Jul 15, 2014

Qissa go meray gaaon ke sach kehtay thay


ஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜ

Qissa go meray gaaon ke sach kehtay thay 

Pyaar kahaani dard bhari reh jaati hai

ஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜ

Tumhain sochtay hain gulaabon ko le kar


Tumhain sochtay hain gulaabon ko le kar 
Khayaalon ko le kar , sarabon ko le kar 

Teri aankh main doob janay se pehlay 
Bhout sochtay hain sharabon ko le kar 

Mujhe chahtay ho kahan se kahan tak 
Yahi sochtay hain jawabon ko le kar 

Mujhe apni chahat ki aaghosh de do 
Kahan jaaon ga apnay khwaabon ko le kar 

Mujhe us ne apna na maana to "Arshad"
Kahain jaa bas'ain gay kharabon ko le kar 

Poet : Arshad Malik 

Kaha us ne mohabbat main yeh gham kiyon saath miltay hain


Kaha us ne mohabbat main yeh gham kiyon saath miltay hain 
Kaha main ne yeh kaantay phool bhi to saath paltay hain 

Kaha us ne keh lamhay pyaar ke kiyon kam se hotay hain 
Kaha main ne keh kab khushboo hamesha saath deti hai

Kaha us ne ghamon se is qadar kiyon pyaar kartay ho 
Kaha main ne yahi to hain jo apna saath detay hain 

Kaha us ne bichar jayein agar hum tum to acha hai 
Kaha main ne tum apni bheegti palkain zara dekho 

Kaha us ne keh kitna chahtay ho tum mujhay "Arshad"
Kaha main ne samandar ki kabhi gehraai dekhi hai  

Poet : Arshad Malik

Azaad Mukaal'maati Ghazal


Azaad Mukaal'maati Ghazal

Kaha us ne mohabbat main yeh gham kiyon saath miltay hain 
Kaha main ne yeh kaantay phool bhi to saath paltay hain 

Kaha us ne keh lamhay pyaar ke kiyon kam se hotay hain 
Kaha main ne keh kab khushboo hamesha saath deti hai

Kaha us ne ghamon se is qadar kiyon pyaar kartay ho 
Kaha main ne yahi to hain jo apna saath detay hain 

Kaha us ne bichar jayein agar hum tum to acha hai 
Kaha main ne tum apni bheegti palkain zara dekho 

Kaha us ne keh kitna chahtay ho tum mujhay "Arshad"
Kaha main ne samandar ki kabhi gehraai dekhi hai  

Poet : Arshad Malik

Dil teri yaad se be'zaar bhi ho sakta hai


Dil teri yaad se be'zaar bhi ho sakta hai
Yeh'ni ab ishq se inkaar bhi ho sakta hai

Main ne is aas pe takhleeq kay dukh jhailay hain 
Yeh zamana kabhi baidaar bhi ho sakta hai

Mujh ko sooli pe charhanay se zara pehlay soch 
Youn meri soch ka parchaar bhi ho sakta hai

Ishq youn kooch na kar ! dekh teray jaanay se 
Shaher ka shaher ghaza'daar bhi ho sakta hai

Jan na'jaashi koi poochay ga mohabbat le asool 
Tab koi Jafar tayaar bhi ho sakta hai

Mehnat-e-ishq meray kaam bhi aa sakti hai 
Mujh ko awaaz ka dee'daar bhi ho sakta hai

Yeh wafaaon ki zameen teri tawajah chahaye
Is zameen se koi sardaar bhi ho sakta hai

Jis tag-o-dao main jala hai tera ghar baar "Ameen"
Lashkar-e-ishq woh teyaar bhi ho sakta hai

