Dec 15, 2014

Suna hai teray shaher main nazool-e-wafa ka mousam

Mohabbat ka sawan aur rang-o-noor ka aalam hota hai

Suna hai wahan dilon ka milan hota hai

Roohon ka wisaal aur hijar ka inkaar hota hai

Wahan zulf bikhray to raat ka aalam

Jo simtay to sawera hota hai

Suna hai ashk jab koi bahaye to

Wahan sawan ka mousam hota hai

Taara jab bhi tootay kahin aasmaan main

Nazak haathon main kash'kol-e-dua hota hai

Suna hai wahan kalaam karti hain mohabbatain

Nafraton ka qatal-e-aam hota hai

Suna hai woh bhi makeen hai teri basti ka

Jo sadiyon se rooh-e-jaan hamari hota hai

US ko salam-e-mohabbat kehna

Jis ki aankh main ashk meray naam ka hota hai

Woh bhi shayed mehsoos karta ho

Dard jo Firaaq main yahaan hota hai

Us ki muskaan ka bhi aalam kuch biyaan ho

Kiya ab bhi ussay dekh kar chaandani ka gumaan hota hai

Suna hai ab bhi woh nazar jhuka kar milta hi

Kahin aankh main us ki pyaar ka rang hota hai

Chalo us basti ki jaanib chaltay hain

Jahan rang-e-qos-o-qaza , aur raqs ishq main hota hai 

Sab kitaabain jhooti niklein daastan-e-wafa ki

Sab ghazlain be'mahni niklein unwaan-e-wafa ki

KAisa iztraab machal raha hai kisi khaana-e-dil main
YEh kis ka pyaam layi hain hawain ehad-e-wafa ki

Kahan se milta hai sira barson ki uljhano ka
Shayed keh kuch karishma kar jayein zulfain be'wafa ki

Chalo zameen ki wusaton main talaash kartay hain
Koi to basti ho gi jahan mil jayein soortain ehal-e-wafa ki

Hum to roz dil kay dasht main gulaab chuna kartay hain
Hum ne dekh rakhi hain sab kramaatain dard-e-wafa ki

Kitnay be'dard hain teray qaid khanay kay mohafiz Saqi

Aankh lagti hai to zanjeer hila detay hain

Sab ghazlain be'mahni niklein unwaan-e-wafa ki

Sab kitaabain jhooti niklein daastan-e-wafa ki
Sab ghazlain be'mahni niklein unwaan-e-wafa ki

KAisa iztraab machal raha hai kisi khaana-e-dil main
YEh kis ka pyaam layi hain hawain ehad-e-wafa ki

Kahan se milta hai sira barson ki uljhano ka
Shayed keh kuch karishma kar jayein zulfain be'wafa ki

Chalo zameen ki wusaton main talaash kartay hain
Koi to basti ho gi jahan mil jayein soortain ehal-e-wafa ki

Hum to roz dil kay dasht main gulaab chuna kartay hain
Hum ne dekh rakhi hain sab kramaatain dard-e-wafa ki

Chahaton kay alm hum ne dekhye hain

Chahaton kay alm hum ne dekhye hain
Qismaton kay sitam hum ne dekhye hain

Mafhoom-e-dastaan badal jaatay hain
Lafzon kay jurm hum ne dekhye hain

Aashiyaan jala kar muskuraatay hain
Doston kay karam hum ne dekhye hain

Ae ujaalo kiyon itna hanstay ho
Andheron kay gham hum ne dekhye hain

Chala to us nagar main jaaon
Raaston kay kham hum ne dekhaye hain

Kal raat chair gayi zikar jo wafaon ka

Kal raat chair gayi zikar jo wafaon ka
Woh yaad aya jo paikar tha jafaon ka

Ussay zoham tha mujhay mit'tanay ka
Kuch shouq-e-safar tha hamain sehraaon ka

Hum ne jalna pasand kiya dhoop main
Woh shaidai tha ghanni chaaon ka

Hum griftaar rahay us kay sehar main
Woh panchi raha azaad fizaon ka

Ussay aaitabaar tha zamanay bhar pe
Main raha mujrim us ki nigahon ka

Aik baar poocha hota sabab khataon ka
MAin to muntazir hi raha us ki sadaon ka

Bas ajnabi kar gaya aik pal main
Jo maan tha meri ana'on ka

Yaad aata hai dard ka aik aik lamha

Yaad aata hai dard ka aik aik lamha
Koi muskuraye to ashk aankh se utar aata hai

Waqat-e-judai us ki aankh bhi pur'nam thi
Saat pardon main jazbaat chupaana ussay aata hai

