Jun 29, 2014

Is se pehlay keh be'wafa ho jayein


Is se pehlay keh be'wafa ho jayein 
Kiyon na ae dost hum juda ho jayein 

Tum bhi heeray se ban gaye pathar 
Hum bhi kal kiya se kiya ho jayein 

Hum bhi majboorion ka uzr karain 
Aur kahain aur mubtala ho jayein 

Ishq bhi khail hai naseebon ka 
Khaak ho jayein kimiyaan ho jayein 

Ab ky gar tu mile to hum tujh se
Aisay liptain teri qaba ho jayein 

Bandagi hum ne chor di hai imran 
Kiya karain log jab khuda ho jayein

Apne ehsaas ki shamma ko jalaye huwey rakhna


Apne ehsaas ki shamma ko jalaye huwey rakhna 
Ik dard sa seenay main jagaye huwey rakhna 

Aas paas bakhairna apni yaadon ky sab moti 
Maazi ky sab kirdaron ko bhulaye huwey rakhna 

Alfaaz ko soghatein jiti bhi milein kam hain 
Kari se kari mil kar zanjeer banaye rakhna 

TAnha na kabhi rehna ehbaab ki mehfil main 
Yaadon ky kisi hajoom ko bakhairaye huwey rakhna 

Ghafil na kabhi hona dil ky badalne se 
Sar apni ana ka her waqat uthaye huwey rakhna 

Tanhai ky aalam main milna tum kabhi khud se 
Par ehsaas ky shaher se khud ko bachaye huwey rakhna

Dil ki baat labon par laa kar ab tak hum dukh sehtay hain


Dil ki baat labon par laa kar ab tak hum dukh sehtay hain
Hum ne suna tha is basti main dil wale bhi rehtay hain 

Beet gaya sawan ka maheena mousam ne nazrain badlien 
Lakin inpiyaasi aankhon main ab tak ansoo behtay hain 

Ek hamain awara kehna koi bara ilzaam nahin 
duniya wale dil walon ko aur bhout kuch kehtay hain 

Jin ki khatar shaher bhi chora jin ky liye bad'naam huwey 
Aj wohi hum se begane begane se rehte hain 

Aaj jo abhi us raah guzar se chaak giribaan guzra tha 
Is awara dewane ko pagal kehtay hain

Mohabbat main her ik lamha wisaal karna hai


Mohabbat main her ik lamha wisaal karna hai 
Ab pyaar tujhy her din maah-o-saal karna hai 

Aagay bhi barhna hai aut tum ko bhi paana hai 
Khuda se bas ik yahi sawaal karna hai 

Kami ho gi na aghaaz ta anjaam-e-mohabbat 
Dekho hum ne ab yeh kamaal karna hai 

Dar na jana kahin zamano ki gardish ko dekh kar 
Sirf raat aur sawere ka khyaal rakhna hai 

Jitni bhi ayein nafratein raastay main tumhare 
Be'khouf-o-khatar sab ko pai'maal karna hai 

Anjaam is tarah se ho keh rutt hi badal jaye 
Bilaal izaton ka bhi ane nagar khyal karna hai

Woh jis ka naam bhi liya pahailyon ki oot main


Woh jis ka naam bhi liya pahailyon ki oot main 
Nazar phairi to chup gayi sahaliyon ki oot main 

Woh tere ishtiaaq ki hazaar heela sazaein 
Woh mere iztraab yaar baaliyon ki oot main 

Chalo keh hum bhi bujhay bujhay ghar ka marsia kahain 
Woh chaand to utar gaya haweliyon ki oot main

Mere baghair bhi tum jeena hansi khushi se


Mere baghair bhi tum jeena hansi khushi se 
Parta hai farq kiya hai ek shakhs ki kami se

Barbaadiyon main apni bas dosh hai hamara 
Tohmat nahin kisi par , shikwa nahin kisi se 

Ahi saans ab to bhaari , jeena bhi ik khawaari 
YA rab mujhe utha le , hoon tang zindagi se

Ye aainay main jaan hai kiyon ab dekhta 
Kiyon guftagoo karti hoon main ik ajnabi se

Deewangi ki mujh par tohmat hai jo ghalat hai 
Ruswa hui hoon main to apni junoo'gari se

Shagufta baat meri Palu main baand lena 
Umeed mat lagana ab tum kisi se 


Ek hi dharti pe kartay hain dono rehan basera bhi


Ek hi dharti pe kartay hain dono rehan basera bhi 
Neel gagan ky saye tale ghar tera bhi ghar mera bhi 