Poet : Ameen Farooqi

December ab bhi tera muntazir hai


December ab bhi tera muntazir hai 

Woh lamhay soch ki dehleez par tehray huye hain 

December kay maheenay main hazaron saal pehlay jab 

Teray waday ke honton ne 

Meri aankhon se behti zindagi ke haath choomay thay 

Meri be'rang baaton kay kinaray 

Tum ne khwaabon ke saharay aur ashkon ke sitaray rakh diyea thay 

Aur hawa ko apni chahat ki hifazat ka ishara kar diya tha 

Hawa ki khunkiyon main ab bhi teri naram baatain aahaton ka jaal bunti hain 

Smaa'at ab bhi teray qehqahon ka shor sunti hai 

Khyaal ab tak tumhari ungliyon se 

Meray dil kay surkh aansoo poonchta hai 

Nigahain barf kay phailay chamaktay canvas par ja baja

Teri rafaqat ki zaroorat paint karti hain 

Tha'thartay paaniyon kay tan pay bikhri dhoop tera hijar rooti hai

Kahan hoti hai tu 

Mohabbat ki sulagti raah guzaaron kay kinaron par 

December ab bhi tera muntazir hai  

Poet : Doctor Ibraar Umar
 

Teray jaisa mera bhi haal tha , na sakoon tha na qaraar tha


Teray jaisa mera bhi haal tha , na sakoon tha na qaraar tha 
Yahi umar thi meray hamnasheen keh kisi se mujh ko bhi pyaar tha 

Main samjh raha hoon teri kasak , tera mera dard hai mushtarik 
Isi gham ka tu bhi aseer hai , isi dukh ka main bhi shikaar tha 

Faqat aik dhun thi keh raat din isi khwaab zaar main gum rahain 
Woh saroor aisa saroor tha , woh khumaar aisa khumaar tha 

Kabhi lamha bhar ki bhi guftagoo meri us ke saath na ho saki 
Mujhe fursatein nahin mil sakein , woh hawa ke rath pe sawaar tha 

Hum ajeeb tarz ke log thay keh hamaray aur bhi rog thay 
Main khizaan main tha us ka muntazir , ussay intizaar-e-bahaar tha 

Ussay parh ke tum na samjh sake keh meri kitaab ke roop main 
Koi qarz tha kai saal ka , kai rat'jagoon ka udhaar tha 

Poet : Aaitabaar Sajid

Adh khulay honton ke gunchay neem waa aankhain teri


Adh khulay honton ke gunchay neem waa aankhain teri
Kis tarah bhoolain in aankhon ko bhala aankhain teri

Zehan se ab naqsh teray mehav hoon gay  kis tarah 
Saath apnay lay gayi hain dil mera aankhain teri

Gar taaluq hi nahin koi to khalq-e-shaher ko 
Day rahi hain kis tarah mera pata aankhain teri

Jis ne socha khud bhula baitha woh apnay aap ko 
Jis ne dekha dekhta hi reh gaya aankhain teri

Husan-e-fitrat main samoo kar teri aankhon ka saroor 
Her haseen manzar ko hum ne keh diya aankhain teri

Poet : Doctor Inaam-ul-haq Javed

Main khud ko bhool chuka hoon teri mohabbat main


Main khud ko bhool chuka hoon teri mohabbat main
Khuda karay keh na tu is azaab se guzray
Tujhay bhi yaad na aye mera wajood kabhi
Na koi lamha-e-tameer khwaab se guzray 

Mera khyal tha ik nazam likh ke hi shayed
Teray khyal ke mehvar se loat aaon ga
Magar woh lamha-e-khush rang qurbaton ka ameen
Jo meri sansoon ki hiddat main aan utra hai 

Tumhara lams meri ungliyon kay poron main 
Misaal-e-noor chamakta dikhai deta hai 
Is aik lams ko main kaisay bhool paaon ga 
Ab anay wali judai ke gham se kiya darna 
Keh waqaf ho chukay ranj-o-alm se kiay darna 

Main khud ko bhool chuka hoon teri mohabbat main


Yaadon ka roshan lams

Main khud ko bhool chuka hoon teri mohabbat main
Khuda karay keh na tu is azaab se guzray
Tujhay bhi yaad na aye mera wajood kabhi
Na koi lamha-e-tameer khwaab se guzray 

Mera khyal tha ik nazam likh ke hi shayed
Teray khyal ke mehvar se loat aaon ga
Magar woh lamha-e-khush rang qurbaton ka ameen
Jo meri sansoon ki hiddat main aan utra hai 

