Aug 24, 2014

Be'tahasha , hai tujhay yaad kiya

Be'tahasha , hai tujhay yaad kiya 

Aur bhulaya bhi bhout hai tujh ko 

Sari ronaq hi teray dam se hai 

Aur teray bikhray huye gham se hai 

Jis qadar 

Main ne taaluq tera mehsoos kiya 

Itni gehraai to roohon main hua karti hai 

Itni yak'ta'ei kahan milti hai 

Faaslay wuqat'tain kho baithay hain 

Dooriyan pheeki parein 

Itni shiddat se tujhay socha hai 

Itni shiddat se tujhay chaha hai 

Shiddatein ishq ki meraaj hua karti hain

Itni shiddat se tujhay chaha hai

Be'tahasha hai tujhay yaad kiya 

Teri nigah kay jaadoo bikhartay jaatay hain

Teri nigah kay jaadoo bikhartay jaatay hain 

Jo zakham dil ko mile thay woh bhartay jaatay hain 

Teray baghair woh din guzar jaye aakhir 

Teray baghair yeh din bhi guzartay jaatay hain 

Liye chalo mujhay dariya-e-shouq ki mojo

Keh hamsafar to mere paar utar'tay jaatay hain 

Tamaam umar jahan hanstay khailtay guzri 

Ab us gali main bhi hum dartay dartay jaatay hain 

Main khwaishon kay gharonday banaye jaata hoon 

Woh mehnatein meri bar'baad kiye jaatay hain

Koi surat aashna apna na begaana koi

Koi surat aashna apna na begaana koi 

Kuch kaho yaaro yeh basti hai keh veerana koi 

Subha dam dekha to sara baagh tha gul ki tarah 

Shama kay taboot par roya na parwana koi 

Khilwaton main roye gi chuph chuph kat laila-e-ghazal 

Is biya'baan main na ab aye ga dewaana koi 

Hum'nasheen khamosh , dewarain bhi sunti hain yahan 

Raat dhal jaye to  phir chairain gay afsaana koi

Woh ayein ghar main hamaray khuda ki qudrat hai

Yeh hum jo hijar main dewaar-o-dar ko dekhtay hain 

Kabhi saba ko kabhi naama-e-bar ko dekhtay hain 

Woh ayein ghar main hamaray khuda ki qudrat hai 

Kabhi hum un ko kabhi apnay ghar ko dekhtay hain 

Nazar lagay na kahin us kay dast-o-zabu ko 

Yeh log kiyon meray zakham-e-jigar ko dekhtay hain 

Teray jawahir-r-taraf-e-kala ko kiya dekhain 

Hum uuj-e-talaa-e-laal-o-gohar ko dekhtay hain

Meharbaan ho keh bulaa lo mujhay , chaho jis waqat

Meharbaan ho keh bulaa lo mujhay , chaho jis waqat 

Main gaya waqat nahin  hoon keh phir aa bhi na sakon 

Zef main tana-e-agiyaar ka shikwa kiya hai 

Baat kuch sar to nahin hai keh uthaa bhi na sakon 

Zehar milta hi nahin mujh ko , sitam'gar warna 

Kiya qasam hai tere milnay ki keh khaa bhi na sakon

Karta hoon jamaa main to bikharti hai zaat aur

Karta hoon jamaa main to bikharti hai zaat aur 

Baaqi hai kitni Ae mere Maula, yeh raat aur 

Leti hai jalti shaam bhi bujhnay main kuch to waqat 

Hai aadmi sa koi kahan be'sabaat aur 

Sailaab jaisay leta hai dewaar ko qadam 

Karta hai gham bhi dil se koi waar'daat aur

Youn to hazoor-e-pak (Saw) kay laakhon hain madaah khwaan 

Taaib se likh raha hai magar kon naat aur 

Mazhar, azal kay husan kay amjad hain be'shumaar 

Lakin jo dekhiye to hai baarish ki baat aur 

Teri baatein hi sunanay aaye

Teri baatein hi sunanay aaye

Dost bhi dil hi dukaanay aaye

Phool khiltay hain to hum sochtay hain 

Tere aanay kay zamanay aaye

Aisi kuch chup si lagi hai jaisay 

Hum tujhay haal sunaanay aaye

Ajnabi dost hamain daikh keh hum 

