Showing posts with label Amjad Islam Amjad Poetry. Show all posts
Showing posts with label Amjad Islam Amjad Poetry. Show all posts

Sep 19, 2018

Woh abhi apnay chehray main utra nahin


Kis se poochon woh kya shakhs hai 
Jo meri 
Aarzu kay jharokon main thehray huye 
Saray chehron main bikhra hua hai magar 
Khud abhi apnay chehray main utra nahin 
Kis se poochon woh kya 
Naam hai jo meri 
Dharkano kay muqaddar main marqoom hai 
Aur woh kya ajnabi hai 
Jo sadiyon se meray khayalon kay kariye main abaad hai 
Magar mera surat shanasa nahin 
Kis ki awaz hai Jo meri rooh main naghma-e-parwaz hai 
Kon bataye ga uss nagar ka pata 
Jis ki matti ki khushbu meray jism kay wastay darj hai 
Jis kay dewar-o-dar meri be'khawab aankhon se manoos hain 
Aur jis ko kabhi main ne dekha nahin 
Na'rasai meri , Na'rasai meri 
Jis ko paya na tha uss ko khonay ka gham 
Meri khawaish kay seenay ka nasoor hai 
Kis ko awaz doon , kis ka matam karon 
Woh abhi apnay chehray main utra nahin 
Kis se poochon Mera mad'dua kon hai 
Na'rasa kon hai 



May 2, 2017

Do bhaid bharri aankhein


Do bhaid bharri aankhein 
Ik khawab ki chilman se her raat mujhay daikhein 
Do bhaid bharri aankhein 
Her subha ko chiriyon ki cheh'kaar main dhal jayein 
Phoolon ki qaba pehnein 
Shabnam main badal jayein 
Her shaam hawaon se ehwaal mera poochein 
Do bhaid bharri aankhein 
Karti hain ajab baatein kajal ki zuban se yeh 
Dil leti chali jayein andaz-e-biyan se yeh 
Do bhaid bharri aankhein 
Ik khawab ki chilman se her raat mujhay daikhein 
Do bhaid bharri aankhein 



Mar 28, 2017

Main subha-o-shaam likhta hoon


♥♥♥♥ Sab se acchay lafz ♥♥♥♥

Main subha-o-shaam likhta hoon 

Zameen par jis qadar 

Achi zabanein boli jaati hain 

Main un se harf chunta 

Aur tumhara naam likhta hoon 


Jan 23, 2017

Koi chand chehra Ku'shaa hua


Koi chand chehra Ku'shaa hua 

Woh jo dhund thi , woh bikhar gayi 
Woh jo habs tha , woh hawa hua 
Koi chand chehra Ku'shaa hua 

Tu simat gayi 
Woh jo tairagi thi , chaar su hui 
Woh jo barf thehri thi , ru-b'ru 
Woh jo be'dili thi, sadaf sadaf 
Woh jo khaak urrti thi , her taraf 

Magar ik nigah se jal uthay 
Jo chragh-e-jaan thay bujhay huye 
Magar ik sukhan se mehak uthay 
Meray gulistaan meray aainay 

Kisi khush nazar kay hisaar main 
Kisi khush qadam kay jawaar main 
Koi chand chehra Ku'shaa hua 
Mara sara baagh harra hua 


Feb 12, 2016

Dastak kisi ki hai keh gumaan , dekhnay to de


Dastak kisi ki hai keh gumaan , dekhnay to de
Darwaza hum ko tez hawa kholnay to de 

Soda hai umar bhar ka , koi khail to nahin 
Ae chasham-e-yaar , mujh ko zara sochnay to de 

Shayed kisi lakeer main likha ho mera naam 
Ae dost apna haath mujhay dekhnay to de 

Yeh saat Aasmaan kabhi mukh'tasar to hon 
Yeh ghoomti zameen kahin theharnay to de 

Kaisay kisi ki yaad ka chehra bana'on main 
"Amjad" woh koi naqsh mujhay bhoolnay to de

Feb 10, 2016

Tum se bichar kar pehron sochta rehta hoon


Tum se bichar kar pehron sochta rehta hoon 
Ab main kiyon aur kisi ki khatir zinda rahoon

Ae khamosh khalla ka6y maalik teri qasam 
Bazam-e-jahan main tujh se ziyada tanha hoon 

Jeeti jaagti duniya kay hangamon main 
Youn lagta hai jaisay main ik saya hoon 

Khoya hai woh jaisay haath ki lakeeron main 
Aisay apnay haath ko takta rehta hoon 