Khud pathar ki moorat banna betha raha sadaa
Mom ki maanind mujhay pighalna ussay aata hai

Pehlay tameer main raha woh meri lamha lamha
Phir muskuraa kar mitaana bhi ussay aata hai

Nigahon se kai baar sawaal karta par
Khud se jawaab soch lena khoob ussay aata hai

Palkon pe betha kar poojtay rehna
Nazron se giraana bhi ussay aata hai

Main samjha jeet gaya pyaar us ka
Maat dena khoob ussay aata hai 

Raat teri yaad ki rida oorh kar soo rahay thay

Goya keh sakoon-e-dil kho kar soo rahay thay

Gaye dino kay azaab hotay lamhay
Ajab andaaz se dil ki taar choo rahay thay

Behtay aansoo meray talooh-e-sehar talak
Na'kardah juram-e-wafa kay daagh dhoo rahay thay

Waqat-e-judai bheegi palkon talay woh muskaya tha
Uss husan-e-adaa pe sang meray taaray bhi ro rahay thay

Jaan-e-jaan tujhay kiya khabar baad teray
Sulag sulag kar misal-e-koyela raakh ho rahay thay 

Mohabbaton ka ab naam na lo dar lagta hai

Aalam-e-ishq ki shokiyon se dar lagta hai

Us ki zulf-e-meharbaan se juda jo huye
Din kay roshan ujaalon se dar lagta hai

Firaaq-e-sanam main ashkon se ishq kar baithay
Muskuraatay nainon se ab hamain dar lagta hai

Aankh se aankh mila kar kalaam kiya karo
Jhuki jhuki si palkon se jaanan dar lagta hai

Gham apnay tamaam somp do mujhay
Apni khushiyon se to hamain dar lagta hai

Kiya khouf tumhain meri veeraniyon ka
Mujhay to basti se teri dar lagta hai

Woh aatish-e-hijar ka shikwa kartay hain
Hamain to khayal-e-wasal se dar lagta hai  

Chehray hamaray udaas rehtay hain

Chehray hamaray udaas rehtay hain
Khawaab hamaray udaas rehtay hain

Libaas-e-lafaz atta kiye thay jin ko
Ashaar hamaray udaas rehtay hain

JAhan-e-nou ki justagoo kiya karain
Insiraam saaray udaas rehtay hain

Pal bhar jo hans letay hain ehal-e-dard
Barson saaray udaas rehtay hain

Shajar be'libaas kar diye tum ne
Saaye bichaaray udaas rehtay hain

Ujri hui bastiyon ka gham kiya karna

Ujri hui bastiyon ka gham kiya karna
Khoon hhoti daastaano ka gham kiya karna

Kabhi khiltay thay gulistaan main laala-o-gul
Ab khaak uraati hawaon ka gham kiay karna

Tum to khafa ho gaye anjaani si khata pe
Ab guzray huye lamhon ka gham kiay karna

Tumhari muskuraahat ka taalisam aaj bhi hai qayam
Apni pur'nam palkon ka gham kiay karna

Toofaan main ghir kar door se pukaara un ko
Na'meharbaan thi hawa un'suni hawaon ka gham kiay karna

Tum thay chaa'on ki maanind kari dhoop main
Baad firaaq ab jaltay paaon ka gham kiya karna

Dartay thay kahaan jayein gay us ke qadamon se uth kar
Ab shikayat kaisi ab sehraa'on ka gham kiya karna 

Ajnabi kehta hai aashna jo tha bhout

 Ajnabi kehta hai aashna jo tha bhout
Meri her baat ka raaz'daan tha bhout

Youn hi ek roz ro paray dekh kar chehra us ka
Muskuraahaton pe apni ghroor jissay tha bhout

Main ussay sanwaar to deta kisi suljhan ki tarah
Meray haath pe magar mohabbat ka lahoo tha bhout

