Aug 21, 2014

Husan-e-shamma likhon ya saraab likhon

Husan-e-shamma likhon ya saraab likhon 
Hum'dam likon saathi likhon ya khwaab likhon

Tere sraapay pe hairaan hoon main 
Mah'jabeen likhon , sehar likon , ya aftaab likhon 

Teri zulf jo chupati hai tera chehra 
Raqeeb likhon , nagan likhon , ya naqaab likhon 

Nazar utha kay jo chal diye aap 
Be,rukhi likhon , be'wafa likhon , ya hijaab likhon 

Khatam ho jaata hai zakheera-e-alfaaz
Dil to kehta hai teri tareef be'hisaab likhon 

Mat milo mujh se tumhain koi majboori to nahin

Mat milo mujh se tumhain koi majboori to nahin 
Duniya main her cheez mil jaye yeh zaroori to nahin 

Kuch log hote hain duniya main gham kay wastay 
Her koi yahan hansay yeh zaroori to nahin 

Naand to kaanton kay bister pe bhi aa sakti hai 
Teri aaghosh main sar ho , yeh zaroori to nahin 

Karta raha masjid main , main khuda ko jo sajday 
Sajdon main mere asar ho yeh zaroori to nahin 

Sab ki saaqi pe nazar ho yeh zaroori to hai magar 
Sab pe saaqi ki nazar ho yeh zaroori to nahin

Karon na yaad magar kis tarah bhulaaon ussay

Karon na yaad magar kis tarah bhulaaon ussay 

Ghazal bahana karon aur gun'gunaaon ussay 

Woh khaar khaar hai shaakh-e-gulaab ki manind 

Main zakham zakham hoon phir bhi galay lagaon ussay 

Yeh log tazkaray kartay hain apnay logon kay 

Main kaisay baat karon ab kahan se laaon ussay 

Jo humsafar sat-e-manzil bichar raha hai "Faraz"

Ajab nahin hai agar yaad bhi na ayon ussay 

Andheri raat main rehtay to kitna acha tha

Andheri raat main rehtay to kitna acha tha 

Hum apni zaat main rehtay to kitna acha tha 

Dukhon ne baant liya hai tumharay baad hamain 

Tumharay haath main rehtay to kitna acha tha

Sochta hoon keh ussay neend bhi aati ho gi

Sochta hoon keh ussay neend bhi aati ho gi 
Ya meri tarah faqat ashk bahati ho gi 

Woh meri shakal mera naam bhulaanay wali 
Apni tasveer se kiya aankh milaati ho gi 

Is zameen par bhi hai sailaab mere ashkon se 
Mere maatam ki sada arsh hilaati ho gi 

Shaam hote hi woh chokhat pe jala kay shamain 
Apni palkon pe kai khwaab sulaati ho gi 

Us ne silwaa bhi liye hon gay siyaah rang libaas
Ab moharram ki tarah eid manati ho gi 

Hoti ho gi mere bosay ki talab main pagal 
Jab bhi zulfon main koi phool sajati ho gi 

Mere tareek zamano se nikalnay wali 
Roshni tujh ko meri yaad dilaati ho gi 

Dil ki masoom ragain khud hi sulagti hon gi 
Joun hi tasveer ka kona woh jalati ho gi 

Roop de kar mujhay is main kisi sehzaday ka 
Apnay bachon ko kahani woh sunaati ho gi

