Jan 31, 2015

Yeh urri urri si rangat yeh khulay khulay se gaysoo


Yeh urri urri si rangat yeh khulay khulay se gaysoo

Teri subha keh rahi hai teri raat ka fasaana

Andesha bhi bhout tha , Ehtiyaat bhi bhout ki


Andesha bhi bhout tha , Ehtiyaat bhi bhout ki

Hotay hotay woh shakhs aakhir juda ho hi gaya

Larazta hua mera dil zehmat-e-mehar-e-darkashaan par


Larazta hua mera dil zehmat-e-mehar-e-darkashaan par

MAin hoon woh qatra-e-shabnam jo ho khaar-e-biya'baan par

Mouqa jissay mila , woh peeta chala gaya


Mouqa jissay mila , woh peeta chala gaya 

Shayed bhout mithaas hamaray lahoo main thi

Ishq pe jamaa rakha hai ameeron ne qabza


Ishq pe jamaa rakha hai ameeron ne qabza

Teri soghaat ghurbat na hoti to aashiq hum bhi kamal kay thay 

Tum jo kehtay thay keh acha hai zamana hum se


Tum jo kehtay thay keh acha hai zamana hum se 

Yeh bataao keh mila koi hamaray jaisa

Tujhay ana ho to chalay aana asaan pata hai mera


Tujhay ana ho to chalay aana asaan pata hai mera 

Meray naam ki takhti lagi ho gi aur matti ka dhair ho ga

Aaj phir uthaye to tum yaad aa gaye



Aaj phir uthaye to tum yaad aa gaye

NA'janay tum meri subha ho ya dil ki dharkan 

Khaali haathon ko kabhi ghour se dekha hai ?


Khaali haathon ko kabhi ghour se dekha hai ?

Kis tarah log haathon se nikal jaatay hain

Alfaaz to bhout hain meri mohabbat biyaan karnay kay liye


Alfaaz to bhout hain meri mohabbat biyaan karnay kay liye

Woh meri khamoshi nahin samjhtay meray alfaaz kiya samjhein gay

Kuch to bata Ae udaas raaton ki dhundli chandani


Kuch to bata Ae udaas raaton ki dhundli chandani

Bhoolnay waalon ko aakhir kis tarah yaad aayon main

Dil dukhaya karo ijaazat hai


Dil dukhaya karo ijaazat hai

Bhool jaanay ki baat mat karna

Main apni hasti se azaad ho gaya hoon


Main apni hasti se azaad ho gaya hoon

Kisi be'wafa ko zaroorat ho to mujh se khail sakta hai

Daastan-e-wafa bas itni si hai


Daastan-e-wafa bas itni si hai

Us ki khaatir ussi ko chor diya

Tum aao kabhi dastak do dar-e-dil par


Tum aao kabhi dastak do dar-e-dil par

Pyaar pehlay se kam ho , to shikayat karna

Jis umar main aqal aati hai


Jis umar main aqal aati hai

Afsoos hum us umar main mohabbat kar baithay

Keejiye qatal ka aab'ru se ishaara jhat patt


Keejiye qatal ka aab'ru se ishaara jhat patt
YAhi talwaar karay kaam hamara jhat patt

Woh shikayat ki khabar sunn kay huwey jab barham
Lay diya naam raqeebon ne hamara jhat patt

Dil ki nazron se giraa kar na huwey aap khabar
Aisay girtay ko to daitay hain saharaa jhat patt

Sach yeh hai keh meray qasid ne bari chalaaki kar kay
Tasleem-e-khatt guzaara jhat patt

Pas-e-dewaar us ne meri awaaz sunni
Wahin dar'baano ko ghabraa kay pukaara jhat patt 

Khushiyon ki aarzoo main muqaddar bhi so gaye


Khushiyon ki aarzoo main muqaddar bhi so gaye
Aandhi chali kuch aisi keh apnay hi kho gaye

Kiya khoob tha un ka yeh andaaz-e-mohabbat
Pyaar denay aaye thay palkein bhigo gaye

Woh manzalein bhi kho gayein woh raastay bhi kho gaye
Jo aashna se log thay woh ajnabi se ho gaye

Na chaand tha na chaandni ajeeb thi woh roshni
Chraagh thay keh bujh gaye naseeb thay keh so gaye

YEh poochtay hain raastay, rukay ho kis kay wastay
Chalo tum bhi ab chalo woh meharbaan to kho gaye

