Showing posts with label Asif Shahzad Poetry. Show all posts
Showing posts with label Asif Shahzad Poetry. Show all posts

Dec 11, 2014

Haal us ka teray chahray pe likha lagta hai


Haal us ka teray chahray pe likha lagta hai

Woh jo chup chaap kharra hai tera kiya lagta hai

Youn teri yaad main din raat magan rehta hoon

Dil dharkanaa teray qadmon ki sada lagta hai

Youn to her cheez salaamat hai meri duniya main

Ek taaluq hai keh jo toota hua lagta hai

Ae meray jazba-e-doraan mujh main kashish hai itni

Jo khataa hota hai woh teer bhi aa lagta hai

Jaanay main konse pasti main gira hoon "shehzad"

Is qadar door hai suraj keh diya lagta hai

Aug 19, 2014

Yaad aatay ho shaam dhaltay hi


Yaad aatay ho shaam dhaltay hi 
Jal gaya dil chragh jaltay hain 

Gham kay darwaze khul gaye mujh par 
Halki halki hawa kay chaltay hi 

Khud ko tabdeel kar liya tum ne 
Ik naya hum'safar badaltay hi 

Gir kay bhi hum sambhal gaye yaro
Aur tum gir paray sambhaltay hi 

Phail jaati hai chandani her soo
Chaand kay baam par nikaltay hi 

Laakh gham aur aa gaye "Shehzad''
Aik gham mere sar se taltay nahin 

Poet : Asif Shehzaad
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...