APnay bachon ko kahani woh sunaati ho gi

Jo meri aankhon se khwaab dekho

Jo meri aankhon se khwaab dekho 
To aik bhi shab na so sako gay 

Keh laakh chahyo na hans sako gay 
Hazaar chaho na ro sako gay 

Keh khwaab kiya hain , azaab hain yeh 
Mere dukhon ki kitaab hain yeh 

Rafaqatein in main choot'ti hain 
Mohabbatein in main rooth'ti hain 

Panapti hain in main wehshatein si 
Aziyatein in main phoot'ti hain 

Inhi kay dar se khizaan hain jazbay 
Inhi se shakhain si toot'ti hain 

Ghamon ki bandish hain khwaab mere 
Dukhon ki baarish hain khwaab mere 

Ubal raha hai dukhon ka lawa 
Rahain aatish khwaab mere 

Khyaal sare jhulas gaye hain 
Sulagti khwaish hain khwaab mere 

Ukharti saansain hain zindagi ki 
Lahoo ki sazish hain khwaab mere 

Jo meri aankhon se khwaab dekho 
To aik shab bhi na so sako gay

Keh khwaab kiya hain , azaab hain yeh

Jo meri aankhon se khwaab dekho 
To aik bhi shab na so sako gay 

Keh laakh chahyo na hans sako gay 
Hazaar chaho na ro sako gay 

Keh khwaab kiya hain , azaab hain yeh 
Mere dukhon ki kitaab hain yeh 

Rafaqatein in main choot'ti hain 
Mohabbatein in main rooth'ti hain 

Panapti hain in main wehshatein si 
Aziyatein in main phoot'ti hain 

Inhi kay dar se khizaan hain jazbay 
Inhi se shakhain si toot'ti hain 

Ghamon ki bandish hain khwaab mere 
Dukhon ki baarish hain khwaab mere 

Ubal raha hai dukhon ka lawa 
Rahain aatish khwaab mere 

Khyaal sare jhulas gaye hain 
Sulagti khwaish hain khwaab mere 

Ukharti saansain hain zindagi ki 
Lahoo ki sazish hain khwaab mere 

Jo meri aankhon se khwaab dekho 
To aik shab bhi na so sako gay

Manzil na paas ayi to rona para mujhay

Manzil na paas ayi to rona para mujhay 
Is dil ne chot khai to rona para mujhay 

Ghairon ne us ko meri aankhon kay samnay 
Dulha jo kal banaya to rona para mujhay 

Baraat aur woh bhi bari dhoom dhaam se
Jab us kay ghar se gayi to rona para mujhay 

Jaatay huye jo us ne haqarat kay saath youn 
Mujh se nazar churai to rona para mujhay 

Roi na thi us kay taswur main aaj tak 
Hone laga praya to rona para mujhay

Teri janib agar chalay hote

Teri janib agar chalay hote 
Hum na youn dar-ba-dar huye hote 

Sari duniya hai meru mutthi main 
kon aye ga ab tere hote 

Aur ab kiyon nahin nibhaatay tum 
Itnay waday nahin kiye hote 

Pa liya main ne sari duniya ko 
Koi khwaish nahin tere hote 

Us ki aankhon main baar paanay ko 
Kaash hum khwaab ban gaye hote 

Kaash hum khwaab ban gaye hote

Teri janib agar chalay hote 
Hum na youn dar-ba-dar huye hote 

Sari duniya hai meru mutthi main 
kon aye ga ab tere hote 

Aur ab kiyon nahin nibhaatay tum 
Itnay waday nahin kiye hote 

Pa liya main ne sari duniya ko 
Koi khwaish nahin tere hote 

Us ki aankhon main baar paanay ko 
Kaash hum khwaab ban gaye hote 

Mujh ko bhi khouf-e-tark-e-taaluq ne aa liya

Mujh ko bhi khouf-e-tark-e-taaluq ne aa liya 

Woh bhi isi khyal se doosron ki ho gayi 

Pehlay to us kay haath ki misal bujhi "Wasi"

Phir youn hua kahin meri taqdeer kho gayi

Us kay haathon se jo khushboo-e-hina aati hai

Us kay haathon se jo khushboo-e-hina aati hai 
Aisa lagta hai keh jannat se hawa aati hai 

Choomnay daar ko kis dhaj se chala hai koi 
Aaj kis naaz se maqtal se qaza aati hai 

Na kabhi koi kare tujh se tere jaisa salook 
Haath uth'tay hi yahi lab pe dua aati hai 

Tere gham ki yeh bar'hana nahin rehnay deti 
Meri aankhon pe jo ashkon ki rida aati hai 

Us kay chehray ki tamazat bhi hai shamil is main 
Aaj tap'ti hui sawan ki ghatta aati hai 

Ghoomnay jab bhi teray shaher main jaati hai wafa 
Bain karti hui wapis woh sada aati hai 

Hai wohi baat her ik lab pe bhout aam yahan 
Hum se jo kehtay huye un ko haya aati hai 

Poet : Wasi Shah

Samandar main utar'ta hoon to aankhain bheeg jaati hain

Samandar main utar'ta hoon to aankhain bheeg jaati hain
Teri aankhon ko parhta hoon to aankhain bheeg jaati hain

Tumhara naam likhnay ki ijazat chin gayi jab se
Koi bhi lafaz likhta hoon to aankhain bheeg jaati hain 

Teri yaadon ki khushboo khirkiyon main raqs karti hai
Tere gham main sulagta hoon to aankhain bheeg jaati hain 

Main hans kay jhail leta hoon judai ki sabhi rasmain 
Galay jab us kay lagta hoon to aankhain bheeg jaati hain 

NA janay ho gaya hoon hasaas is qadar main kab se
Kisi se baat karta hoon to aankhain bheeg jaati hain 

Woh sab guzray huye lamhaat mujh ko yaad atay hain 
Tumharay khat jo parhta hoon to aankhain bheeg jaati hain  

Main sara din bhout masroof rehta hoon magar joun hi 
Qadam chokhat pe rakhta hoon to aankhain bheeg jaati hain 

Her ik muflis kay maatahy par alam ki daastanain hain 
Koi chehra bhi parhta hoon to aankhain bheeg jaati hain 