Mat maang meri zindagi ki dua yeh jaan kisi kaam ki nahin


Mat maang meri zindagi ki dua yeh jaan kisi kaam ki nahin

MAin to woh shakhs hoon jis kay marnay ki log dua sar-e-aam kartay hain

Mujhay yaqeen hai Aaraish-e-jamaal kay baad


Mujhay yaqeen hai Aaraish-e-jamaal kay baad

Aaina teray haath se gir kay toot gya ho ga

Yeh samandar hai kinaaray hi kinaaray jaao


Yeh samandar hai kinaaray hi kinaaray jaao
Ishq her shakhs kay bas ka nahin hai piyaaray jaao

Youn to maqtal main tamashaai bhout aatay hain
Aao us waqat keh jis waqat pukaaray jaao

Dil ki baazi lagaai phir jaan ki baazi lag jaye
Ishq main haar kay baitho nahin haaray jaao

Kaam ban jaye agar zulf junoon ban jaye
Is liye us ko sanwaro keh sanwaaray jaao

Koi raasta koi manzil ussay dushwaar nahin
Jis jaga jaao mohabbat kay saharay jaao

Hum to matti se ug'gaaein gay mohabbat kay gulaab
Tum agar tornay jaatay ho sitaaray jaao

Doobna ho ga agar doobna taqdeer main hai
Chaaye kashti pe raho chaheye kinaaray jaao

Tum hi socho bhala yeh shouq koi shouq hua

Her shaam chraghon ki tarah jalti hein aankhein


Her shaam chraghon ki tarah jalti hein aankhein

Kiya koi chala jaye to youn hota hai

Tu hai harjaai to apna bhi yahi tour sahi


Tu hai harjaai to apna bhi yahi tour sahi

Tu nahin toaur sahi , aur nahin aur sahi

Barbaad kar diya dono ki laraai ne mujhay


Barbaad kar diya dono ki laraai ne mujhay

Na ishq haar maanta hai , na dil shakist ka aadi hai

Sakhat dil gustaakh nazar , aur zaalim lehja



Sakhat dil gustaakh nazar , aur zaalim lehja

Dour-e-changaiz ki lagti hai mehbooba meri

Talkh itni thi keh peenay se zubaan jalti thi


Talkh itni thi keh peenay se zubaan jalti thi

Zindagi aankh kay paani main mila li main ne

Hum thay tumharay saath koi teesra na tha


Hum thay tumharay saath koi teesra na tha
Aisa haseen din kahin dekha sunna na tha

Aankhon main us ki tair rahay thay haya kay rang
PAlkein utha kay meri taraf dekha na tha

Us kay to ang ang main jalnay lagay diye
Jaadu hai meray haath main mujh ko pata na tha

Us kay badan ki la'o se thi kamray main roshni
Khirrki main chaand , taaq main koi diya na tha

Roya kuch is tarah meray shaanay se lag kay woh
Aisay laga keh jaisay kabhi be'wafa na tha

HAi ishq aik rog mohabbat azaab hai
Ik roz yeh khraab karein gay kaha na tha

Ae dil wahan pe had koi rehti bhi kis tarah
Ruknay ko keh raha tha magar rokta na tha

Main jab bhi yaad ki shammain jala kay rakhta hoon


Main jab bhi yaad ki shammain jala kay rakhta hoon
Yeh meri zid hai keh samnay hawa kay rakhta hoon

Main toot sakta hoon lakin main jhuk nahin sakta
Shakista zaat main pehlu ana ka rakhta hoon

Woh baad'baan hai agar kashti-e-mohabbat ka
Main baad'baan se rishtay hawa kay rakhta hoon

Tumharay khat main mehaktay gulaab ki maanind
Woh aur khiltay hain , jitna chupa kay rakhta hoon

Main jaanta hoon keh aana nahin kisi ne
Magar main darwaazy pe nazrein jamaa kay rakhta hoon

Zara sa jhoot hi keh do


Zara sa jhoot hi keh do

Keh meray bin adhooray ho

Ruk gayi zindgaani bas ik mor par bikhartay rahay


Ruk gayi zindgaani bas ik mor par bikhartay rahay
Teray bin youn hi mousam guzartay rahay

Dil kay aangan main roti rahein hasratein
Aankh zinda rahi , khwaab martay rahay

JAb talak tu meri simat chalta raha
Pooch kar mujh se suraj nikalta rahay

Teray lehjay ki khushboo main bheegay huwey
Chaand taaray meray ghar utar'tay rahay

Aankh main chahaton kay samandarliye
Kitni jaldi tum mujh se bigartay rahay

Tujhay kiya khabar hai keh ae humdam hum
Lamha lamha teray baad martay rahay

Un ko bhulaana bhi chahein magar bhula na sakay
Yaadein to mitaana chah rahay , magar dil-e-nadaan na mitaatay rahay