Rang-o-nasal ka jhagra kaisa , kumba ik qabeela ik 
Tere khoon ka laal hai rang . waisa hi rang mera bhi 

Tera mera mazhab kaisa , Pyaar hi sab ka mazhab hai 
Ek khuda hai tera bhi aur tera khuda hai mera bhi 

Kon kis ka dost hua , jab hath main sab ky khanjar ho 
Band pitaare main rakhta hai apna saamp sapera bhi 

Dair hui jab barq giri thi , ab tak wehshat taari hai 
Thak kar suraj doob le ga to chp'paye ga andhera bhi

MAin tumhain dil main basa loon agar bura na lage


MAin tumhain dil main basa loon agar bura na lage
Main tumhain apna bana loon agar bura na lage

Tum hi ho chahat meri tum hi ho manzil meri 
Tumhain dharkan main chupa loon agar bura na lage

Shab-e-tanhai main tera intizaar karta hoon 
Teri neendon ko chura loon agar bura na lage

Tum hi khwaab ho tum hi khushi ho meri 
Tum hi se tum ko chura loon agar bura na lage

Be'bas bhout hai keh beemaar bhout hai


Be'bas bhout hai keh beemaar bhout hai 
Ab aa ke milo hum se dil ko yeh israar bhout hai 

Ek shakhs jo her aan khafa rehta hai mujh se
Dil us ki mohabbat main giriftaar bhout hai 

Mana hamain jeene ka qareena nahin ata
Aye zeest magar tujh se pyaar bhout hai 

Kuch hum bhi bhulane ka taqaza nahin kartay 
Kuch un ki tabiyat main bhi inkaar bhout hai 

Is zaat ky sehra ki karri dhoop main hum ko 
Saathi na sahi saya-e-dewaar bhout hai 

 

Barson guzar gaye so kar nahin dekha


Barson guzar gaye so kar nahin dekha

Aankhon main neend thi so kar nahin dekha 

Woh kiya janein dard mohabbat ka 

Jis ne kisi ka ho kar nahin dekha

Aap ko dekh kar yeh nigha jhuk gayi


Aap ko dekh kar yeh nigha jhuk gayi 

Khamoshi ab her baat kehhaye gi 

Parh lo in aankhon main apni mohabbat 

Aap ki qasam sari raaton ki neend urr jaye gi

Kon rota hai yahan raat ky sanaton main


Kon rota hai yahan raat ky sanaton main 

Mere jaisa hi koi hijar ka maara ho ga 

Kaam mushkil hai magar jeet hi loon ga us ko 

Mere mola ka wasi joun hi ishara ho ga

Aaj bhi us ki aankhon main raaz wohi tha


Aaj bhi us ki aankhon main raaz wohi tha 

Chahera wohi tha chaheray ka libaas wohi tha 

Kaisay us ko be'wafa keh doon yaroo

Aaj bhi us ky dekhney ka andaaz wohi tha

Youn mere dil main us ki mohabbat tehar gayi


Youn mere dil main us ki mohabbat tehar gayi 

Muflis ky ghar main jaisay zaroorat tehar gayi 

Dharkan ki jaan leva aziyat ki zad main tha 

Dil tham gaya to jaisay qayamat tehar gayi

Jo dil ko bhalay lagtay hain woh juda ho jate hain


Jo dil ko bhalay lagtay hain woh juda ho jate hain 

Jin se ziada pyaar karain woh khuda ho jate hain 

Main her dost ko chahta hoon zindagi ki tarah 

Shayed woh sab isi liye be'wafa ho jate hain

Izhaar-e-mohabbat ka haq hum ko to nahin tha


Izhaar-e-mohabbat ka haq hum ko to nahin tha 

Aap kiyon khamosh thay kuch to kaha hota 

Nahin tha khud pe bharosa meri chahat main kami thi 

Zubaan se tha nahin mumkin to aankhon se kaha hota

Guzar gaye hain bhout din rafaqat-e-shab main


Guzar gaye hain bhout din rafaqat-e-shab main 

Ik umar ho gayi chahera woh chaand sa dekhe

Tere siwa bhi kai rang kush nazar thay magar 

Jo tujh ko dekh chuka ho woh aur kiya dekhe

Woh jo geet tum ne suna nahin


Woh jo geet tum ne suna nahin 

Meri umar bhar ka riaz tha 

Meray dard ki thi dastaan 

Jissay tum hansi main urra gaye

Ik waqat ky khone ka ehsaas hua hai


Ik waqat ky khone ka ehsaas hua hai 

Yeh lamha na kabhi sach main paas hua hai 

Kiyon milti mujhay waqti rihaai bhi "ranj"

