Jun 20, 2017

Aks kitnay utar gaye mujh main


Aks kitnay utar gaye mujh main 
Phir na janay kidher gaye mujh main 

Main ne chaha tha zakham bhar jayein 
Zakham hi zakham bhar gaye mujh main 

Main woh pal tha jo kha gaya sadiyan 
Sab zamanay guzar gaye mujh main 

Yeh jo main hoon zara sa baqi hoon 
Woh jo tum thay , woh mar gaye mujh main 

Her ik baat pe kehtay ho tum keh "to kya hai "


Her ik baat pe kehtay ho tum keh "to kya hai "
Tum hi kaho keh yeh andaz-e-gutagoo kya hai 

Na shola main yeh karishma na barq main yeh adaa
Koi batao keh woh shokh-e-tund-e-khu kya hai 

Yeh rashk hai keh woh hota hai hum sukhan tum se
Wa'garna khouf-e-bad'amozi-e-adu kya hai 

Chipak raha hai badan par lahu se peh'rahan 
Hamari jaib ko ab hajit-e-rafu kya hai 

Jala hai jism jahan , dil bhi jal gaya ho ga !
Kuraidtay ho jo ab raakh , justagoo kya hai 

Ragon main doortay phirnay kay hum nahin qayel 
Jab aankh se hi na tapka , to phir lahu kya hai ?

Roshni bharr gayi nigahon main


Roshni bharr gayi nigahon main 

Ho gaye khawab be'amaan jaana
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...