Sep 10, 2014

JAb piya milan ko jaaon


JAb piya milan ko jaaon

MAin barkha rut ban jaaon

Nainon se neer bahaaon

Jab piya milan ko jaaon

Kaaton din raat safar main

Anjaani pareet dagar main

Main loat kay phir na aayon

Jab piya milan ko jaayon

Her waqat "Lateef" hai kehta

Mujh ko hai dhiyaan usi ka

Main geet usi kay gaayon

Jab piya milan ko jaaon

Mera lafaz lafaz , dua dua



 Mera lafaz lafaz , dua dua

Meray aansoo'on se dhulaa hua

Tumhain zindagi ki sehar milay

Tumhain khushiyon ka safar milay

Tum par dard-e-gham kabhi na paray

Tum pe khushiyon ki barsaat ho

Aur taweel teri hayaat ho

Inkaar kay moti , kabhi iqraar kay moti


Inkaar kay moti , kabhi iqraar kay moti

Is dil ne proye hain , teray pyaar kay moti

Karta tha bhout dair se woh in ka taqaza

Honton se meray bikhray hain izhaar kay moti

Kartay hain asar dil pe bhout jald woh aksar

Jharray zabano se jo guftaar kay moti

Guzri hoon kai baar main gulshan ki fiza se

Yaadon main saja rakhye hain meh'kaar kay moti

Lay ayi hoon bazaar main tasneef main apni

Biktay hain yahan roz hi funkaar kay moti

IS waastay gehra hai kitaabon se taaluq

Chunti hoon shab-o-roz main afkaar kay moti

Her haal main laazim hai karain in ki hifaazat

Ta'binda sada rehtay hain kirdaar kay moti

Mehnat se traasha hai inhain main ne hameesha

HAin jaan ase pyaaray mujhay ashaar kay moti

Ab kon bhala gul se unhain cheen sakay ga

Jab dil main chupa rakaye hain dil'daar kay moti

Koyal ki awaaz


Koyal ki awaaz

Ae koyal tu kitni khoobsurat hai

Bil'kul dosti kay rishtay ki tarah

Ae koyal teri awaaz

Dosti ki khushboo ki tarah pyaari hai

Tu jab bolti hai to teri awaaz

Logon kay dilon main lagti hai

Bilkul isi tarah

Jis tarah dosti ka rishta dil se hota hai

Ae koyal teri awaaz kitni ba'wafa hai

Chahaye kuch bhi ho jaye , zindagi main tera saath nahin chorti

Jab keh dosti ka rishta to kabhi kabhi be'wafa bhi ho jaata hai

Ae koyal tu kitni khush qismat hai

Tu hamesha apni is khoob'surat awaaz se

Dosti ki khushboo bakhairti rahay

Jo meri zindagi ka saathi tha


Jo meri zindagi ka saathi tha

Us ne bhi bhulaa diya mujh ko

Dil main jo rehta tha dharkan ban kar

Usi ne nazron se gira diya mujh ko

Jo meri aankh main ansoo nahin dekh sakta tha

Usi sang dil ne rulaa diya mujh ko

Meri chahat main kiya kami thi yeh to bata

Meri wafaon ka yeh sila diya mujh ko

Woh khud hi be'wafa ho gaya mujh se

Pyaar kay daway kar kay be'aasra kar diya mujh ko

Abhi to kuch dair lagay gi


Abhi to kuch dair lagay gi

Un ko waqat chaheya

Warna

Yeh zakham

Na'soor ban jayein gay

Phir ! kabhi munda'mil na payein gy

Aakhir ko thak kar

Zindagi haar jaye gi

Mout jeet jaye gi

Yeh zakham denay walay

Kiya jaanein

Kitna bara juram kar kay

Pur'sakoon hain

Zameer bhi malamaat nahin karta

YEh kaisa ehsaas paya hai

In be'hiss logon ne

Ilzaam dy kar

Baat ko badal detay hain

Phir !