Jazbaat ka qaidi bhi kabhi khaas hua hai

Mat kaho mujhe izhaar-e-mohabbat zubaan se biyaan karney ko


Mat kaho mujhe izhaar-e-mohabbat zubaan se biyaan karney ko 

Suna hai zamaney se keh hoty hain kaan dewaaron ky bhi 

Hone do yeh qissa biyaan aankhon se sehar 

Keh yeh kar deti hain her baat khamoshi main bhi

Woh kushi tha umeed tha ik ehsaas tha


Woh kushi tha umeed tha ik ehsaas tha 

Baad main yeh gumaan hua , bas pal do pal ka sath tha 

Rehta hai aaj bhi intizaar is aankh ko kisi apney ka 

Woh ja kar aaj bhi sath hai jo kabhi hamaray paas tha

Be-zubaano ko jab woh zubaan deta hai


Be-zubaano ko jab woh zubaan deta hai 

Parhne ko phir woh quraan deta hai 

Bakhney pe ata hai jab ummat ky gunnahon ko 

Tohfay main gunah'gaaron ko ramzan deta hai

Akela waris hoon main us ki tamaam nafraton ka Mohsin


Akela waris hoon main us ki tamaam nafraton ka Mohsin

Woh jo shakhs saray shaher main pyar baant'ta phirta hai

Apney kho janey ka is raah main imkaan na tha


Apney kho janey ka is raah main imkaan na tha 

Tha magar itn abhi us ka mujhe armaan na tha 

Kuch tasna bhi tha warna meray gham par woh shakhs 

Jitna ata tha itna parishaan na tha

Jab khizzan aye to loat aye ga woh bhi mohsin


Jab khizzan aye to loat aye ga woh bhi mohsin 

Woh baharon main zara kam hi mila karta hai 

Tez baarish main kabhi sard hawaon main raha


Tez baarish main kabhi sard hawaon main raha 

Ik tera zikar tha jo meri sadaon main raha 

Kitney logon se mere gehray mrasam hain magar

Tera chahra hi faqat meri duaon main raha

Na sawaal ban kar mila karo , na jawaab ban kar mila karo


Na sawaal ban kar mila karo , na jawaab ban kar mila karo 
Meri zindagi mera khwaab hai mujhe khwaab ban kar mila karo 

Her aik shaam ko mere doston na azaab ban kar mila karo 
Mujhe meh'kaday main milo agar to sharaab ban kar mila karo 

Mujhe achay log bhout mile main to un ky qarz se mar gaya 
Gar ho sake to kabhi kabhi to khraab ban kar mila karo 

Abhi sochna hai to soch lo hamain chorna hai to chor do 
Naye mousam main milo mujhe to gulaab ban kar mila karo 

Na to is tarah se mila karo na to us tarah se mila karo 
Haan hazoor ban ky mila karo haan janaab ban kar mila karo

Khamoshi khud apni sada ho aisa ho bhi sakta hai


Khamoshi khud apni sada ho aisa ho bhi sakta hai
Sanata hi goonj raha ho aisa ho bhi sakta hai 

Mera maazi mujh se bichar ky jane kis haal main hai 
Meri tarah woh bhi tanha ho aisa ho bhi sakta hai 

Sehra sehra kab tak main dhoondon ulfat ka ik alam 
Alam alam ik sehra ho aisa ho bhi sakta hai 

Ehl-e-toofaan socha raha hai sahil doob jata hai 
Khud un ka dil doob raha ho aisa ho bhi sakta hai 

Kathan hai raah'gur thori door sath chalo


Kathan hai raah'gur thori door sath chalo
Bhout bara hai safar thori door sath chalo

Tamaam umar kahan koi sath deta hai 
Main jaanta hoon magar thori door sath chalo

Nashe main choor hon main bhi tumhain bhi hosh nahin 
Mara maza ho agar thori door sath chalo

Yeh aik shab ki mulaqaat bhi ghaneemat hai 
Kissay hai kal ki khabar thori door sath chalo

Abhi to jaag raha hai chraagh raahon ky 
Abhi hai door shaher thori door sath chalo

Taveel-e-manzil-e-jana hamain bhi karna hai 
Imran tum bhi agar thori door sath chalo

