Dec 31, 2014

Ek be'wafa se aik mulaqaat bhout hai


Ek be'wafa se aik mulaqaat bhout hai
Jitna diya hum ne tera saath bhout hai

Duniya ko dil kay daagh dikhaon to kis tarah
Ae zindagi yeh raaz chupaon to kis tarah

Apni tabahiyon main mera haath bhout hai
Jitna diya hum ne tera saath bhout hai

Toota jo dil ka aaina tootay sabhi bharam
Hoti hai umar pyaar ki jeenay kay liye kam

Marnay kay liye dard ki raat bhout hai
Jitna diya hum ne tera saath bhout hai

Teri la'jawab chahat ko hum bhulayein kaisay




Teri la'jawab chahat ko hum bhulayein kaisay

Tum ko bhool kar khud ko chain dilaein kaisay

NA janay kon si kashish teray paas lay aati hai

Teray paas aa kar tujh main samyein kaisay

Hum ne dil se chaha hai tujhay magar

Teri chahat kay qabil khud ko banayein kaisay

Kiyon poochtay ho hum se aanso'on ki shiddat

Hum in main tera aks tujhay dikhaein kaisay

Hum tum se bhout mohabbat kartay hain

Magar tumhain yeh ehsaas dilaein kaisay

Tum be'wafa ho keh bhi kitnay achay lagtay ho


Tum be'wafa ho keh bhi kitnay achay lagtay ho 

Khuda janay tum main wafa hoti to kiya hota

Na kamzor para mera tum se taaluq


Na kamzor para mera tum se taaluq 

Aur na kahin aur huye silsalay mazboot 

Yeh waqat ki saazish hai 

Kabhi tum masroof to kabhi hum masroof

Maloom nahin tha keh mohabbat kya cheez hai sirf itna pata hai


Maloom nahin tha keh mohabbat kya cheez hai sirf itna pata hai 

Hazaron kay dil tornay partay hain sirf ik yaar ki khaatir

Main ne us se kabhi ishq ka dawa na kiya


Main ne us se kabhi ishq ka dawa na kiya 

Un ne bhi shart laga di thi wafa'daari ki

Ijaazat ho to teray chehray ko jee bhar kay dekh loon


Ijaazat ho to teray chehray ko jee bhar kay dekh loon 

Muddat hui in aankhon ne Zakoota jin nahin dekha

Zindagi wohi thi jo teri mehfil main guzaar di


Zindagi wohi thi jo teri mehfil main guzaar di 

Ab to faqat jeenay ki rasam adaa kar rahay hain

Mujhay teri mohabbat ne bhout buz'dil bana daala


Mujhay teri mohabbat ne bhout buz'dil bana daala

Haqeeqat Aashna meray 
Tujhay shayed khabar ho gi 
Mujhay teri mohabbat ne 
Bhout buz'dil bana daala 
MAin her us shay se darta hoon 
Tujhay jo cheen sakti hai 
Main un lamhon se darta hoon 
Jidai jin main rehti hai 
MAin un ashkon se darta hoon 
Jo ban kar yaad behtay hon
Main un lafzon se darta hoon 
Jo khamoshi main rehtay hain 
Bicharnay ki meray hamdam 
Main her surat se darta hoon 
Tujhay shayed khabar ho gi 
Mujhay teri mohabbat ne 
Bhout buz'dil bana daala
 