Jhoot se mut'maein kartay hain  

Main geet usi kay gaayon


JAb piya milan ko jaaon 
MAin barkha rut ban jaaon 

Nainon se neer bahaaon 
Jab piya milan ko jaaon 

Kaaton din raat safar main 
Anjaani pareet dagar main 

Main loat kay phir na aayon 
Jab piya milan ko jaayon 

Her waqat "Lateef" hai kehta 
Mujh ko hai dhiyaan usi ka 

Main geet usi kay gaayon 
Jab piya milan ko jaaon

Tumhain zindagi ki sehar milay


Mera lafaz lafaz , dua dua

Meray aansoo'on se dhulaa hua 

Tumhain zindagi ki sehar milay 

Tumhain khushiyon ka safar milay 

Tum par dard-e-gham kabhi na paray 

Tum pe khushiyon ki barsaat ho 

Aur taweel teri hayaat ho

Be'gharz kon dil ganwaata hai


Be'gharz kon dil ganwaata hai 

Teri qeemat adaa ham hi se hui 

Saei tajdeed dosti "Nasir"

Aaj kiya baar ha hamhi se hui

Dil shakista aaj ro raha hai bhout


Dil shakista aaj ro raha hai bhout 

Hum ne hi waqat ko ganwaya hai bhout 

Tu bad'gumaan hai hum se is ka dukh nahin 

Hum ne hi teri mohabbat ko azmaya hai bhout

Meray kamray main paray hain , meri qismat kay najoom


Meray kamray main paray hain , meri qismat kay najoom 

Her taraf bikhray risaalay aur kitaabon ka hajoom 

Ab jaga kaafi nahin hai , meray rehnay kay liye 

Main ne kitna parh liya hai , kuch na kehnay kay liye

Karam ki bheek na dy , apna takhat bakhat sambhaal


Karam ki bheek na dy , apna takhat bakhat sambhaal 

Zarooraton ka khuda tu, to faqeer hum bhi nahin 

Hamari doobti hui nabzon se zindagi na maang 

Sakhi to hain magar  itnay ameer hum bhi nahin 

Is dil ne proye hain , teray pyaar kay moti


Inkaar kay moti , kabhi iqraar kay moti 
Is dil ne proye hain , teray pyaar kay moti 

Karta tha bhout dair se woh in ka taqaza
Honton se meray bikhray hain izhaar kay moti 

Kartay hain asar dil pe bhout jald woh aksar 
Jharray zabano se jo guftaar kay moti 

Guzri hoon kai baar main gulshan ki fiza se 
Yaadon main saja rakhye hain meh'kaar kay moti 

Lay ayi hoon bazaar main tasneef main apni 
Biktay hain yahan roz hi funkaar kay moti 

IS waastay gehra hai kitaabon se taaluq
Chunti hoon shab-o-roz main afkaar kay moti 

Her haal main laazim hai karain in ki hifaazat 
Ta'binda sada rehtay hain kirdaar kay moti 

Mehnat se traasha hai inhain main ne hameesha 
HAin jaan ase pyaaray mujhay ashaar kay moti 

Ab kon bhala gul se unhain cheen sakay ga 
Jab dil main chupa rakaye hain dil'daar kay moti