Sochta hoon ussay neend bhi ati ho gi


Sochta hoon ussay neend bhi ati ho gi
Ya meri tarah faqat ashk bahati  ho gi

Woh meri shakal mera naam bhulane wali
Meri tasveer se kiya aankhain milaati ho gi

Is zameen pe bhi haisailaab meri aankhon se
Mere maatam ki sada arash hilati ho gi

Shaam hote hi woh chokhat pe jala ky sham'ein
Apni palkon pe kai khwaab sajati ho gi

Us ne silwa bhi liye hon ge siyaah rang libaas
Ab moharram ki tarah eid manati ho gi

Jab bhi zulfon main koi phool sajati ho gi
Mere tareek zamano se nikalne wali

Roshti tujh ko meri yaad dilati ho gi
Dil ki masoom ragein khud hi sulgaati ho gi

Joun hi tera tasawar ka kon awoh jalati ho gi 
Roop de kar mujhay us main kisi sehzade ka 
Apne bachon ko kahani sunati ho gi

Ab jo bichra to ab duniya main kiya rakha hai


Ab jo bichra to ab duniya main kiya rakha hai 

Sari duniya ko tere gham main bhula rakha hai 

MAin teray shaher ky logon se karon kiyon shikwa

Tere apno ne hi mujh se tera shaher chura rakha hai 

Hum tujhe dhoondtay phirtay hain faqeer ban kar 

Khud ko na jane kahan tu ne chupa rakha hai 


Woh bulayein to kiya tamasha ho


Woh bulayein to kiya tamasha ho 
Hum na jayein to kiya tamasha ho 

Yeh kinaron se khailney wale 
Doob jayein to kiya tamasha ho 

Banda parwar jo hum pe guzri hai 
Hum bataein to kiya tamasha ho 

Aaj hum bhi teri wafaon par
Muskurain to kiya tamasha ho 

Teri surat ji itifaaq se 
bhool jayein  to kiya tamasha ho 

Waqat ki chan sa'atein sagar 
Loat ayein to kiya tamasha jo

EK Jurm Huwa Hay Hm Se


EK Jurm Huwa Hay Hm Se
Kisi rishte Se Wfa Kr Baithe 

Kuch Apna Sa samj Kr usko
Sub Raz Bta Baithe 

Phir Usi rishte Ki Rah Me
Dil-0-Jan Ganva Baithe 

Is Jurm Ki Aesi Sza Mili K
Hm Un Se Juda Baithe 

W0 Yad Boht Ate
J0 hm ko Dil Sy Bhula Baithy

Wo tum na they ik khayal tha


Wo tum na they ik khayal tha
Meri soch ka hi kamal tha

Wo mohabbatain wo chahatain
Meri uljhanoon ka hi jaal tha

Meray dil mein thin jo ronaqain
Wo tera hi husan-o-jamal tha

Jawab jis ka mila nai
Wo aiysa hi ek sawal tha

Wo aaj mile to yun laga
Wohi to hai jis ka intazar tha

Usay yaad kaisay na karon
Usay bholna bhi muhal tha

Ab us ki kiya misal doon
Wo to aap apni misal tha..

Mana keh tere dil mein koi aur makeen hai


Mana keh tere dil mein koi aur makeen hai 

Tu bhi to mera ghum hai aqeeda hai yakeen hai 

Main jabr ke sajdon mein kaheen toot na jaun 

Pathar ke khudao meri sheeshe ki jabeen hai 

Aayne tujhe teri khabar de na saken ge 

Aa dekh meri aankh mein tu kitna haseen hai 

Deewar mein chunwa ke mujhe jurm-e-wafa par

Aye mere shahenshah tu pareshan to nahi hai

Palkon se tarasha tha kbi humne jo heera 

Mat puchh ab wo kiski angoothi ka nageen hai

Dil pak Nahi To Pak Ho Sakta Nahi Insan




Dil pak Nahi To Pak Ho Sakta Nahi Insan

Warna Iblees Ko Bhi Aate The Wuzoo K Fara,iz Baht

Sir Jhukane Se Namazein Adda Nahi Hotin

DIL Jhukana Parta Hay Ibadt K Liye

Iqbal Ne Iss Liye Tor Di Tasbih

Kaya Gin k Naam Loon Us Khuda ka

Jo Be Hisab Deta Hay

Koi mujh ko mera bhar'poor sarapa la de


Koi mujh ko mera bhar'poor sarapa la de 
Mere baazo meri aankhain mera chahera la de

Aisa dariya jo kisi aur samandar main gire 
Is se bhtar hai keh mujh ko mera sehra la de 

