Showing posts with label Wasif Ali Wasif Poetry. Show all posts
Showing posts with label Wasif Ali Wasif Poetry. Show all posts

Feb 17, 2015

Raastay main ik shajar hai zameen par para huwa


Raastay main ik shajar hai zameen par para huwa 
Sayaa magar hai apni anaa par arra huwa

Deeda'waron ne us ko banaya ameer-e-shaher 
Tha jis ki chasam-e-kour main pathar jurra huwa 

Kis kis se taziyat ka fareeza ada karoon 
Her Aadmi kay sar pe hai qutba garha huwa 

Toray ga kon waqat kay zalim jamood ko 
Ehal-e-hunar kay lab pe taala para huwa 

Qaatil bhi yaar thay meray maqtool bhi aziz 
Wasif main apnay aap main naadim bara huwa

Jul 8, 2014

Na aya hoon na main laya gaya hoon


Na aya hoon na main laya gaya hoon 

Main harf-e-kin hoon farmaya gaya hoon 

Meri apni nahin hai koi surat 

Her aik surat se behlaya gaya hoon 

Bhout badlay meray andaaz lakin 

Jahan khoya wahin paya gaya hoon 

Wajood-e-ghair ho kaisay gawara 

Teri raahon main basaya gaya hoon 

Na'janay kon si manzil hai "wasif"

Jahan nehlaa ke bulwaya gaya hoon
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...