Urdu and English Poetry of famous authors, short poetry, two liners and complete Ghazals and Nzams & Many More ...
Showing posts with label Allama Iqbal Poetry. Show all posts
Showing posts with label Allama Iqbal Poetry. Show all posts
Jun 4, 2018
Jan 22, 2017
Apr 16, 2016
Likhna nahin aata to meri jaan parha kar
Likhna nahin aata to meri jaan parha
kar
Ho jaye gi mushkil teri aasaan parha
kar
Parhne kay liye tujh ko agar kuch na
mile to
Chehron pe likhe dard kay unwaan parha
kar
Ay insan teri rooh ko taskeen mile
gi
Tu karb kay lamhaat main quran parha
kar
Mar 20, 2016
Elahi teri makhlooq ka ajab ik tamasha dekha
Elahi teri makhlooq ka ajab ik
tamasha dekha
Chhalaktey jaam dekhey samandron ko
payasa dekha
Ye kya majra hai apni to samaj main
nhi aya
Admi apni hi justuju main ulajhta
dekha
Jin k haath thay khali wo
masroof-e-zikr dekhay
Haathon main liye tasbih logon ko
bhatakta dekha
Alhamd-u-lillah ka matlab to samajh
main aya
Siraat-e-mostaqeem k matlab pe logon
ko jhagarta dekha
Eiman bechtay howay adam kay betay
dekhay
Hawwa ki beti ko sar-e-bazar bikta
dekha
Kese dunya k makr-o-faraib se
samjhota kar loon"Iqbal"
Keh in
aankhon ne badshahon ko b martay dekha
Jul 29, 2015
Teri dua se qaza to badal nahin sakti
Teri dua se qaza to badal nahin sakti
Magar hai is se yeh mumkin keh tu badal jaye
Teri khudi main agar inqalaab ho paida
Ajab nahin hai keh yeh chaar soo badal jaye
Wohi sharab, wohi haye-o-hoo rahay baaqi
Tareeq-e-saqi-o-rasam kadu badal jaye
Teri dua hai keh ho teri aarzoo poori
Meri dua hai teri aarzoo badal jaye
Jun 24, 2015
Teray sofay hain afrangi , teray qaleen hain irani
Teray sofay hain afrangi , teray qaleen hain irani
Lahu mujh ko rulaati hai jawano ki tan'asaani
Amaraat kya , shikwa-e-khusrawi bhi ho to kya haasil
Na zor-e-haidari tujh main , na istaghna-e-sulemani
Na dhoond is cheez ko tehzeeb-e-haazir ki tajali main
Keh paya main ne istaghna main miraaj-e-musalmani
Uqaabi rooh jab baidaar hoti hai jawano main
Nazar aati hai us ko apni manzil aasmano main
Na ho no'umeed , no'umeedi zawaal-e-ilm-o-irfan hai
Umeed-e-mard-e-moman hai Khuda kay raaz'daano main
Nahin tera nashaiman qasar-e-sultani kay gumbad par
Tu shaheen hai , basera kar paharon ki chitano main
May 3, 2015
Thokar lagi to, apne muqaddar pe ja gira
Thokar lagi to, apne muqaddar pe ja
gira
Phir yu huwa k, aaina pathar pe ja
gira
Ehsaas_e_farz jab bhi huwa, neend aa
gayi
Chalna tha pul-saraat pe, bister pe ja
gira
Baazi mohabbaton ki jahaalat ne jeet
li
Wo ban gaya khateeb, jo mimber pe ja
gira
Khushbu qasoor-waar, nahi, is ko
chor do
Me phool torte huwe, kanton pe ja
gira
Sehraaon me liye phira iqbal paani
ki justaju
Jab piyas
mar gayi to, samundar pe ja gira
Apr 27, 2015
Apni duniya aap paida kar agar zindon main hai
Apni duniya aap paida kar agar zindon main hai
Sar-e-Aadam hai , zameer-e-kun fikaan hai zindagi
Khudi hi ilm se mehkam to ghairat-e-jibrail
Khudi hi ilm se mehkam to ghairat-e-jibrail
Agar ho ishq se mehkam to soor-e-israfeel
Mar 21, 2015
Thokar lagi to muqaddar pe ja gira
Thokar lagi to muqaddar pe ja gira
Phir huwa youn aaina pathar pe ja gira
Ehsaas-e-farz jab bhi hua neend aa gayi
Chalna tha pul-e-siraat pe bister pe ja gira
Bazi mohabbaton ki jahalat ne jeet li
Woh ban gaya khateeb jo nunabar pe ja gira
Khushboo qasoor waar nahin ussay chor do
Main phool torta hua kaanton pe ja gira
Sehraaon main liye phira "Iqbal" pani ki justagoo
Jab pyaas mar gayi to samandar pe ja gira
Mar 12, 2015
Feb 28, 2015
Teri dua se qaza to badal nahin sakti
Teri dua se qaza to badal nahin sakti
Magar hai is se yeh mumkin keh tu badal jaye
Teri khudi main agar inqalaab ho paida
Ajab nahin hai keh yeh chaar soo badal jaye
Wohi sharab, wohi haye-o-hoo rahay baaqi
Tareeq-e-saqi-o-rasam kadu badal jaye
Teri dua hai keh ho teri aarzoo poori
Meri dua hai teri aarzoo badal jaye
Parwaz hai dono ki isi aik fiza main
Parwaz hai dono ki isi aik fiza main
Kargas ka jahan aur hai , shaheen ka jahan aur
Alfaaz-o-mahni main tfawat nahin lakin
Mulla ki azaan aur , mujahid ki azaan aur
Subscribe to:
Posts (Atom)




-.jpg)

.jpg)
-.jpg)
-.jpg)
-.jpg)
-.jpg)
-.jpg)
-.jpg)