Jun 14, 2016

Barson kay baad daikha , ik shakhs dil'ruba sa




Barson kay baad daikha , ik shakhs dil'ruba sa
Ab zehan main nahin hai par naam tha bhala sa

Aabru khichay khichay se aankhein jhuki jhuki si 
Baatein ruki ruki si lehja thaka thaka sa 

Alfaaz thay keh jugnu awaz kay safar main 
Ban jaye junglon main jis tarah raasta sa

Khawabon main khawab us kay yaadon main yaad us ki 
Neendon main ghull gaya ho jaisay keh rat'jaga sa

Pehlay bhi log aaye kitnay hi zindagi main 
Woh her tarah se lakin auron se juda sa

Agli mohabbaton ne woh nu'muradiyan dein 
Taza rafaqaton se dil tha dara dara sa

Kuch yeh keh muddaton se hum bhi nahin thay roye 
Kuch zehar main bujha tha ehbaab ka dilaasa 

Phir youn hua keh sawan aakhon main aa basay thay 
Phir youn hua keh jaisay dil bhi tha aabla sa

Ab sach kahein to yaaro hum ko khabar nahin thi 
Ban jaye ga qayamat ik waqiya zara sa 

Taiwar thay be'rukhi kay andaz-e-dosti kay 
Woh ajnabi tha lakin lagta tha aashna sa 

Hum dast thay keh dariya hum zehar thay keh amrat 
Na'haq tha Zoham hum ko jab woh nahin tha payasa

Hum ne bhi us ko daikha kal shaam ita'faaqan 
Apna bhi haal hai ab logo faraz ka sa  

Aazard'gaan-e-shaher ka jaisa bhi haal ho


Aazard'gaan-e-shaher ka jaisa bhi haal ho
Aye yaar-e-khush diyaar  tujhay kiyon malaal ho

Ab baat dosti ki nahin hoslay ki hai
Laazim nahin keh tu bhi mera hum'khayal ho

Khud mera haath jab meri bar'badiyon main tha
Teri jabeen pe kiyon arq-e-in'fa'aal ho

Phir tu ne chairr di hai gayi sama'aton ki baat
Woh guftagoo na kar keh tujhay bhi malaal ho

Meri zarooraton se ziyada karam na kar
Aisa salook kar keh meray hasb-e-haal ho

Toota to hoon magar abhi bikhra nahin Faraz
Meray badan pe jaisay shakiston ka jaal ho


Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...