Sep 19, 2014

Shab-e-hijraan se baat kar li hai


Apni tanhaiyon se poocha hai
Shab-e-hijraan se baat kar li hai 
Meray andar ki sehmi khamoshi 
Meray baahir ka hansta chehra bhi 
Raat kay san'sanaatay lamhay bhi 
Din ka dasta hua ujaala bhi 
Zabt ka toota yeh bandhan bhi 
Sabar ka choot'ta yeh daaman bhi 
Us ki yaadain bhi kuch ishaaron main bhi
Mujh ko majboor kar rahi hain sab 
Ayo us kay paas chaltay hain 
US se kehtay hain  keh kuch dawa kar day 
Apni fitrat ko chor kar ik pal 
koi wada to woh wafa kar dain 
In ki baaton se kuch nahin ho ga 
Aakhri faisal to dil ka hai 
Dil yeh kehta hai us se milnay se 
Apni tanhaiyaan hi achi hain 
Ab akelay main lag gaya hai dil 
Us se milnay hamain nahin jana 
Us ki baatain udaas kar dain gi 

Meri aankhain


Woh aansoo hamaray 
Aakhri aansoo thay 
Jo hamain galay mil kar 
Bahaye tanha jaanay waqat un aansoo'on 
se kis tour paish aye
Magar meri fraib-e-waqt ki behki hui aankhon ne
Us kay baad bhi aansoo bahaye hain 
Meray dil ne bhout se dukh rachaye hain 
Magar youn hai keh maah-o-saal ki si raaigaani main 
Meri aankhain 
Galay miltay huye rishton ki furqat kay woh aansoo
Shayed 
Phir na ro payein

Mohabbat ki hawaalay se


Fiza main phir se koi roshna ka aks jaaga hai 
Mera hum'raqs jaaga hai 
Jo meray dil kay rukh'saaron ko choo kay 
Khushboo'on kay geet gaata hai 
To youn mehsoos hota hai
Keh jaisay jugno'on ne titliyon se Perahan badlay 
Keh jissay faakhtaaon ne udaasi kay chalan badlay 
Keh phir fart-e-junoon main zindagi ki saans tham jaye
Mohabbat ki hawaalay se
Azaab-e-sham main gham jaye

Wafa hai zaat aurat ki


Woh aksar mujh se kehti thi 
Wafa hai zaat aurat ki 
Magar jo mard hotay hain 
Bhout be'dard hotay hain 
Kisi bhanwar ki surat gul ki khushboo loot letay hain 
Suno tum ko qasam meri 
Riwaayat tor dena tum 
Na tanha chor dena tum 
Na yeh dil tor kay jana 
Magar phir youn hua hum'dam
Mujhay anjaan rastay pe chor kar us ne 
Mera dil tor kar us ne mohabbat chor di us ne 
Wafa hai zaat aurat ki 
riwaayat tor di us ne 

Hua juda to baat kiya hai


Main guri rutton ko yaad kar kay 
Woh khud se teri hi baat kar kay 
Main shaam-e-manzar ko dekhta hoon 
Dino ko apnay khraab kar kay 

Hua juda to baat kiya hai 
Main sochta hoon yeh yaad kiya hai 
Bhujha raha hoon main pyaas apni 
Aankhon ko apni sraab kar kay 

Tumhain tha jaana to main samjha 
Keh dekho kitna main na'samjh tha 
Jo mil na paye jawaab mujh ko 
Gaye ho tum woh sawaal ban kay 

Tumhain hi her pal sochnay se 
hui hai mujh ko mahaarat haasil
Teri yaadain mili hain mujh ko 
Haseen sa ek inaam ban kar 

Koi aisa harf na mil saka


Mujhay roz-o-shab ki kitaab main
Koi aisa harf na mil saka
Jissay misl-e-gul ka khitaab doon
Jissay chandani ki si taab doon
Jissay dhoond kar , jissay khoj kar
Rukh-e-asmaan pe saja bhi doon
Meray khoon-e-dil ki nigarishain
Meri rooh tak kay fishaar bhi 
Yahan ilm-o-fun ki dukaan par 
Baray sastay daamon se bik gaye
Mujhay tor kar mijhay phor kar 
Meray doston ne jala diya 
Raah-e-zindagi kay ghubaar main 
Meri raakh tak ko urra diya 
Mujhay phir bhi koi gila nahin 
Jo mila nahin , so mila nahin 

Yeh aaghaz-e-judai hai keh andaaz-e-mohabbat hai



Tumhain jo be'sabab mujh se khafa honay ki aadat hai 

Yeh aaghaz-e-judai hai keh andaaz-e-mohabbat hai 

Wafa kay rang main dekho jafa achi nahin hoti 

Kisi se pyaar main itni ana achi nahin hoti 

Faqat kehnay ki baatain hain 

Nibhaata kon hai kis ko ?