Raah-e-junoon pe chal paray , jeena mohaal kar liya


Raah-e-junoon pe chal paray , jeena mohaal kar liya
Hum ne talaash-e-yaar main khud ko nidhaal kar liya

Kaisay woh din thay pyaar kay, khud pe bara yaqeen tha
PAl main judaai daal di pal main wisaal kar liya

Jeetay rahay wisaal main , Martay rahay firaaq main
Yeh bhi kamaal kar liya , woh bhi kamaal kar liya

Apni bhi kuch khabar nahin , dil ki bhi kuch khabar nahin
Hum ne tumharay hijar main kaisa yeh haal kar liya 

Roz taaron ki numaish main khalal parta hai


Roz taaron ki numaish main khalal parta hai
Chaand pagal hai andheray main nikal parta hai

Aik dewaana musafir hai meri aankhon main
Waqat-be-waqat teharta hai chal parta hai

Apni tabeer kay chakar main mera jaagta khwaab
Roz suraj ki tarah ghar se nikal parta hai

Roz pathar ki himayat main ghazal likhtay hain
Roz sheeshon se koi kaam nikal parta hai

Us ki yaad aayi hai dharkan zara aahista chalo
Dil ki dhak dhak se tasawur main khalal parta hai

Himmat-e-iltaja nahin baaqi , Zabt ka hosla nahin baaqi


Himmat-e-iltaja nahin baaqi
Zabt ka hosla nahin baaqi

Ik teri deed chin gayi mujh se
Warna duniya main kiya nahin baaqi

Apni mashq-e-sitam se haath na khainch
MAin nahin ya wafa nahin baaqi

Teri chasham-e-alam'nawazi ki khair
Dil main koi gila nahin baaqi

Ho chuka khatam ehad-e-hijar-o-wasaal
Zindagi main maza nahin baaqi

Wohi rat'jagay puraanay , wohi dukh bhari kahani


Wohi rat'jagay puraanay , wohi dukh bhari kahani
Meray aanso'on main shamil , meri dastaan puraani

Meri inkisaariyon par, Tera tund-o-tez lehja
Wohi meri jee hazoori , wohi teri hukam'raani

Teri be'niaziyaan hain , meri zindagi ka haasil
Meri shairy main shamil , meray zabat ki kahani

Wohi hijar ka samandar , wohi aankh main udaasi
Wohi sardiyon ki shaamein, wohi dard ki nishaani

Teray husan ki nazar se , ab main utar gaya hoon
Mujhay khud bhi chubh raha hai, meray aanso'on ka paani 

Kisi ki yaad ko dil main basa kar roye


Kisi ki yaad ko dil main basa kar roye
Kisi ki tasveer seenay se laga kar roye

Jo wada kiya tha hum ne kisi se
Hum us waday ko nibha kar roye

Jis shakhs ko hamari zaroorat nahin thi
Hum us ko apni aarzoo bana kar roye

Jis ne hamein apnay qadmon talay bhi jaga na di
Hum ussay apni palkon pe bitha kar roye

Jo samjh na saka hamari dil'lagi
Hum us se dil laga kar roye

Tha koi jo meray dil ko zakham dy gaya



Tha koi jo meray dil ko zakham dy gaya
Zindagi bhar jeenay ki qasam dy gaya

Laakhon phoolon main se ek phool chuna tha main ne
Jo kaanton se bhi gehray zakham dy gaya

Zaroor us main koi bhool ho gayi ho gi


Zaroor us main koi bhool ho gayi ho gi

Mera naseeb kahan hai keh yaad aayon tujhay

Kuch nahin milta jitni marzi wafa kar lo kisi se


Kuch nahin milta jitni marzi wafa kar lo kisi se

Jab waqat wafa na karay to wafa'daar bhi be'wafa ho jaatay hain

Hawa se mil kar chunri kaa'hay mujh ko sataye


Hawa se mil kar chunri kaa'hay mujh ko sataye
Sajni, urr urr kar tujh ko yeh kuch samjhaye

Rang hatheli par mehandi ka kaisa lagay
Lagta hai ik shola sa us par lehraye

Honton ki yeh laali aakhir kiya kehti hai
Sajni geet milan ka koi tu bhi gaaye

Bolo maathy ki yeh bindiya kiyon chairay hai
Yeh chahti hai tu sajan ka saath nibhaye

Kaan ka jhumka holay holay kiya kehta hai
Tera sajjna shaher se tujh ko lenay aaye

Kis kay liye hai bolo na , chori ki kahan kahan
Jis kay shaano par tu zulfon ko lehraye

Aanchal kiyon be'taab hai ghoonghat ban jaanay ko
Gori us ko khwaab kis ne hain dikhlaye

