Feb 21, 2015

Na koi ehad nibhaye , na hum nawaai karay


Na koi ehad nibhaye , na hum nawaai karay 

Ussay kaho 

Dikhawa chor dy tasali se be'wafai karay

Woj ajnabi sahi koi rishta zaroor hai


Woj ajnabi sahi koi rishta zaroor hai
Main ne kisi jaga ussay dekha zaroor hai

Yeh aur baat hai woh milta nahin hamain 
Lakin hamaray paas woh rehta zaroor hai

Hum hi samjh na paye to us ka qasoor kya 
Kuch khamoshi kay lab se woh kehta zaroor hai

Saanson kay aanay janay se milta hai yeh ishara 
IS dil main koi aaj bhi rehta zaroor hai

Her shakhs se ulfat ka iqraar nahin hota


Her shakhs se ulfat ka iqraar nahin hota 
Her chehray se dil ko kabhi pyaar nahin hota 

Jo rooh ko choo jaye jo dil main utar jaye 
Uss ishq ka lafzon main izhaar nahin hota 

Jab pyaar juda ho to yeh hussan bhi veeran hai 
Mehboob bina koi singhaar nahin hota 

Jo ishq main mar jaye samjho woh nageena hai 
Ban jaye woh pathar bhi be'kaar nahin hota 

Kya samjho gay tum kisi ki be'naam mohabbat ko
Yeh ishq ka soda hai sar-e-bazaar nahin hota 

Yeh jo dard hai Aazmaish ka mujhay is se koi gila nahin


Yeh jo dard hai Aazmaish ka 
Mujhay is se koi gila nahin 

Yeh to zindagi ka asool hai 
Kabhi apna koi huwa nahin 

Yeh jo silsala hai ek dard ka 
Yeh tohfa youn hi mila nahin 

Tu jissay jan kar bhi anjaan hai 
Woh raaz main ne kaha nahin 

Mujhay apni khabar to hai magar
Teri soch ka kuch pata nahin 

Yeh tanha jo hai meri zindagi 
Be'sabab yeh bani nahin 

Mera jurm hai meri saadgi
Meri aur koi to khata nahin

Jahan yaad kay deep jaltay hon aur shaam kay saaye dhaltay hon


Jahan yaad kay deep jaltay hon aur shaam kay saaye dhaltay hon 
Jab pyaar kisi ka yaad aaye aur zikar kisi kay chaltay hon 

Aankhon main Aanso bhar ayein aur ashk na tum se ruktay hon 
Tab un logon ko yaad karo jo pyaar tum hi se kartay hon 

Jo tum bin jee na saktay hon aur tum pe dil se martay hon 
Us manzil ko kiya pana jahan apnay tujh se jaltay hon 

Is duniya main ab kya jeena 
JAhan pal pal log badaltay hon

Main lamhon ko waqat ki pukaar deta hoon


Main lamhon ko waqat ki pukaar deta hoon 
Issi lagan main kai shaamein guzaar deta hoon 

Main youn hi her aik se be'rabt nahin milta 
Her shakhs ko us ka meyaar deta hoon 

MAin gham ki kashti ko dabona nahin chahta 
Bojh barh jaye to kuch utaar deta hoon 

Khushiyaan koi mangay to muft deta hoon 
Gham mangay koi to udhaar deta hoon 

Badla lena meri fitrat main nahin "Wasi"
Khizaan kay badlay bahaar deta hoon

Aankhon main Aanso'on ko ubharnay nahin diya


Aankhon main Aanso'on ko ubharnay nahin diya 
Mat'ti main motiyon ko bikharnay nahin diya 

Jiss rah par paray thay teray paa'on kay nishan 
Uss rah se kisi ko guzarnay nahin diya 

Her baar hai naya teray milnay ka zaiqa
Aisa samar kisi bhi shajar ne nahin diya 

YEh hijar hai to iss ka faqat wasal hai ilaaj 
Hum ne yeh zakham waqat ko bharnay nahin diya 

Itnay bharay jahan main jaaye ga tu kahan 
Iss ik khayal ne mujhay marnay nahin diya 

Uss ne hansi hansi main mohabbat ki baat ki
MAin ne "Adeem" uss ko muskuranay nahin diya 

Mohabbat na rahi to phir raha kuch bhi nahin karta


Mohabbat na rahi to phir raha kuch bhi nahin karta 

Keh itni tez aandhi main bacha kuch bhi nahin karta 

Woh mujh ko yaad rakhna ab gawara hi nahin karta 

Main jis ko yaad rakhnay kay siwa kuch bhi nahin karta 

Kaha tha tujh se Ae mohsin keh aksar tez baarish main 

Siwa kachay makaano kay gira kuch bhi nahin karta

Chand manga na koi chand nagar manga tha


Chand manga na koi chand nagar manga tha 
Andhi nagri kay liye noor-e-shaher manga tha 

Phaink dein noch kay maali ne zubanain un ki 
Chand chiriyon ne chehaknay ko  shajar manga tha 

Pyaar se hum ne banaya tha sahil pe kabhi 
Raat bachon ne wohi rait ka ghar manga tha 

Zard mousam ki hawaon ne ussay ghair liya
Jiss ne gulshan main bahaaron ka guzar maanga tha 

Kaat kar haath meray rakh diye meray aagay 
Koi tawaan nahin ajar-e-hunar maanga tha 

Na janay kis liye waqat khafa hai mujh se 
Main ne sookhye huye pairron se samar manga tha

Teri yaad aa rahi hai


Mousam bhi hai sohana 
Baarish bhi ho rahi hai 
Bas ik kami hai jana 
Teri yaad aa rahi hai 

