Jul 24, 2014

Apnay ehsaas se choo kar mujhay sandal kar do



Apnay ehsaas se choo kar mujhay sandal kar do 

Main sadiyon se adhoori hoon mujhay mukamal kar do



na tumhain hosh rahay na mujhay hosh rahay

is qadar toot kar chayo keh mujhay pagal kar do



meri hathaili ko apnay pyar ki mehandi se rango

meri ankhon main apnay pyar ka kajal bhar do



dhoop hi dhoop hoon main toot ke barso mujh par

is qadar barso meri rooh ko jal thal kar do



tum chup lo mera dil , oat main apnay dil ki

aur mujhay meri nigah'hon se bhi ojhal kar do



masla ho to nigha'hain na chura'o mujh se

apni chahat se, tawaja se mujhay hal kar do



apnay gham ko kaho her waqat meray sath rahein

ik ehsaan kar do , us ko musalsal kar do



mujh pe cha jayo kisi aag ki surat jana

aur meri zaat ko sookha hua jungle kar do



Poet : Wasi Shah

Kabhi mushkalon ka tha samna , kabhi raahaton main guzar gaye


Kabhi mushkalon ka tha samna , kabhi raahaton main guzar gaye 
Woh jo din thay meray shabaab kay teri chahaton main guzar gaye

Teri justagoo main rawaan dawaan kabhi sang thay kabhi kehkishaan
Wohi din bhi kitnay haseen thay jo musaafton main guzar gaye 

Kabhi koh-o-dasht kay marhalay kahin barq thay , kahin zalzalay
Kabhi fasl-e-gul kay thay zam'zamay kabhi aafton main guzar gaye

Meray ham'damon ki nawazishein , yeh nawazishein thein ya sazishein 
Woh jo roz-o-shab thay wisaal kay woh shikayaton main guzar gaye

Kabhi raaz daan ne sitam kiya , kabhi main raqeeb se ja mila 
Woh jo lamhay thay meray pyaar kay woh raqabaton main guzar gaye

Kabhi dil gaya . kabhi jaan gayi , kabhi rooh badan se nikal gayi 
Jo "Wazir" lamhay thay pyaar kay woh sakhawaton main guzar gaye 

Poet : Wazir Gohanvi

Kahin bikhri hain kitaabain , kahin mailay kapray


Kahin bikhri hain kitaabain , kahin mailay kapray 

Ghar ki haalat hi ajab hum ne bana rakhi hai 

Apnay wehshat zada kamray ki ik almaari main 

Teri tasveer aqeedat se saja rakhi hai

Jab se para hai teri nigahon se waasta


Jab se para hai teri nigahon se waasta 

Aati nahin hai neend sitaaron se pooch lo

Hum ne aaj kuch sach likhnay ki himmat ki hai


Hum ne aaj kuch sach likhnay ki himmat ki hai 
Koi jaado nahin ! hum ne tum se mohabbat ki hai 

Woh ik lamha bhi jo teri yaad kay bina guzra 
Us pal main hum ne khud se bhi nafrat ki hai 

Her shakhs milta hai aa kar humain khuloos se 
Baat meri surat ki nahin ! baat to seerat ki hai 

Tum se pehlay koi bhi na aa saka wahan 
Dost jis dil pe aaj tum ne hakoomat ki hai 

Yeh meray dil ka dard kam kiyon nahin hota 
Ae dil hum ne kiya dukhon se ulfat ki hai 

Saza milegi tum ko bhi is faisalay kay baad 
Meray zameer ne sach bolnay ki jurrat ki hai 

Kiya karoon woh to pyaar ka matlab bhi nahin jaanta 
Dil-e-nadaan hum ne kis shaks se mohabbat ki hai 

