Feb 10, 2015

Kaha us ne zamana dard hai aur tum dawa jaisay


Kaha us ne zamana dard hai aur tum dawa jaisay 
Laga tum se mohabbat hai mujhay us ne kaha jaisay 

Talab ki us ne jab mujh se mohabbat ki wazahat to 
Bataya dasht kay honton pe baarish ki dua jaisay 

Kaho Ae gul kabhi khushboo ka tum ne aks dekha hai 
Kaha Qos-e-qaza kay saray rangon ki sada jaisay 

Sunno khwaish ki lehron par sambhalna huwa kiyon mushkil 
Bataya paaniyon par khwaab ki rakhi bana jaisay 

Sunno aankhon hi aankhon ka bayaan kaisa laga tum ko 
Lagaa phoolon se sargoshi see karti hai saba jaisay 


Bhout door hai meray ghar se teray ghar ka kinaara


Bhout door hai meray ghar se teray ghar ka kinaara 

Phir bhi hum hawa kay her jhonkay se tera haal poochtay hain

Shayed abhi hai raakh main koi sharaar bhi


Shayed abhi hai raakh main koi sharaar bhi 
Kiyon warna intizaar bhi hai iztaraar bhi 

Dhiyaan aa gaya hai marg-e-dil-e-na'muraad ka 
Milnay ko mil gaya hai sakoon bhi qaraar bhi 

Ab dhoondnay chalay ho musaafir ko dosto 
Had-e-nigaah tak na raha jab ghubaar bhi 

Her Aastaan pe naasiya-farsaa hain aaj woh 
Jo kal na kar sakay thay tera intizaar bhi 

Ik raah ruk gayi to thit'tak kiyon gaye Ada
Aabaad bastiyaan hain paharron kay paar bhi

Yeh mizaaj hai meri zaat se ya riwaaj hai teray shaher ka


Yeh mizaaj hai meri zaat se ya riwaaj hai teray shaher ka 
Kabhi is taraf kabhi us taraf kiya mizaaj hai teray shaher ka 

YAhan nafratein bari aam hain yahan chahaton ki qadar nahin 
Woh jo khoon tha meray jism main woh ajaaj hai teray shaher ka 

Nahin had yahan kisi zulm ki  na hi paas hai kisi rabt ka 
Woh jo haal tha yahan kal talak wohi aaj hai teray shaher ka 

YAhan kaatna kisi aur ko hai bahaduri ki alamatein 
Woh jo junlon main bhi tha kabhi wohi raaj hai teray shaher ka
 

Tumhari aankhein kehti hain , hisaar-e-zaat se niklo


Tumhari aankhein kehti hain , hisaar-e-zaat se niklo 
Tamana meri ban jaao shab-e-barbaad se niklo 

Kinara thaam lo dil ka bhula do sab gilay shikwe
Kabhi sachi hansi hans do puraani yaad se niklo 

Khayal-e-yaar acha hai magar jis ne wafa na ki 
Palat kar phir sada na do dar-e-fariyad se niklo

Kal ki raat ka pehlu achanak hum se yeh bola 
Saja lo aankh main sapnay amawas raat se niklo 

Nahin tum ko gawara ab hamara qurb to keh do 
Hamaray qurb ki choro tum is azaab se niklo

Main aurat zaat tehri hoon mujhay masjid nahin jaaiz


Main aurat zaat tehri hoon mujhay masjid nahin jaaiz
Tum 5 waqat jaatay ho khuda se maang lo mujh ko 

Main duniya main tumharay liye hi aayi hoon 
Tujhay hi na mil paaon to chura lay zamanay se mujh ko 

Main teri yaad main roti hoon tujhay hi yaad karti hoon 
Kabhi to Aa kay mil jaayo tera her pal intizaar hai mujh ko 

Giray jab shaakh se toot kay sookhye pattay 
Keh teray bichar janay kay woh lamhay rulaatay hain bhout mujh ko 

Teray hi haath aayon gi agar tum loat aayo to 
Nahin aaye to khuda se yeh dua mangoon gi keh aa jaye ab mout mujh ko 

