May 3, 2015

Safar khathan tha magar sehal kar diya us ne


Safar khathan tha magar sehal kar diya us ne 

Jo shakhs loot kay asbaab le gaya mera

Main udas hon tere hijr main


Main udas hon tere hijr main
Muje bojh lgti hai zindgi
Sar-e-bazm yoon muje dekh kr
Tere muskrane ka shukria

Teri yad kis kis bhes mein
Mere sher-o-naghma men dhal gai 
Ye kamal tha teri yad ka
Muje yad ane ka shukria

Muje khasta haal dekh kr
Tere phool se hont khil uthy
Muje apne haal ka gham nahi
Tere muskrany ka shukria

Jo zmane bhar ka asool tha
Wo asool tu ne nibha dia
Yehi rasm thehri hai mout'bar
Muje bhool jane ka shukria

Na hum matlabi hain aor na hum mufaad parast




Na hum matlabi hain aur na hum mufaad parast


Ye alag baat hai jis ki jaisi soch thi, us ne wesa samjha humain

Teri talash mein nikloon bhi to kya fayeda


Teri talash mein nikloon bhi to kya fayeda

Tu badal gaya hy, khoya hota to alag baat thi

Zindagi ki rahon main tm bi chor gaye akhir


Zindagi ki rahon main tm bi chor gaye akhir
Bary hmdard bnty thy mera dil tor gaye akhir

Tm pe to bary maan thy meri umeedon ko
Ab kis se gila kron tm hi moh mor gaye akhir

Log to chlo log thy unho ne jo kiya so kiya
Bhri duniya main aj tm bi tanha chor gaye akhir

Tm to kehty thy hum wo nhi k chorein apno ko
Apny wady apni kasmen khud hi tor gaye akhir

Wah kya khoob dosti nibhaayi hai tum ne
Dost ko rah main rota chor gay akhir

Jab kisi jaam ko honton se lgaya mein ne



Jab kisi jaam ko honton se lgaya mein ne
Raqs krta howa dekha tera saya mein ne
Mujh se math pooch mere mohtasib-e-shehr se pooch
Kiyon teri aankh pe paimaana banaya mein ne 
Loog kehte hein qaseeda wo tere husn ka tha
Aam saa geet jo mehfil mein sunaya mein ne
Maikada bund tha laikin joon hee grja baadal
Apni tauba ko chatkh'ta howa paya mein ne
Shair-o-naghmaat ka rishta kbhi tota na qateel
Jab ghzal ban k wo aaya usay gaaya mein ne
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...