Mar 24, 2015

Kathan safar hai mohabbaton ka seraab rastay hain soch lena


Kathan safar hai mohabbaton ka seraab rastay hain soch lena
Woh chor jatay hain ik qadam par jo saath chaltay hain soch lena

Yeh reet tum na nibha sako gay na sang rehnay ki baat karna 
Keh ishq walon ki raah guzar main chinaab aatay hain soch lena

Tumhain kaha tha keh ban kay apna dard deta hai zamana 
Tumhain kaha tha keh Aasteeno main saamp paltay hain soch lena 

Woh ik basti jahan pe hum tum milay thay mil kar bichar gaye hain 
Wahan par ab bhi meri wafa kay chragh jaltay hain soch lena 

Samajhtay thay magar phir bhi na rakhi dooriyan hum ne


Samajhtay thay magar phir bhi na rakhi dooriyan hum ne 
Chiraghon ko jalaanay main jalaa li ungliyaan hum ne 

Koi titli hamaray paas aati bhi to kya aati 
Sajaye umar bhar kaaghaz kay phool aur pattiyaan hum ne 

Youn hi ghut ghut kay mar jaana hamein manzoor tha lakin 
Kisi kam zarf par zaahir na ki majbooriyaan hum ne 

Hum uss mehfil main bas ik baar sach bolay thay 
Zubaan par umr bhar mehsoos chingariyaan hum ne  

Asool-e-ishq itna hai jhuka kay sar ,sub hukam maano


Asool-e-ishq itna hai 
Jhuka kay sar , sub hukam maano 

Kiyon ? kiya ? kaisay ?
Karnay se khafa mehboob hotay hain 

Sada apni rawish Ehal-e-zamana yaad rakhtay hain


Sada apni rawish Ehal-e-zamana yaad rakhtay hain 
Haqeeqat bhool jaatay hain fasaana yaad rakhtay hain 

Hajoom apni jaga tareek jungal kay darakhton ka 
Parinda phir bhi shaakh-e-ashiyaana yaad rakhtay hain 

Hamein andaaza rehta hai hamesha dost dushman ka 
Nishaani yaad rakhtay hain , nishana yaad rakhtay hain 

Hamari simat aik moj-e-turaab aayi to yaad aaya 
Keh kuch mousam hamein bhi ghaibaana yaad rakhtay hain 

Hum insaano se to yeh sang-o-kkasht-o-baam-o-dar achay 
Musaffir kab hua ghar se rawaana yaad rakhtay hain 

Dil main basa raha kabhi aankhon se beh gaya


Dil main basa raha kabhi aankhon se beh gaya 

Ae dard-e-yaar teray thikaanay ajeeb hain 

Kitab kab tak rahay gi saada , kabhi to aaghaz-e-baab ho ga


Kitab kab tak rahay gi saada , kabhi to aaghaz-e-baab ho ga 
Jinhon ne basti ujar dali , kabhi to un ka hisaab ho ga 

Shaher ki khushiyan mana'nay walo , shaher kay tewar bata rahay hain 
Abhi to itni ghutan barhay gi keh , saans lena bhi azaab ho ga 

Woh din gaye keh jab her sitam ko , Ada-e-mehboob keh kar chup thay 
Uthay gi hum par jab Eent koi , to pathar us ka jawaab ho ga 

Sukoon-e-sehra main basnay walo , zara rutton ka mizaaj samjho 
Jo aaj ka din sukoon se guzra , to kal ka mousam kharaab ho ga 

Nahin keh yeh sirf shairy hai , ghazal main tareekh-e-behissi hai 
Jo aaj shairon main keh diya hai , woh kal shareek-e-nisaab ho ga 

