Dec 28, 2014

Mujhay tum se mohabbat hai


Aakhri khwaish

Meray sathi
Meri yeh rooh meray jism se parwaz kar jaye
To loat aana
Meri be'khwaab raaton kay azaabon par
Siskatay shaher main tum bhi
Zara si dair ko rukna
Meray be,noor honton ki duaon par
Tum apni sard paishaani ka pathar rakh kay ro dena
Bas itni baat keh dena

Mujhay tum se mohabbat hai

Woh mohabbat bhi teri thi



Woh mohabbat bhi teri thi 

Woh shararat bhi teri thi 

Agar kuch be'wafai thi to 

Woh be'wafai bhi teri thi 

Hum chor gaye shaher to 

Woh hidayat bhi teri thi 

Aakhir kartay to kis se kartay shikayat 

Woh shaher bhi tera tha 

Aur woh adalat bhi teri thi

Mana keh gham kay baad milain gi muskurahtein


Mana keh gham kay baad milain gi muskurahtein 

Lakin jiye ga kon teri be'rukhi kay baad

Woh be'wafa ho kar bhi tujhay pyaray hain Aye dil


Woh be'wafa ho kar bhi tujhay pyaray hain Aye dil

Khuda janay un main wafa hoti to kiya hota


Kal tak jo kehtay thay keh ronq-e-mehfil tujh se hai


Kal tak jo kehtay thay keh ronq-e-mehfil tujh se hai 

Aaj wohi mujh se ulajhtay hain keh tum mehfil main na aya karo

Teri qasam abhi tak soye nahin hum


Teri qasam abhi tak soye nahin hum 

Ronay ko dil karta hai par roye nahin hum 

Yaad na karain tum ko aur so jayein hum 

Itnay be'wafa abhi huye nahin hum

Yeh kiya her dam kisi ki minatein karna


Yeh kiya her dam kisi ki minatein karna 
Kiya issi ko kehtay ho mohabbat karna

Jo apni qismat main hai milay ga wohi
Phir kis baat par rab se shikayat karna 

Yeh pagal pan nahin to aur kiya hai 
Phir zameen kay ho kar asmaan se bagawat karna

Bhout kar chuka hai logo pyaar yeh dil
Ab koi sikhaye is ko bhi nafratein karna

Pehlay yaad karna ussay phir rotay rehna 
Na janay kab choray ga dil yeh harkatein karna