Zara loat aa main udaas hoon


Meri neend mujh se bichar gayi 
Meray khaab mujh se juda huye 

Yeh bara hi gham ka maqaam hai 
Zara loat aa main udaas hoon 

Koi phoot phoot kay ro raha hai 
Abhi talak meri zaat main 

Mere dil main ik kohraam hai 
Zara loat aa main udaas hoon

Tere dam se zinda hoon aaj bhi 
Tu hi zindagi ki umeed hai 

Teray baad jeena mohaal hai 
Zara loat aa main udaas hoon

Meri neend mujh se bichar gayi


Meri neend mujh se bichar gayi 
Meray khaab mujh se juda huye 

Yeh bara hi gham ka maqaam hai 
Zara loat aa main udaas hoon 

Koi phoot phoot kay ro raha hai 
Abhi talak meri zaat main 

Mere dil main ik kohraam hai 
Zara loat aa main udaas hoon

Tere dam se zinda hoon aaj bhi 
Tu hi zindagi ki umeed hai 

Teray baad jeena mohaal hai 
Zara loat aa main udaas hoon


Koi apna nahin banta


Koi apna 

Nahin banta 

Labon pe 

Naam rakhnay se

Dilon main yaad karnay se 

Her ik dharkan 

Her ik tarpan kisi kay naam karnay se ... 

Koi apna nahin banta 

Poocha jo un se keh chaand nikalta hai kis tarah


Poocha jo un se keh chaand nikalta hai kis tarah 

Zulfon ko rukh pe daal kay jhatkaa diya keh youn

Chalo yeh farz kartay hain


Chalo yeh farz kartay hain 
Keh
Tum mashriq
MAin maghrib hoon 

Chalo yeh maan letay hain 
Bhout lamba safar hai yeh 

Magar 
Yeh bhi haqeeqathai 

Tumhari zaat ka suraj
Meri hasti main 
Doobay ga 

Kuch aisa ho yeh shaam dhalay


Kuch aisa ho yeh shaam dhalay 
Koi haath main thamay haath mera 

Koi le kay mujh ko saath chalay 
Koi baithay meray pehloo main haath pe apna haath dhray