Bhool gaye afsanay kitnay


Bhool gaye afsanay kitnay 
Bikhray khwaab suhanay kitnay 

Dil to hai ik khwaab jazeera 
Us main hain veeranay kitnay 

Do aankhein hain dost teri 
Un main hain meh'khanay kitnay 

Saqi ne jab aankh milai
Toot gaye paimanay kitnay 

Shamma to ik raat jali thi 
Jal gaye thay parwane kitnay 

Apno ki tum baat na chairo
Apnay hain be'ganay kitnay 

Jungle jungle ronq dekhi 
Shehron main veerane kitnay 

Mujh ko mujh se cheen kay tora 
Ab bantay ho anjanay kitnay  

Marnay kay baad bhi meri aankhein khulli rahein


Marnay kay baad bhi meri aankhein khulli rahein 

Aadat jo par gayi thi teray intizaar ki 

Khushboo bhi us ki tarz-e-pazerai par gayi


Khushboo bhi us ki tarz-e-pazerai par gayi 
Dheeray se meray haath ko choo kar guzar gayi 

Aandhi ki zad main aaye huye phoolon ki tarah 
Main tukray tukray ho kay fiza main bikhar gayi

Shaakhon ne phool pehnay thay kuch dair qabal hi 
Kya ho gaya , qaba-e-shajar kiyon utar gayi

Un galiyon ka lams tha aur meri zulf thi
Gaisoo bikhar rahay thay to qismat sanwar gayi 

Utray na meray ghar main woh mahtaab rang log 
Meri dua-e-neem shabi be'asar gayi 

Misal-e-Aatish hai yeh rog-e-mohabbat


Misal-e-Aatish hai yeh rog-e-mohabbat

Roshan to khoob karti hai magar jala jala kar

Wafa kissay kehtay hain , yeh to mujhay maloom nahin


Wafa kissay kehtay hain , yeh to mujhay maloom nahin 

Youn chor jana wafa hai , to khoob nibhaai us ne 

Gum shuda abhi waqat hai


Gum shuda abhi waqat hai 
Abhi saans hai 
Abhi loat aa 
Meray gum-shuda 

Mujhay naaz hai 
Baray zabt ka 
Mujhay khoob rula 
Meray gum shuda 

Yeh nahin keh teray firaaq main
Main ujjar gaya ya bikhar gaya 
Haan 
Mohabbaton pe jo maan tha 
Woh nahin raha 
Meray gum shuda 

Mujhay ilm hai keh 
Tu chand hai kisi aur ka 
Magar aik pal

Meray Aasmaan-e-hayat pe 
Zara jag maga 
Meray gum-shuda 

Teray iltafaat ki baarishein 
Jo meri nahin to bata mujhay 
Tero dasht-e-chaah
Main kis liye 
Mera dil jala 
Meray gum-shuda 

Ghannay junglon main ghirra hoon 
Bara gup andhera hai chaar soo
Koi ik chragh to jal uthay 
Meray gum-shuda 

Mousam-e-baarish ki ab zaroorat nahin meray shaher ko "Ya'Rab"


Mousam-e-baarish ki ab zaroorat nahin meray shaher ko "Ya'Rab"

Keh ab teri rehmaton main bheeg janay kay liye Ramzan ki barkat hi kafi hai 

Agar manzil juda hai to janay do mujhay


Agar manzil juda hai to janay do mujhay 

Loat kay kab aayo gay poochtay kiyon ho 

Sambhala hai hosh jab se muqaddar sakht tar nikla


Sambhala hai hosh jab se muqaddar sakht tar nikla 
Para hai waasta jis se wohi teer-o-tabar nikla 

Sabaq deta raha umar bhar jo roshan khayali ka 
Ussay bhi jab paas se dekha to tang nazar nikla 

Samjh kar zindagi jis se mohabbat kar rahay thay hum 
Ussay jab choo kar dekha to faqat khaaki bashar nikla 

Mohabbat ka khumaar utra to sabit huwa  "Mohsin"
Jissay hum umar samjh rahay thay faqat be'maqsad safar nikla 

