Apr 30, 2017

Yeh ilm hai woh zulm hi dhaa'ein gay umar bhar


Yeh ilm hai woh zulm hi dhaa'ein gay umar bhar 

Mola tu phir bhi zindagi unn ki daraz kar 

Siyah zulf ko jo ban sanwar kay daikhtay hain


Siyah zulf ko jo ban sanwar kay daikhtay hain 
Safaid baal kahan apnay sar kay daikhtay hain 

Suna hai fees hai kuch uss kay baat karnay ki 
Yeh fees kya hai abhi baat kar kay daikhtay hain 

Suna hai log siyah faam mah'jabeeno ko 
Laga kay dhoop main chashmay nazar kay daikhtay hain 

Suna hai jaib main muflis bhi maal rakhtay hain 
So muflis ki bhi jaibein katar kay daikhtay hain 

Suna hai shouq hai un ko bhi ghurr sawari ka 
Jo door se kharray ghamzay shatar kay daikhtay hain 

Suna hai apni baseerat pe naaz hai unn ko 
Jo raat ko bhi ujaalay sehar kay daikhtay hain 

Suna hai ishq main mushkil hai matric karna 
Result kuch bhi sahi form bhar kay daikhtay hain 

Adeeb-o-shair-o-fun'kaar botay hain jo shajar 
Yeh log phall nihaan apnay shajar kay daikhtay hain 

Suna hai marnay kay baad uss ki qadar hoti hai 
So chand din kay liye hum bhi mar kay daikhtay hain 

Qaid main guzar gayi jo umar baray kaam ki thi


Qaid main guzar gayi jo umar baray kaam ki thi 

Par main kya karti keh zanjeer teray naam ki thi 

Kya aisa nahin ho sakta Achanak tum chalay aayo


Kya aisa nahin ho sakta 
Achanak tum chalay aayo 
Suno......
Ab saans ki aamd-o-raft dushwaar lagti hai 
Mohabbat ki zubaan se zindagi be'zaar lagti hai 
Wafa ki yaad main her ik nigah ashk baar lagti hai 
Yeh kaisi raat hai aankhon main jo bay'daar lagti hai 
Kya aisa ho nahin sakta 
Achanak tum chalay aayo ......

Haan yeh mousam to woh hai


Sar'shari

Haan yeh mousam to woh hai 
Keh jis main nazar chup rahay 
Aur badan baat karta rahay 
Uss kay haathon kay shabnam payalon main 
Chehra mera 
Phool ki tarah hal'koray leta rahay 
Pankhrri pankhrri 
Uss kay boson ki baarish main 
Peham nikharti rahay 
Zindagi iss junoon khez baarish kay shano par sar ko rakhay 
Raqs karti rahay !

Abhi to hum nahin bolay


Abhi to hum nahin bolay 

Abhi to aap hain 
Aur aap ka zor-e-khitabat hai 
Bhout alfaaz hain na'dir
Bhout be'sakhta jumlay 
Abhi to lab kushaai aap ki 
Apni gawahi hai 
Abhi to aap hain zil-e-ilahi 
Aap hi ki baad'shahi hai 
Abhi to ilm-o-hikmat 
Lafz-o-gohar aap hi kay hain 
Abhi sab faisalay 
Sab mehr-o-mehzar aap hi kay hain 
Abhi sab zar , jawahir , maal-o-doulat 
Aap hi kay hain 
Abhi sab asbaab-e-shohrat 
Aap hi kay hain 
Abhi kya hai 
Abhi to aap ka jabroot
Lehjay main ayaan ho ga 
Abhi to aap hi kay natq-o-lab se
Aap ka qissa biyaan ho ga 
Abhi to mohtram bas aap hain 
Khud apni nazron main 
Mo'azam , moh'tashim alqaab hain 
Khud apni nazron main 
Abhi to goonjti oonchay sur'ron main 
Aap hi hain madah khawan apnay 
Sabhi lutf-o-karam ghar kay 
Makaan-o-la'makaan apnay 
Abhi to aap hi kehtay hain 
Kitna khoob kehtay hain 
Jo dil main aaye kehtay hain 
Ho jo matloob kehtay hain 
Magar jab aap ki seerat pe 
Saro guftagoo ho lay 
To yeh bhi yaad rakhiye ga 
Abhi to hum nahin bolay 