Reza reza toot chuka hoon andar se
Ghar se baahir gardan taan kar chalta hoon 

Janay jis ka naam hai Amjad kon hai woh 
Sach poocho to main ik jhoota chehra hoon

Aug 3, 2015

Daam-e-khushboo main griftaar saba hai kab se




Daam-e-khushboo main griftaar saba hai kab se 
Lafaz-e-izhaar ki uljhan main para hai kab se 

Ae karri chup kar dar-o-baam sajanay walay 
Muntazir koi ku-e-nida hai kab se 

Chaand bhi meri tarah husan shanasa nikla 
US ki dewaar pe hairaan kharra hai kab se 

Baat karta hoon to lafzon se mehak aati hai 
Koi anfaas kay parday main chuppa hai kab se

Shobada baazi-e-aaina-e-ehsaas na pooch 
HAirat-e-chasham wohi shokh-e-kaba hai kab se 

Dekhiye khoon ki barsaat kahan se hoti hai 
Shaher pe chaai hui surkh ghatta hai kab se 

Kor chashmon kay liye Aaina khana maloom 
Warna her zarah tera aks numa hai kab se 

Khoj main kis ki bharra shaher laga hai Amjid
Dhoondti kis ko sar-e-dasht hawa hai kab se 

Jul 31, 2015

Faraz karo hum taray hotay


Farz karo hum taaray hotay 
Ik doojay ko 
Door door se dekh dekh kar jaltay bujhtay 
Aur phir ik din 
Shaakh-e-falak se girtay 
Aur tareek khalaon main kho jaatay 
Dariya kay do dhaaray hotay 
Apni apni moj main behtay 
Aur samandar tak is andheri 
Wehshi aur munh zor musaafat 
KEh jaadu main tanha rehtay 
Faraz karo hum bhoor samay kay panchi hotay 
Urtay urtay ik doojay ko chootay 
Aur phir khulay gagan ki gehri 
Aur be'sarfa aankhon main kho jaatay 
Abar-e-bahaar kay jhonkay hotay 
Mousam kay ik be'naqshay se 
Khwaab main miltay 
Miltay aur juda ho jaatay 
Khushk zameeno kay haathon par 
Sabaz lakeerain kunda kartay 
Aur un'dekhye sapnay botay 
Apnay apnay aansoo ro kar chain se sotay 
Farz karo hum jo kuch hain woh na hotay ?

Na koi gham khizzan ka hai , na khwaish hai bahaaron ki



Na koi gham khizzan ka hai , na khwaish hai bahaaron ki 

Hamaray saath hai Amjad kisi ki yaad ka mousam 

Amjad Islam Amjad

Tum jis khwaab main aankhain kholo



Tum 

Tum jis khwaab main aankhain kholo 
Us ka her roop amar ....
Tum jis rang ka kapra pehno 
Woh mousam ka rang ....
Tum jis phool ko hans kar dekho 
Kabhi na woh murjhaye .....
Tum jis harf pe ungli rakh do 
Woh roshan ho jaye ....

Amjas islam amjad

Jul 29, 2015

Tum se bichar kar pehron sochta rehta hoon



Tum se bichar kar pehron sochta rehta hoon 
Ab main kiyon aur kisi ki khatir zinda rahoon

Ae khamosh khalla ka6y maalik teri qasam 
Bazam-e-jahan main tujh se ziyada tanha hoon 

Jeeti jaagti duniya kay hangamon main 
Youn lagta hai jaisay main ik saya hoon 

Khoya hai woh jaisay haath ki lakeeron main 
Aisay apnay haath ko takta rehta hoon 

Reza reza toot chuka hoon andar se
Ghar se baahir gardan taan kar chalta hoon 

Janay jis ka naam hai Amjad kon hai woh 
Sach poocho to main ik jhoota chehra hoon

Khawab nagar hai aankhein kholay dekh raha hoon



Khawab nagar hai aankhein kholay dekh raha hoon 
Us ko apni jaanib aatay dekh raha hoon 

Kis ki Aahat qariya qariya phail rahi hai 
Dewaron kay rang badaltay dekh raha hoon 

Kon meray jaadu se bach kar jaa sakta hai 
Aaina hoon Sab kay chehray dekh raha hoon 

Darwaze par tez hawaon ka pehra hai 
Ghar kay andar chup kay saaye dekh raha hoon 

Jaisay mera chehra meray dushman ka ho 
Aainay main khud ko aisay dekh raha hoon 

Manzir manzir veerani ne jaal tany hain 
Gulshan sulshan bikhray pattay dekh raha hon

