Mar 20, 2016

Shikway bhi hazaron hain shikayat bhi bohat hai




Shikway bhi hazaron hain shikayat bhi bohat hai
Is dil ko magar us se mohabbat bhi bohat hai

Aa jata hai milne wo tassawur me sar-e sham
Ek shaks ki itni si inayat bhi bohat hai

Ye bhi hai tamanna keh usey dil se bhula dein
Is dil ko magar us ki zaroorat bhi bohat hai

Dekhein to zara pee k yeh zeher-e-mohabat
Kehte hain kay is zeher me lazzat bhi bohat hai

Sakoon-e-jaan kay liye dua kaisay kron





Sakoon-e-jaan kay liye dua kaisay kron
Dard to us ne diya hai gila kaisay kron

Aksar lot aata hon manzil se ye soch kar
Mukammal ye safar us kay bina kaisay kron

Hai koi meray hathon ki lakiron mein kami
Apni taqdeer ka us se gila kaisay kron

Ab munasib hai yehi us ko bhula doon
Par apni rooh ko jism se juda kaisay kron

Sochta hoon keh main hi mar jaon
Lekin us ko zamaney mein tanha kaisay kron

Elahi teri makhlooq ka ajab ik tamasha dekha



Elahi teri makhlooq ka ajab ik tamasha dekha
Chhalaktey jaam dekhey samandron ko payasa dekha

Ye kya majra hai apni to samaj main nhi aya
Admi apni hi justuju main ulajhta dekha

Jin k haath thay khali wo masroof-e-zikr dekhay
Haathon main liye tasbih logon ko bhatakta dekha

Alhamd-u-lillah ka matlab to samajh main aya
Siraat-e-mostaqeem k matlab pe logon ko jhagarta dekha

Eiman bechtay howay adam kay betay dekhay
Hawwa ki beti ko sar-e-bazar bikta dekha

Kese dunya k makr-o-faraib se samjhota kar loon"Iqbal"
Keh in aankhon ne badshahon ko b martay dekha

Choro wafaon kay qissey ye umro'n ka rona hai





Choro wafaon kay qissey ye umro'n ka rona hai

Pehlay kon hamara tha ab kis ny hamara hona hai

Sari duniya kay riwajon se adawat ki thi






Sari duniya kay riwajon se adawat ki thi
Tum ko yaad hay jab main ne ek himaqat ki thi

Usay raazdan samajh kar bataya tha haal-e-dil apna
Per us shakhs ne meri zaat se baghawat ki thi

Jab kisi ki yaadon ne aankhon ko bhigoya tha meri
Main ne ek naam ki tasbeeh pe tilawat ki thi

Us ko chor kay hanste hue ghar aa kar
Itna roye thy keh aankhon ne qayamat ki thi

Mere ujarne ka sabab jab bhi kisi ne poocha
Main ne bas itna bataya keh mohabbat ki thi
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...