Poet : Peerzada Raza Qasim 


Kisi ki aankh kay aansu mujhay ronay nahin detay


Kisi ki aankh kay aansu 
mujhay ronay nahin detay 
Kisi kay bheegtay lehjay 
Mujhay khonay nahin detay 
Kisi kay reshmi gaysu
Mujhay sonay nahin detay 
Mujhay her pal sata'tay hain 
Mujhay her dam jagaatay hain 
Kabhi jo oongh jaaon to 
Kisi dam bhool jaon to 
Kisi ki narm si aahat 
Kabhi anjaan lagti hai 
Kabhi paighaam lagti hai 
Bhala sa naam lagti hai 
Kabhi ronay nahin deti 
Kabhi sonay nahin deti 
Magar yeh sach meri jaana !
Tujhay main ne nahin jaana 
Magar aansu jo behtay hain 
Jinhein hum aam sehtay hain 
Bhout takleef detay hain 
Kabhi tootein jo nazron se
Kabhi chootein jo palkon se
Bhout hasaas lagtay hain 
Kisi ki aas lagtay hain 
Magar jab gir hi jayein to 
Zameen main mitt hi ho jayein to 
Kisi ko kuch nahin hota 
Magar phir kuch nahin rehta 
Magar jab ho kabhi aisa
Kisi ki aankh kay aansu 
Meri jab aankh main aayein 
To phir main 
Main nahin rehta 
Mera phir dil yeh kehta hai 
Kisi seepi main band ho kar 
Banu moti ki surat main
Dhalon matti ki surat main 
Kisi ki aankh ka aansu 
Bahay jab aankh se meri 
Laga de aag hasti main 
Rahoon phir kiyon uss basti main 
Jissay sab log kehtay hain 
"Mohabbat Lok: kehtay hain 
Koi jo aankh pur'nam hai 
Koi jo zulf barham hai 
Yeh sab meri wajah se hai 
Yeh jo aansu chalaktay hain
Meray dil main dehaktay hain 
Ussi dam hum behaktay hain 
Magar yeh sarhadein jaana
Hamaray beech main hayel
Karein kaisay unhein qayel 
Jo hum ko rog detay hain 
Milan ko jog detay hain 
Yeh aansu kab hamaray hain 
Yeh aansu log detay hain 
Yeh aansu log detay hain .....!!

Aaj kal sach poochiye to muskurata kon hai


Aaj kal sach poochiye to muskurata kon hai 
Khud faraibi hai faqat , hansta hansaata kon hai 

Meri neendein urr gayi hain yeh to keh sakta hoon main 
Yeh magar mat poochiye neendein uraata kon hai 

Tum nahin aatay na aayo , tum se shikwa bhi nahin 
Tum se kehta kon hai , tum ko bulaata kon hai 

Tum nahin suntay agar afsana-e-gham , mat suno 
Her kas-o-na'kas ko afsana sunata kon hai 

Iss se pehlay bhi kiya hai hum ne unn ka aaitabaar 
Aisay waday to bhout hotay hain aata kon hai 

Unn ki mehfil daikhnay ka shouq to hum ko bhi hai 
Hum wahan jaatay , magar hum ko bulaata kon hai 

Fitna haye dehar kay Iqbal shaaki hain sabhi 
Inn se yeh poochay koi fitnay jagata kon hai 

Kabhi jo ehad-e-wafa meri jaan teray meray darmiyan tootay


Kabhi jo ehad-e-wafa meri jaan teray meray darmiyan tootay 
Main chahata hoon keh uss se pehlay zameen pe yeh aasman tootay 

Teri judai main hoslon ki shakist dil pe azaab thehri 
Keh jaisay munh'zor zal'zalon ki dhamak se koi chitaan tootay 

Ussay yaqeen tha keh uss ko marna hai phir bhi khawaish thi uss kau dil main 
Keh teer chalnay se paish'tar hi dast-e-dushmana main kamaan tootay 

Woh sang hai to girray bhi dil par woh aaina hai to chubh hi jaye 
Kahin to mera yaqeen bikhray , kahin to mera gumaan tootay 

Ujaar pan ki udaas rutt main ghazal to Mohsin ne chairr di hai 
Kissay khabar hai keh kis kay masoom dil pe ab kay yeh taan tootay  

Maqrooz kay bigray huye halaat ki maanind


Maqrooz kay bigray huye halaat ki maanind 
Majboor kay honton pe sawalaat ki maanind 

Dil ka teri chahat main ajab haal hua hai 
Sailaab se bar'baad makanaat ki maanind 

Main un main bhataktay huye jugnu'on ki tarah hoon 
Uss shakhs ki aankhein hain kisi raat ki maanind 

Dil roz sajata hoon main dulhan ki tarah se
Gham roz chalay aatay hain baraat ki maanind 

Ab yeh bhi nahin yaad keh kya naam tha uss ka 
Jis shakhs ko maanga tha manajaat ki maanind 