Main aurat zaat tehri hoon mujhay masjid nahin jaaiz
Tum 5 waqat jaatay ho khuda se maang lo mujh ko




Jamaal-e-yaar ko dekhon kamaal-e-yaar se pehlay


Jamaal-e-yaar ko dekhon kamaal-e-yaar se pehlay 
Main khushboo ki tarah mehkoon khayaal-e-yaar se pehlay

Karishmay husan kay suraj sitaray phool zahir hain
Magar main kiss taraf dekhon misaal-e-yaar se pehlay 

Duaon main meri youn to bhout taseer hai lakin 
Khuda se aur kiya mangoon sawaal-e-yaar se pehlay 

Hai aadat door rehnay ki agar woh samnay aaye 
Main shaam-e-zindagi chahon wisaal-e-yaar se pehlay

Aangano main utra hai baam-o-dar ka sanaata


Aangano main utra hai baam-o-dar ka sanaata 
Meray dil pe chaya hai , meray ghar ka sanaata 

Raat ki khamoshi to phir bhi meharbaan nikli 
Kitna jaan leva hai dopehar ka sanaata 

Subha meray joray ki her kali salamat nikli 
Goonjta tha khushboo main raat bhar ka sanaata 

Apnay dost ko lay kar tum wahan gaye ho gay
Mujh ko poochta ho ga , rah'guzar ka sanaata 

Khat ko choom kar uss ne aankh se lagaya tha 
Kul jawab tha goya , lamha bhar ka sanaata 

Tu ne uss ki aankhon ko ghour se parha qasid?
Kuch to keh raha ho ga us nazar ka sanaata 

Labon pe us ki hansi chehra sogawaar us ka


Labon pe us ki hansi chehra sogawaar us ka 
Meri samjh main na aaye yeh hi sahaar us ka 

Nahin woh loat kay aaye ga hai yaqeen mujh ko 
YEh aur baat keh ab bhi hai intizaar us ka 

Koi bhi baat woh karta nahin yaqeen kay saath 
Karon to kaisay karon main bhi Aetabaar us ka 

To kiyon woh karta hai baatein sada bicharnay ki 
Meray hi saath hai wabasta gar qaraar us ka 

Mujhay ajeeb si ik be'kali main daal gaya 
Palat kay dekhna mujh ko woh baar baar us ka 

Main ik ajeeb se nashay main ghirta jaata hoon 
Utar'ta jaata hai dil main jo pyaar us ka 

Ek mohabbat hi aisa baadah hai 
Kisi bhi shay se utar'ta nahin  khumaar us ka


Soz-o-gham de kay mujhay us ne yeh irshaad kiya


Soz-o-gham de kay mujhay us ne yeh irshaad kiya 
Jaa tujhay kash'makash-e-dehar se azaad kiya 

Woh karain bhi to kin alfaaz se tera shikwa 
Jin ko teri nigah-e-lutf ne barbaad kiya 

Dil ki choton ne kabhi chain se rehnay na diya 
JAb chali sard hawa main ne tujhay yaad kiya 

Uss ka rona nahin kiyon tum ne kiya dil barbaad 
Ess ka gham hai keh bhout dair main barbaad kiya 

Itna ma'noos hoon fitrat se kali jab chatki 
Jhuk kay main ne yeh kaha mujh se kuch irshaad kiya 

Mujh ko to hosh nahin tum ko khabar ho shayed 
Log kehtay hain keh tum ne mujhay barbaad kiya 

Jo aaj hai woh kal nahin ho ga


Jo aaj hai woh kal nahin ho ga
Koi chehra kanwal nahin ho ga

Jab haseen koi yaad aaye ga
Rona chaho gay dil nahin ho ga

Woh jo aaye ga baad muddat kay
Husan ka yeh mehal nahin ho ga

Zindagi is tarah sataye gi
Mout ka koi pal nahin ho ga

Aaina dekh kay tasali hui
Husan-e-jaan ka badal nahin ho ga

YEh mohabbat sawal hai aisa
Karna chaho gay hal nahin ho ga

Aaj sha-e-jaan ko dekh lo yaaro
Kal pukaro gay kal nahin ho

Parbat hain wohi samnay jheelain bhi makaan bhi


Parbat hain wohi samnay jheelain bhi makaan bhi 
Her simat se uth'ta hau yaadon ka dhuwan bhi 