Koi dikha kay roye , koi chupa kay roye


Koi dikha kay roye , koi chupa kay roye

Hamain rulaanay walay hamain rula kay roye 

Marnay ka maza to tab hai yaaro

Jab qaatil bhi janazay par aa kar roye


Khwaish-e-ishq bhi bhar'poor saza deti hai


Khwaish-e-ishq bhi bhar'poor saza deti hai 

Aag ban kar jo jawani ko jala deti hai 

Itna bhi toot kar na chaho kisi ko Faraz 

Itni chahat bhi mohabbat ko gira deti hai

Tumhein jo be'sabab mujh se khafa honay ki aadat hai


Tumhein jo be'sabab mujh se khafa honay ki aadat hai 

Yeh aaghaz-e-judi hai ye andaaz-e-mohabbat hai 

Wafa kay rang main dekho jafa achi nahin hoti 

Kisi se dosti main itni anaa achi nahin hoti 

Faqat kehnay ki baatein hain nibhaata kon hai is ko

Chalo ab dekh letay hain manata kon hai kis ko

Aanso'on ki tarah nazron se giraya us ne




Aanso'on ki tarah nazron se giraya us ne 

Apni khabar na mili kuch aisa khaak main milaya us ne 

Ilzaam mujh pe lagaya magar be'wafa khud tha 

Pehlay dewana banaya phir mujhya thukraya us ne 

Us ko maza aata hai mujh ko satanay main 

Mujhay geeli lakri ki tarah jalaya us ne 

Aaya na tha us ko wada wafa karna 

Logon ko jhoota apni wafa ka qissa sunaya us ne 

Tanhaiyon se khoob waqif tha woh 

Phir bhi duniya main mujhya tanha banaya us ne

Main nahin hoon apnay wajood main




Main nahin hoon apnay wajood main 

Mujhay janay kis ne chura liya 

Meray saath rehti hai woh her qadam 

Koi jadoo us ne chala diya 

Meri rooh main woh samaa gaya 

Mujhay ishq karna sikha gaya 

Meri zindagi woh ban gaya 

Mujhay jeena us ne sikha diya 

Main to khud se bhi tha na'aashna 

Mujhay mujh se us ne mila diya

Suno tum aksar sochtay ho gay


Suno tum aksar sochtay ho gay 

Hum tumhain yaad nahin kartay 

Tumhain hum bhool jaatay hain 

Magar yeh bhool tumhari hai 

Asal main baat kuch youn hai 

Keh jab tum yaad aatay ho 

To kuch bhi yaad nahin rehta 

Aur tumhari yaad main kho kar 

Hum batana bhool jaatay hain 

Keh tum kitna yaad aatay ho

Maana keh tum haseen ho magar is qadar nahin


Maana keh tum haseen ho magar is qadar nahin 

Jitna keh meri deed ne tum ko bana diya

Hum se poochni hai to sitaaron ki baat poocho


Hum se poochni hai to sitaaron ki baat poocho 

Khwaabon ki baat to woh kartay hain jinhain neend aatay ho

Yeh to dil tha dewana keh tum par aa gaya




Yeh to dil tha dewana keh tum par aa gaya 
Warna hum sona bhi poora uthaya nahin kartay 
Yeh maana keh tum haseen ho , magar yeh bhi sun lo 
Hum haseeno se dil lagaya nahin kartay 
Jis se kartay hain pyaar aik hi baar kartay hain 
Baar baar hum bhi kisi ko sunaya nahin kartay 
Tum to apnay ho tum se kiya parda 
Warna hum raaz-e-dil kisi ko sunaya nahin kartay 
Tum keh do to tumharay liye jaan bhi haazir hai 
Warna hum zindagi kisi par lutaya nahin kartay 