Kis darja muqqadas hai teray qurb ki khawaish 
Masoom se bachay kay khayalaat ki maanind  

Uss shakhs se milna mera mumkin hi nahin hai 
Main pyaas ka sehraa , woh barsaat ki maanind 

مقروض کے بگڑے ہوئے حالات کی مانند
مجبور کے ہونٹوں پہ سوالات کی مانند
دل کا تیری چاہت میں عجب حال ہوا ہے

سیلاب سے برباد مکانات کی مانند
میں ان میں بھٹکے ہوئے جگنو کی طرح ہوں
اس شخص کی آنکھیں ہیں کسی رات کی مانند
دل روز سجاتا ہوں میں دلہن کی طرح سے
غم روز چلے آتے ہیں بارات کی مانند
اب یہ بھی نہیں یاد کہ کیا نام تھا اس کا
جس شخص کو مانگا تھا مناجات کی مانند
کس درجہ مقدس ہے تیرے قرب کی خواہش
معصوم سے بچے کے خیالات کی مانند
اس شخص سے ملنا محسن میرا ممکن ہی نہیں ہے
میں پیاس کا صحرا ہوں وہ برسات کی مانند

Abhi jugnu nahin roothay


Abhi jugnu nahin roothay 

Abhi aansu nahin tootay 

Abhi suraj nahin jaaga 

Abhi taaray nahin doobay 

Abhi mah'taab baqi hai 

Abhi ik khawab bai hai 

Abhi manzil nahin aayi 

Abhi raasta nahin thehra 

Abhi gar'daab baqi hai 

Abhi ik khawab baqi hai 

Mujhay tum se mohabbat hai 

Abhi yeh baat baqi hai .......!!!!


Agar main poochta baadil kidher ko jatay hain



Agar main poochta baadil kidher ko jatay hain 
Jawab main koi aansu bahaya karta tha 

Hamaray ghar kay qareeb aik jheel hoti thi 
Aur uss main shaam ko suraj nahaya karta tha 

Yeh zindagi to mujhay teray paas lay aayi 
Yeh raasta to kahin aur jaaya karta tha 

Jab sitaray hi nahin mil paye


Jab sitaray hi nahin mil paye 

Lay kay hum shams-o-qamar kya kartay 

Detay hain dhoka sab hi khaloos kay saath


Detay hain dhoka sab hi khaloos kay saath 

Talaash karta hoon bhout apno main , apno ko 

Main uss ki das'taras main hoon , magar woh


Main uss ki das'taras main hoon , magar woh 

Mujhay meri raza se maangta hai 

Aaina phailaa raha hai khud faraibi ka marz


Aaina phailaa raha hai khud faraibi ka marz 

Her kisi se keh raha hai " aap sa koi nahin "

Hamein koi talab'gaar chahiye


Hamein koi talab'gaar chahiye 

Apna koi kharidaar chahiye 

Mohabbat kam nahin karna


Mohabbat kam nahin karna 

Koi bhi rog de dena .....!
Koi bhi naam de dena ....!
Nahin subha suhaani to ghamon ki shaam de dena 
Magar itni guzarish hai 
Meri tareek raaton se
Tum apni chahaton ki lo kabhi madham nahin karna 
Mohabbat kam nahin karna .......!
Mohabbat kam nahin karna .......!

Uss ki umeed-e-naaz ka hum se yeh maan tha keh aap


Uss ki umeed-e-naaz ka hum se yeh maan tha keh aap 

Umar guzaar deejiye , umar guzaar di gayi 

Zindagi kya , teri chahat ki ridaa ho jaisay


Zindagi kya , teri chahat ki ridaa ho jaisay 

Bandagi kya , teray milnay ki dua ho jaisay  

Akelay chor jatay ho yeh tum acha nahin kartay


Akelay chor jatay ho yeh tum acha nahin kartay 
Hamara dil jalatay ho yeh tum acha nahin kartay 

Kaha bhi tha yaari hai yaari hi rakho iss ko 
Tamasha jo banatay ho yeh tum acha nahin kartay 

Utha'tay ho sar-e-mehfil falak tak tum hamein lakin 
Utha kar jo giraatay ho yeh tum acha nahin kartay 

Koi jo pooch lay tum se keh rishta kya hai ab hum se 
to nazron ko jhukatay ho yeh tum acha nahin kartay 

Bikhar jayein andheron main , sahara tum hi detay ho 
Magar phir chor jatay ho yeh tum acha nahin kartay 

Apr 1, 2017

Ussay kehna Sada mousam


Ussay kehna 
Sada mousam 
Baharon kay nahin rehtay 
Sabhi pattay bikhartay hain 
Hawa jab raqs karti hai ..!!

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...