Kuch nahin chayea tujh se meri Ae umar-e-rawaan 
Mera bachpan mere jugnoo meri guriya la de 

Jis ki aankhain mujhe andar se bhi parh sakti hoon 
Koi chahera to mere shaher main aisa la de 

Kishti-e-jaan to bhanwar main hai kai barsoon se 
Aye khuda ab to baboo de ya kinara la de

Tez jhonka na seh saka patta


Tez jhonka na seh saka patta
Shaakh se toot kar gira patta 

Zard roo se murra turra patta 
Ayi aandhi hua hawa patta 

MAin bhi tha zaib-e-gul hara patta 
Zar-e-paa hai yeh keh raha patta

De sila rabt pairr se rakhna 
Fasl-e-gul ka yeh gham'zada patta 

Be'saharon ki zindagi jaisay 
Pairr ky saaye main para patta

Hum bhi ra'ana thay youn kabhi 
Jaisay gul'zaar ka hara patta

Suraj sar pe aa poncha hai


Suraj sar pe aa poncha hai 
Saye bhi chupty jate hain 

Aisi hi muskaan tumhari 
Guncha jaisay khil jata hai 

Zakham laga ky woh kehti hain 
Bol re sajan tu kaisa hai 

Baatein kar amrooze ki piyaare
Chor de us ko jo farda hai 

Is duniya main ulfat dhoondy 
Kuch kuch deewana lagta hai 

 

Tum agar mujh ko na chaho to koi baat nahin


Tum agar mujh ko na chaho to koi baat nahin 
tum kisi aur ko chaho gi to mushkil ho gi 

Ab agar mail nahin hai to judai bhi nahin hai 
Baat tori bhi nahin tum ne banai bhi nahin 

Yeh sehra bhi bhout hai mere jeenay ky liye 
Tum agar meri nahin ho to parai bhi nahin 

Mere dil ko na sraho to koi baat nahin 
Ghair ky dil ko sraho gi to mushkil ho gi 

Tum haseen ho , tumhain sab pyaar kartay hon ge
Main jo marta hoon to kiya aur bhi martay hon gy 

Sab ki aankhon main isi shouq ka toofaan ho ga 
Sab ky seenay main yahi dard ubharty hon gy 

Mere gham main na kraahoto koi baat nahin 
Aur ky gham main kraaho gi to mushkil ho gi

Kisi ki aankh jo pur'nam nahin hai


Kisi ki aankh jo pur'nam nahin hai 
Na samjho yeh keh us ko gham nahin hai 

Sawaad-e-dard main tanha khara hoon 
Palat jaon magar mousam nahin hai 

Samjh main kuch nahin ata kisi ki 
Agarcha guftagoo mabham nahin hai 

Sulagta kiyon nahin tareek jungle 
Talab ko boo agar madham nahin hai 

Yeh basti hai sitam par'war'digaan ki 
Yahan koi kisi se kam nahin hai 

Kina dosraye dariya ka jaisay 
Woh sathi hai magar mehram nahin hai 

Dilon ki roshni bhujhney na dena 
Wajood tairagi mehkam nahin hai 

Main tujh ko chah kar pachta raha hoon 
Koi is gham ka marham nahin hai 

Jo koi sun sake amjad to duniya 
Ba'juz ik baaz'gashat-e-gham nahin hai

Yaad main teri jahan ko bhoolta jata hoon


Yaad main teri jahan ko bhoolta jata hoon 
Bhoolney wale kabhi tujh ko bhi yaad ata hoon main 

Ik dhundla sa tasawar hai keh dil bhi tha yahan 
Ab to seenay main faqat ik tees si paata hoon main 

O wafa-e-na'ashna kab tak suno tera gila
Be'wafa kehtay hain tujh ko aur sharmata hoon main 

Aarzoo'on ka shabaab aur marg-e-hasrat haye haye 
Jab bahaar aye gulistaan main to mur'jhata hoon main 

Hashar meri shair goi hai faqat fariyaad-e-shouq
Apna gham dil ki zubaan main , dil ko samjhata hoon main

Honton pe kabhi un ky mera naam hi aye


Honton pe kabhi un ky mera naam hi aye 
Aye to sahi bar sar-e-ilzaam hi aye 

Hairaan hain , lab basta hain , dil'geer hain gunchay
Kushboo ki zubaani tera paighaam hi aye 

Lamhaat musarat hain tasawar se guraizaan 
Yaad aye hain jab bhi gham-o-aalaam hi aye 