Ae koyal tu kitni khoobsurat hai


Koyal ki awaaz

Ae koyal tu kitni khoobsurat hai 

Bil'kul dosti kay rishtay ki tarah 

Ae koyal teri awaaz

Dosti ki khushboo ki tarah pyaari hai 

Tu jab bolti hai to teri awaaz

Logon kay dilon main lagti hai 

Bilkul isi tarah 

Jis tarah dosti ka rishta dil se hota hai 

Ae koyal teri awaaz kitni ba'wafa hai 

Chahaye kuch bhi ho jaye , zindagi main tera saath nahin chorti 

Jab keh dosti ka rishta to kabhi kabhi be'wafa bhi ho jaata hai 

Ae koyal tu kitni khush qismat hai 

Tu hamesha apni is khoob'surat awaaz se 

Dosti ki khushboo bakhairti rahay

Woh khud hi be'wafa ho gaya mujh se


Jo meri zindagi ka saathi tha 

Us ne bhi bhulaa diya mujh ko 

Dil main jo rehta tha dharkan ban kar 

Usi ne nazron se gira diya mujh ko 

Jo meri aankh main ansoo nahin dekh sakta tha 

Usi sang dil ne rulaa diya mujh ko 

Meri chahat main kiya kami thi yeh to bata 

Meri wafaon ka yeh sila diya mujh ko 

Woh khud hi be'wafa ho gaya mujh se

Pyaar kay daway kar kay be'aasra kar diya mujh ko

Baat ko badal detay hain


Abhi to kuch dair lagay gi 
Un ko waqat chaheya
Warna 
Yeh zakham 
Na'soor ban jayein gay 
Phir ! kabhi munda'mil na payein gy 
Aakhir ko thak kar 
Zindagi haar jaye gi 
Mout jeet jaye gi 
Yeh zakham denay walay 
Kiya jaanein 
Kitna bara juram kar kay 
Pur'sakoon hain 
Zameer bhi malamaat nahin karta 
YEh kaisa ehsaas paya hai 
In be'hiss logon ne 
Ilzaam dy kar 
Baat ko badal detay hain 
Phir !
Jhoot se mut'maein kartay hain  