Pairron talay tanhai kay bikhray huye pattay 
Patton kay kinaron pe udasi kay nishaan bhi 

Khiltay huye phoolon main chupa hai koi chehra 
Woh chahra jissay dhoond nahin sakti khizaan bhi 

Behtay huye jharnay pe han tehri hui aankhein 
Tehri hui aankhon main kai khwaab rawan bhi

Hum ne suna tha sehan-e-chaman main Kaif kay badal chaye hain


Hum ne suna tha sehan-e-chaman main Kaif kay badal chaye hain 

Hum bhi gaye thay jee behlanay , ashk baha kar aaye hain 

Phool khilay to dil murjhaye , shama jalay to jaan jalay 

Tumhara gham apnaa kar kitnay gahm apnaye hain 

Ek sulagti yaad , chamakta dard, Farozan tanhai 

Pooch na us kay shaher se hum kya kya soghatein laye hain 

Soye huye jo dard thay dil main Aansoo ban kar beh niklay 

Raat sitaaron ki chaaon main yaad woh kya kya aye hain

Itna bhi hum se naraz mat hua karo


Itna bhi hum se naraz mat hua karo 

Bad'qismat zaroor hain hum magar be'wafa nahin

Tujh ko ehsaas kiyon nahin hota


Tujh ko ehsaas kiyon nahin hota 
Chahatein kis qadar zaroori hain 

Aayo do chaar mil kay poori karein 
Khwaishein sankaron adhoori hain

Nafrat bata rahi hai Mohabbat arooj ki thi


Nafrat bata rahi hai 

Mohabbat arooj ki thi

Us simat chalay ho to bas itna ussay kehna


Us simat chalay ho to bas itna ussay kehna 
Ab koi nahin harf-e-tamana, ussay kehna 
Us ne hi kaha tha , to yaqeen main ne kiya tha 
Umeed pe qayam hai yeh duniya , ussay kehna 
Duniya to kisi haal main jeenay nahin deti 
Chahat nahin hoti ruswa , ussay kehna 
Zar'khaiz zamenain kabhi banjar nahin hotein 
Dariya hi badal letay hain rasta , ussay kehna 
Woh meri risaai main nahin hai to kiya ajab 
HAsrat bhi to hai ishq ka lehja , ussay kehna 
Kuch log safar kay liye mozon nahin hotay 
Kuch rastay kat'tay nahin rtanha , ussay kehna