Kiyon takta hai chanda badli se chup chup kar
Teray roop sunehray se chanda sharmaaye

Suna hai aaj bik raha hai ishq bazaar main logo


Suna hai aaj bik raha hai ishq bazaar main logo

Jaao us ishq faroosh se poocho wafa bhi saath detay ho

Bhout takleef deti hain , teri yaadein , teray qissay , teri baatein


Bhout takleef deti hain , teri yaadein , teray qissay , teri baatein

Faqat itna hi kehna hai , keh loat aao to acha hai

Taqseem ho rahi thein khuda ki niamatein


Taqseem ho rahi thein khuda ki niamatein

Ek ishq baich gaya so meray naam likh diya

Ae saaqi aashiqi ko kahan tak nibhaon main


Ae saaqi aashiqi ko kahan tak nibhaon main

Kis be'wafa kay saath mera naam likh diya

Ussay kehna juft aur taaq ka hum se nahin wasta koi


Ussay kehna juft aur taaq ka hum se nahin wasta koi

Hamein to jab bhi lagi , zarb lagi aur taqseem huwey

Gham se be'gana bana deti hai chahat us ki



Gham se be'gana bana deti hai chahat us ki
MAin bhala kaisay bhula doon yeh inayat us ki

MAin kabhi khud se juda us ko na kar paaon
Meri ik umar ka haasil hai mohabbat us ki

Koi jaa kar to zara itna bata dy us ko
Mujh ko us se bhi ziyada hai zaroorat us ki

Jaam jaam peenay se kiya faida


Jaam jaam peenay se kiya faida
Shaam ko pee subha utar jaye gi

Do boond mohabbat kay pee lay
Zindagi saari nashay main guzar jaye gi

Kisi ne dil ko tor diya hai Tanha kar kay chor diya hai


Kisi ne dil ko tor diya hai
Tanha kar kay chor diya hai

Shaakh pe nazuk phool khila tha
Tez hawa ne tor diya hai

Meri jaanib aatay aatay
Kisi ne tujh ko mor diya hai

Jis ko jitna toot kay chaha
Us ne utna tor diya hai

MAin bhi sochon tum bhi socho
Kis ne kis ko chor diya hai

Koi nazar bhi uthaye teri taraf to dil dharak jaata hai


Koi nazar bhi uthaye teri taraf to dil dharak jaata hai

Na janay kiyon aisa lagta hai keh koi cheen kar lay jaye ga tujhay mujh se

Kamray se baahir ka manzar baadil, baarish aur hawa


Kamray se baahir ka manzar baadil, baarish aur hawa

Kamray kay andar ka manzar aankhein, Aansoo aur dua

Ussay keh do keh ab mujhay yaad karna chor dy


Ussay keh do keh ab mujhay yaad karna chor dy

Kahin yeh cheenkain mujhay pagal na kar dain

Tujh ko kis phool ki nishaani detay Dost


Tujh ko kis phool ki nishaani detay Dost

Tu juda hi aisay mousam main hua jab darakhton kay bhi haath khaali thay

Jee to chahta hai jala doon be'wafaon kay gharon ko



Jee to chahta hai jala doon be'wafaon kay gharon ko

Afsoos un gharon main us ka bhi ghar aata hai

MAin ne mout ko dekha to nahin Par shayed bhout khoobsurat ho gi



MAin ne mout ko dekha to nahin Par shayed bhout khoobsurat ho gi

Kambakhat jo bhi us se milta hai jeena hi chor deta hai

Janoon-e-jawani main lal'kaara tha ishq ko


Janoon-e-jawani main lal'kaara tha ishq ko

Haath jor kar kharra hoon jaan bakhshi kay liye

NAhin maloom mujhay tujh se mohabbat hai keh chahat


NAhin maloom mujhay tujh se mohabbat hai keh chahat

Din-ba-din teri yaad main toot'ta bikharta jaa raha hoon

Ishq ne paighaam bhaiga hai


Ishq ne paighaam bhaiga hai

Koi hai jo reh gaya ho barbaad honay se

MAin paa saka na bhula saka , na dil ki baat bata saka


MAin paa saka na bhula saka ,
na dil ki baat bata saka

Woh hansi hansi main hi chala gaya
Keh main haath tak na hila saka

Youn hi sochta raha main door tak
magar us ko kuch na bata saka

Yeh maqaam hi tha ajeeb sa
Keh main khud ko bhi na bacha saka

Woh juda huwa to kuch is tarah
Koi rasam tak na nibha saka

Ussay jana tha woh chala gaya
Ussay aaj tak main na bhula saka

MAin jo main tha , main wohi hoon



MAin jo main tha , main wohi hoon

Woh jo woh tha , woh badal gaya
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...