ka yehi dushman 

Rind is dil ko khawaar honay de

Poncha na aah-e-dard ko meray koi tabeeb


Poncha na aah-e-dard ko meray koi tabeeb

Ya'Rab ajab tarah ka kuch azaar hai mujhay

Thar'thrata hai ab talak khursheed

 
Thar'thrata hai ab talak khursheed

Samnay teray aa gaya ho ga

Baithay bithaye koocha-e-qatil main le gaya

 
Baithay bithaye koocha-e-qatil main le gaya

Ya'Rab bura ho is dil-e-khana khraab ka

Bas main aaya jo tumharay ussay chaho so karo

 
Bas main aaya jo tumharay ussay chaho so karo

Kya sitam aadmi sehta nahin la'chaari se

Apni to is chaman main nit umar youn hi guzri

 
Apni to is chaman main nit umar youn hi guzri

Yahan aashiyana banaya , wahan aashiyana banaya

Samjho khuda kay wastay pyaaray bura nahin

 
Samjho khuda kay wastay pyaaray bura nahin 

Do din agar kisi kay koi kaam aa gaya

Qadam rakh gaya kon seenay pe apnay


Qadam rakh gaya kon seenay pe apnay

Gul-e-daagh main aaj mehndi ki bu hai

Aaye jo meray paas to munh phair kay biathay


Aaye jo meray paas to munh phair kay biathay 

Yeh aaj naya aap ne dastoor nikala

Qafas main hum'safeero kuch to mujh se baat kar jaao

 
Qafas main hum'safeero kuch to mujh se baat kar jaao

Bhala main bhi kabhi to kabhi rehnay wala tha gulistaan ka

Yeh na aanay kay bahanay hain sabhi warna miyan


Yeh na aanay kay bahanay hain sabhi warna miyan

Itna to ghar se meray kuch nahin ghar door tera

Yehi hasrat hamein ae jaan rahi marg talak


Yehi hasrat hamein ae jaan rahi marg talak

Aik din tum ne na ki hans kay kabhi pyaar ki baat

Jo chahye hosh to be'hosh ho jaam-e-mohabbat se


Jo chahye hosh to be'hosh ho jaam-e-mohabbat se 

Yeh be'hoshi hai aisi jis se hoshiyaari nahin jaati

Ghair ka naam jo tum pyar se letay ho to bas


Ghair ka naam jo tum pyar se letay ho to bas

Aik barchii hai keh pehlu main chabho detay ho

Afsos keh nargis ki tarah baagh-e-jahan main


Afsos keh nargis ki tarah baagh-e-jahan main

Kuch hum se bajuz hasrat-e-deedar na paya

Kaabay se gharz us ko na butt'khanay se matlab


Kaabay se gharz us ko na butt'khanay se matlab

Aashiq jo tera hai na idher ka na udhar ka

Chasham woh kya hai keh jis main aik aansoo bhi nahin


Chasham woh kya hai keh jis main aik aansoo bhi nahin

Aabru tab hai sadaf ki jab keh ho gohat samait

Dekh leti jo utha kar teray kya toot'tay haath


Dekh leti jo utha kar teray kya toot'tay haath

Laila itna to na tha parda-e-mehmal bhaari

Main ne aankhon se le liya us ko


Main ne aankhon se le liya us ko

Phool jo dast-e-baagh'baan se gira

Sab ne dekha chaman-e-dehar ko par ehal-e-nazar


Sab ne dekha chaman-e-dehar ko par ehal-e-nazar

Hain wohi log jinhon ne chaman-e-araa dekha

Jawani hans kay kaati ab palk pe ashk chamkay hai


Jawani hans kay kaati ab palk pe ashk chamkay hai

Jo raat aakhir hui , nikla sitaara peeri ka

Tumhari baat Ae "Rasikh" samjh main kuch nahin aati


Tumhari baat Ae "Rasikh" samjh main kuch nahin aati

Gila bhi yaar ka kartay ho aur rotay bhi jaatay ho

Jo teray paas se aata hai main poochon hon yahi


Jo teray paas se aata hai main poochon hon yahi

Kiyon jee , kuch zikar hamara bhi wahan rehta hai
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...