Aqeedat aur hoti hai , murawat aur hoti hai




Aqeedat aur hoti hai , murawat aur hoti hai 

Mohabbat jis ko kehtay hain woh naimat aur hoti hai 

Qayamat khaiz manzar jo hazaron hum ne dekhye hain 

Jo dil pe toot'ti hai woh qayamat aur hoti hai 

Maheeno baad milnay ki khushi apni jaga lakin 

Woh zaalim jab bicharta hai to haalat aur hoti hai

Safar dushwaar kitna hai


Safar dushwaar kitna hai 

Magar dekhna hai keh koi wafa daar kitna hai 

Yeh soch ay ussay kabhi maanga nahin main 

Ussay parkhna hai keh woh mera talab'gaar kitna hai

Bata raah-e-mohabbat main chalon main kis tarah tanha




Bata raah-e-mohabbat main chalon main kis tarah tanha 

Bina teray , meray hamdam chala mujh se nahin jaata 

Meri khushiyon kay sab khaakay tumharay bin adhooray hain 

Meray sapnay meri raatein meray sab din adhooray hain 

Mera sapna haqeeqat main jo youn tabdeel ho jaye 

Agar tum aa milo jana meri takmeel ho jaye

Woh samar tha meri dua ka




Woh samar tha meri dua ka 
Ussay kis ne apna bana liya 
Meri neend kis ne ujaar di 
Meray khwaab kis ne chura liye 
Tujhay kya bataon Ae dil'nasheen 
Teray ishq main teri yaad main 
KAbhi gutagoo rahi phool se 
Kabhi chaand chatt pe bula liya 
Meri chaand honay ki hasrat 
Meri khushboo honay ki khwaish 
Tu juda hua to youn laga 
MAin ne zindagi ko ganwa diya

Main jo chahon to abhi tor loon naata tum se


Main jo chahon to abhi tor loon naata tum se 

Par main buzdil hoon mujhay mout se dar lagta hai

Meray hamsafar , meray hum'nasheen




Teray Siwa

Meray hamsafar , meray hum'nasheen 
Main ne rab se maanga to kuch nahin 
Main ne jab bhi maangi koi dua
Nahin maanga kuch bhi teray siwa
YEh talab kiya , keh meray khuda 
Sabhi raahatein sabhi chahatein 
Woh aata karay tujhay manzalein 
YEh talab kiya , keh meray khuda 
Tujhay bakht dy , tujhay takht dy , tujhay taaj dy 
Meray hamsafar , meray chara gar 
Yeh zindagi ka khatan safar 
Meray saath chalna zara soch kar 
Zara dekh to mera hosla 
Meray paas jo bhi hai woh hai tera
 