Mehaktay huye gulaab sa hai woh
Par khushbo'on se guraizaan main tha bhout

Ussay shikwa hai meri jafaon ka
Magan main mohabbaton main tha bhout

Naza churaai thi jis pal tum ne jaanan
Maon moh'tabar teri nigahon main tha bhout

Chalo soo jayein oorh kar matti ki chadar
Keh teri duniya main be'wuqat main tha bhout 

Uth to jaatay teri mehfil-e-shab se jaanan

Teri aankhon main jaltay deep mujhay roktay rahay

Teri masoom adaa'on ka sehar kuch is tarah taari raha
Haathon main lay kar bhi tera haath khatain roktay rahay

Paich-o-kham teri zulfon kay be'chain kiya rahay
Chah kar bhi sulajnay ki khwaishain roktay rahay

Bhout armaan hai teri basti se guzrain kabhi
Kuch adab kuch lihaaz magar raahain roktay rahay

Teray aanchal main chuppi hain kai bahaarain
Hum to jeewan ki teri khizaan roktay rahay

Yaqeen aa jaye meri jafaoon pe tujhay
Isi koshish main jaanan apni wafa'ain roktay rahay

Jurm to aisay thay keh sooli charh jaatay Qais
Kaamptay lab kisi kay magar sazaein roktay rahay

Kahan milta hai dil-e-na'shaad ko qaraar bataye koi

Kahan barhti hai jazbon main pari daraar bataye koi

Nimaaz-e-ishq adaa kartay rahay aanchal pe jin kay sadaa
Kab ho ga qabooliyat-e-sajda keh unhain iqraar bataye koi

Chalo tasleem hain hamain sab khataein saz sazain
Kon hai khata'kaar kon saza'waar kab tak rahay yeh israar bataye koi

Woh jo parhta tha teri hamd ki tasbeeh
Hua dargaah mandh kiyon tehra gunah'gaar bataye koi

Aik roz bhout sataye ga ussay ehssa-e-jurm Qais
Zamanay bhar main jab na paye ga hum sa talab'gaar bataye koi

Youn aadmi ko Aazmaati hai zindagi

Youn aadmi ko Aazmaati hai zindagi
De kar do haath khaali reh jaati hai zindagi

Bara aazmaya hai haathon ki lakeeron ko
Her baar na jaanay kiyon maat dy jaati hai zindagi

Rasmon kay touq galay main daalay ghissat rahay hain
Nafs kay in bojhon se naveed-e-nijaat  dilaati hai bandagi

Din kay ujaalon main musaaib-e-allam se ghabra kar
Qabai-e-shab kay sajdon main beh'laati hai bandagi

Woh nabz pe meray haath rakh kar yeh bolay
Kiya yeh hi be'rabt sansoon ki rawaani kehlaati hai zindagi

