Jan 4, 2015

Lahoo lohaan hua hai falak


Lahoo lohaan hua hai falak

Yeh kaisa loha pighla hai

Ik suraj doob gaya peechaye 

Ik suraj samnay nikla hai

Kill Dil Poetry



1

Ik khwaab ne aankhain kholi hain 
Kiy amor aya hai kahani main 
Woh bheeg rahi hai baarish main 
Aur aag lagi hai paani main 

2

Koi atka hua hai pal shayed 
Waqat main par gaya hai bal shayed 
Dil agar hai to dard bhi ho ga 
IS ka koi nahin hai hal shayed 

3

Lahoo lohaan hua hai falak 
Yeh kaisa loha pighla hai 
Ik suraj doob gaya peechay 
Ik suraj samnay nikla hai

Mujh se kiya gila hai tum ko , Aakhir itnay bad'gumaan kiyon ho


Mujh se kiya gila hai tum ko , Aakhir itnay bad'gumaan kiyon ho

Main ne tumhain chaha hai , tum se to kuch nahin chaha

Ajeeb si lagti hai shaam kabhi kabhi


Ajeeb si lagti hai shaam kabhi kabhi 

Zindagi lagti hai be'jaan kabhi kabhi 

Samjh aaye kabhi to hamain bhi batana 

Kiyon karti hain teri yaadain parishaan kabhi kabhi

Karni ho mohabbat to phir socha nahin kartay


Karni ho mohabbat to phir socha nahin kartay 
Anjaam ho jaisa bhi yeh dekha nahin kartay

Himmat na ho larnay ki to Ae jan-e-wafa sun 
Youn ishq kay maidaan main utra nahin kartay

Ae kaash koi zamanay ko itna hi bata day
Keh behtay huye dariyaon ko roka nahin kartay

Hotay hain khud'daar wohi log jahan main 
Jo mar jaatay hain magar yaar se dhoka nahin kartay

Hussan walay pyar main mehboob ko kya detay hain


Hussan walay pyar main mehboob ko kya detay hain 
Do din pyaar kiya phir bhula detay hain 

Aashiqon ki qismat hai bas tarapna
Girtay hain jo un kay aansoo woh zameen ko jala detay hain 

Is jahan mai apni khushiyon ki khatar aaye 
Log dosron ki khushiyon ka gala daba detay hain

Hussan walon se na tum itna pyaar karo
Yeh to aashiqon ki mout par bhi muskura detay hain 

Na karna Aaitabaar matlabi logon par 
Be'wafa log hi Aashiyana jala detay hain

Main pee kar nahin behakta, ussay dekh kar behakta hoon


Main pee kar nahin behakta, ussay dekh kar behakta hoon 

Itna bata sharab haram hui yo woh

Wajood pathar ka ho to sheeshon se mohabbat nahin kartay



Wajood pathar ka ho to sheeshon se mohabbat nahin kartay

Ehsaas-e-chahat na mili to pathar bhi toot jaya kartay hain

Ro rahay hain aaj hum bhi yeh qasoor faqat hamara hai


Ro rahay hain aaj hum bhi yeh qasoor faqat hamara hai

Hanstay thay hum bhi kabhi mohabbat karnay walon par

Kabhi bhool kar bhi na jana mohabbat kay jungle main


Kabhi bhool kar bhi na jana mohabbat kay jungle main 

Wahan saamp nahin insaan dasa kartay hain

Bari talab hai teray dedaar ki be'chain nighon ko


Bari talab hai teray dedaar ki be'chain nighon ko 

Kisi shaam chalay aayo in aankhon main raat ka khwaab ban kar

Tairna to ata tha hum ko mohabbat kay samandar main


Tairna to ata tha hum ko mohabbat kay samandar main 

Jab us ne hath na pakra to hamin doob jana acha laga

Sach hi kaha tha kisi ne tanhaa jeena seekh lo


Sach hi kaha tha kisi ne tanhaa jeena seekh lo 

Mohabbat jitni bhi sach ho rehna tanha hi parta hai

Maana keh nahin aata mujhay kisi ka dil jeetna


Maana keh nahin aata mujhay kisi ka dil jeetna

Magar yeh to batao keh yahan dil hai kis kay paas

Kuch raaz hain jo bataye nahin jaatay


Kuch raaz hain jo bataye nahin jaatay 

Kuch aansoo hain jo giraye nahin jatay

Hum woh bad'naseeb hain jo yaad nahin aatay

Aur aap woh kush'naseeb hain jo bhulaye nahin jatay

Dil karta hai lipat jaaon rooh ban ar teray jisam se


Dil karta hai lipat jaaon rooh ban ar teray jisam se 

Keh jab tu mujhay khud se juda karay to teri bhi jaan nikal jaye

Kabhi maang kar dekho tumharay liye to jaan bhi du dain gay


Kabhi maang kar dekho tumharay liye to jaan bhi du dain gay 

Hum dil walon ki qadar dil se nahin apni jaan se kartay hain
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...