Main agar tumhain jo sanwaar doon




Main agar tumhain jo sanwaar doon

Tumharay roz-o-shab ko nikhaar doon 

Mera haath thaam keh ehad do 

Mujhay apnay dil main rakho gay tum 

Tumhain is qadar jo main pyaar doon 

Keh zindagi hi haar doon

To batao na 

Meray baad bhi 

Yeh hi ehad apna nibhao gay 

Ya keh mujh ko bhool hi jaao gay 

Umar bhar chaha keh zameen-o-asmaan hamara hota


Umar bhar chaha keh zameen-o-asmaan hamara hota 

Kaash keh khwaishon ka ka bhi koi kinaara hota 

Yeh soch kay us ko main ne roka hi nahin 

Door jaata hi kiyon agar woh hamara hota

Yeh duniya hai yahan par yeh tamasha ho bhi sakta hai



Yeh duniya hai yahan par 
Yeh tamasha ho bhi sakta hai 

Abhi jo gham hamara hai 
Tumhara ho bhi saktahai

Tum apnay aap ko hargiz
Ilzaam mat dena 

YE sauda hai mohabbat ka 
Khasara ho bhi sakta hai 

NA yeh samjho keh tum hi
Aakhri meri mohabbat ho 

Mohabbat jurm hai 
Hum se dobara ho bhi sakta hai 

Kisi kay haq main sahi woh koi dua to karay


Kisi kay haq main sahi woh koi dua to karay 

Woh keh nahin sakta meri suna to karay

KAbhi bataye woh woh aa kar meri meri khata mujh ko 

Woh mujh se kis liye rootha hai kuch gila to karay

MAin loat jaaon ga wapis apni duniya main 

Woh shakhs mujh se bicharnay ka faisala to karay

Pathar hai teray haath main ya koi phool hai


Pathar hai teray haath main ya koi phool hai 

Jab tu qabool hai , tera sab kuch qabool hai 

Phir tu ne dy diya hai naya faasla mujhay 

Sar pe abhi to pichli musaafat ki dhool hai 

Tu dil pe boujh lay kar mulaqaat ko na aa

Milna hai is tarah to bicharna qabool hai 

Tu yaar hai to itni kari guftagoo na kar 

Tera asool hai to mera bhi asool hai 

Lafzon ki aabroo ko ganwa na youn adeem

Jo maanta nahin , ussay kehna fazool hai

Loat ayi hain dekho baarishein phir se yahan wahan


Loat ayi hain dekho baarishein phir se yahan wahan 

Ek tumhi ko loat aanay ki fursat nahin mili

Jin jharokhon se tamana thi keh barsain gay gulaab


Jin jharokhon se tamana thi keh barsain gay gulaab 

Un se barsay to chamaktay huye khanjar barsay

Mohsin kay khiyalon main utarti hain sar-e-shaam


Mohsin kay khiyalon main utarti hain sar-e-shaam 

Rim jhim ki tarah baandh kay ghungroo teri yaadain

Haseen pal ki zaroorat hai mujhay




Haseen pal ki zaroorat hai mujhay

Beetay huye kal ki zaroorat hai mujhay

Sara zamana rooth gaya mujh se 

Jo kabhi na roothay aisay dost ki zaroorat hai mujhay

Be'wafaon ki yeh duniya hai zara sambhal kar chalna



Be'wafaon ki yeh duniya hai zara sambhal kar chalna 

Yahan log bar'baad karnay kay liye bhi mohabbat ka sahara letay hain

Yahan log bar'baad karnay kay liye bhi mohabbat ka sahara letay hain



Be'wafaon ki yeh duniya hai zara sambhal kar chalna 

Yahan log bar'baad karnay kay liye bhi mohabbat ka sahara letay hain

To kya yeh teh hai keh ab umar bhar nahin milna


To kya yeh teh hai keh ab umar bhar nahin milna 

To phir yeh umar bhi kiyon tum se gar nahin milna

Yeh judai bhi mohabbat ka imtihaan hoti hai


Yeh judai bhi mohabbat ka imtihaan hoti hai

Koi hansta hai apni adaaon pe koi rota hai apni wafaon pe

Na samjh sakay un ka koi bahana


Na samjh sakay un ka koi bahana 
KAbhi palkon pe bithaana kabhi nazron se giraana 

Saqi teray meh'khanay ka dastoor hai kaisa 
Pehlay jee bhar kay pilaana phir qatray qatray ko tarsaana