Tumhara lams meri ungliyon kay poron main 
Misaal-e-noor chamakta dikhai deta hai 
Is aik lams ko main kaisay bhool paaon ga 
Ab anay wali judai ke gham se kiya darna 
Keh waqaf ho chukay ranj-o-alm se kiay darna 

Tum yaad ka jhonka ho


Sanjoke ho aasha ho 
Tum dil ka sahara ho 

Kiya arz karain kiya ho 
Tum jaan-e-tamana ho 

Main ishq main laa'sani

Tum husan main yakta ho 

Hai dard sada dil main 

Tum is ka madawa ho 

Khilta hai jo her rut main 

Tum woh gul-e-rea'na ho 

Chahat ki mehak ho tum 

Tum yaad ka jhonka ho 

ஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜ

Ab karb ke toofan se guzarna hi paray ga


Ab karb ke toofan se guzarna hi paray ga 
Suraj ko samandar main utarna hi paray ga 

Fitrat ke taqazay kabhi badlay nahin jaatay 
Kushboo hai agar woh to bikharna hi paray ga

Parti hai to par jaye shikan us ki jabeen par
Sachai ka izhaar to karna hi paray ga 

Her shakhs ko ayein gay nazar rang sehar ke 
Khurasheed ki kirno ko bikharna hi paray ga 

MAin soch raha hoon yeh sar-e-shaher nigaaran 
Yeh us ki gali hai to tehrna hi paray ga 

Ab shaana-e-tadbeer hai haathon main hamaray 
Haalaat ki zulfon ko sanwarna hi paray ga 

Ik umar se be'noor hai yeh mehfil-e-hasti 
Ejaaz koi rang to bharna hi paray ga 

Poet ; Ejaaz Rehmaani

Ae zindagi khatam kar ab yeh yaadon ke silsalay


Ae zindagi khatam kar ab yeh yaadon ke silsalay 

Main thak si gayi hoon dil ko tasaliyaan detay detay

Na zahir hui tum se na bayaan hui hum se


Na zahir hui tum se na bayaan hui hum se

Bas suljhi hui aankhon main uljhi rahi mohabbat

Zaroorat nahin aaj mohabbat ki hamain


Zaroorat nahin aaj mohabbat ki hamain 

Kal jab thi tab ussau ghroor tha 

Hum hi naye thay ishq ki duniya main jo na jaan paye

Keh us ka shaher to be'wafa kay liye mashoor tha

ஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜ

Pyaar sabhi ko jeena sikha deta hai


Pyaar sabhi ko jeena sikha deta hai 

Wafa ke naam pe marna sikha deta hai 

Pyar nahin kiya to kar ke dekho 

Zaalim her dard sehna sikha deta hai

ஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜ

Her ik pal ka taaluq teray khyaal se hai


Her ik pal ka taaluq teray khyaal se hai 
Meri ghazal ka taaluq teray khyaal se hai 
Bandha hua hai teri aarzoo se sara badan 
Her ik amal ka taaluq teray khyaal se hai 
Yeh tishnagi to mujhe jaan se bhi pyaari hai 
Keh maray thal ka taaluq teray khyaal se hai 
Keh meri rooh ki saari bahaar tujh se hai 
Kanwal kanwal ka taaluq teray khyaal se hai 
Yeh zindagi bhi hai teri ata ae jaan-e-jaan 
Agar ajal ka taaluq teray khyaal se hai 
Yeh meri rooh munaqish hai teri yaadon se 
Keh is mehal ka taaluq teray khyaal se hai 
Firaaq-o-hijar ke yeh jis qadar masail hain 
Sabhi ke hal ka taaluq teray khyaal se hai   

Toot sa gaya hai meri chahaton ka wajood


Toot sa gaya hai meri chahaton ka wajood

Ab koi acha bhi lagay to hum izhaar nahin kartay

Kon kehta hai mout ayi to mar jaayon ga


Kon kehta hai mout ayi to mar jaayon ga 

Main to dariya hoon samandar main utar jaaon ga

Bhout dair kar di tum ne meri dharkan mehsoos karnay main


Bhout dair kar di tum ne meri dharkan mehsoos karnay main 

Woh dil neelaam ho gaya jis ko kabhi hasrat tumhari thi

Kehnay ko mera us se koi wasta nahin


Kehnay ko mera us se koi wasta nahin 
"Amjad' magar woh shakhs mujhe bhoolta nahin 