Aur ponch kay ansoo aankhon se 
Woh dheeray se yeh baat kahay

Youn tanha safar ab kat'ta nahin 
Chalo hum bhi tumharay saath chalein

Karain gay kiya rafaqat ho gayi to


Karain gay kiya rafaqat ho gayi to 
Hamain hasil yeh raahat ho gayi to 

Mujhay pehloo main apnay mat bithaao
Shrafat se shrarat ho gayi to 

Teray kehnay pe tum se roz mil loon 
Mujhay tum se mohabbat ho gayi to 

Mujhay maanga hai tum ne hanstay hanstay 
Teri qabool hajaat ho gayi to 

MAin tum ko aaj jaanay bhi agar doon 
Tumhain jaanay ki aadat ho gayi to 

Hanso mat haal-e-dil pe is tarah se 
Tumhain bhi aisi chahat ho gayi to

Tum bin meri zaat adhoori jaisay koi baat adhoori


Tum bin meri zaat adhoori
Jaisay koi baat adhoori

Hijar kay saray din hain pooray
Lakin hai her raat adhoori

Lafzon ki gehraai main jhanko
Samjho na her baat adhoori

Nam aankhain aur sookhi palkain
Hoti hai barsaat adhoori

Mujh se , mujh ko cheen gaye tum
Reh gayi meri zaat adhoori

Mujh ko to hosh nahin


Mujh ko to hosh nahin 
Tum ko khabaer ho shayed 

Log kehtay hain keh tum ne
Mujhay barbaad kiya hai 

Dil youn hi intizaar karta hai


Kon is raah se guzarta hai 
Dil youn hi intizaar karta hai 

Dekh kar bhi na dekhnay wale
Dil tujhay dekh dekh darta hai 

Shaher-o-gul main katti hai saari raat 
Dekhiye din kahan guzarta hai 

Dhiyaan ki seeriyon pe pichlay pehar 
Koi chupkay se paaon dharta hai 

Dil to mera udaas hai nasir 
Shaher kiyon saayein saayein karta hai 

Poet : Nasir Kazmi

Kon is raah se guzarta hai


Kon is raah se guzarta hai 
Dil youn hi intizaar karta hai 

Dekh kar bhi na dekhnay wale
Dil tujhay dekh dekh darta hai 

Shaher-o-gul main katti hai saari raat 
Dekhiye din kahan guzarta hai 

Dhiyaan ki seeriyon pe pichlay pehar 
Koi chupkay se paaon dharta hai 

Dil to mera udaas hai nasir 
Shaher kiyon saayein saayein karta hai 

Poet : Nasir Kazmi

Mohabbat ki qasam woh aisa na tha


Mohabbat ki qasam woh aisa na tha 

Woh apna tha magar lagta nahin tha 

Na'jaane kiyon na aya mujh se milnay 

Zamanay se to woh darta nahin tha 

Tabasum ki thi buri aadat us ko 

Woh mujh ko daikh kar to hansata nahin tha 

Meray dil main hai uss ki ulfat mirza 

Woh mera tha , meray jaisa na tha 

Youn teray husan ki tasveer ghazal main aaye


Youn teray husan ki tasveer ghazal main aaye
Jaisay balqees sulimaan kay mehal main aaye

Jabar se aik hua zaiqa-e-hijar-o-wisaal 
Ab kahan se woh maza sabar kay phal main aaye

Hamsafar thi jahan farhaad kay taisay ki sadaa
Woh maqaam bhi kuch sair-o-jabal main aaye

YEh bhi Aaraish-e-hasti ka taqaza tha keh hum 
Halqa-e-fikar se maidaan-e-amal main aaye

Her qadam dast-e-grebaan hai yahan khair se shar 
Hum bhi kis Marka-e-jang-o-jadal main aaye

Zindagi jin kay tasawur se jilaa paati thi 
Haye kiya log thay jo dam-e-ajjal main aaye

 



Dard ab her pal stanay laga mujhay


Dard ab her pal stanay laga mujhay 

Zindagi kiya hai yeh ehsaas karanay laga mujhay 

JAb bhi mere dil ne hansanay ki tamana ki 

Meri taqdeer ne jee bhar kay rulaya hai mujhay

Bara ajeeb hota hai mohabbat ka khail


Bara ajeeb hota hai  mohabbat ka khail 

Aik thak jaye to "Dono" haar jaatay hain

Manzalein insaan kay hoslay azmaati hain


Manzalein insaan kay hoslay azmaati hain

Sapno kay parday aankhon se hataati hain

Kisi bhi baat se himmat na harna

Thokrain hi insaan ko chalna sikhati hain

Lag ja gale kay phir yeh haseen raat ho na ho


Lag ja gale kay phir yeh haseen raat ho na ho 
Shayed phir is janam main mulaqaat ho na ho 

Hum ko mili hain aaj yeh gehraiyan naseeb se 
Jee bhar kay dekh lijiye hum ko qareeb se 

Phir aap kay naseeb main yeh baat ho na ho 
Shayed phir is janam main mulaqaat ho na ho 

Paas aaye kay hum nahin ayein gay baar baar
Baanhain gale main daal kay hum roo lain zaar zaar

Aankhon se phir yeh pyaar ki barsaat ho na ho 
Shayed phir is janam main mulaqaat ho na ho 
 

Tum meray hi rehna


Tum meray hi rehna

Tum se naata hai youn wafaon ka 
Jaisay khushboo se hai hawaon ka 
Jaisay honton se hai duaon ka
jaisay rishta hai dhoop chaayon ka 
Jaisay jismon se rooh-e-jaan ka 

Suno 
Bandhan yeh hamesha nibhana 
mujhay tanha mat chor jana 
Ab teray bin mujhay nahin rehna 
Bas 
Tum meray hi rehna 