Manzil manzil hole main doobi awazein hain 
Rasta rasta khouf kay pehray dekh raha hoon 

Shaher-e-sang'dilan main "Amjad" her rastay par 
Awazon kay pathar chaltay dekh raha hoon

Apr 27, 2015

Lienein (Lines) kat'ti rahein lafz badalnay kay sabab


Lienein (Lines) kat'ti rahein lafz badalnay kay sabab 
Koi tehreer ,musal'sal nahin honay payi 

Haasil-e-umar yahi chand adhooray khaakay 
Koi tasveer mukamal nahin honay payi 

Feb 27, 2015

Chand meri khirki main aaye


Chand meri khirki main aaye

Chaand kabhi to taaron ki bheer se niklay 
Aur meri khirki main aaye 
Bilkul tanha aur akela
MAin is ko baanhon main bhar loon 
Aik hi saans main sab ki sab woh baatein kar loon 
Jo meray taalu se chimti 
Dil main simti rehti hain 
Sab kuch aisay ho jaye , jab hai na !
Chand meri khirki main aaye ,tab hai na !


Bhout nazdeek ho kar bhi woh itna door hai mujh se


Bhout nazdeek ho kar bhi woh itna door hai mujh se 

Ishaara ho nahin sakta , pukaara jaa nahin sakta

Sep 12, 2014

Chehray pe meri zulf ko phailyo kisi din


Chehray pe meri zulf ko phailyo kisi din

Kiya roz gajratay ho baras jayo kisi din

Razoan ki tarah utro meray dil main kisi shab

Dastak pe meray hath ki khul jayo kisi din

Peeroan ki tarah hussan ki baraish main naha loon

Badal ki tarah jhoom ke ghar ayo kisi din

Kushboo ki tarah guzroo meray dil ki gali se

Phoolon ki tarah mujh pe bikhar jayo kisi din

Guzrain jo meray ghar se to ruk jayein sitaray

Is tarah meri raat ko chamkyo kisi din

Main apni her aik saans usi raat ko de doon

Sar rakh ke meray seenay pe so jayo kisi din

Poet : Amjad Islam Amjad

Aug 20, 2014

Dil main koi umeed na aankhon main roshni


Dil main koi umeed na aankhon main roshni 

Niklay gi is tarah koi jeenay ki raah kiya 

"Amjad" nazool shair kay kaisay banain asool 

Sailaab kay liye koi hota hai raah kiya 

Aug 19, 2014

milay sadiyon ki pyaas aur pani , zara phir se kehna

 
milay sadiyon ki pyaas aur pani , zara phir se kehna

bari dil ruba hai yeh sari kahani , zara phir se kehna

kahan se chala tha judaei ka saya nahin dekh paya

keh rastay main thi aanson ki rawani , zara phir se kehna

hawa yeh khabar tu sunati rahay aur main sunta rahoon

badalney ko hai ab yeh mousam-e-khazani , zara phir se kehna

mukar janey wala kabhi zindagi main kushi phir na paye

youn hi khtam kar lain chalo yeh kahani , zara phir se kehna

samay ke samandar ! kaha tu ne jo bhi , suna par na samjhay 

jawani ki nadi main tha tez pani ,zara phir se kehna

Poet : Amjad Islam Amjad

Zubaan pe mohar laga de jalaal aisa hai { Hamd-e-bari-ta'ala }


Hamd-e-bari-ta'ala

Zubaan pe mohar laga de jalaal aisa hai
Nazar ki taab se baahir , jamaal aisa hai 

Kahin dikhai na de aur her taraf moujood
Gumaan yaqeen main badal de , kamaal aisa hai 

Woh noor jis ki samai nahin kisi dil main 
Bashar ki soch se baahir , khyaal aisa hai 

Her ik cheez nazar aati hai ziada saaf 
Hamari rooh kay sheeshay main baal aisa hai 

Arooj pe hai muqadar ba'feez chshm-e-karam 
Yeh meer-e-umr-e-rawan ka zawaal aisa hai 

Woh muskurain gay sun kar palat kay dekhain gay 
Hamaray lab pe machalta sawaal aisa hai 

Koi bhi waqat ho "Amjad" yeh phailta rehta hai 
Dilon main fazal-e-khuda ka nihaal aisa hai 

Amjad Islam Amjad

Ishq main khwaab sanad ban jaye


Ishq main khwaab sanad ban jaye 

Koi nahin hai kamil phir bhi 

Sab kuch "Amjad" mil bhi jaye 

Kiya hota hai hasil phir bhi
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...