Apr 27, 2016

Kar kay wafa palat kay wafa maangnay laga


Kar kay wafa palat kay wafa maangnay laga
Kya zarf tha gharri main sila maangnay laga

Yeh qehat-e-husan tha nihayat thi husan ki
Her shakhs us haseen ka pata maangnay laga

Us ki hatheliyon pe khilay phool dekh kar
Her meh'jabeen ka haath hina maangnay laga

Jab se ussay aziz hui  meri zindagi
Main apni zindagi ki dua maangnay laga

Seenay se aah , aankh se aansu talab kiye
Gham ka shajar bhi Aab-o-hawa maangnay laga

Humdardiyan woh baad saza us ne kein Adeem
Jo be'khata tha woh bhi saza maangnay laga

Halaat is qadar thay digar'goon zameen kay
Aa kar zameen pe bheek na'khuda maangnay laga 

Jab biyan karo gay tum hum biyan main niklein gay


Jab biyan karo gay tum hum biyan main niklein gay 
Hum hi dastaan ban kar dastan main niklein gay 

Ishq ho mohabbat ho payar ho keh chahat ho 
Hum to her samandar kay darmiyan main niklein gay 

Raat ka andhera hi raat main nahin hota 
Chand aur sitaray bhi Aasman main niklein gay 

Dekh tu kabhi shab ka karwan sitaron ka 
Noor kay kai meh'mal keh'kishan main niklein gay 

Boliyan zamanay ki mukhtalif to hoti hain 
Lafz pyar kay lakin her zuban main niklein gay 

Kaat kar badan sara qaash qaash main jhankein 
Aap kay hayolay hi qalb-o-jan main niklein gay 

Khaak ka samandar bhi kya ajab samandar hai 
Is jahan main doobein gay us jahan main niklein gay 

Qissa-e-sukhan goi jab Adeem aaye ga 
Hum bhi waqiya ban kar dastan main niklein gay 

Sirf sabz pattay hi pairr par nahin hotay 
Kuch na kuch prinday bhi Aashiyan main niklein gay 

Dariya se kohsaar se pehlay ki baat hai


Dariya se kohsaar se pehlay ki baat hai 
Insan her Aitabar se pehlay ki baat hai 

Nafrat se aur pyar se pehlay ki baat hai 
Yeh tujh par Aitabar se pehlay ki baat hai 

Jumbish thi aankh main bhi badan main bhi rooh thi 
Yeh baat intizaar se pehlay ki baat hai 

Dil meray ikhtiyar main hota to tha magar 
Yeh teray ikhtiyar se pehlay ki baat hai 

Jab dil pe neel ban kay wohi thein na khawaishein 
Yeh tujh sitam shaa'ar se pehlay ki baat hai 

Kuch saar'ban thay aur jars ki sada bhi thi 
Yeh baad-e-reh'guzar se pehlay ki baat hai 

Ik karwan aur ik tha meh'mal bhi darmiyan 
Yeh raah kay ghubaar se pehlay ki baat hai 

Woh Aah-e-dil shigaaf Adeem aur woh tarap 
Yeh dard kay khumaar se pehlay ki baat hai 

Ik dard tha kisi ki nishani diya hua 
Lakin yeh teray pyar se pehlay ki baat hai 

Ik aashiyan tha is main prinday bhi thay Adeem 
Yeh mousam-e-bahar se pehlay ki baat hai

Tum jee kay dekh lo keh yahan mar kay dekh lo


Tum jee kay dekh lo keh yahan mar kay dekh lo 
Ik be'hissi hai kuch bhi yahan kar kay dekh lo 

Kaisay hain log in ki tumhein kya misal doon 
Ja kar mujasamay kahin pathar kay dekh lo 

Sara jahan tum ko daraye ga raat din 
Ik baar tum kisi se zara dar kay dekh lo 

Humdardiyon ka bhaid abhi jaan jao gay 
Choti si ik aah zara bhar kay dekh lo 

Us ka haseen saath kahan aur main kahan 
Yeh khel bhi Adeem muqaddar kay dekh lo 

Deedar ki Adeem kahan intihaa koi 
Bas aaj kay liye ussay jee bhar kay dekh lo

Hairan hoon saray shaher ka kirdaar dekh kar


Hairan hoon saray shaher ka kirdaar dekh kar 
Sab jhuk gaye hain shah ka darbaar dekh kar

