Mar 17, 2016

Do qadam ab khud se aagay naqsh-e-paa , pata hoon main


Do qadam ab khud se aagay naqsh-e-paa , pata hoon main
Yaad tha jo kuch mujhay woh bhulta jata hoon main

Chonk uth'ta hoon achanak main kisi kay naam par
Aur bahanay se ussi ki baat dohraata hoon main

Us shajar ko kaisay chooron main khizan se paish'tar
Ae hawa-e-tund ! lamha bhar thehr aata hoon main

Yaar heeray ki kani hai , aur pyar ik Aaina
Yehni ! Saad ik sang dil se dil kaat kar laata hoon main

Her kisi ki dastaras main kuch na kuch hai Saad jee
Baad mehroomi kay goya khoob pachta'ta hoon main 

Kya karon aik hi halat main sada rehta hoon


Kya karon aik hi halat main sada rehta hoon 
Misal-e-gul main bhi to kaanton main phansa rehta hoon 

Meray andar abhi mousam hai teri yaadon ka 
Zard rutt main bhi jo phoolon se lada rehta hoon 

Khush gumani nahin koi mujhay ab yaaron se 
Bad'gumani ki aziyat se bacha rehta hoon 

Dekh kaisay mujhay nafrat se sabhi dekhtay hain 
Main mohabbat main nishana sa bana rehta hoon 

Jor rakhta hoon main nata teri her yaad kay saath 
Reh kay masroof main duniya se kata rehta hoon
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...