Darta hoon aankh kholon to manzar badal na jaye
MAin jaag to raha hoon magar jaagta nahin 

Aashaftagi se us ki ussay be'wafa na jaan 
Aadat ki baat aur hai dil ka bura nahin 

Tanha udaas chaand ko samjho na be'khabar
Her baat sun raha hai magar boolta nahin 

Khamosh rat'jagon ka dhuwaan tha chaar soo 
Nikla kab aftaab mujhe to pata nahin 

"Amjad" woh aankhain jheel si gehri to hain magar 
Un main koi bhi aks meray naam ka nahin

Poet : Amjad Islaam Amjad

Woh saahilon ki hawa si larki


Gulaab chaheray pe muskurahat 
 Chamakti aankhon main shokh jazbay 
Woh jab bhi collage ki seeriyon se
Sahaliyon ko liye utarti 
To aisay lagta keh jaisay dil main utar rahi ho 
Kuch is teeqan se baat karti 
Keh jaisay duniya us ki aankhon se dekhti ho 
Woh apnay rastay pe dil bichaati hui nigahon se hans ke kehti 
Tumharay jaisay bhout se larkon se main yeh baatein 
Bhout se barson se sun rahi hoon 
Main saahilon ki hawa hoon , neelay samnadron kay liye bani hoon 
Woh saahilon ki hawa si larki 
Jo raah chalti to aisa lagat keh jaisay dil main utar rahi ho 
Woh kal mili to is tarah thi 
Gulaab chahray pe muskurahat
Chamakti aankhon main shokh jazbay 
Keh jaisay chaandi pighal rahi ho 
Magar jo boli to is ke lehjay main woh thakan thi 
Keh jaisay sadiyon se dasht-e-zulmat main chal rahi ho

Gulaab chaheray pe muskurahat chamakti aankhon main shokh jazbay


Aik Larki

Gulaab chaheray pe muskurahat 
 Chamakti aankhon main shokh jazbay 
Woh jab bhi collage ki seeriyon se
Sahaliyon ko liye utarti 
To aisay lagta keh jaisay dil main utar rahi ho 
Kuch is teeqan se baat karti 
Keh jaisay duniya us ki aankhon se dekhti ho 
Woh apnay rastay pe dil bichaati hui nigahon se hans ke kehti 
Tumharay jaisay bhout se larkon se main yeh baatein 
Bhout se barson se sun rahi hoon 
Main saahilon ki hawa hoon , neelay samnadron kay liye bani hoon 
Woh saahilon ki hawa si larki 
Jo raah chalti to aisa lagat keh jaisay dil main utar rahi ho 
Woh kal mili to is tarah thi 
Gulaab chahray pe muskurahat
Chamakti aankhon main shokh jazbay 
Keh jaisay chaandi pighal rahi ho 
Magar jo boli to is ke lehjay main woh thakan thi 
Keh jaisay sadiyon se dasht-e-zulmat main chal rahi ho

Poet : Amjad Islaam Amjad

Yeh alag baat keh main shaher zada hoon lakin

ஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜ

Yeh alag baat keh main shaher zada hoon lakin 

Bachpana ab bhi mera gaaon main rakha hua hai

ஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜ

Mohabbat ki duniya main mashoor kar doon


Mohabbat ki duniya main mashoor kar doon 
Meray sada dil tujh ko maghroor kar doon 

Teray dil ko milnay ki khud arzoo ho 
Tujhe is qadar gham se ranjoor kar doon 

Mujhe zindagi door rakhti hai  tujh se
Jo tu paas ho to issay door kar doon 

Mohabbat ke iqraar se sharam kab tak 
Kabhi samna ho to majboor kar doon 

Yeh be'rangiyaan kab tak ae husan-e-rangeen 
Idhar aa tujhay ishq main choor kar doon