Suna hai koi aur bhi chahnay laga hai tumhain


Suna hai koi aur bhi chahnay laga hai tumhain 

Hum se barh kar agar chahe to us ki hi ho jana

Mujhay kis taraf jana hai kuch khabar nahin


Mujhay kis taraf jana hai kuch khabar nahin 

Meray raastay bhi kho gaye meri mohabbat ki tarah

Mout to naam se bad'naam hai


Mout to naam se bad'naam hai 

Warna takleef to zindagi bhi bhout deti hai

Kisi kay saath guzray pal baray rangeen hotay hain




Kisi kay saath guzray pal baray rangeen hotay hain 

Mohabbat kay yeh roz-o-shab baray haseen hotay hain 

Ishq karna hai to pehlay bikharnay ka hunar seekho 

Ishq main aksar haadsay baray sangeen hotay hain 

Kabhi fursat main aa kar dekh lay is veeran se ghar main 

Kisi ki yaad main hum bhi baray gham'geen hotay hain

Hum jeet na sake woh aisi shart laganay lagay


Hum jeet na sake woh aisi shart laganay lagay 

Hamari aankhon ko apni aankhon se laranay lagay 

Jeet jatay par palk hum ne jhuka li 

Kiyon keh un ki palkon se aansoo jo aanay lagay

Dosti ki mehak ishq se kam nahin hoti


Dosti ki mehak ishq se kam nahin hoti 

Ishq pe hi zindagi khatam nahin hoti 

Agar saath ho zindagi main achay dost ka 

Zindagi kisi khazanay se kam nahin hoti

Be'los wafaon ko bhulaya nahin kartay


Be'los wafaon ko bhulaya nahin kartay 

Her dil ko meray dost sataya nahin kartay 

Hum tabiyat kay bhout ziddi hain 

Jissay apna bana lein phir bhulaya nahin kartay

Dil se roye magar honton se muskura baithay


Dil se roye magar honton se muskura baithay 

Youn hi hum kisi se wafa nibha baithay 

Woh hamain ik lamha na dy paye

Jin kay liye hum apni zindagi ganwa baithay

Mujhay yaqeen hai keh woh shakhs mera kabhi nahin ho ga


Mujhay yaqeen hai keh woh shakhs mera kabhi nahin ho ga 

Par na'janay mujhay apnay yaqeen par yaqeen kiyon nahin hota

Woh kam sukhan woh kuj'adaa woh be'wafa acha laga



Woh kam sukhan woh kuj'adaa woh be'wafa acha laga 

JAb bhi mila rootha hau jab bhi mila acha laga 

Woh zulm pe mayal bhout woh jabar ka qayel bhout 

Us ka sitam her ik sitam mujh ko sadaa acha laga 

Tum pyaar kay qabil nahin tum pyaar kay laa'iq nahin 

Us ne kaha hum se kaha hum ne suna acha laga

Apnay susar ka dulaara hoon main


Apnay susar ka dulaara hoon main 

Apni biwi ko bhi pyara hoon main 

Filhaal to yeh sab sapnay hain 

Kiyon keh abhi tak kunwaara hoon main

Zindagi main aik larki itni pyari lagi


Zindagi main aik larki itni pyari lagi 

Us kay haath ki daal bhi hamain nihaari lagi 

Janay kiya jado tha us ki personality main keh 

Married honay kay ba'wajood hamain kanwari lagi

Youn gawara nahin jeena bin teray mujhay


Youn gawara nahin jeena bin teray mujhay 

Kiyon hai juda koi to wajah bata dy 

Kuch aur nahin to kar itna karam

JAhan tu yaad na aaye koi aisi jaga bata dy

Us ne kaha chaand khoobsurat hai ya main




Us ne kaha chaand khoobsurat hai ya main 
Main ne kaha 
YEh to main nahin janta 
MAgar 
Jab tumhain dekhta hoon 
To chaand bhool jaata hoon 
Aur 
Jab chaand par parti hai nazar 
To tum yaad aatay ho

Is dard kay baad koi dard , dard nahin lagta




Is dard kay baad koi dard , dard nahin lagta 
Keh shiddat-e-dard ki intiha hoti hai mohabbat 

NAhin uth'tein woh aankhain phir kisi pe 
Keh jin aankhon main fanaa hoti hai mohabbat 

Umar  bhar jin ka azala na kar payen 
Bas aik aisi hi khata hoti hai mohabbat 

Jo mil jaye to phir bas kya kehna 
Warna ik musal'sal saza hoti hai mohabbat 

Log mujh se her baar yahi poochtay hain 
Tum ne us main dekha kiya 

MAin her baar yahi kehta hoon 
Be'wajah hoti hai mohabbat

Meri zindagi tera saath ho


Meri zindagi tera saath ho 

Meri zindagi teri baat ho 

Jo jhukay nazar tera khwaab ho 

Jo uthaye nazar teri zaat ho 

Meray haath main ik phool ho 

Aur woh phool tera haath ho

Tumhain her waqt woh guzra zamana yaad aaye ga




Tumhain her waqt woh guzra zamana yaad aaye ga 
Na hon gay hum to yeh hansana hansaana yaad aaye ga 

Bahanay jab karay ga koi tum se phir na milnay kay 
Tumhain phir ik ik apna bahana yaad aaye ga 

