Jun 12, 2016

Kaha tha kis ne keh ehad-e-wafa karo us se


Kaha tha kis ne keh ehad-e-wafa karo us se 
Jo youn kiya hai to phir kiyon gila karo us se 

Naseeb phir koi taqreeb-e-qarb ho keh na ho 
Jo dil main hon wohi baatein kaha karo us se 

Yeh ehal-e-bazam tanak hosla sahi phir bhi 
Zara fasana-e-dil ibtidaa karo us se 

Yeh kya keh tum hi gham-e-hijar kay fasanay kaho 
Kabhi to is kay bahanay suna karo us se 

Faraz tark-e-taluq to khair kya ho ga !!
Yeh hi bhout hai keh kam kam mila karo us se  

Dil garifta hi sahi bazam saja li jaye


Dil garifta hi sahi bazam saja li jaye 
Yaad-e-jaana se koi shaam na khaali jaye 

Rafta rafta yahi zindaan main badal jatay hain 
Ab kisi shaher ki buniyaad na daali jaye 

Mushaf-e-rukh hai kisi ka keh biyaaz-e-hafiz 
Aisay chehray se kabhi faal nikaali jaye 

Woh murawat se mila hai to jhuka doon gardan 
Meray dushman ka koi waar na khaali jaye 

Be'nawa shaher ka saya hai meray dil pe Faraz 
Kis tarah se meri Aashafta khayali jaye 

Shagufta dil hain keh gham bhi Ataa bahar ki hai


Shagufta dil hain keh gham bhi Ataa bahar ki hai 
Gul-e-habaab hain sar main hawa bahar ki hai 

Hajoom-e-jalwa-e-gul par nazar na rakh keh yahan 
Jarahaton kay chaman par rida bahar ki hai 

Koi to lala-e-kho'nain-e-kafan se bhi poochay 
Yeh fasal chaak-e-jiger ki hai ya bahar ki hai 

Main tera naam na loon phir bhi log peh'chanain 
Keh aap apna ta'aruf hawa bahar ki hai 

Shumaar zakham abhi se faraz kya karna 
Abhi to jaan meri ibtidaa bahar ki hai 

Abar-e-bahar ab kay bhi barsa parray parray


Abar-e-bahar ab kay bhi barsa parray parray 
Gulshan ujaar ujaar hain  jungle harray harray 

Janay yeh tishnagi hai hawas hai keh khud'kushi 
Jaltay hain shaam hi se jo saghar bharray bharray 

Hai dil ki mout ehad-e-wafa ki shakistagi 
Phir bhi jo koi tark mohabbat karay karay 

Ab apna dil bhi shaher-e-khamoshan se kam nahin 
Sun ho gaye hain kaan sada par dharray dharray 

Rehtay hain ehal-e-shaher kay saa'iye se door door 
Hum aahu in dasht ki surat darray darray 

Gul ban kay phoot'ta hai lahu shaakh'saar se 
Zakham rag-e-bahar hain pattay harray harray 

Zinda dilaan-e-shaher ko kya ho gaya Faraz
Aankhein bujhi bujhi hain to chehray marray marray 

Ab kis ka jashan manatay ho !


Ab kis ka jashan manatay ho !

Ab kis ka jashan manatay ho 
Us dais ka jo taqseem hua 
Ab kis ka geet sunatay ho 
Us tann mann ka jo do neem hua 
Us khawab ka jo reza reza 
In aankhon ki taqdeer hua 
US naam ka jo tukray tukray 
Galiyon main be'touqeer hua 

Us parcham ka jis ki hurmat 
Bazaron main neelaam hui 
Us matti ka jis ki hurmat 
Mansoob adu  kay naam hui 

Us jang ka jo tum haar chukay 
Us rasam ka jo jaari bhi nahin 
Us zakham ka jo seenay pe na tha 
Us jaan ka jo wari bhi nahin 

Us khoon ka jo bad'qismat tha 
Rahon main bahaya tann main raha 
US phool ka jo be'qeemat tha 
Aangan main khilaya ban main raha 

Us mashriq ka jsi ka tum ne 
Nezay ki anni marham samjha 
Us maghrib ka jis ko tum ne 
Jitna bhi loota kam samjha 

Un masoomon ka jin kay lahu 
Se tum ne farozan raatein kein 
Ya un mazlumon ka jin se
Khanjar ki zuban main batein kein 

Us mariyam ka jsi ki iffat 
Lut'ti hai bharray bazaron main 
Us Esa ka jo qatil hai 
Aur shamil hai gham khawaron main 

Un noha garon ka jinhon ne hamein 
Khud qatil kiya khud rotay hain 
Aisay bhi kahin dam'saaz huye 
Aisay jalaad bhi hotay hain 

Un bhookay nangay dhanchon ka 
Jo raqs sar-e-bazar karein 
Ya un zalim qaza'qon ka 
Jo bhais badal kar waar karein 

Ya un jhootay iqra'ron ka 
Jo aaj talak eefa na huye 
Ya un be'bas la'charon ka 
Jo aur bhi dukh ka nishana huye 

Us shahi ka jo dast-ba-dast
ayi hai tumharay hissay main 
Kiyon nang-e-watan ki baat karo
Kya rakha hai is qissay main 

Aankhon main chupaye ashkon ko 
Honton pe wafa kay bol liye 
Us jashan main , main bhi shamil hoon 
Nohon se bharra kash'kol liye     



Sab log liye sang-e-malamat nikal aaye


Sab log liye sang-e-malamat nikal aaye 
Kis shaher main hum ehal-e-mohabbat nikal aaye 

Ab dil ki tamana hai to aye kaash yahi ho 
Aansu ki jaga aankh se hasrat nikal aaye

Her ghar ka diya gul na karo tum keh na'janay 
Kis baam se khurasheed-e-qayamat nikal aaye 

Jo dar pe pindaar hain un qatal gahon se
Jaan de kay bhi samjho keh salamat nikal aaye 

Ae hum'nafso kuch to kaho ehad-e-sitam ki 
Ik harf se mumkin hai hikayat nikal aaye 

Yaro mujhay masloob karo tum keh meray baad 
Shayed keh tumhara qad-o-qaamat nikal aaye 


Suna to hai keh nigar-e-bahar raah main hai


Suna to hai keh nigar-e-bahar raah main hai 
Safar ba'khair keh dushman hazar raah main hai 

Guzar bhi jaa gham-e-jaan-o-gham-e-jahan se keh yeh 
Woh manzil'ain keh jin ka shumaar raah main hai 

Tameez-e-rehbar-o-rah'zan abhi nahin mumkin 
Zara thehar keh bala ka ghubaar raah main hai 

Garoh-e-kaj'kalan ko koi khabar to karay 
Abhi hajoom sar-e-raah'guzaar raah main hai 

Na janay kab ka ponchbhi chuka sar-e-manzil 
Woh shakhs jis ka hamein intizaar raah main hai 

Faraz agarcha karri hai zameen aatish ki 
" Hazaar haa shajar-e-saya'daar raah main hai "

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...