Yu agar samnay ho to main be'khudi main 
Sitaron ko sajday pe majboor kar doon 

Nahin zindagi ko wafa warna "Akhtar"
Mohabbat se duniya ko mamoor kar doon

Jab tera hukam mila , tark mohabbat kar di


Jab tera hukam mila , tark mohabbat kar di 
Dil magar is pe woh dharka keh qayamat kar di 

Tujh se kis tarah main izhaar-e-tamana karta
Lafaz soojha to ma'afi ne baghawat kar di 

Main to samjha tha keh loat atay hain jaane wale 
Tu ne to jaa ke judai meri qismat kar di 

Mujh ko dushman ke iradon pe bhi pyaar ata hai 
Teri ulfat ne mohabbat meri aadat kar di 

Pooch baitha hoon main tujh se teray koochay ka pata 
Teray halaat ne kaisi teri surat kar di 

Kiya tera jisam , teray husan ki hiddat main jala
Raakh kis ne teri sonay ki si rangat kar di 

Poet : Ahmed Nadeen Qasmi

Teri nafrat main woh dam nahin jo meri chahat ko mita de


Teri nafrat main woh dam nahin jo meri chahat ko mita de

Meri chahat ka samnadar teri soch se bhi gehra hai

Suna hai log ussay aankh bhar ke dekhtay hain


Suna hai log ussay aankh bhar ke dekhtay hain 
So us ke shaher main kuch din tehar ke dekhtay hain 

Suna hai rabt hai us ki khraab haalon se
So apnay aap ko barbaad kar ke dekhtay hain 

Suna hai dard ki gaahak hai chasham-e-naz us ki 
So hum bhi us ki gali se guzar ke dekhtay hain 

Suna hai us ko bho shair-o-shairyse shaghaf
So hum bhi mohjazay apnay hunar ke dekhtay hain 

Suna hai bolay to baaton se phool jhartay hain 
Yeh baat hai to chalo baat kar ke dekhtay hain 

Suna hai raat ussay chaand takta rehta hai 
Sitaray baam-e-falak se utar ke dekhtay hain 

Suna hai din ko ussay titliyaan statai hain 
Suna hai raat ko jugnoo tehar ke dekhtay hain 

Suna hai hashar hain us ki ghazaal si aankhain 
Suna hai us ko hiran (deer) dasht bhar ke dekhtay hain

Suna hai raat se barh kar hain ka'kalain  us ki 
Suna hai shaam ko saye guzar  ke dekhtay hain 

Suna hai us ke labon se gulaab jaltay hain 
So hum bahaar pe ilzaam dhar ke dekhtay hain

Suna hai aaiyna-e-tamsaal hai jabeen us ki 
Jo sada dil hain ussay aah bhar ke dekhtay hain 

Suna hai us ke badan ki taraash aisi hai 
Keh phool apni qubaein kutar ke dekhtay hain 

Bas ik nigah se lut'ta hai qaflaa dil ka 
So reh'waan-e-tamana bhi dar ke dekhtay hain 

rukay to gardashain us ka tawaaf karti hain 
Chalay to us ko zamanay tehar ke dekhtay hain 

Kahaniyaan hi sahi , sab mubaalgay hi sahi 
Agar woh khwaab hai tabeer kar ke dekhtay hain 

Ab us ke shaher main tehrain keh kooch kar jayein 
"Faraz" aao sitaray safar ke dekhtay hain

Poet : Ahmed Faraz

Mujh sa na de zamanay main parwar'digaar dil


Mujh sa na de zamanay main parwar'digaar dil 
Ashafta dil , fareefta dil , be'qarar dil 

Mashoor ho gayi hai ziarat shaheed ki 
Khoon kushta arzoo ka bana hai mizaar dil 

Us ki talaash hai keh nazar aye arzoo
Zaalim ne roz chaak kiye hai hazaar dil 

Pehlay pehal ki chah ka karain na imtihaan 
Ana to seekh le abhi do chaar baar dil 