YEh aur baat keh mazil pe hum ponch na sakay


YEh aur baat keh mazil pe hum ponch na sakay 

Magar yeh kam hai keh raahon ko chaan baithay hain 

Ab yeh aur gardish-e-taqdeer kiya staye gi 

Mitta kay ishq main naam0o0nishaan baithay hain

Waqat-o-halaat bhool jaatay hain


Waqat-o-halaat bhool jaatay hain 

Aik aik baat bhool jaatay hain 

Had to yeh hai keh log lamhon main 

Apni aoqaat bhool jaatay hain

Yousaf na thay sar-e-bazaar aa gaye


Yousaf na thay sar-e-bazaar aa gaye 

Khush fehmiyaan yeh thein keh kharidaar aa gaye

Zindagi chup gayi her baar awaaz dy kar 

Hum aisay sada dil keh her baar aa gaye

Tumhain chah kar bhout khatta ki hai


Tumhain chah kar bhout khatta ki hai 

Na poocho kiya qeemat ada ki hai 

Ab barastay nahin yaadon kay baadil 

Aankh jab se sehraa ki hai

Teri muskuraahatain kabhi kam na hon


Teri muskuraahatain kabhi kam na hon 

Teri aankhain kabhi nam na hon 

Tujhay mile zindagi ki her khushi ae dost 

Bhalay is khushi main hum na hon

Sab hi log to kabhi bhi achay nahin rehtay


Sab hi log to kabhi bhi achay nahin rehtay 

Jin se sach seekha ho woh bhi sachay nahin rehtay 

Kiyon aisa hai aaitabaar ki tooti dehleezon pe

Jo bhout hon apnay apnay nahin rehtay

YEh kooy-e-malaamat hai , hawadis ka khatar kiya


YEh kooy-e-malaamat hai , hawadis ka khatar kiya 

Manzil ki tamana hai to parwaaye safar kiya 

YEh raah talab hai , to udhar aur udhar kiya 

YEh zikar-e-wafa hai to agar aur magar kiya

Main keh shayed paband-e-slaasal hoon aik muddat se


Main keh shayed paband-e-slaasal hoon aik muddat se

Surmai la hasil hoon ik muddat se

Klaaiyaan sooni , maang bhi veeraan hai 

Main khud se ghafil hoon aik muddat se

Hai ibaadat ki tarah naam tumhara bhi mujhay


Hai ibaadat ki tarah naam tumhara bhi mujhay 

Tum saheefay ki tarah zameen se utra na karo 

Dil ko be'chain sa karti hain tumhari aankhain 

Raat ko der tak tum mujh ko socha na karo

Manoos hoon itna teri karbal ki zameen se


Manoos hoon itna teri karbal ki zameen se

Main dafan kahin hoon , magar uthon ga waheen se 

Karbal se najaf tak ho safar aakhri mera 

Main us kay siwa kuch nahin maangon ga kahin se

Apni yaad ki khushboo mujh ko waan karo


Apni yaad ki khushboo mujh ko waan karo 

Aur apnay dil main aanay do 

Ya meri jholi bhar do 

Ya mujh ko mar jaanay do

Meri mohabbat kay dono aalam ,tamaam roshan tamaam mehkam


Meri mohabbat kay dono aalam ,tamaam roshan tamaam mehkam 

Main yaad karna bhi jaanta hoon , main yaad aana bhi jaanta hoon 

Nazar nazar main kaam'raani , qadam qadam pe hai kamyaabi

Magar magar koi muskuraa kay dekhay , to haar jaana bhi jaanta hoon 


Chupaya nahin jaa sakta , dikhaya nahin jaa sakta


Chupaya nahin jaa sakta , dikhaya nahin jaa sakta 

Mohabbat rog kaisa hai , bataya nahin jaa sakta 

Yeh chahat raat ko bachon ki maanind jaag jaati hai 

Ussay phir loriyaan dy kay sulaya nahin jaa sakta 

Zarkhaiz zameenain kabhi banjar nahin hotein


Zarkhaiz zameenain kabhi banjar nahin hotein 

Dariya badal letay hain rasta ussay kehna 

Kuch log safar kay liye hotay nahin mozoon 

Kuch raastay kat'tay nahin tanha ussay kehna 

Jab yeh barasta sawan dil ka chain chraata hai


Jab yeh barasta sawan dil ka chain chraata hai 

Teri judai ka gham mujh ko her lamha tarpaata hai 

Jab baarish ka koi qatra chehra mera choota hai 

Lams Woh us ka mujh se teray lams ki pyaas barhaata hai 

MAin kahan tak teri yaadon kay ta'aaqub main rahoon


MAin kahan tak teri yaadon kay ta'aaqub main rahoon 

Main jo gum hoon , to kabhi mera pata ly tu bhi 

Main ne ik umar ko khyaalon main teray naam kiya 

Apnay ehsaas ko kar meray hawalay tu bhi

Youn hi chaand ko taktay huye


Youn hi chaand ko taktay huye

Mujhay beetay zamanay phir yaad aye

Aankhon se ashk rawaan huye 

Jab zakham puraanay phir yaad aye 

Jab koi kisi ko pyaar se bulaye 

Aisay main woh mujhay phir yaad aye 
 

Jab se teray naam kar di zindagi , achi lagi


Jab se teray naam kar di zindagi , achi lagi 

Tera gham acha laga , teri khushi achi lagi

Tera chehra , teri khushboo , tera lehja , teri baat 

Dil ko guftagoo ki saadgi achi lagi

Teray firaaq kay lamhay shumaar kartay huye


Teray firaaq kay lamhay shumaar kartay huye

Bikhat chale hain tera intizaar kartay huye

Tumhain khabar hi nahin hai koi toot gaya 

Mohabbaton ko bhout pai'daar kartay huye

Behtar hai Keh chahat main her baat bhulaa dain


Behtar hai Keh chahat main her baat bhulaa dain 

Be'taabi barhay jis se us kaam se kiya haasil 

Chahat kay badlay  main hum to baich dain apni marzi ko 

Koi banay to dil ka gaahak , koi apnaaye to hamain 

Her ik sajda maqbool-e-khuda ho jaye


Her ik sajda maqbool-e-khuda ho jaye

Aap ki duaon kay sang rab ki raza ho jaye

Milain aap ko woh khushiyaan keh 

Hazaar saal tak gham aap se khafa ho jaye

Tum kabhi na meri azmaaish kar sako gay


Tum kabhi na meri azmaaish kar sako gay 

Jaan se ziada kiya farmaaish kar sako gay 

Pyaar kartay hain itna jitna samandar main paani 

Kiya samandar kay paani ki paimaa'ish kar sako gay

Tujh ko bhi mujh se cheen liya


Tujh ko bhi mujh se cheen liya 

Meray liye jahaan main kuch bhi bacha nahin 

Zanjeer teray paaon main majbooriyon ki hai 

Main tujh ko jaanta hoon keh tu be'wafa nahin hai

Lagta yeh hai keh jheel ki gehraai bhi kuch nahin


Lagta yeh hai keh jheel ki gehraai bhi kuch nahin 

In ki haseen aankhon main jab jhaanktay hain hum 

Maangain agar woh jaan bhi haazir hai dosto

In ki koi bhi baat kahaan taaltay hain hum 
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...