Na janay kya likh diya hai main ne madhoshi kay aalam main


Na janay kya likh diya hai main ne madhoshi kay aalam main 

Qaasid ki laash aayi hai khatt kay jawab main 

Qareeb hai jo zehan-o-khayal main meray Mohsin


Qareeb hai jo zehan-o-khayal main meray Mohsin 

Wohi hai door bhout door ! Aasmaan ki tarah 

Waqat-e-ruksat woh chup rahi magar


Waqat-e-ruksat woh chup rahi magar 

Aankh main phailta gaya Kajal 

Utaar lafzon ka ik zakheerah nazar ko taza khayal de day


Utaar lafzon ka ik zakheerah nazar ko taza khayal de day 
Khud apni shohrat pe rashk aaye nazar ko aisa kamaal de day

Sitaray taskheer karnay wala , paroshiyon se be'khabar hai 
Agar yahi hai urooj-e-aadam to phir tu hamein zawaal de day 

Teri taraf se jawaab aaye na aaye parwah nahin hai is ki 
Yeh hi bhout hai hum ko ya'rab tu sirf Azn-e-sawaal de day 

Hamari aankhon se ashk tapkein labon pe muskaan dorti hai 
Jo hum ne pehlay kabhi na paya tu ab kay aisa malaal de day 

KAbhi tumharay qareeb reh kar bhi dooriyon kay azaab jhailain 
Kabhi kabhi yeh tumhari furqat hai , hum ko lutf-o-malaal de day 

Tum ab kay loat aayo na guzarti shaam se pehlay


Tum ab kay loat aayo na guzarti shaam se pehlay 
Keh meray haath ko thaam lo nikalti jaan se pehlay pehlay 

Tumharay loat aanay ki hamein umeed hai jab se
Koi shama nahin bujhti hamari shaam se pehlay pehlay 

Keh ab loat aao na kahin phir dair na ho jaye 
Hamari jaan chali jaye teray iqraar se pehlay pehlay

Tum hi ko yaad kartay hain tum hi ko pyaar kartay hain 
Samjhtay kiyon nahin ho tum hamein ilzaam se pehlay pehlay

Keh ab jo ho sakay to bas yeh aik ehsaan kar do tum 
Keh apnay naam ko likh do hamaray naam se pehlay pehlay 

Woh aadat hai to aadat se kinara ho bhi sakta hai


Woh aadat hai to aadat se kinara ho bhi sakta hai 
Magar is saari koshish main khasara ho bhi sakta hai 

Rahein gay saath phir bhi hum , mohabbat mar gayi kya gham 
Keh masnoee tanaffus pe guzara ho bhi sakta hai 

Agar aankhein na bhar aayein , to dil mutthi main aa jaye 
Hua hai haal jo mera , tumhara ho bhi sakta hai 

Khulli aankhon main thehra khwaab , kaisay toot sakta hai 
Gumaan yeh zindagi bhar ka sahara ho bhi sakta hai 

Jo itni jag'magahat dekhtay ho Aas paas apnay 
YEh meri aankh se toota sitaara ho bhi sakta hai 

Hamein hairat se mat dekho , ab aisa kya , kiya hum ne ?
Zameeni ishq hai , doobara ho bhi sakta hai 

Laakh masmaar kiye jayein zamanay walay


Laakh masmaar kiye jayein zamanay walay 
Aa hi jatay hain naya shaher basanay walay 

Is ki zid par woh kabhi khud bhi to aa saktay hain 
Yeh kahan jaantay hain , aag laganay walay 

Ab to sawan main bhi barood barasta hai 
Ab woh mousam nahin baarish main nahanay walay 

Sar se jaata hi nahin wada-e-farwa ka junoon
Mar gaye adal ki zanjeer hilaanay walay 

Hum na kehtay thay tujhay waqat bhout zaalim hai 
Kya huye , ab woh teray naaz uthanay walay 

Saaye main baithi hui nasal ko maloom nahin
Dhoop ki nazar huye pairr laganay walay 

Ghar main dewaarein hain aur sehan main aankhein hain
Itnay azaad nahin wada nibhanay walay 

