Meray saqi teray hathon se agar jaam giray
Iss ka matlab hai meray khoon kay kuch daam giray
Zalzala aaya to be'khana hua shaher ka shaher
Qasar-e-sultaani kay bhi deewar-o-dar-o-baam giray
Dil main doob gaya doobtay suraj ki tarah
Kuch sitaray meri aankhon se sar-e-shaam giray
Aaina toot gaya gir kay kisi pathar par
Dar-e-asnaam pe jaisay dil-e-na'kaam giray
Tab khula mujh pe keh jaltay hain chraghon pe chragh
Lab-e-gul'rang se jab shola-e-gulfaam giray
Koocha-e-yaar main Aanay ki saza hai shayed
Pathron ki tarah iss sar pe kuch ilzaam giray
Ab to deewar-e-badan khassta hui hai
Nahin maloom keh yeh subho giray shaam giray