Apna watan hanoot laga laash ki tarah 
Aaya hon jab se misar kay meenar dekh kar 

Milta nahin kisi kay qadam se mera qadam 
Chalta nahin hoon waqat ki raftaar dekh kar

Pathar machal rahay hain zameen par paray huye 
Bayron-e-sehan shakh-e-samar baar dekh kar 

Rang urr gaya hai raat kay chehray ka kiyon Adeem 
Sehma hua hoon subha kay Aasaar dekh kar 

Yeh chaon to badan ko jalanay lagi  Adeem 
Baitha tha main to saya-e-dewar dekh kar


Dard hotay hain kai dil main chupanay kay liye


Dard hotay hain kai dil main chupanay kay liye 
Sab kay sab aansu nahin hotay bahanay kay liye 

Umar tanha kaat di wada nibhanay kay liye 
Ehad bandha tha kisi ne azmanay kay liye 

Yeh qafs hai ghar ki ziabaish barhanay kay liye 
Yeh prinday to nahin hain aashiyanay kay liye 

Kuch diye dear pe rakhnay hain waqat-e-intizaar 
Kuch diye laya hoon palkon par jalanay kay liye 

Woh ba'zahir to mila tha aik lamhay ko Adeem 
Umar sari chahiye us ko bhulanay kay liye 

Log zer-e-khaak bhi to doob jatay hain adeem 
Ik samandar hi nahin hai doob janay kay liye 

Tu pas-e-khanda labi aahon ki awazein to sun 
Yeh hansi to aayi hai aansu chupanay kay liye 

Koi gham ho koi dukh ho dard koi ho Adeem 
Muskurana par hi jata hai zamanay kay liye 


Pehlay to dil wafa se bhi aagay nikal gaya


Pehlay to dil wafa se bhi aagay nikal gaya 
Phir dil is intiha se bhi aagay nikal gaya 

Awaz de kar us ko bulaon main ksi tarah 
Woh to had-e-sada se bhi aagay nikal gaya 

Nikli hai rooh noor ki raftaar se bhi tez 
Pal main koi khala se bhi aagay nikal gaya 

Kiyon dar-ba'dar uraaye phiray khaak ko hawa 
Ab to badan fanah se bhi aagay nikal gaya 

Ik teer tha kamaan-e-takhiyul main dair se 
Nikla to woh khuda se bhi aagay nikal gaya 

Saansein Adeem aakhri lamhay main dhoondta 
Main koocha-e-hawa se bhi aagay nikal gaya 

Tu le kar aa gaya hai dawa kis liye Adeem 
Beemar to dua se bhi aagay nikal gaya

Karwan badlo zara meh'mal badal kar dekh lo


Karwan badlo zara meh'mal badal kar dekh lo 
Aik manzil to nahin manzil badal kar dekh lo 

Kya hua mehfil tumhein pal main pata chal jaye ga 
Aik lamhay kay liye mehfil badal kar dekh lo 

Yeh mohabbat ka shajar hai yeh yahin lag jaye ga 
Tum bajaye nakhal aab-o-gul badal kar dekh lo 

Kiyon dabotay ja rahay ho kashtiyon pe kashtiyan 
Door hai saahil to phir saahil badal kar dekh lo 

Kon kitna chahta hai sab pata chal jaye ga 
Tum hamaray saath apna dil badal kar dekh lo 

Sirf do nuqton main hai duniya ki sari roshni 
Warna jo aankhon main hai woh til badal kar dekh lo 

Sang to jazbaat ko mehsoos kar sakta nahin 
Woh jo seenay main dharri hai sil badal kar dekh lo 

Itna nazuk aaina rakhna zaroori to nahin 
Toot'ta rehta hai dil to dil badal kar dekh lo 

Dooriyan dushwariyan sab samnay aa jayein gi 
Hum se ik pal kay liye manzil badal kar dekh lo 

Sari duniya aik jaisi to nahin hoti Adeem 
Adal hai darkaar to aadil badal kar dekh lo 

Reham aata jaye ga us ko sada tum par Adeem 
Qatal hona hai to phir qatil badal kar dekh lo 

Jab yeh ho keh likha hua taqdeer main kya hai


Jab yeh ho keh likha hua taqdeer main kya hai 
Phir adal main adal ki zanjeer main kya hai 

Yadein hain teri ya teray tootay huye waday 
Aur is kay ilawa meri jageer main kya hai 