Baray logon kay oonchay bad'numa aur sard mehlon ko 
Ghreeb aankhon se takta hoon to aankhain bheeg jaati hain 

Tere koochay se ab mera taaluq wajabi sa hai 
Magar jab bhi guzarta hoon to aankhain bheeg jaati hain 

Hazaron mousamon ki humkam'raani hai mere dil par 
"Wasi" main jab bhi hansta hoon to aankhain bheeg jaati hain 

Wohi aaj hum se khaffa hai jo muddaton meharbaan raha

Wohi aaj hum se khaffa hai jo muddaton meharbaan raha 
Na woh pehlay jaisi fiza rahi , na woh pahlay jaisa samaan raha 

Pur'kaif thi meri zindagi bas nazar kisi ki hi khaa gayi 
Mera haal-e-dil na samjh saka be'khabar yeh saara jahan raha 

Wohi chal dia hai nazar chura goya tha kabhi na woh ashnaa 
Main samjhi thi hai mufalata mujhay umar bhar yeh gumaan raha 

Karain dard apna kaisay biyaan nahin koi apna to raaz'daan 
Woh sitam shaar sada ka tha , tha jo meharbaan woh kahan raha 

Mujhay aqal kehti thi sabar kar woh hai be'wafa ussay bhool ja 
Main ne baat dil hi ki maan li mujhay rokta yeh jahan raha 

Ajab doh'raha hai , nahin mil raha kahin raasta 
Na to marna mujhay sehal lagay , na hi jeena mujh ko asaan raha

Main hosh main tha to us pe mar gaya kaisay

Main hosh main tha to us pe mar gaya kaisay 

Yeh zehar mere lahoo main utar gaya kaisay 

Kuch us kay dil main lagawat zaroor thi warna 

Woh mera haath daba kar guzar gaya kaisay 

Zaroor us ki tawaja ki reh'bari ho gi 

NAshay main tha to main apnay hi ghar gaya kaisay 

Jissay bhulaye kai saal guzar gaye

MAin aaj us ki gali se guzar gaya kaisay

Yeh bhi mumkin hai kisi roz na pehchanu ussay

Yeh bhi mumkin hai kisi roz na pehchanu ussay 

Woh jo har baar naya bhais badal leta hai 

Baar ha mujh se kaha tha mere yaaron ne wasi 

Ishq woh dariya hai jo bachon ko nigal leta hai

KAbhi to mera sanam mere paas aye ga

KAbhi to mera sanam mere paas aye ga 

Mujhay woh apni koi daastan sunaye ga 

Bahaar ka mujhay chehera dikhaei day ga zaroor

Woh phool ban kay aankhon main samaye ga 

Samjh kay apna ussay main galay lagaon ga 

Keh zindagi main meri aik din woh aye ga 

Jalti bujhti dhoop main gard hawa main rehna seekh liya

Jalti bujhti dhoop main gard hawa main rehna seekh liya 

Us ne bichar kar hijar ka ik ik mousam sehna seekh liya 

Sahil saahil takraye Jab choor huye to hum ne bhi 

Dariya ki lehron main lehrain ban kar behna seekh liya 

Apna dukh bas apna hi dukh hota hai yeh jaan liya 

Apnay aap se apni sari baatein karna seekh liya 

Nayi nawaili tanhai ki baanhon main baanhain daal kar 

Raat gaye tak nehar kinaray baithay rehna seekh liya 

Kiya janay kab kahan se churai meri ghazal

Kiya janay kab kahan se churai meri ghazal 

Us shokh ne mujh hi ko sunaai meri ghazal 

Poocha jo main ne us se kon hai khush naseeb 

Aankhon se muskura kay lagai meri ghazal 

Aik aik lafaz ban kay urra tha dhuwaan dhuwaan 

Us ne jo gun'gunaa kay sunai meri ghazal 

Her aik shakhs meri ghazal gungunay hai 

Imraan teri zubaan pe na ayi meri ghazal

Agar yaqeen nahin ata to azmaye mujhay

Agar yaqeen nahin ata to azmaye mujhay 
Woh aaina hai to phir aaina dikhaye mujhay 

Ajeeb chragh hoon din raat jalta rehta hoon 
MAin thak gaya hoon hawa se kaho bujhaye mujhay 

Main jis ki aankh ka aansoo tha us ne qadar na ki 
Bikhar gaya hoon to ab rait se uthaye mujhay 

Bhout dino se main in pathron main pathar hoon 
Koi to aye zara dair ko rulaye mujhay 

Main chahta hoon keh tum hi mujhay ijazat do 
Tumhari tarah se koi galay lagaye mujhay