Tum se naata hai youn wafaon ka


Tum se naata hai youn wafaon ka 
Jaisay khushboo se hai hawaon ka 
Jaisay honton se hai duaon ka
jaisay rishta hai dhoop chaayon ka 
Jaisay jismon se rooh-e-jaan ka 

Suno 
Bandhan yeh hamesha nibhana 
mujhay tanha mat chor jana 
Ab teray bin mujhay nahin rehna 
Bas 
Tum meray hi rehna 

Itni mohabbat doon keh ho jaye tu mera


Itni mohabbat doon keh ho jaye tu mera 

Phir main zamanay ko teray liye tarasta dekhon

Dil-e-umeed tora hai kisi ne




Dil-e-umeed tora hai kisi ne 
Sahara de kay chora hai kisi ne 

Na manzil hai na manzil ka nishaan hai 
Kahan pe laa kay chora hai kisi ne 

Main un sheesha garon se poochta hoon 
Keh toota dil bhi jora hai kisi ne 

Qafas ki teeliyan rangeen kiyon hain 
Yahan pe sar ko phora hai kis ne 

Chaman main ba'khuda shabnam nahin hai 
Yahaan daman nichora hai kisi ne 

Hai dewano ko zanjeeron se nisbat 
Yeh rishta bhi khoob jora hai kisi ne 

Mohabbat main mujhay bar'baad kar kay 
Lahoo dil ka nichora hai kisi ne 

Bhari mehfil main majnoo ne pukaara 
Meri laila ko dekha hai kisi ne 


Rafta Rafta log mujh se kat rahay thay jin dino




Rafta Rafta log mujh se kat rahay thay jin dino 

Un dino kuch bhi nahin , bas aainay jaisa tha main

Mujhay tum se mohabbat ho gayi hai


Mujhay tum se mohabbat ho gayi hai 
YEh duniya khoobsurat ho gayi hai 

Khuda se roz tumhain maangta hoon 
Meri chahat ibaadat ho gayi hai

Zindagi chain se guzar jaye


Zindagi chain se guzar jaye

Woh agar zehan se uttar jaye

Ik ehsaas jo her waqat staata hai mujhay


Ik ehsaas jo her waqat staata hai mujhay 

Gar woh mera hai to kiyon rulaata hai mujhay

Patton ki tarah bakhairta tha zamana hum ko


Patton ki tarah bakhairta tha zamana hum ko 

Ek shaks ne yak'jaa kiya aur aag laga di

Sika bana kay jab bhi uchala gaya mujhay


Sika bana kay jab bhi uchala gaya mujhay 

Main teri haar jeet main taqseem ho gaya

Her kahani kay magar hotay hain kirdaar juda


Loh-e-qirtaas na phir dast-e-qalam juda 
Her kahani kay magar hotay hain kirdaar juda 

Dil badal jayein to raastay bhi badal jaatay hain 
Dar juda hon to utha letay hain dewaar juda 

Sazishain laakh karay chahay zamana lakin 
Kar na paye ga kabhi mujh se mera yaar juda 

Ashk aankhon main liye dhoond rahay hain hum ko 
Meray gham'khaar alag , teray talab'gaar juda 

Waadi-e-ishq main kiya khoob tamashay hain "Mohsin"
Lazat-e-hijar juda , Wasal kay azaar juda 

Poet : Mohsin Naqvi

Loh-e-qirtaas na phir dast-e-qalam juda


Loh-e-qirtaas na phir dast-e-qalam juda 
Her kahani kay magar hotay hain kirdaar juda 

Dil badal jayein to raastay bhi badal jaatay hain 
Dar juda hon to utha letay hain dewaar juda 

Sazishain laakh karay chahay zamana lakin 
Kar na paye ga kabhi mujh se mera yaar juda 

Ashk aankhon main liye dhoond rahay hain hum ko 
Meray gham'khaar alag , teray talab'gaar juda 

Waadi-e-ishq main kiya khoob tamashay hain "Mohsin"
Lazat-e-hijar juda , Wasal kay azaar juda 

Poet : Mohsin Naqvi

Tum pe hi likha hai her aik lafaz


Tum pe hi 

Likha hai 

Her aik lafaz 

Apni nazmon ka 

Phir bhi 

Kiyon poochtay ho 

Keh is nazam ka 

Unwaan kiya hai  ?