Taron se saja lein gy raah-e-shaher-e-tamana 
Madoor nahin subho chalo shaam hi aye 

Kiya raah badalney ka gila hum safron se 
Jis raah se chalay teray dar-o-baam hi aye 

Thak haar ky baithay hain sar-e-koo-e-tamana 
Kaam aye to phir jazba-e-nakaam hi aye

Baaqi na rahay saakh ada dasht-e-junoon ki 
Dil main agar andesha-e-anjaam hi aye  

Agar mohabbat meri sachi hai to ik din zaroor mila de gi


Agar mohabbat meri sachi hai to ik din zaroor mila de gi 
Agar zid meri paki hai to aye khuda asmaan ko bhi hila de gi 

Na inkaar kar sakta haikoi meri wafa se , mujhe yaqeen hai 
Par tum sambhalna ek din meri wafa tujhe be'wafi ka sila de gi 

Yeh baat sach hai tum ne hum se pyaar kiya aur doosray pal hi bhula dia
Mera pyaar itna asaan na tha na socha tha keh tero mohabbat daga de gi

Na bhula sakoon gi woh mohabbat na woh be'wafai jo tu ne ki 
Saza is se barh kar kiya de gi keh umar bhar meri mohabbat tujhe dua de gi 

Agar dam hai meri wafa-e-mohabbat main to woh ik din aye ga zaroor 
Jab meri yaad main tu tarpaye ga par tab tujhe apni mohabbat na de gi

Woh hai manind-e-sang to main sang traash ban jaon


Woh hai manind-e-sang to main sang traash ban jaon 
Chaahon ussay itna keh pathar bhi devta ban jaye 

Ho aisi khalish meri chahat main key ussay her bandhan se azaad karoon 
Woh loat aye her baar magar aur mera ban jaye 

Ho shiddat aisi keh Mujhe hi kiya mere aks ko bhi tera khyaal ho 
MAin jo aaina dekhon kabhi mujhe khud par bhi tera gumaan ho jaye 

Mera ishq ho ishq ki us manzal par keh khud ishq tarap uthaye
Main tujhe nazar bhar ky dekhon hi keh meri aankh bhar aye

Her shakhs us ky baad mujhe anjana laga


Her shakhs us ky baad mujhe anjana laga 
Bhool jane main ussay poora zamana laga 

Peet main bhi maaray khanjar , dil ko bhi kiya zakhmi 
Andaaz ua ka yeh mujhay bara qatlaana laga 

Her baar ghairon ki tarah woh milta raha mujhe magar 
Phir bhi na woh zaalam mujhe bei'gaana laga 

Kahin bhi na mili jab mujhae dard-e-dil ki dawa 
Tab mai'khana hi mujhe apna dawa'khana laga 

Kahani sun mere barbaad hone ki woh bola 
Bhout khoob hamain yeh afsana laga 

Aaj ky is dour main woh dhoond raha hai wafa 
Kiya kahoon , mujhe to dilbar poora deewana laga 

Meri zindagi bhi meri nahin , yeh hazaar khano main bat gayi


Meri zindagi bhi meri nahin , yeh hazaar khano main bat gayi 
Mujhe ik mutthi zameen de , yeh zameen kitni simat gayi 

Teri yaad aye to chup rahoon , zara chup rahoon to ghazal kahoon 
Yeh ajeeb aag ki bail thi , mere tan badan se lipat gayi 

Mujhe likhney wala likhey bhi kiya , mujhay parhney wala parhay bhi kiya 
Jahan mera naam likha gaya , wahin roshni ulat gayi 

Na koi khushi na koi malaal hai , keh sabhi ka ik sa haal hai 
Tere sukh ky din bhi guzar gaye , mere dukh ki raat bhi kat gayi 

Meri band palkon pe toot ky koi phool raat bikhar gaya 
Mujhay siskiyon ne jaga dia , meri kacchi neend uchat gayi

Jitna bhi behak jaye insaan to rehta hai


Jitna bhi behak jaye insaan to rehta hai 
Her lamha sambhlney ka imkaan to rehta hai 

Sadiyon ky mrasam ki apni hai jaga lakin 
Dam bhar ka ta'aluq bhi pehchaan to rehta hai 

Dam torti yaadain hon ya khwaab parishaan se
Kuch paas mere us ka samna to rehta hai 

Ek ky jab rishtay lamhon main bikhar jayein 
Aankhain to barasti hain armaan to rehta hai 

Bichray huwey logon ka milna  to hai mushkil par 
Umeed to rehti hai imkaan to rehta hai
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...