Yeh simat'tay saaye na jaanay kiya payaam laye hain

Lagta hai band gali main dhalti shaam laye hain

Poocha tha kal main ne shab kay andheray pan se

Kiyon utar kay meri rooh main sar-e-shaam aaye hain

Safar to kat sa gaya justagoo-e-la'haasil main

Ab baalon main dhoop saja kar kon se maqaam aye hain

Ujraton pe wafaon ka soda to kabhi na kiya

To phir yeh shab-e-hijar ki tawalaat kiya likhwa kar taqdeer-e-mubraam laye hain

Hamain ishq tha sadaa tarapnay se sisaknay se jaanan

Kuch soch kar hi kheench kar sazaon ko dar-e-baam laye hain 

Aarzoo thi teri zulfon ko sanwara kartay

Samnay bitha kay tujhay gulaabon ko istiaara kartay

Bar'baadi-e-umar kay asbaab par kiyon kar ghour-o-fikar kartay

Kiyon na teri gehri aankhon ko nehaara kartay

Youn to kai aye hain anjuman main teri

Hum to faqat aik tujhay pehron pukaara kartay

Dil dukhtay hain teray kisi sabab kay tehat

Pagal si tamana hai keh teray ashkon ko sitaara kartay

Qais itna to yaqeen hai moujza-e-mohabbat pe hamain

Teri raahon main bichh jaatay jo phoolon ko ishaara kartay 

Youn kabhi ashkon se haal-e-dil bataa dena

Chilmilaati dhoop main barasti ghataa dikha dena

Mujhay fursat nahin hansanay hansaanay se jaanan

Zakham meri rooh kay mujhay tum dikha dena

Khyaal-e-yaar main kho kar raastay bhool jaata hoon aksar

Mil jaye awara gard to ghar ka pata bata deta hoon

Dariya bhi aakhir samandron ki nazar ho jaatay hain

MAin mar jaaon to nishaan meray sab mitta dena

Silsala woh rafaaqaton ka kaisay badlaa

Kiya hui chahatain raaz-e-ulfat yeh suna dena

Saaqi aa gaye hain teri mehfil main lar'khraatay qadmon

Jo zara aye hosh to jaam aur pila dena

Silaa  milta hai wafaon ka parha tha kahin

Mil jaye woh haamil-e-tehreer to bataa dena

Kal shaam woh shajar bhout tanha sa tha

 Kal shaam woh shajar bhout tanha sa tha
Us pe likha mera naam bhout tanha sa tha

Kal chandani ko udaas zameen pe utar'tay dekha
Ashk gira kar woh boli chaand bhout tanha sa hai

Aik shakhs jissay kamaal tha tanhai mittanay main
Aaj shaher-e-khamoshaan main woh khud bhout tanha tha

Mujhay rok kar raah main gulaab thamaa diya jis ne
Phoolon se guraizaan woh bhout tanha sa tha

Woh maangtay thay anjuman'ein mujh se Qais
Kiya deta main to apni zaat main bhout tanha sa tha

Jis qadar jurm baaqi hain merya naam kar do

Her be'wafa kahaani ka intisaab meray naam kar do

Aik lamhay ki khata ne kar di raiygaan sab riaazatain
Ab saza'on ka her baab meray naam kar do

Dhalti shaam main chragh jala diye teray intizaar kay
Aahat-e-qadmon kay sab saraab meray naam kar do

Suna hai meri yaad main neendain toot jaati hain us ki
Keh do ussay bilaktay woh sab khwaab meray naam kar do

Teri aankhon kay muskuraatay ashk mujhay qabool hain
Le lo meri hansi apnay gohar-e-na'yaab meray naam kar do  

MAin raat kay parday par ik naqsh banaata hoon

Phir waqat-e-fajar aap ussay mitaata hoon

Na jaanay kab loat aye woh dil ka bhoola panchi

Aangan ki tooti kamand pe her shaam aik diya jalaata hoon

Meri talwarain zang alood hain main madad-e-ghaib ka mutlaashi hoon

Dekh meri saadgi-e-dil kaisay kaisay butt banaata hoon

Aik bharosa tha teri cahhat par woh bhi chakna choor hua

Chun kar in tukron ko ik naya lafz banaata hoon

Qasmain-e-waday ehad-e-paymaan sab baatain hain puraani si

Kuch dair to tehro kuch naya harf dhoond kay laata hoon

Lagta hai phir se koi saaneha honay ko hai

Kisi ghreeb ki beti raheeba honay ko hai

December ki bheegi raaton main aag bhi mushkil jalti hai
Kacchi chatt kay makeeno main koi haadsaa honay ko hai

Aaj phir shaher kay dastar'khwaan sajay sajaye rakahye hain
Paas hi ghreeb si basti main bhook se koi saaneha honay ko hai

Suan hai dariyon main tughiyaani ka aalam hai
Koi pyaasa lab-e-dariya mar jaye shayed yeh saaneha honay ko hai

Talaash-e-rizq main sar'gardaan hai mazdoor meray watan ka
Khaali haath lota to masoom hatheli pe ashkon ka koi saaneha honay ko hai 