Matti ki soondhi khushboo
Patton se behta pani 
Her cheez keh rahi hai 
Teri yaad aa rahi hai 

Rim jhim barasti baarish 
Tip tip utar'ta pani 
Yeh shor keh raha hai 
Teri yaad aa rahi hai 


Mohabbat aisa wada hai


Mohabbat aisa wada hai 
Kisi kay saath ho jaye 
To phir tora nahin kartay 

Mohabbat aisa pani hai 
Keh jitna bhi koi pee lay 
Magar pyaasa hi rehta hai

Mohabbat woh kahani hai 
Jissay likha nahin jaata 
Yahan sab kuch zubaani hai

Mohabbat aisi baarish hai 
Keh jitna bhi koi bheegay 
Badan jalta hi rehta hai

Mohabbat ik samandar hai 
Keh jitna bhi koi doobay 
Kinaray par hi rehta hai

Yeh ulfatein bhi ajeeb hain yeh chahaten bhi ajeeb hain


Yeh ulfatein bhi ajeeb hain 
Yeh chahaten bhi ajeeb hain 
Kabhi mil kay bhi na paas hon 
Kabhi paas ho kay bhi na mil sakay 

Kabhi yaad aaye to be'shumar 
Kabhi ro diye to be'hisaab 
Yeh dil ki halat bhi ajeeb hai 
Kabhi larzishen 
Kabhi ranjishein 
Kabhi dooriyan 
KAbhi majburiyan 
Yeh uljhanain bhi ajeeb hain 

Woh hansay to sirf meray liye 
Woh roye to sirf meray liye 
Yeh hasratein bhi ajeeb hain 
Yeh khwaishein bhi ajeeb hain 
 

Main mar jaaon to mera dil nikaal lena


Main mar jaaon to mera dil nikaal lena 

Kahin khaak main na mil jayein meray dil main basnay walay

Alfaz to bhout hain mujhay meri mohabbat ko biyaan karnay kay liye



Alfaz to bhout hain mujhay meri mohabbat ko biyaan karnay kay liye

Woh meri khamoshi nahin samjhta , meray alfaaz kya samjhay ga

Uthaana khud hi parta hai , thaka toota badan apna


Uthaana khud hi parta hai , thaka toota badan apna 

Keh jab tak saans chalti hai 

Koi kaandha nahin deta

Khwaab main dekha Aanchal hawa ki baiti kay sar par na tha


Khwaab main dekha Aanchal hawa ki baiti kay sar par na tha 

Tabeer bata'ti hai keh ghairat-e-muslim ab zinda na rahi

Sab se achi zindagi woh basar kartay hain


Sab se achi zindagi woh basar kartay hain 

Jo apni zaroorat poori karnay kay liye 

Allah kay siwa kisi aur par bharosa nahin kartay

Ilam ka aik qatra jahalat kay samandar se behtar hai


Ilam ka aik qatra jahalat kay samandar se behtar hai 

Aur amal ka aik qatra ilam kay samandar se behtar hai

Gunnah aik tareeki hai


Gunnah aik tareeki hai 

Aur us ka chragh toba hai

Duniya ki museebton ka teen chotaai hissa


Duniya ki museebton ka teen chotaai hissa

Zubaan ka paida karda hai

Main ussay kiyon phone karon


Main ussay kiyon phone karon 

Us kay bhi ilam main ho ga 

Kal raat mousam ki pehli baarish thi

Paaniyon main yeh bhi pani aik din tehleel tha


Paaniyon main yeh bhi pani aik din tehleel tha 
Qatra-e-be'sarfa ko lakin gehra us ne kiya 

Aik mamooli si achaai taraashi hai bhout 
Aur fikar-e-khaam se sirf nazar us ne kiya 

Phir to imkanaat phoolon ki tarah khiltay gaye 
Aik nanhay se shagofay ko shajar us ne kiya 

Taaq main rakhye diye ko pyaar se roshan kiya 
Is diye ko phir chragh us ne kiya 

Parveen shakir

Apnay sard kamray main ,MAin udaas baithi hoon


Sirf aik larki (Parveen Shakir)

Apnay sard kamray main 
MAin udaas baithi hoon 
Neem waa dareechon se 
Nam hawaein aati hain 
Meray jisam ko choo kar 
Aag si laga deti hain 
Tera naam lay lay kar 
Mujh ko gud'gudaati hain 

Kaash meray par hotay 
Teray paas urr aati 
Kaash main hawa hoti 
Tujh ko choo kar loat aati 
MAin nahin magar kuch bhi 
Sang'dil riwajon kay 
Aahini hisaaron main 
Umar qaid ki mulzim 
Sirf aik larki hoon

Dasnay lagay hain khwaab magar kis se boliye


Dasnay lagay hain khwaab magar kis se boliye 
Main jaanti thi , paal rahi hoon sampolay 

Bas yeh hua keh us ne takaluf se baat ki 
Aur hum ne rotay rotay dopatay bighoo liye

Parveen Shakir

Milta hoon main sabhi se magar bolta nahin


Milta hoon main sabhi se magar bolta nahin
Matti main motiyon ko kabhi Roalta nahin 

Apnay jigar kay khoon se karta hoon ehtaraam 
Pani main rang-e-hina gholta nahin 

Yaadon ki be'qaraar si garmi se haar kar 
Dar jaata hoon zara sa magar dholta nahin 

Aankhon kay rastay se tu aaye khush Aamdeed 
Dil kay tarazo'on main tujhay toalta nahin 

Mar jaaon ga main uss se bichar kar 
Yeh raaz apnay aap pe bhi kholta nahin 
 


Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...