Kuch tujhay yaad dilaanay aaye 

Dil dharakta hai safar kay hangaam 

Kaash phir koi bulaanay aye 

Ab to ronay se bhi dil dukhta  hai 

Shayed ab hosh thikaane aaye

So raho mout kay pehlu main faraz 

Neend kis waqat na'janay aaye 

Dost bhi dil hi dukaanay aaye

Teri baatein hi sunanay aaye

Dost bhi dil hi dukaanay aaye

Phool khiltay hain to hum sochtay hain 

Tere aanay kay zamanay aaye

Aisi kuch chup si lagi hai jaisay 

Hum tujhay haal sunaanay aaye

Ajnabi dost hamain daikh keh hum 

Kuch tujhay yaad dilaanay aaye 

Dil dharakta hai safar kay hangaam 

Kaash phir koi bulaanay aye 

Ab to ronay se bhi dil dukhta  hai 

Shayed ab hosh thikaane aaye

So raho mout kay pehlu main faraz 

Neend kis waqat na'janay aaye 

Kiya rukhsat-e-yaar ki gharri thi

Kiya rukhsat-e-yaar ki gharri thi 

Hansti hui raat ro pari thi 

Hum khud hi huye tabbah warna 

Duniya ko hamari kiya pari thi 

Yeh zakham hain usn dino ki yadain 

Jab aap se dosti barhi thi 

Jaatay to kidhar ko tere wehshi

Zanjeer-e-junoon karri pari thi 

Gham thay keh faraz aandhiyaan thein 

Dil tha keh faraz pank'kharri thi 

Jin kay dam sy thein bastiyaan abaad

Jin kay dam sy thein bastiyaan abaad 

Aaj woh log hain kahan abaad 

JAl rahay hain haray bharray gul'zaar 

Gham huye hain kahan kahan abaad 

Keh rahi shakistagi dil ki 

Tha makeeno se yeh dil abaad 

Hum ne dekhi hai gosha-e-dil main 

Ek duniya-e-be'karaan abaad 

Chand manzir ujaarnay walo 

Ho rahay hain kai jahan abaad 

Ghar jala kar na ro mohabbat main 

Yeh to hota hai khanma abaad 

Kitnay tere faraz toot chukay 

Hai abhi tak yeh khak'daan abaad

Gawara bhi sahi jo dukh teray hain

Gawara bhi sahi jo dukh teray hain 

Magar hum ko koi gham doosray hain 

Ajab ehal-e-chaman kay din phirray hain 

Bahaaron kay bagoolon main ghiray hain 

Watan main waza'daari ne na chora 

Praye shaher main dar dar phiray hain 

Samaya phir na duniya ki nazar main 

Na janay kis bulandi se giray hain 

Ghaneemat hai jo hans kay baat kar lain 

Hamain mat chairiye hum sar phiray hain 

Jo duniya kay huye woh sakhat roye 

Khoosha woh log jo ab tak teray hain 

Faraz aaj ittafaqan mil gayi thi 

Yeh saahib bhi deewane nire hain

Dil pe ik tarfa qayamat karna

Dil pe ik tarfa qayamat karna 

Muskuraatay huye rukhsat karna 

Achi aankhin jo mili hain us ko 

Kuch to laazim hua wehshat karna 

Jurm kis ka tha , saza kis ko mili 

Kiya gayi baat pe hujjat karna 

Kon chahye ga tumhain meri tarah 

Ab kisi se na mohabbat karna 

Ghar ka darwaza khula rakha hai 

Waqat mil jaye to zehmat karna

Muskuraatay huye rukhsat karna

Dil pe ik tarfa qayamat karna 

Muskuraatay huye rukhsat karna 

Achi aankhin jo mili hain us ko 

Kuch to laazim hua wehshat karna 

Jurm kis ka tha , saza kis ko mili 

Kiya gayi baat pe hujjat karna 

Kon chahye ga tumhain meri tarah 

Ab kisi se na mohabbat karna 

Ghar ka darwaza khula rakha hai 

Waqat mil jaye to zehmat karna

Meri wafa ne khilaye thay jo gulaab saare jhulas gaye hain

Meri wafa ne khilaye thay jo gulaab saare jhulas gaye hain
Tumhari aankhon mai jis qadar the wo khuwab saare jhulas gaye hain