Kabhi jab tor dalay ga koi waday mohabbat kay 
Tumhain meri mohabbat ka zamana yaad aaye ga 

Galay mil kar hamain rukhsat kiya tha aap ne jis dam 
Tumhain woh hamara aansoo bahana yaad aaye ga 

Manaye ga na jab koi tumhain youn rooth janay par 
To apna roothna mera manana yaad aaye ga

Tujh se juda ho kar


Tujh se juda ho kar 

Main youn bikhar jaon 

Jis tarah , tar se toot kay 

Moti bikhar jatay hain

Rog aisay bhi gham-e-yaar se lag jatay hain


Rog aisay bhi gham-e-yaar se lag jatay hain 

Dar se uth'tay hain to dewaar se lag jaatay hain 

Be'basi bhi kabhi qurbat ka sabab banti hai 

Ro na payen to galay yaar kay lag jatay hain 

Daagh daman kay hon , dil kay hon ya chehray kay 

Kuch nishaan umar ki raftaar se lag jatay hain

Hum hi tehray saza war aur khata kuch bhi nahin


Hum hi tehray saza war aur khata kuch bhi nahin 
Tu kya samjhta hai teray baad hua kuch bhi nahin 

Yaad jab aayi teri raha kuch bhi nahin 
Dil ne bas aah bhari aur kaha kuch bhi nahin 

Waqat ki tarah yeh saansain bhi rawan hain ab tak 
Ik bas ashk thamay aur ruka kuch bhi nahin 

Haath se haath chura kar gaya jab se tu 
Main us waqat se in hathon se chua kuch bhi nahin 

Kaash tu mujh se keh dy achanak aa kar 
Keh teray baad meray jeevan main bacha kuch bhi nahin

Nahin hain hum haseen itnay keh her kisi kay dil main bas jayein


Nahin hain hum haseen itnay keh her kisi kay dil main bas jayein

Par jis kay saath chal parein zindagi usi kay naam kar detay hain

Apno ne bhi na socha keh ujron ga to kahan jaaon ga Mohsin


Apno ne bhi na socha keh ujron ga to kahan jaaon ga Mohsin

Aashayana jin ka na ho woh prinday aksar mar hi jatay hain

Suno hum toot jayein gay




Suno 
Hum toot jayein gay 
Keh doori seh na payein gay 
Judai maar dalay gi 

Suno 
Yeh aankhain boujhal hain
Inhain kis tarah behlayein gay 

Suno 
Hum so na payein gay 
KAbhi kush ho na payen gay 
Judai maar daalay gi 

Suno
Yeh dil tumhara hai 
Na tum bin ab guzara hai 

Suno
Kuch waqat do hum ko 
Bana lain dost is gham ko 
Hamain maloom hai aakhir 
Judaai maar daalay gi

Teri yaad ko seenay se laga kar roye


Teri yaad ko seenay se laga kar roye

Hum tasawur main tujhay paas bitha kar roye

Tujh ko so baar pukaara shab-e-tanhai main 

Aur her baar tujhay paas na pa kar roye

Kabhi zindagi se gila kar kay roye

Kabhi mout ki hum dua kar kay roye

Ajab silsala hai nizaam-e-mohabbat ka 

Qaza kar kay bhi roye ada kar kay bhi roye

Is dil-e-hasti ko us se pyaar bhout hai


Is dil-e-hasti ko us se pyaar bhout hai
Magar woh shakhs bhi funkaar bhout hai

Na milay to milnay ki justagoo bhi nahin karta 
Aur milta youn hai jaisay hamara talabgaar bhout hai

Woh zehar deta to duniya ki nazron main aa jata Faraz


Woh zehar deta to duniya ki nazron main aa jata Faraz

Us ne youn kiya keh waqat par dawa na di

Kon saath deta hai umar bhar kisi ka Faraz


Kon saath deta hai umar bhar kisi ka Faraz

Log to janazon main bhi kandha badal letay hain
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...