Tum aisa karna , koi jugnoo, koi staara sambhaal rakhna


Tum aisa karna , koi jugnoo, koi staara sambhaal rakhna 

Meray andheron ki fikar choro bas apnay ghar ka khayal rakhna 

Hamari aankhon ne jo mil kay dekhye woh saray sapnay sambhal rakhna

Na rang aankhon ka laal rakhna na weeran weeran sa haal rakhna 

Yeh judai apni to aarzi hai na dil main is ka malaal rakhna 

Tumhari saansein tumhari dharkan 

Suno 

Hamari Amanatein hain hamari khatar hi jaan-e-jana 

Hamesha apna khayal rakhna  



Uljhay huye hain palkon main shabnam kay se qatray


Uljhay huye hain palkon main shabnam kay se qatray 

Bichra tha koi raat ko khawaabon kay safar main 

Abhi koi chand mera hai , na sitara Mohsin


Abhi koi chand mera hai , na sitara Mohsin 
An kahan jaaon ga main dard ka maara Mohsin 

Mujh ko toofan main rehnay ki bhout aadat hai 
Mujh ko le jaao na saahil pe khudara Mohsin 

Dard ki raah main tum roz chalo gay kab tak ?
Ab bhi kar saktay ho tum hum se kinaara Mohsin 

Aag lag jaati hai apno kay dilon main jis se
Kartay kiyon ho wohi baat dobaara Mohsin 

Raat andheray main meray ghar ko jalaya kis ne 
Mujh ko yeh kaam bhi lagta hai tumhara Mohsin

Meray naam ki mehandi apnay haathon main saja kar


Meray naam ki mehandi apnay haathon main saja kar

Intizaar karay gi woh kisi ghair ki baraat ka

Hath diya us ne meray haath main


Hath diya us ne meray haath main 
Main to wali ban gaya ik raat main 

Ishq karo gay to kamaao gay naam 
Tohmatein bat'ti nahin khairaat main 

Sham ki kalrang hawa kya chali 
Dard mehaknay laga jazbaat main 

Haath main kaghaz ki liye chatrian 
Ghar se na nikla karo barsaat main 

Rabt barhaya na qateel is liye 
Farq tha dono kay khayalat main 

Ussay kaho ab to hamein milkiyat de de apni


Ussay kaho ab to hamein milkiyat de de apni 

Arsaa beet gaya mohabbat ki qistein bhartay bhartay 

Mohabbat main agar ghalat fehmi ilzaam tak ponchay


Mohabbat main agar ghalat fehmi ilzaam tak ponchay 
Kissay maloom kis ka naam , kis kay naam tak ponchay 

Teri aankhon kay thukraye huye woh log thay shayed 
Jo ik sharmindagi honton pe le kar jaan tak ponchay 

Sabhi raaston par thay shola fishaan halaat kay suraj
Bhout mushkil se hum un gaiso'on ki shaam tak ponchay

Kisi ne bhi na apni dharkano main di jaga jin ko
Woh saray wal'walay meray dil-e-na'kaam tak ponchay 

Saja kay aaye jab sonay ka chashma apni aakhon par 
Nazar hum muflison ki tab kahan us baam tak ponchay 

Qateel aaina ban jaao zamanay main mohabbat ka 
Agar tum chahtay ho shair-e-ilhaam tak ponchay  

Tumhain chahat se rakhein gay yeh wada raha tum se


Tumhain chahat se rakhein gay yeh wada raha tum se
Ik baar bas jana yeh nazrein to milaao hum se

Teri chahat kay hissay main koi shreek-e-jurm na ho ga 
Jab tak saans chalti hai yeh wada raha tum se

Meri uljhan ko suljha do meri dharkan ko qaraar de do
Milay dil ko tasalli jis se karo aisi guftagoo hum se 

Aisi chahat karein gay hum keh jis ki misaal de duniya
Kabhi na rooth janay ka bas ik wada karo hum se 

Meri dharkan sambhal jaye yeh be'chaini si mitt jaye 
Apni dharkan ko dharkan semila jaao youn bas hum se

Na tum se door reh payein na tum bin zindagi basar ho 
Meray seenay pe sar rakh kar yeh waday kiye thay tum ne hum se

Baharein loat aayein gi phir se zindagi milay gi woh 
Yeh saari Umeedain khuda'ra laga rakhi hain main ne tum se
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...