Feb 13, 2016

Hamein yaadon ka ik gehra samandar paar karna hai


Hamein yaadon ka ik gehra samandar paar karna hai 
taaluq ki inhi shakista kashtiyon par hi safar anjam karna hai 
Tum baad'bano ko agar chaho 
Kisi bhi ajnabi simat hawa main 
Khol saktay ho 
Mujhay to is samnadar kay tlaa'tum main 
abhi kuch dair rehna hai

Bichray lamhon main us ne mujh se kaha tha dekho


Bichray lamhon main 
Us ne mujh se kaha tha dekho 
Hamari raahein juda juda hain 
Magar hamein aik doosray ka khayal rakhna hai zindagi bhar 
Kisi bhi lamha udasiyon ki 
Faseel hayel na honay dena  
Hawa kay haathon pe likhtay rehna
Judaiyon kay tamaam qissay
Qadam qadam par jo paish ayein , woh sani'hay bhi nazar main rakhna  
Main jab bhi lota to apnay honton ki tazagi ko 
Tumhari bujhti  hui in aankhon main laa rakhon ga 
Jo meri apni hain sirf meri 
Bichartay lamhon main us ne mujh se na janay kya kuch kaha 
Suna tha 
Aur ab ussay bhi yahi kahay ga 
Woh jis kay haathon main haath dalay 
Naye safar par nikal para hai

Mohabbat karnay walay suna hai


Mohabbat karnay walay suna hai 
Aankhon main taray liye phirtay hain 
Aur chehray par qos-o-qazah kay rang bhi 
Saray liye phirtay hain 
Warna apni khwaish thi 
Keh taray das'taras main hotay 
Keh dhanak rang apnay bas main hotay 
Aur isi tarah 
Ab bhi qabool na ho to yeh qismat ki baat hai 
"Ameen" keh rahay hain meri her dua kay saath

Mera jee hai jab tak teri justagu hai


Mera jee hai jab tak teri justagu hai 
Zaban jab talak hai yehi guftagoo hai 

Tamana hai teri , agar hai tamana 
Teri aarzoo hai , agar aarzoo hai 

Khuda janay kya ho ga anjaam us ka 
Main be'sabar itna hoon , woh tand'khu hai

Gha'neemat hai yeh deed'wa deedariyan 
Jahan moond gayi aankh main hoon na tu hai 

Nazar meray dil ki parri "Dard" kis par 
Jidher dekhta hoon wohi ru'ba'ru hai

Her ik janib udasi hai abhi sochein to kya sochein


Her ik janib udasi hai 
Abhi sochein to kya sochein 

Her ik su hu ka aalam hai 
Abhi bolein to kya bolein 

Her ik insaan pathar hai 
Abhi dharkein  to kya dhakrein

Fiza par neend taari hai 
Abhi jaagein to kya jaagein 

Her ik maqtal ki sha'rag se lahu ki lehar jaari hai 
Abhi dekhein to kya dekhein 

Her ik insaan ka saaya abhi matti pe bhaari hai 
Abhi likhein to kya likhein 

Youn raah-e-wafa ki saleeb par do qadam uthanay ka shukriya


Youn raah-e-wafa ki saleeb par do qadam uthanay ka shukriya 
Bara pur'khatar tha yeh raasta teray loat janay ka shukriya 

Jo udas hain teray hijar main , jinhein bojh lagti hai zindagi 
Sar-e-bazam youn inhein dekh kar tera muskuranay ka shukriya 

Teri yaad kis kis bhais main meray shair-o-naghmay main dhal gayi 
Yeh kamal tha teri yaad ka , mujhay yaad aanay ka shukriya 

Jo asool zamanay bhar ka tha , woh asool tu ne nibha diya 
Yahi rasm thahri hai  Moh'tabar , mujhay bhool janay ka shukriya

Tark-e-ulfat ki qasam bhi koi hoti hai qasam


Tark-e-ulfat ki qasam bhi koi hoti hai qasam 
Tu kabhi yaad to kar bhoolnay walay mujh ko 

Mujh se tu poochnay aaya hai wafa kay mah'ni
Yeh teri sada dili maar na dalay mujh ko 

Thay khaak-e-raah bhi hum log qehar-e-toofan bhi


Thay khaak-e-raah bhi hum log qehar-e-toofan bhi
Saha to kya na saha aur kiya to kiya to kya na kiya 

Woh heela'gar jo wafa jo bhi hai , jafa khu bhi 
Kiya bhi to "Faiz" kis butt se dostana kiya 
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...