Zindani-e-rafta ki bhi aati hain sadaein 
Is qaid main is qaid ki tameer main kya hai 

Jo dekh chukay khawab woh tum dekh chukay ho 
Ab khawab main ya khawab ki tabeer main kya hai 

Ik umar se pal kay liye aankhein nahin jhapkein 
Yeh sehar yeh jadu teri tasveer main kya hai 

Ik lafaz idher , ik udhar aankh main aansu 
Maloom nahin yeh teri tehreer main kya hai 

Miyaar meri chah ka dekhay to zamana 
Nuqsan teray husan ki tasheer main kya hai 

Lafzon ka Adeem us pe asar kiyon nahin hota 
Yeh aik kami si meri tehreer main kya hai 

Bari mushkil thi nayi rah guzar se pehlay


Bari mushkil thi nayi rah guzar se pehlay 
Thak gaye log kai waqat-e-safar se pehlay 

Waqat guzra teray milnay ka bari tezi se
KAt gaye sham-o-sehar , sham-o-sehar se pehlay 

Paat jharnay ka koi dar na karri dhoop ka khouf 
Teri chaon thi ajab , sar pe shajar se pehlay 

Husan-e-takhleeq kisi husan se kuch kam to nahin 
Phool pairron pe kabhi dekh samar se pehlay 

Sajda-e-shukar kissay ja kay karay jazba-e-dil 
Kis ne dekha tha mohabbat ki nazar se pehlay 

Kya dafeenay hain mohabbat kay samandar main Adeem 
Kashtiyan doobti jati hain bhanwar se pehlay 

Faisala yeh to karo waqat-e-safar se pehlay


Faisala yeh to karo waqat-e-safar se pehlay 
Ayo gay sham se pehlay keh sehar se pehlay 

Husan taqseem kiya jaye kidher se pehlay 
Her taraf se yeh sada aayi idher se pehlay 

Teray qadmon kay nishan hain meri chahat pe faqat 
Koi guzra na tha is raah guzar se pehlay 

Mujh pe ilzam-e-wafa theek par Ae wajah-e-wafa
Kis ne dekha tha mohabbat ki nazar se pehlay

Husan mojood to tha apnay sarapay main Adeem
Husan maloom na tha husan-e-nazar se pehlay 

Us ki surat bhi to ik subha ki surat hai Adeem
Dekh li hum ne sehar-e-waqat sehar se pehlay 

Aaya hoon sang-o-khashat kay ambaar dekh kar


Aaya hoon sang-o-khashat kay ambaar dekh kar 
Khouf aa raha hai saya-e-dewaar dekh kar 

Aankein khuli rahi hain meri intizaar main 
Aaye na khawab deeda-e-baidaar dekh kar 

Gham ki dukan khol kay baitha hua tha main 
Aansu nikal paray hain kharidaar dekh kar 

Kya ilm tha phisalnay lagein gay meray qadam 
Main to chala tha raah ko hum'waar dekh kar 

Her koi par'sai ki umda misaal tha 
Dil khush hua hai aik gunah'gaar dekh kar 

Yeh be'hissi bhi waqat-e-madad dekh li Adeem
Katraa gaya hai yaar ko bhi yaar dekh kar

Kaha , saray gharon main kon sa ghar sab se Aala hai


" Mukal'mati Salam "

Kaha , saray gharon main kon sa ghar sab se Aala hai 
Jawab aaya keh ehal-e-bait ka dar sab se Aala hai 

Kaha pakeezgi main  koi parda jo misali ho 
Kaha , bint-e-nabi kay sar ki chadar sab se Aala hai 

Kaha , miraaj sar katnay ki koi jungon main dekhi 
Jawab aaya jo sajday main katta sar sab se Aala hai 

Kaha itni safein , ik simat , chand afraad ik janab 
Kaha , tadaad main jo kam hai lashkar sab se Aala hai 

Kaha ' qurbaniyon main sab se arfah hai adad koi 
To ik pal main jawab aaya behtar sab se Aala hai 

Kaha ik simat ik sajda , kaha ik simat ik lashkar 
Kaha is jung ka yeh hi to manzar sab se Aala hai

Us ne hansi hansi main mohabbat ki baat ki


Us ne hansi hansi main mohabbat ki baat ki 

Main ne Adeem us ko mukarnay nahin diya
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...