Poet : Amjad Mir Khan

Mujhay ab neend ki talaash nahin



Mujhay ab neend ki talaash nahin

Raaton tak jaagna acha lagta hai

Mujhay nahin maloom

Woh meri qismat main hai ya nahin

Magar khuda se ussay maangna acha lagta hai

Us se pyaar karna sahi hai ya nahin

Par es ehsaas main jeena acha lagta hai

Kabhi hum saath hon gay ya nahin

Par yeh khwaab dekhna acha lagat ahi

Pata nahin mujhay haq hai ya nahin

Par us ki parwah karna acha lagta hai

Woh mear hai ya nahin 

Par ussay apna kehna acha lagta hai 

Acha lagta hai

Acha lagta hai

Mujhay ab neend ki talaash nahin

Raaton tak jaagna acha lagta hai

Mujhay nahin maloom

Woh meri qismat main hai ya nahin

Magar khuda se ussay maangna acha lagta hai

Us se pyaar karna sahi hai ya nahin

Par es ehsaas main jeena acha lagta hai

Kabhi hum saath hon gay ya nahin

Par yeh khwaab dekhna acha lagat ahi

Pata nahin mujhay haq hai ya nahin

Par us ki parwah karna acha lagta hai

Woh mear hai ya nahin 

Par ussay apna kehna acha lagta hai 

Tum aao kabhi dastak do meray dar par


Tum aao kabhi dastak do meray dar par 

Pyaar pehlay se kam ho to shikayat karna 

Mere dil main uttar sako to shayed jaan lo 

Kitna mushkil hai kisi se khamosh mohabbat karna

Woh dulhan kay roop main kharri thi


Woh dulhan kay roop main kharri thi 

Par woh kisi aur kay liye saji thi 

Aaj bhi us ka roop wohi sohana hai 

Jissay main dekhta tha aur dewana tha 

Ussay paanay ki justago thi , ussay pana tha 

Par ussay kahan meri zindagi main ana tha 

Ankhon main ashk liye dekhta reh gaya 

Meri aankhon se ashkon ka toofan beh gaya 

Woh dulhan kay roop main kharri thi 

Mere liye nahin kisi aur kay liye saji thi 

Woh to aya tha kai baar mananay mujh ko


Woh to aya tha kai baar mananay mujh ko 

Mujh se doori main jo guzri thi sunaanay mujh ko 

Main ne hi tark-e-taaluq ki qasam khaa li thi 

Yaad aye thay kuch log puraanay mujh ko 

Kuch to aadat hai aankhon ko chalak jaanay ki 

Kuch khayalaat bhi aatay hain rulaanay mujh ko 

Un ko dekhon to dil mera pashemaan ho jaye

Jo dekhatay thay kabhi khwaab suhaanay mujh ko 

Us ne ik lamhay main andaaz badal daala "Wasi"

Jis ki qurbat main lagay kitnay zamanay mujh ko 

Her lamha teri yaad ki khushboo hai mere paas


Her lamha teri yaad ki khushboo hai mere paas
Is shaher main tanha hoon magar tu hai mere paas 

Jis shakal ko chahon teri tasveer main badal doon 
Yeh husan-e-tasawur hai keh jaado hai mere paas

Rakhta hai sada jo meri raaton ko mo'attar 
Woh tere badan ka gul-e-khushboo hai mere pass 

Kiya mujh ko pasand ayein gay is shaher kay naghmay 
Tu hai meri jaan teri jaan hai mere pass

Kiyon thaamon ga jaan kisi aur ki baanhain 
Main nahin teri baanhain hain mere paas