Sawan ki hawaon main zakham jaag uthtay hain

Shaher-e-dil ki fizaon main alm jaag uthtay hain

Sarguzisht likhnay ko jab bhi kaaghaz uthaata hoon

Khayaal ki zameeno main talatum jaag uthtay hain

Baazeecha-e-atfaal main nanhay nanhay phool mehaktay dekhon to

Dil kay sehraaon main marham rog bantay hain

Meri basti main kabhi mehfilain saja karti thein

Khoon-e-insaan ki khushbon se ab sar-e-shaam sog biktay hain

Ghar se nikalna chaho to ujaalon main hi nikalna

Meray arz-e-pak ki galiyon main her shaam naag nikaltay hain

Jabeen sajday main rakhon to ro parta hoon

Dastaan kisi kay ujarnay ki sunon to ro parta hoon

Yeh kiya ho gaya hai hazart-e-insaan ko

Haalat-e-zaar pe is ki aik harf bhi likhon to ro parta hoon

Yaad aati hain aslaaf ki fatuhaat kay zamanay

Aulaad-e-Adam ko be'bas-o-be'kas aaj dekhon to ro parta hoon

Waada tha khuda ka momin rahay ga ghalib sada kufar pe

Aaj kufar ko daakhil qalab-e-momin jo dekhon to ro parta hoon

Jis ummat ki bakh'shish kay liye sar na uthaya Mohammad ne

Us muslim ko gharq-e-gunnah jo dekhon to ro parta hoon 

Kabhi to shaher-e-talisam se youn guzro

 Kabhi to shaher-e-talisam se youn guzro

Karri dhoop kay sawan se tum guzro

Ae baad-e-saba kuch dair tehar jaana

Jab kabhi meray aangan se tum guzro

Woh gali bhout moh'tabar hai kai hawalon se

Do ashk baha dena jab tum us ujray makaan se guzro

Hasrat-o-yaas se takti hain titliyaan baaghbaan ko

Naveed-e-bahaar ban kar khizaan raseeda chaman se tum guzro

Sun hai Qais ghazlain us ki Paani main bhi aag jaisi hoti hain

Sardiyon ki udaas shaamon main thori aag lay lena jo shaher-e-sukhan se tum guzro

Saahil udaas tha keh samandar udaas tha

Saahil udaas tha keh samandar udaas tha
Lagta tha jaisay sara manzar udaas tha

Louti falak se to bari dil'geer thi dua
Ek khwaab tootnay par muqadar udaas tha

Phir chaand ko laga kar galay ro parti ghatta
Aisa laga toofaan bhi falak par udaas tha

Meri tabhiyon par ussay bhi malaal tha
Aaina khud ka tor kar pathar udaas tha

Jo shakhs shaher bhar main hansti baanta raha
Yeh dil us ki bazam main ja kar udaas tha  

Hum ne maazi ki sab yaadain baich daali hain

Nafratain khareed kar mohabbatain baich daali hain

Na guzro ban sanwar kar hamaray samnay se tum

Keh hasrat se jo takti hain , woh aankhain baich daali hain

HAmain awaaz denay se pehlay bas itna soch lena tum

Keh mojon se jo larti thein , woh kashtiyaan baich daali hain

Andhera dekh kar kiyon hairaan ho rahay ho tum

Keh raaton ko jo jalti thein , woh shamain baich daali hain

KJabeen sajday main rakhon to ro parta hoon 

Hum ne aonay maazi ki sab yaadain baich daali hain 
Nafratain khareed kar mohabbatain baich daali hain 

Na guzro ban sanwar kar hamaray samnay se tum 
Keh hasrat se jo takti hain , woh aankhain baich daali hain 

HAmain awaaz denay se pehlay bas itna soch lena tum 
Keh mojon se jo larti thein , woh kashtiyaan baich daali hain 

Andhera dekh kar kiyon hairaan ho rahay ho tum 
Keh raaton ko jo jalti thein , woh shamain baich daali hain

Zikar-e-khuda main gar lazzat nahin aati

Phir to kisi raah se dil ki sakeenat nahin aati 

Sajdon main bhi jo gharq-e-duniya ho 
Aisay moman ko kabhi bishaarat nahin aati 

Bandon ko khuda kay jo takleef detay rahay 
Aisay sarkash ko kabhi hawa-e-jannat nahin aati 

Islaam naam hai hukam-e-Allah-o-Nabi pe mitt jaanay ka 
Woh moman hi kahaan kaamal kabhi ataa'at nahin aati 

Be'bas teray banday zulm ki chaki main piss rahay hain ae Rab-e-Mohammad 
Qalab-e-momin parishaan ho kar mehav-e-iltaja hai keh kiyon teri nusrat nahin aati
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...