May 6, 2015

Tujh se bichra to kidher jaaon ga


Tujh se bichra to kidher jaaon ga 
Main to be'chaini se mar jaaon ga 

Main ti aisay nahin jaanay wala 
Chand doobay ga to ghar jaaon ga 

Motiyon se bharra bartan hoon main 
Toot jaaon ga , bikhar jaaon ga 

Main to sehma hua snaata hoon 
Apni awaaz se dar jaaon ga 

Main agar koi samandar bhi hoon 
Ik teray dard se bharr jaaon ga 

Waqat kay haath se main Farhat 
Kahin chup chaap bikhar jaaon ga
 

Tu ne dekha hai kabhi ek nazar sham kay baad


Tu ne dekha hai kabhi ek nazar sham kay baad
kitne chup-chap se lagate hain shajar sham kay baad


itanay chup-chaap ke raste bhi rahenge la-ilm
chor jayen gay kisi roz nagar sham kay baad


main ne aisee hi gunah teri judai mein kiye
jaise tufan mein koi chod de ghar sham kay baad


sham se pahale wo mast apni udanon mein raha
jis ke hathon mein the tute hue par sham kay baad


raat biti to gine aable aur phir socha
kon tha bais-e-agaz-e-safar sham kay baad


tu hai suraj tujhe malum kahan raat ka dukh
tu kisi roz mere ghar mein utar sham kay baad


laut aaye na kissi roz wo aawara mizaaj
khol rakhte hain isi aas pe dar sham kay baad

Sahaab tha keh sitara , guraiz paa hi laga


Sahaab tha keh sitara , guraiz paa hi laga 
Woh apni zaat kay her rang main hawa hi laga 

Main aisay shakhs ki masoomiyat pe kya likhon 
Jo mujh ko apni khataon main bhi bhala hi laga 

Zubaan se chup hai magar aankh baat karti hai 
Nazar uthaai hai jab bhi to bolta hi laga 

Na meray lutf pe hairaan hai na apni uljhan par 
Mujhay yeh shakhs to her shakhs se judaa hi laga

Bichar kar tujh se zinda hoon meri taqdeer to dekho


Bichar kar tujh se zinda hoon meri taqdeer to dekho
Kabhi aa kar meray halaat ki tasveer to dekho 

Mujhay mehfil main dekha to kaha us ne raqeebon se
Mera aashiq mera pagal mera dilgeer to dekho

Teri tasveer kay peechay hi jaalay be'wafai kay 
Ulat kar tum zara apni kabhi tasveer to dekho

De kar pyar ki doulat khareeday khoon kay aansoo
Mili jo ishq main hum ko zara jageer to dekho 

Likha hai naam mera shararat hai raqeebon ki 
Yeh khatt mera nahin jana zara tehreer to dekho

Aadatein us ki thein bas mujhay jalanay wali


Aadatein us ki thein bas mujhay jalanay wali 
Baat ki hans kay magar dil ko dukhanay wali 

Aaj kal woh mujhay kuch badla hua lagta hai 
Ho gayein us ki nigahein bhi zamanay wali 

Hum ne ikhlaas ka daman nahin chora ab tak 
Haye us ki to mohabbat hai rulanay wali

Main ne samjha tha guzar jaye ga  mousam lakin 
Rut-e-barsaat bhi nikli to satanay wali 

Tumharay wastay ab koi nahin hai Wasi 
Khud se batein na karo dil ko behlanay wali

Tum ne to keh diya keh mohabbat nahin mili


Tum ne to keh diya keh mohabbat nahin mili 
Mujh ko to yeh kehnay ki bhi mohlat nahin mili

Neendon kay dais jatay , koi khawaab dekhtay 
Lakin diya jalanay se fursat nahin mili

Tujh to khair shaher kay logon ka khouf tha 
Aur mujh ko apnay ghar se ijazat nahin mili

Phir ikhtilaf-e-raye ki surat nikal pari
Apni yahan kisi se bhi aadat nahin mili 

Be-raaz youn huye keh keh teray ehad  main hamein 
Sab kuch mila , sakoon ki doulat nahin mili 
 

Haami bhi na thay munkar-e-ghalib bhi nahin thay


Haami bhi na thay munkar-e-ghalib bhi nahin thay 
Hum ehal-e-taz'ba'zab kisi janib bhi na thay 

Is baar bhi duniya ne hadaf hom ko banaya 
Is baar to hum sheh kay masahib bhi na thay 

Bech aaye sar-e-qariya zar jo hum behar-e-pindaar 
Jo daam milay aisay munasib bhi na thay 

Matti ki mohabbat main hum ashafta saron ne 
Woh qarz utaray hain keh wajib bhi na thay 

Lo deti hai raat sukhan karta hua din 
Sab is kay liye jis se mukhatab bhi na thay 


Meray khuda mujhay itna to moh'tabar kar de


Meray khuda mujhay itna to moh'tabar kar de 
Main jis makaan main rehta hoon us ko ghar kar de 

Yeh roshni ke ta'aqab main bhaagta hua din 
Jo thak gaya to ab is ko muktasir kar de 

MAin zindagi ki dua mangney laga hoon bhout 
Jo ho sake to duaon ko be'asar kar de

Sitaara-a-sehri doobney ko aya hai 
Zara koi meri soch ko ba'khabar kar de 

Meri zameen mera aakhri hawala hai 
So main rahoon na rahoon is ko barwar kar de 

MAin apne khwaab se kat kar jeeon to mere khuda 
Ujaar de meri matti ko dar'badar kar de
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...