Jab chahon sajan us kay nagar tak mujhay le jayein 
Sochon ka chamakta hua jugnoo hai mere paas

 

Ik tum , keh tumharay liye main bhi , meri jaan bhi


Ik tum , keh tumharay liye main bhi , meri jaan bhi 

Ik main , Keh mujhay tum bhi muyassar nahin atay

Chashm-e-nam , teri yaad aur baarish


Chashm-e-nam , teri yaad aur baarish 

Goya ik baarish kay saath , ik aur baarish

Dhoop ho chaaon ho tum saath nibhaya karna


Dhoop ho chaaon ho tum saath nibhaya karna 
Mere chehray pe sada palkon ka saya karna

Raah dekhon gi tumhari main sar-e-shaam youn hi 
Kabhi jaldi kabhi dair se aya karna 

Daant lena sar-e-mehfil koi baat nahin 
Phir akelay main gale laga kay mnaaya karna 

Jaan jaaon gi main khushboo se tumhari tum ko 
Tum peechay se meri aankhon ko chupaya karna 

Jaagna chahon to raat bhar baatein karna 
Neend aa jaye to seenay pe sulaya karna 
 

Jab tera dard mere saath wafa karta hai


Jab tera dard mere saath wafa karta hai 
Ik samandar meri aankhon se baha karta hai 

Uss ki baatein mujhay kushboo ki tarah lagti hain 
Phool jaisay koi sehra main khila karta hai 

Mere dosti ki yahi pehchaan kaafi hai 
Woh her ik shaks ko danasta khafa karta hai 

Aur to koi sabab us ki mohabbat ka nahin 
Baat itni hai keh woh mujh se jafa karta hai 

JAb khizaan aai to loat aye ga woh bhi 
Woh bahaaron main zara kam mil akarta hai 

Abhi tak mojood hai is dil pe teray qadmon kay nishaan


Abhi tak mojood hai is dil pe teray qadmon kay nishaan 

Hum ne teray baad kisi ko is raah se guzarnay hi nahin deta

Sun rahay ho baadlon ki garj-o-chamak


Sun rahay ho 
Baadlon ki garj-o-chamak 

Kuch isi tarah tarpa hai 
Hamara dil bhi aap kay liye

Dard itnay mile ab dard na raha


Dard itnay mile ab dard na raha

Bari be'dardi se ro diye keh koi dard na raha

Dil-e-veraan main mere bas dard ka basera tha

Magar dard bhi yeh keh gaya keh tumhain ab dard na raha 

Bhout karta hai zamana tareefain meri aankhon ki 

MAgar in dard bhari aankhon main ab dard na raha 

Aahain siskiyiaan bhi saath chor gayien mera 

Ajab zindagaani hui keh zindagi main ab dard na raha 

Udaas raaton main haal-e-dard sunaatay thay dard ko magar 

Shab-e-dard bhe yeh keh gayi keh "Neelum" ko ab dard na raha


Taaluq youn raha aik be'wafa se


Taaluq youn raha aik be'wafa se 

Wafa ki 

Phir wafa ki 

Phir wafa ki 

Bara afsoos hai saahib keh hum ne 

Khataa ki 

Phir khataa ki 

Phir khataa ki 

Kabhi khamosh baitho gay , kabhi kuch gun'gunao gay


Kabhi khamosh baitho gay , kabhi kuch gun'gunao gay 

MAin itna yaad aayon gi mujhay jitna bhulao gay 

Koi jab pooch baithay ga khamoshi ka sabab tum se 

Bhout samjhana chahyo gay magar samjha na paao gay 

Kabhi duniya mukamal ban kay ayi gi nigahon main 

Kabhi meri kami dunia ki her shai main paao gay 

Kahin par bhi rahain hum aur tum mohabbat phir mohabbat hai 

Tumhain hum yaad ayein gay hamain tum yaad ayo gay
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...