Niklay meri baghal se woh aisi tarap ke saath 
Yaad aa gaya mujhe wahin be'iktiyaar dil 

Aashiq huye woh jab se adoo par yeh haal hai 
Rakh rakh ke haath dekhtay hain bar bar dil 

Us ne kaha hai sabar paray ga raqeeb ka 
Le aur be'qaraar hua be'qaraar dil 

Be'taab ho ke bazam se us ki utha diya 
Ghafal hoon main magar hai bhout hoshiyaar dil

Mar gaye jin kay chahnay walay


Mar gaye jin kay chahnay walay 

Un haseeno ki zindagi kya hai

Lihaaz-e-ishq na hota to tujh se ranjashain hotein


Lihaaz-e-ishq na hota to tujh se ranjashain hotein 

Shikayat sirf itni hai keh tu samjha hi nahin  mujh ko

Ishq qatil se bhi , maqtool se hamdardi bhi


Ishq qatil se bhi , maqtool se hamdardi bhi 
Yeh bata kis se mohabbat ki jaza paye ga ?

Sajda khaliq ko bhi , iblees se yaraana bhi 
Hashar main kis se aqeedat ka sila maangay ga ?

Mat cheen apna naam meray lab se is tarah


Mat cheen apna naam meray lab se is tarah 

Is be'naam zindagi main tera naam hi to hai

Bin teray jaan-e-jaana qayamat hai chaand raat



Bin teray jaan-e-jaana qayamat hai chaand raat 

Mat pooch mujh se kaisi museebat hai chaand raat 

Ho gi yeh teray wastay be'hijjat ki ibtidaa

Meray liye to sakhat aziyat hai chaand raat

Aik hi shaher main itni baarishein theek nahin


Aik hi shaher main itni baarishein theek nahin 

Aao hum tum baant laein aankhon ki barsaat 

Main jee loon ga mujh ko raas hai tareeki 

Saray din tum le lo mujh ko de do raat

Yeh pichlay pehar ka zard ru chaand


Yeh pichlay pehar ka zard ru chaand

Be'raaz-o-niyaaz-e-ashnaai

Teri qandeel hai tera dil 

Tu aap hai apni roshnai

Bad'naam meray pyaar ka afsana hua hai


Bad'naam meray pyaar ka afsana hua hai 
Dewane bhi kehtay hain keh dewana hua hai 

Rishta tha tabhi to kisi be'dard ne tora
Apna tha tabhi to koi be'gaana hua hai 

Badal ki tarah aa ke baras jayein ik din 
Dil aap ke hotay huye veerana hua hai 

Bajtay hain khyalon main teri yaad ke ghungroo
Kuch din se mera ghar bhi pari khana hau hai 

Mousam ne banaya hai nigahon ko sharabi 
Jis phool ko dekhon wohi pai'maana hua hai

Is dour ki duniya se guzar kiyon nahin jaate


Is dour ki duniya se guzar kiyon nahin jaate 

YEh log bhi kiya log hain mar kiyon nahin jaate 

HAi kon zamanay main mera poochnay wala 

Na'daan hai jo kehtay hain keh ghar kiyon nahin jaate

Sholay hain to kiyon un ko bharaktay nahin dekha 

HAin khaak to raahon main bikhar kiyon nahin jaate

Ansoo bhi hain aankhon main duaein bhi hain lab par 

Bigraye huye halaat sanwar kiyon nahin jaate

Hum hi main na thi koi baat yaad na tum ko aa sake


Hum hi main na thi koi baat yaad na tum ko aa sake
Tum ne hamain bhulaa diya ,hum ne tumhain bhula sake

Tum hi agar na sun sake qissa-e-gham ,sunay ga kon
Kis ki zubaan khulay gi phir hum na agar suna sake

Hosh main aa chukay thay hum jsoh main aa chukay thay hum 
Bazam ka rang dekh kar sar na magar utha sake

Ronaq-e-bazam ban gaye lab pe shikayatein rahein 
Dil main shikayatein rahain , lab na magar hila sake

Shouq-e-wisaal hai yahan ,lab par sawaal hai yahan 
Kis ki majaal hai yahan hum se nazar mila sake

