May 27, 2016

Rukhsat ki kasak rahi hai ab tak


Rukhsat ki kasak rahi hai ab tak 
Ik shaam sulag rahi hai ab tak 

Shab kis ne yahan qadam rakha tha 
Dehleez chamak rahi hai ab tak 

Maathay pe woh lab thay saniya bhar 
Aur rooh mehak rahi hai ab tak 

Dekha hai yeh kis nazar se us ne 
Tasveer damak rahi hai ab tak 

Jo baat kahi nahin thi us se 
Lehjay main khanak rahi hai ab tak 

Kab ka hua khaali saghar shaam 
May hai keh chalak rahi hai ab tak 

Bin aks yahi kaisi jag'magahat 
Sheeshay se jhalak rahi hai ab tak 

Woh chasham keh baagh aashna hai 
Jungle main bhattak rahi hai ab tak  

Dono kay labon tak aatay aatay 
Ik baat atak rahi hai ab tak 

Baarish ki hai chah shaakh ko aur 
Badal se jhijak rahi hai ab tak 

Shano pe nahin woh haath lakin 
Chadar si sarak rahi hai ab tak

Taron kay liye bhout karri thi


Taron kay liye bhout karri thi 
Yeh rukhsat-e-mah ki gharri thi 

Her dil pe hazar neel niklay 
Duniya kissay phool ki charri thi 

Wahan dhair tha pathron ka tayaar 
Yahan phool ki aik pankhrri thi 

Dariya meray samnay tha lakin 
Main pyas se jaan balb kharri thi 

Dekhon gi main aaj us ka chehra 
Kal khawab main roshni barri thi 

Tha jhoot ameer-o-takhat Araa
Sachai saleeb pe garri thi

Juz talab us se kya nahin milta


Juz talab us se kya nahin milta
Woh jo mujh se zara nahin milta

Jaan lena tha us se mil kay hamein
Bakhat se to siwa nahin milta

Zakham khilnay kay muntazir kab se
Aur lams-e-hawa nahin milta

Kis qadar bad'naseeb badal hain
Jin ko dast-e-dua nahin milta  

Mera maslak nahin qasaas magar 
Kya mujhay khoon baha nahin milta 

Bastiyan aakhri damon par hain 
Aur harf-e-shiffa nahin milta 

Aik Asaib kay makan main hoon 
Aur rad-e-balaa nahin milta 

Daikh kar dana jo aaye hain sar-e-shakh prind


Daikh kar dana jo aaye hain sar-e-shakh prind 
Rutt badalnay pe to youn bhi nahin rehnay walay 

Shaher-e-veerani main sehra-o-biyabaan se barha 
Ab to yahan ehal-e-junoon bhi nahin rehnay walay 

Khaak ho jayein gay qatil bhi yahan teegh ba'dast 
Aur ghal'teeda bakhon bhi nahin rehnay walay 

Waqat aisa hai keh ab hashar hai kuch dair ki baat 
Mut'maein ehal-e-sakoon bhi nahin rehnay walay 


Chara'gar hairan hai




Chara'gar hairan hai 

Tapp se tann jhulsa hua 
Nabz na'humwar , dil dooba hua 
Za'af se sar ik taraf 
Zakham saray taza ro 
Phir bhi chehra phool ki surat mera shadaab hai !

Us ko kya maloom 
Kis shabnam ne us par raat bhar 
Apnay lab rakhay rahay 
Us ko kya maloom  
Kis barish ne us ko sara din 
Apnay hathon par rakha 

Us ko kya maloom 
Ik sehra naseeb 
Ik tawajo ki nazar se kis qadar sairaab hai !
Zindagi ka husan sara 
Rooh ki sari namu 
Ishq ka ijaaz hai !
Khaar se lay kar
Rag-e-gul 
Aur rag-e-jaan se dil janan talak 
Na'miya  ki aik hi quwat baru-e-kaar hai 
Ishq aur us ka fasoon !
"Aag ko gulzar kar sakta hai "
Mout ko inkaar kar sakta hai !