Kon si baat hai tum main aisi


Kon si baat hai tum main aisi 

Itni achi kiyon lagti ho

Ussay safar main dhoka to hum bhi de saktay thay


Ussay safar main dhoka to hum bhi de saktay thay 

Magar ragon main dorti wafa se baghawat nahin hoti

Saal-e-no sab kay liye ho saaz'gaar


Saal-e-no sab kay liye ho saaz'gaar

Laye baagh-e-zindagi main yeh bahar 

Sab kay hon sharminda-e-tabeer khwaab 

Ho masa'ad gardish-e-lail-o-nihaar 

Ho jahan-e-rang-o-boo sab kay liye 

Aman-o-sulha-o-Ashati se hum'kinaar 

Kis ki aakhir lag gayi hum ko nazr 

Daman-e-insaniyat hai taar taar 

Qalb-e-muztar-e-muzhamil hai aaj kal 

Atay atay aaye ga is ko qaraar 

Aaiyea mil jul kay hum aagay barhain 

Zindagi ka ma'hasil hai sirf pyaar 

Woh jo hain sood-o-ziyaan se be'niyaaz

Un hai husan-e-amal Barqi shaa'ar

Bin dekhye ussay Ya-Rab yeh eid na guzray


YEh Eid na guzray 

Bin dekhye ussay Ya-Rab yeh eid na guzray 

Kar paida koi sabab yeh eid na guzray 

Duniya ko dikhaya hai ik chand jo tu ne 

Mujh ko bhi dikha de ab yeh eid na guzray

Azal se be'simat justagoo ka safar hai dar'paish paaniyon ko


Azal se be'simat justagoo ka safar hai dar'paish paaniyon ko 

Kissay khabar kis ko dhoondta hai meri tarah raigaan samandar

Kisi ka dekh kay dheemay se muskura dena


Kisi ka dekh kay dheemay se muskura dena 

Kisi kay wastay kul kainaat hoti hai

Tum meray liye koi ilzaam na dhoondo


Tum meray liye koi ilzaam na dhoondo 

Chaha tha tumhain , yahi ilzaam bhout hai

Uss ka miyaar abhi mujh se juda hai lakin


Uss ka miyaar abhi mujh se juda hai lakin 

Woh bhi bikhray ga to ho jaye ga meray jaisa

Woh teray naseeb ki baarishein kisi aur kay chatt pe baras gayein


Woh teray naseeb ki baarishein kisi aur kay chatt pe baras gayein 

Dil-e-be'khabar meri baat sun , ussay bhool jaa, ussay bhool jaa

Koi chehra kanwal nahin ho ga


Koi chehra kanwal nahin ho ga 

Jo aaj hai woh kal nahin ho ga 
Koi chehra kanwal nahin ho ga 

JAb haseen koi yaad aaye ga 
Rona chaho gay dil nahin ho ga 

Woh jo aaye ga baad muddat kay 
Husan ka yeh mehal nahin ho ga 

Zindagi is tarah sataye gi 
Mout ka koi pal nahin ho ga 

Aaina dekh kay tasali hui 
Husan-e-jaan ka badal nahin ho ga 

YEh mohabbat sawal hai aisa 
Karna chaho gay hal nahin ho ga 

Aaj sha-e-jaan ko dekh lo yaaro 
Kal pukaro gay kal nahin ho 

Hazaron Aib dekhtay hain dosron kay pehlu main


Hazaron Aib dekhtay hain dosron kay pehlu main 

Apnay kirdaar main log farastay hon jaisay

Baha baha keh yeh Aansoo bikhar chuki hoon bhout


Baha baha keh yeh Aansoo bikhar chuki hoon bhout 

Simat kay zaat main apni ab muskuraana chahti hoon

Bar'baad kar diya dono ki laraai ne mujhay


Bar'baad kar diya dono ki laraai ne mujhay 

Na ishq haar maanta hai na dil shakist ka aadi hai

Us ki mohabbat pe mera haq to nahin lakin


Us ki mohabbat pe mera haq to nahin lakin 

Dil karta hai keh umar bhar us ka intizar karon

Sabza sabza sookh rahi hai , pheeki zard do'pehar


Sabza sabza sookh rahi hai , pheeki zard do'pehar

Dewaron ko chaat raha hai tanhai ka zehar

Door ufaq tak ghat'ti barh'ti , uthti girti rehti hai 

Kohar si surat be'ronaq dardon ki gadli lehar

Aagaah apni mout se koi bashar nahin hai


Aagaah apni mout se koi bashar nahin hai 

Samaan so baras ka hai , pal ki khabar nahin hai

Roz is shaher main ik hukam naya hota hai


Roz is shaher main ik hukam naya hota hai 

Kuch samjh main nahin aata hai keh kya hota hai

Sehraa ko bhout naaz hai weraani pe apni


Sehraa ko bhout naaz hai weraani pe apni

Waqif nahin shayed meray ujray huye ghr se

Raasta kaat kay her baar guzar jaata hai


Raasta kaat kay her baar guzar jaata hai 

Jaisay pardes main teh'waar guzar jata hai

Khuda kay khouf se jo dil laraztay rehtay hain


Khuda kay khouf se jo dil laraztay rehtay hain 

Unhain kabhi bhi zamanay se dar nahin lagta 

Na faraib dy sakay gi hamain ab kisi ki chahat


Na faraib dy sakay gi hamain ab kisi ki chahat 

Keh rula chuki hain hum ko teri kam sukhan nigahein

Uth baandh kamar kya darta hai


Uth baandh kamar kya darta hai 

Phir dekh khuda kya karta hai
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...