Aisa ho koi naam-e-bar baat par kaan dhar sake
Sun ke yaqeen kar sake , jaa ke unhain suna sake

Ajz se aur barh gayi barhami, mizaaj dost 
Ab woh kare ilaaj , dost jis ki samjh main aa sake

Ehal-e-zubaan to hain bhout, koi nahin hai ehal-e-dil 
Kon teri tarah "Hafeez" dard ke geet gaa sake

Ab is ke baad ghannay junglon ki manzal hai


Ab is ke baad ghannay junglon ki manzal hai 

Yeh waqat hai keh palat jayein humsafar meray

Sab se youn milna keh jaisay dil main koi dukh na ho


Sab se youn milna keh jaisay dil main koi dukh na ho 

Mujh main yeh khoobi bhi hai , sab khamiyon ke ba'wajood

KAshti bhi nahin badli dariya bhi nahin badla


KAshti bhi nahin badli dariya bhi nahin badla

Aur doobnay waalon ka jazba bhi nahin badla

Hai shouq-e-safar aisa aik arsay se yaroo

Manzil bhi nahin paai rasta bhi nahin badla

Ishq ki taqweem main asar-e-rawaan ke siwa


Ishq

Ishq ki taqweem main asar-e-rawaan kay siwa

Ishq dam-e-jibraiel , ishq dil-e-mustufa (pbuh)

Aur zamanay bhi hain jin ka nahin koi naam

Ishq khuda ka rasool (pbuh) , ishq khuda ka kalaam

Ishq ki masti se hai paikar-e-gul-e-taabnaak 

Ishq fiqiya-e-haram , ishq ameer-e-junood 

Ishq hai seh'baaiay khaam , ishq hai kaas-ul-ikraam 

Ishq hai ib-nas-sabeel , is kay hazaron maqaam

Woh mujh se door ho kar khush hai to rehnay do ussay


Woh mujh se door ho kar khush hai to rehnay do ussay 

Mujhe chahat se ziada us ki muskurahat pasand hai

Khudaya hum unhain dekhain 

Keh un ka dekhna dekhain

Shamma mizaar thi , na koi sogawaar tha


Shamma mizaar thi , na koi sogawaar tha 
Tum jis pe ro rahay thay , woh kis ka mazaar tha

Tarpon ka umar bhar dil-e-marhoom kay liye 
Kam bakhat, na'muraad,larkapan ka yaar tha 

Soda-e-ishq aur hai wehshat kuch aur shai
Majnoo ka koi dost fasana nigaar tha 

Jadoo hai ya talisam tumhari zubaan main hai 
Tum jhoot keh rahay thay mujhay aitabaar tha 

Kiya kiya hamaray sajday ki ruswaiyaan huyein 
Naqsh-e-qadam kisi ka sar-e-raah guzaar tha 

Is waqat tak wazah main aya nahin hai farq
Tera karam shreek jo parwar'digaar tha 

Gul tera rang chura laye hain gulzaaron main


Gul tera rang chura laye hain gulzaaron main 
Jal raha hoon bhari barsaat ki bocharon main 

Mujh se katra ke nikal jaa magar ae jaan-e-haya 
Dil ki lo dekh raha hoon teray rukhsaaron main 

Husan-e-be'gaana ehsaas-e-jamaal acha hai 
Gunchay khiltay hain to bik jaate hain bazaron main 

Zikar kartay hain tera mujh se be'unwaan-e-jafa
Chara gar phool pro laye hain talwaaron main 

Zakham chup saktay hain lakin mujhe fun ki so'gand 
Gham ki doulat bhi hai shamil meray shahkaaron main 

Mujh ko nafrat se nahin pyaar se masloob karo 
Main to shamil hoon , mohabbat ke gunnah'gaaron main 

Poet : Ahmed Nadeen Qasmi

Kahin tum bhi na ban jana mazmoon kisi kitaab ka


Kahin tum bhi na ban jana mazmoon kisi kitaab ka 

Log baray shouq se parhtay hain kahaniyaan be'wafaon ki
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...