Phoolon ki saij thi kaantay hazaar thay

Phoolon ki saij thi kaantay hazaar thay 

Doston kay bhais main dushman hazaar thay 

Rotay rahay raat ki tanhaiyon se lipat kar 

Subha phoolon par oos kay qatray hazaar thay 

Poocha jo us ne haal to muskuraa diye 

Go keh aankhon main aansoo , labon pe shikwaye hazaar thay 

Woh jo kiya karta tha da'awey mohabbat kay 

Us majnoo ki asteeno main bhi khanjar hazaar thay

Kuch baat main bhi shuroo karoon

Kuch baat main bhi shuroo karoon 
Kuch dair to tum bhi ruka karo

Kuch ghour se main bhi sunna karon 
Kuch baat to tum bhi kiya karo

Kuch soch kay main jo likha karon 
Kuch samjh kay tum bhi parha karo

Kuch lafaz jo main bhi chunna karon 
Tum ban kay ghazal bhi raha karo

Kuch tum bhi mujh se poocha karo 
Kuch main bhi tum se kaha karon 

Main saray shikwaye bhoolon par
Tum ghar main jaldi aaya karo 

Kuch dair to tum bhi ruka karo

Kuch baat main bhi shuroo karoon 
Kuch dair to tum bhi ruka karo

Kuch ghour se main bhi sunna karon 
Kuch baat to tum bhi kiya karo

Kuch soch kay main jo likha karon 
Kuch samjh kay tum bhi parha karo

Kuch lafaz jo main bhi chunna karon 
Tum ban kay ghazal bhi raha karo

Kuch tum bhi mujh se poocha karo 
Kuch main bhi tum se kaha karon 

Main saray shikwaye bhoolon par
Tum ghar main jaldi aaya karo 

Aap se mil kar hum kuch badal se gaye

Aap se mil kar hum kuch badal se gaye 
Shair parhnay lagay , gunguna'nay lagay 

Pehlay mashoor thi apni sanjeedagi
Ab to jab dekhaye muskuranay lagay 

Hum ko logon se milnay ka kab shouq tha 
Mehfil'araai ka hamain douq tha 

Aap kay wastay hum ne yeh bhi kiya 
Milnay julnay lagay , aanay jaanay lagay 

Hum ne aap ki dekhi dil'chaspiyan 
Aa gayi hum main bhi tabdeeliyan 

Ik musawar se bhi ho gayi dosti
Aur ghazlain bhi sunanay sunanay lagay 

Aap kay baray main pooch baitha koi 
Aya kahin hum se kiya bad'hawasi hui 

Kehnay wali thi jo baat woh na kahaei
Baat jo thi chupaani batanay lagay 

Ishq be'ghar karay , ishq be'dar karay 
Ishq ka sach hai koi thikana nahin 

Hum jo kal tak thay , thikanay kay aadmi 
Aap se mil kay kaisay thikanay lagay 

Baat kartay kartay ghabraa jana

Baat kartay kartay ghabraa jana 
Woh paas aa kay phir door chalay jana 
Woh muskurana , woh sharmana, woh ghabrana 

Woh kuch kehtay kehtay chup ho jana 
Woh aksar sochna mujhay tanhai main 
Jo main paas ayon to anjaan ban jana 

Woh door janay ka kahon to udaas ho jana 
Aur jo udaasi ka sabab poocho to kuch na kehna 
Her adaa us ki magar kehti hai keh 

Woh mujh se mohabbat karti hai 
magar woh zamanay se darti hai

Dukh ki kaali raat bhi dekho

Dukh ki kaali raat bhi dekho 
Ashkon ki baraat bhi dekho 

Sari duniya ghoomnay walo 
Sohni ka gujraat bhi dekho 

Jeet ka koi maza nahin hai
Kha kay koi maat bhi dekho 

Itna pyaar bhi acha nahin hai 
Doosray kay jazbaat bhi dekho 

Mere haal ko jana'nay wale 
Apna ik din haath bhi dekho

Chaand shreef ka doob raha hai 
Taaron kay halaat bhi dekho

Taaron kay halaat bhi dekho

Dukh ki kaali raat bhi dekho 
Ashkon ki baraat bhi dekho 

Sari duniya ghoomnay walo 
Sohni ka gujraat bhi dekho 

Jeet ka koi maza nahin hai
Kha kay koi maat bhi dekho 

Itna pyaar bhi acha nahin hai 
Doosray kay jazbaat bhi dekho 

Mere haal ko jana'nay wale 
Apna ik din haath bhi dekho

Chaand shreef ka doob raha hai 
Taaron kay halaat bhi dekho

Youn to shaakh se pattay gira nahin kartay

Youn to shaakh se pattay gira nahin kartay 

Bichar kay log ziada jiya nahin kartay 

Jo anay wale hain , mousam unhain shumaar main rakh 

Jo din guzar gaye un ko ginna nahin kartay 

Na dekha jaan kay us ne koi sabab ho ga 

Isi khyaal se hum dil bura nahin kartay

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...