Chalo ab deikh letay hain 

Maanta kon hai kis ko 

To us kaaghaz ki kashti ko


Chalo phir dhoond letay hain usi masoom bachpan ko
Unhi masoon khushiyon ko 
Unhi rangeen lamhon ko 
Jahan gham ka pata na tha 
Jahan dukh ki samjh na thi 
Jahan bas muskurahat thi 
Bahaarain hi bahaarain thein
Chalo phir dhoond layein hum 
Usi masoom bachpan ko 
Keh jab sawan barasta tha 
To us kaaghaz ki kashti ko 
Bana'na aur daboo dena 
Bhout acha sa lagta tha 
Aur is duniya ka her chehra 
Bhout sacha sa lagta tha 
Chalo phir dhoond letay hain usi masoom bachpan ko


Us ne kaaghaz ki kai kashtiyaan paani me utaari


Dair tak baithay huye dono ne baarish dekhi
Woh dekhti thi mujhay bijli ki taaron pe latak'ti hui boondain 
Jo taaqub main thi ik doosray kay 
Aur ik doosray ko chhut'tay hi taaron se tapak jaati thi 

Mujh ko yeh fikar keh bijli ka current 
Chu gaya nangi kisi taar se to
Aag kay lag jaanay ka baais ho ga 

Us ne kaaghaz ki kai kashtiyaan paani me utaari
Aur yeh keh kay baha di keh samandar main milain gay 

Mujh ko yeh fikar , keh is baar bhi sailaab ka paani 
Khud keh utray ga kohsaar se jab 
Tor kay lay jaye ga yeh kachay kinaaray 

Ouk main bhar kay woh barsaat ka paani 
Adhbhari jheelon ko tarasti rahi
Woh bhout choti thi , kamsin thi 
Woh masoom bhout thi 
Aabsharon kay tranum pe
Kadam rakhti thi 
Aur goonjti thi 

Aur main umar ki fikar main gum 
Tajurba hamraah liye
Saath hi saath main 
Behta hua , chalta hua , behta gaya 

Bas ik wehshat ka saya hai


Meray dil kay nihaan khaano main kitnay lafz
Chaltay huye youn Bain kartay hain 
Keh meray her taraf cheekon ka 
Wehshat'naak shorish , phail jaata hai , stata hai 
Magar jab siskiyaan letay huye yeh lafaz main 
Kaaghaz ki aaghosh-e-meharbaan main 
Chupnnay kay liye , Tarteeb deti hoon 
Achanak yeh sabhi alfaaz youn chup saadh letay hain 
Keh goya boltay na hon 
Main khaali warq pe nazrain jamaye 
Qarb ki gehri andheri khamoshi ko 
APnay andar youn chupaati hoon 
Keh jaisay koi apnay zakham ko un se chupaata hai 
Jo ussay pyaar kartay hain 
MAgar is aik koshish se , na dil ka dard jaata hai 
Na koi hal nikalta hai 
Bas ik wehshat ka saya hai 
Jo her suu phail raha hai 

Jis tarah shaakh se tootay huye aik pattay ka rang


Dard kuch dair hi rehta hai bhout dair nahin 

Jis tarah shaakh se tootay huye aik pattay ka rang 

Maand parh jaata hai Kuch roz alag shaakh se reh kar 

Shaakh se toot kar yeh dard jeeiyea ga kab tak 

Khatam ho jaye gi jab is ki rasad 

Tim'tamaye ga zara dair ko bujhtay bujhtay 

Aur phir lambi si saans dhun ki lay kar 

Khatam ho jaye ga , yeh dard bhi bujh jaye ga 

Dard kuch dair hi rehta hai , bhout dair nahin

Had-e-nazar se aagay barh kar dekhna bhi juram hai


Zindagi kay jitnay darwazay hain mujh par band hain 
Dekhna
Had-e-nazar se aagay barh kar dekhna bhi juram hai 
Sochna 
Apnay aqeedon aur yaqeeno se nikal kar sochna bhi jurm hai 
Kiyon bhi kehna jurm hai
Kaisay , kehna bhi juram hai 
Saans lenay ki azadi myussar hai , magar 
Zindagi rehnay kay liye insaan ko , kuch aur bhi dar'kaar hai 
Aur is kuch , "aur" bhi ka tazkara bhi jurm hai 
Aye hunar mandaan-e-ewaan-e-eqaid
Zindagi kay naam par , bas ik inayat chahiye
Mujh ko in saray jraaim ki ijaazat chahiye

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...