Muddat se jis kay wastay dil be'qaraar tha


Muddat se jis kay wastay dil be'qaraar tha 

Woh loat kar na aaya magar intizaar tha 

Jo hamsafar tha chor gaya raah main mujhay

Main phans gaya bhanwar main aur woh dariya kay paar tha 

Manzil qareeb aayi to tum door ho gaye 

Itna to tum bataao keh yeh kaisa pyaar tha 

Dewaar bana di yeh kis ne dono kay darmiyaan 

NA woh sakoon se baitha na mujh ko qaraar tha 

Yeh baat umar bhar samjh na paya main 

Kiyon dil mera us ka talab'gaar tha 


Meri aankhon se kabhi utro dil main


Meri aankhon se kabhi utro dil main 

Keh main dharkan main basa loon tum ko 

Jaan se bhi barh kar chahon tumhain 

Apni zindagi hi bana loon tum ko 

Meray khwabon main sirf tum hi baso

Apni neendon main saja loon tum ko 

Logon ki bheer main kho na jana kahin 

Zamanay se hi chalo main chura loon tum ko

Meri tanhai ko zaroorat hai tumhari Dost

Agar ijaazat ho to yaadon main basa loon tum ko

Khamosh hoon main lakin inkaar nahin


Khamosh hoon main lakin inkaar nahin 

Meri na'kamyabiyan hain ' haar to nahin 

Hum tumhain pa na sakay to kiya hua 

Lakin sirf tumhain pa lena pyaar to nahin

Main khud hairaan hoon apnay sabar ka pehlu dekh kar


Main khud hairaan hoon apnay sabar ka pehlu dekh kar 

Us ne yaad karna chor diya par main ne intizar nahin chora

Sookhaye patton ki tarah bikhray hain hum to


Sookhaye patton ki tarah bikhray hain hum to 

Kisi ne samaita bhi to sirf jalanay kay liye

Jab tujhay basaya hai dil ki gehraiyon main


Jab tujhay basaya hai dil ki gehraiyon main 

To yeh kaisay mumkin hai raat ho aur main tujhay yaad na karon

Yeh meri talaash ka jurm hai ya meri wafa ka qasoor


Yeh meri talaash ka jurm hai ya meri wafa ka qasoor 

Jissay dil kay jitnay qarib laao woh utna hi door chala jaata hai

Ajab shikwa sa rehta hai , tumhain mujh se mujhay tum se Wasi


Ajab shikwa sa rehta hai , tumhain mujh se mujhay tum se Wasi

Tumhain ulfat nahin mujh se , mujhay nafrat nahin tum se 

Hoti hai wafa un ki nigahon se numayan


Hoti hai wafa un ki nigahon se numayan 

Kartay hain jo alfaaz main izhaar bhout kam

Kitni zalim hoti hai yeh pal do pal ki dosti Ghalib


Kitni zalim hoti hai yeh pal do pal ki dosti Ghalib 

Na chahtay huye bhi dil ko kisi ka intizaar sa rehta hai

Uth uth kay kisi ka intizaar kar kay dekhna




Uth uth kay kisi ka intizaar kar kay dekhna 

Kabhi tum bhi kisi se pyaar kar kay dekhna 

Kaisay tootay hain mohabbat kay rishtay 

Ghaltiyaan do chaar kar kay dekhna 

Zindagi ka fal'safa samjhna ho to 

Baarish main kachi dewaar khari kar kay dekhna 

Nafrat ho jaye gi tum ko bhi duniya se 

Mohabbat kisi se be'shumar kar kay dekhna

Tum meray ho na


Tum meray ho na 

Woh jab bhi mujh se milta tha 

Her baar masoomiyat se poocha karta tha keh 

Tum meray ho na 

Aur main her baar 

Us kay chehray ko choom kar qasam khaya karta tha 

Haan , main tumhar hi hoon 

Kaash 

Main ne bhi aik baar us se poocha hota keh 

Tum meray ho na

Mujhay yaad aa kar itna be'chain na kar


Mujhay yaad aa kar itna be'chain na kar 

Ik yeh hi sitam kafi hai keh meray paas nahin ho tum

Dhoondo gay ujray rishton main wafa kay khazanay


Dhoondo gay ujray rishton main wafa kay khazanay 

Tum meray baad bhi meri chahat ko yaad karo gay

Apnay chehray pe koi dard na tehreer karo


Apnay chehray pe koi dard na tehreer karo

Waqat kay paas na aankhein hain , na ehsaas , na dil

Anaa kehti hai iltajaa kiya karni


Anaa kehti hai iltajaa kiya karni 

Woh mohabbat hi kiya jo mangnay se milay

Muktasir yeh keh achay lagtay ho




Muktasir yeh keh achay lagtay ho 

Chahnay ka sabab , aur kuch bhi nahin

Saaf keh do agar gila hai koi


Saaf keh do agar gila hai koi 

Faisala , faaslay se behtar hai

Raah taktay huye jab thak gayi aankhain meri


Raah taktay huye jab thak gayi aankhain meri 

Dhoondnay us ko meri aankh se aansoo niklay

Udasi tum pe baithay gi to tum bhi jaan jaao gay


Udasi tum pe baithay gi to tum bhi jaan jaao gay 

Keh kitna dard hota hai , nazar andaaz karnay se

Hum to is duniya main bikti hui mohabbat kay faqeer hain


Hum to is duniya main bikti hui mohabbat kay faqeer hain 

Koi agar nafrat bhi deta hai to ussay bhi qabool kar letay hain

Is ishq se bach kay rehna bhout buri bala hai yeh


Is ishq se bach kay rehna bhout buri bala hai yeh 

Is zulm kay sataye mujhay namazi bhi milay aur sharabi bhi

Jalway to be'panah thay is kainaat main


Jalway to be'panah thay is kainaat main 

Yeh aur baat hai keh nazar tum pe ruk gayi

Main nahin itna ghafil keh apnay chahnay walon ko bhool jaaon


Main nahin itna ghafil keh apnay chahnay walon ko bhool jaaon 

Masroof zaroor hota hoon lakin sab ko yaad kar kay sota hoon

Hum to jal gaye usi ki mohabbat main mom ki tarah


Hum to jal gaye usi ki mohabbat main mom ki tarah 

Agar phir bhi koi hamain bewafa kahay to us ki wafa ko salam

Woh sach kehta tha keh ussay meri muskurahat se pyar hai Wasi



Woh sach kehta tha keh ussay meri muskurahat se pyar hai Wasi

Isi liye jatay jatay woh meri muskurahat bhi lay gaay
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...