Meri zameen ko kisi naye haadsey ka hai intizar shayad
Gunah phalne lage hain ajr-o-sawab saare jhulas gaye hain

Jo tum gaye to meri nazar pe haqeeqaton ke azaab utre
Yeh sochta hun ke kiya karun ga saraab saare jhulas gaye hain

Yeh mojza sirf ik shab ki musafaton ke sabab hua hai
Tumhare aur mere darmiyan ke hijaab saare jhulas gaye hain

Usay batana ke us ki yaadon ke saare safhey jala chuka hun
Kitaab-e-dil mai raqam the jitne wo baab saare jhulas gaye hain

Nazar uthaaon mai jis taraf bhi muheeb saaye hain zulmaton ke
Yeh kiya ke mere naseeb ke mahtaab saare jhulas gaye hain

Tumhari nazron ki yeh tapish hai ke mere lafzon pe aablay hain
Sawal saare jhulas gaye hain jawab saare jhulas gaye hain

Yeh aag khamoshiyon ki kaisi tumhari aankhon mai tairti hai
Tumhare honton pe darj the jo nisaab saare jhulas gaye hain

Tumhari aankhon mai jis qadar the wo khuwab saare jhulas gaye hain

Meri wafa ne khilaye the jo gulaab saare jhulas gaye hain

Kitni zulfen khulein kitne aanchal urry chand ko kiya khabar

Kitni zulfen khulein kitne aanchal urry chand ko kiya khabar
Kitna maatam hua kitnay aansoo bahe chand ko kiya khabar

Muddaton us ki khuwahish mai chalte rahe haath aata nahi

Chah mai is ki pairon mai hain aablay chand ko kiya khabar

Wo jo nikla nahi to bhatakte rahe hain musafir kai

Aur lut’te rahe hain kai qaaflay chand ko kiya khabar

Wo to apni nagri mai madhosh hai kab se khamosh hai

Kon raja bana kitne syed lutay chand ko kiya khabar

Is ko daawa bohot meethe-pan ka wasi chandni se kaho

Is ki kiranon se kitne hi ghar jal gaye chand ko kiya khabar

Mera ek sapna hai keh dekhu tujhe sapno main

Mera ek sapna hai keh dekhon tujhe sapno main
Tu mane na mane hai tuhi mere apno main
Mera ek sapna hai ki dekhon tujhe sapno main
Tu mane na mane hai tuhi mere apno main
Ho dhadkan sa chalta hai ye kaisa rishta hai
Mera ek sapna hai ki dekhon tujhe sapno main
Tu mane na mane hai tuhi mere apno main
Nindo me hasti hu, khwabo me udati hu
Mera ek sapna hai ki dekhon tujhe sapno main
Tu mane na mane hai tuhi mere apno main

Ab tak kisi ki chahat mere lab tak thi
Teri nazar ne dil pe mere dastak di
Ab tak kisi ki chahat mere lab tak thi
Teri najar ne dil pe mere dastak di
Jage soye khoi khoi tanhai me kya halat gazab hui
Mera ek sapna hai ki dekhon tujhe sapno me
Tu mane na mane hai tuhi mere apno me
Nindo me hasti hu, khwabo me udti hu
Mera ek sapna hai ki dekhon tujhe sapno me
Tu mane na mane hai tuhi mere apno me

Man ki dagar pe mudke hum kidhar jaye
Ho tere ishare roke hum jidhar jaye
Man ki dagar pe mudke hum kidhar jaye
Ho tere ishare roke hum jidhar jaye
Chalte chalte rukte rukte
Kismat meri kya karwat badal gayi
Mera ek sapna hai ki dekhu tujhe sapno main
Tu mane na mane hai tuhi mere apno main
Mera ek sapna hai ki dekhu tujhe sapno main
Tu mane na mane hai tuhi mere apno main
Ho dhadkan sa chalta hai ye kaisa rishta hai
Mera ek sapna hai ki dekhu tujhe sapno main
Tu mane na mane hai tuhi mere apno main
Hai tu hi mere apno main

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...