Jan 8, 2017

Ik kali gulaab ki


Harf Sada-o-Rangeen 

Ik kali gulaab ki 
Koocha-e-chaman main bhi hai 
Yaad ik khawaab ki 
Shaam kay gagan main hai 
Ism sabz baab ka 
Par faraib ban main hai 
Naqsh ik shabaab ka 
Saya kohan main hai 
Ik pukaarti sada 
Jabar kay gohan main hai 
Door door tak hawa 
Koh aur daman main hai 

Phir harri bailon kay neechay baithna shaam-o-sehar


Be'sood safar kay baad Aaraam ka pal 

Phir harri bailon kay neechay baithna shaam-o-sehar 
Phir wohi khawab-e-tamana phir wohi dewar-o-dar 

Bul'bulein , ashjaar , ghar , shams-o-qamar
Khouf main lazzat kay maskan, jisam pe un ka asar 

Mousamon kay aanay jaanay kay wohi pur'nishan 
Saat rangon kay neelay falak tak pur'fishaan

Subha dam soonay mohallay pheeki pheeki seh'pehar
Phool girtay daikhna shaakhon se farsh shaam par 

Khawab us kay daikhna mojood tha jo baam par 
Khawab us bailon kay neechay baithna shaam-o-sehar

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...