Galay se apnay lagaye mujh ko




Galay se apnay lagaye mujh ko 
Samait kar apnay bazu'on main 
Woh aik bachay ki tarah mujh ko thapak raha tha 
Aur apni khawab afreen sar'goshiyon main 
mujh se yeh keh raha tha 
Abhi na thakna !
Abhi na thakna !
Meray musafir !
Main jaanti hoon 
Abhi safar ibtida hua hai 
Abhi musafat ki hadd bhi likhi nahin gayi hai 
Abhi to jungle main raasta dhoondna paray ga 
Abhi to rastay main shaam ho gi 
Yeh shaam bhi be'chragh ho gi !
Abhi to sehra ki dhoop main nang'gay paon chalna paray ga mujh ko 
Shajar milay ga na sar pe badal ka sayeban koi taan de ga 
Teri jhalak ka abhi bhout intizar karna paray ga mujh ko 
Abhi to kacchay gharray pe dariya ko paar karna paray ga mujh ko 
Meray musafir !
Main jaanti hoon 
Safar ki sari sahu'baton ko main jaanti hoon 
Magar meri aankh main jo yeh raakh urr rahi hai 
Yeh gard jo meray khaal-o-khad par jammi hui hai 
Qaba-e-tan tak nahin ruki hai 
Shakistagi meri rooh main hai !
Thakan jo pichlay safar ki hai 
Meri hadiyon main utar chuki hai !

Dua karna , meray haq main dua karna


Dua karna 
Meray haq main dua karna 
Bichartay waqat us ne aik hi fiqra kaha tha 
Ussay kya ilm 
Meray harf se taseer kab ki uth chuki hai !
Dua ka phool 
Meray lab pe khiltay hi 
Achanak toot jata hai 
Main kis khushbu ko us kay haath par bandhon 
Mujhay khushbu se dar lagnay laga hai !

Jaan kya baat hai kis taz'ba'zab main ho


Jaan !
Kya baat hai 
Kis taz'ba'zab main ho 
Faisalay par ponchnay main kya baat maniya hui 
Aur agar faisalay par ponch hi gaye ho 
To phir is ka dukh to nahin 
Aur dukh hai to phir 
Loatnay ki gharri 
Haath main hai abhi 
Garcha ab shaam hai 
Aur jungle qareen 
Phir bhi tanhai ka waqat kat jaye ga 
Raastay main ab itni musafat nahin 
Umar ki raat kay 
Aakhri pehar main 
Main bhi hoon 
Tum bhi ho !

Teray lehjay main ab ki baar aisi shanti thi


Teray lehjay main ab ki baar 
Aisi shanti thi 
Jo ik gehray taz'ba'zab se nikal kar 
Zehan main aik faisalay kay baad aati hai 
Taz'ba'zab se nikalna is qadar asaan nahin jana 
Yeh woh jungle hai 
Jis main raastay ik doosray ko kaat detay hain 
Musafir ik qadam aagay barhata hai 
To so khadshaat daman thaam letay hain 
Koi rasta dikhanay ka kahan sochay 
Chraghon ka to kya kehna 
Yahan to jugnu'on pe shak guzarta hai 
So aisay ghup andheray main 
Yaqeen ki sham'ma kis ne aa kay teray dil main roshan ki 
Teray chehray pe ab ki baar 
Kaisi roshni thi !

Aaghaz-e-bahar se hi ab kay yeh kaisa gulab khil gaya hai


Aaghaz-e-bahar se hi ab kay 

Yeh kaisa gulab khil gaya hai 

Saray jungle main roshni hai 

Pattay pattay pe tazgi hai 

Her nok-e-giyah pe hai shabnam 

Ik naghmagi hai hawa kay tann main 

Ik raqs ki kafiyat badan main
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...