May 31, 2018

Ana kehti hai iltija kya karni


Ana kehti hai iltija kya karni 

Woh mohabbat hi kya ? jo minaton se milay 

Bas ik khwahish hai keh tujhay khud se ziyada chahon


Bas ik khwahish hai keh tujhay khud se ziyada chahon 

Main rahoon na rahoon tujhay meri wafa yaad rahay 

Daleel thi na koi hawala tha un kay paas


Daleel thi na koi hawala tha un kay paas

Ajeeb log thay bas ikhtilaf rakhtay thay 

Hamesha hi nahin rehtay kabhi chehray naqabon main


Hamesha hi nahin rehtay kabhi chehray naqabon main 

Sabhi kirdaar khultay hain kahani khatam honay par 

Ho ijazat to maang loon tumhein rab se


Ho ijazat to maang loon tumhein rab se

Suna hai barish main dua qabool hoti hai 

Ik taraf yaar ka israar keh aankhen kholo


Ik taraf yaar ka israar keh aankhen kholo 

Ik taraf mout ki thapki keh ab sona ho ga 

Jab tujhay meri chah thi jaana


Jab tujhay meri chah thi jaana 

Bas wohi waqat tha karra mera 

Jeet mera naseeb thi lakin


Jeet mera naseeb thi lakin 

Mujh ko le dooba teri maat ka dukh 

Jism ki dara'ron se rooh nazar aanay lagi


Jism ki dara'ron se rooh nazar aanay lagi 

Bhout andar tak tor gaya mujhay ishq tera 

Mat jagana hamein tabeer ka lalach de kar


Mat jagana hamein tabeer ka lalach de kar 

Ab agar khwab se paltay to qayamat ho gi 

Reza reza bikhri hoon main jin ki choton se



Reza reza bikhri hoon main jin ki choton se


Mujh ko pathar dil kehte hain pathar jaisay log 

Samjh nahin aata teri zaat ka pehlu


Samjh nahin aata teri zaat ka pehlu 

Tum itnay :Moh'tabar" aur phir bhi bewafa

Uss kay dil se utar gaye aisay


Uss kay dil se utar gaye aisay 

Jaisay hasrat tamam ho jaye 

Yaad kar kay mujhay num ho gayi hon gi palkein


Yaad kar kay mujhay num ho gayi hon gi palkein 

Aankh main par gaya kuch keh kar yeh taala ho ga 

Mata-e-zeest main samil rahay hazaron rafeeq


Mata-e-zeest main samil rahay hazaron rafeeq

Woh jis ki chah thi dil ko wohi magar na mila 

Do gaz sahi magar yeh meri malkiyat to hai


Do gaz sahi magar yeh meri malkiyat to hai 

Ae mout tu ne mujh ko zamindar kar diya 

Zindagi teray tasalsul main hum ne


Zindagi teray tasalsul main hum ne 

Woh log bhi khoye jo saans ki maanind thay 

Agar hum door ho jayein


Agar hum door ho jayein 
Kahin duniya main kho jayein 
Batao kya karo gay tum ??
Hamein dhoondo gay ya 
Phir bhool jao gay ?
Hamein awaz do gay 
Ya kisi guzri kahani main 
Hamara naam likh do gay ??
Chalo aisa hi kar lena 
Tum khud bhi badal jana 
Hamein tum bhool hi jana 
Magar itni guzarish hai 
Hamara zikar jab aaye 
To thora muskura dena 
Khushi ka ho keh gham ka ho 
Bas ik aansu giraa dena 

Un ko firaaq-o-wasal ki lazzat ki kya khabar


Un ko firaaq-o-wasal ki lazzat ki kya khabar 

Baithay na 2 gharri bhi jo pehlu main yaar kay 

Haath par haath rakha uss ne to maloom hua !!


Haath par haath rakha uss ne to maloom hua !!

Un'kahi baat ko kis tarah suna jata hai 

Manzil teri talash main ghoomay gi dar ba'dar


Manzil teri talash main ghoomay gi dar ba'dar 

Khalq-e-khuda ki raah se rooray hatta kay to daikh

Wohi milna , bichrana , toot jana


Wohi milna , bichrana , toot jana 
Kahani waqat phir doraha gaya na 

Mohabbat is jahan ki shay nahin hai 
Samjh main ab tumhari aa gaya na 

Is weham main woh Daagh ko marnay nahi detay


Is weham main woh Daagh ko marnay nahi detay 

Mashooq na mil jaye kahin zer-e-zameen aur 
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...