Jun 19, 2014

Kitni der tak imlitas kay pairr kay neechay


Kitni der tak 
Imlitas kay pairr kay neechay 
Baith kay hum ne baatein keein 
Kuch yaad nahin 
BAs itna andaza hai 
Chaand hamari pusht se ho kar
Aankhon tak aa poncha

Sitaron se aagay jahan aur bhi hain


Sitaron se aagay jahan aur bhi hain 
Abhi ishq ky imtihaan aur bhi hain 

Tahi zindagi se nahin yeh fizaein 
Yahan sainkaron imtihaan aur bhi hain 

Qna'at na kar alam-e-rang-o-boo par 
Chaman aur bhi hain ashiyaan aur bhi hain

Mujhay zindagi kehnay walay


Mujhay zindagi kehnay walay 
Meri zindagi teri ana kay haathon 
Reza reza ho gayi phir youn hua ... toot gayi
Bikhar gayi main jaan-e-jana 
Kya mohabbat .... Mohabbat isi ko kehtay hain keh 
Ana ki maar , maar di jaye

Zindagi ky udaas lamhon main


Zindagi kay udaas lamhon main 

Be'wafa dost yaad aatay hain

Ik justagoo main raat din bhatkay hain dar badar


Ik justagoo main raat din bhattkay hain dar-ba-dar

Hum ko tumharay pyaar ne awara kar diya

Aansoo ka aik qatra aur pani ki aik boond


Aansoo

Aansoo ka aik qatra 
Aur paani ki aik boond
Shakal shabahat aik jaisi lakin 
Dono ki hai hayaat kitni ?
Phailtay hi , tapaktay hi 
Ik lamhay ko tehartay hi 
Aglay lamhay kho jana fanaa ho jana 
Farq sirf itna hai in main 
Paani ki ik boond , yeh dhabbay ka gumaan de jay 
Aur aansoo yeh qatra , jazbaat ka biyaan de jaye

Bhout safaak ho tum bhi



Prinda 

Bhout safaak ho tum bhi 
Mohabbat aisay kartay ho 
KEh jaisay ghar kay pinjray main 
Prinda paal rakha ho

Kiyon uthaein na naaz hum un ky


Kiyon uthaein na naaz hum un ky
Khushboo, shabnam , bahaar waari hai 

Jaan baaqi thi waar di tujh pe 
Tera sadqa nazar utaari hai

manzil nahin milti raasta nahin milta

manzil nahin milti 
Raasta nahin milta 
Ho kar juda tujh se
Mujhay sahara nahin milta 

Roz jeeti hoon 
Roz marti hoon 
Tere jaane ky baad 
Jeene ka asra nahin milta 

Her awaaz pe chonk jati hoon 
Her aahat pe mur ky dekhti hoon 
Kho kar tujhay 
Tera saya nahin milta 

Hai yakeen mujhay 
Laut aye ga woh bhi 
Magar tab tak
Saans ko raabta nahin milta 

Tehar jaye is dil ki dharkan 
Sukoon mil jaye is be'chain ko
Dua karo keh is rooh ko 
Jaane ka raasta nahin milta 


Atay atay meray naam se reh gaya


Atay atay meray naam se reh gaya 
Us ky honton pe kuch kaampta reh gaya 

Woh meray samnay hi gaya aur main 
Rastay ki tarah Dekhta reh gaya 

Jhoot wale kahin se kahin barh gaye 
Aur main tha keh sacha bulata reh gaya 

Aandhiyon Ky iraday to achay na thay 
yeh diya kaisy jalta hua reh gaya

Pehlay pehlay to khwabon ka dam bharne lagti hain


Pehlay pehlay to khwabon ka dam bharne lagti hain 
Phir aankhain palkon main chup ky ronay lagti hain 

Jaanay tab kiyon suraj ki khwaish kartay hain log
Jab barish main sab deewarain girnay lagti hain 

Tasveeron ka rog bhi aakhir kaisa hota hai 
Tanhai main baat karo to bolnay lagti hain 

Saahil se takranay wali wehshi moujain bhi 
Zinda rehnay ki khwaish main marnay lagti hain 

Tum kiya jano lafzon ky azaar ki shiddat ko
Yaadain tak sochon ki aag main jalnay lagti hain

Dard apnata hai praye kon


Dard apnata hai praye kon
Kon sunata hai aur sunay kon 

Kon dohraye woh purani baat 
Gham abhi soya hai jagaye kon 

Woh jo apnay hain kiya  woh apnay hain 
Kon dukh jhele azmaye kon 

Ab sukoon hai to bhulanay main hai 
Lakin us shakhs ko bhulaye kon 

Aaj phir dil hai kuch udaas udaas 
Dekhiya aaj yaad aye kon 
 

Jahan raat kabhi bhi soyi na ho


Jahan raat kabhi bhi soyi na ho
Jahan subha kisi pe royi na ho 
Jahan hijar na wehshat boyi na ho 
Jahan koi kisi ki khoyi na ho 

Mujhay aur kahin le chal sanwal

Jahan shaher hon saray veeran 
Jahan log hon sabhi beganay 
Jahan sab ky sab hon dewaane
Jahan koi hamain na pehchane

Mujhay aur kahin le chal sanwal

JAhan nafrat dil main bas na sake 
Jahan koi kisi ko dus na sake
Jahan koi kisi pe hans na sakay 
Jahan koi bhi gunjal kas na sakay 

Mujhay aur kahin le chal sanwal

Jahan dard kisi ko raas na  ho
jahan koi bhi udaas na ho 
Jahan zulmat ki boo basi na ho 
Jahan tu bhi zyada paas na ho 

Mujhay aur kahin le chal sanwal

Is waqat to youn lagata hai keh kuch bhi nahin hai


Is waqat to youn lagata hai keh kuch bhi nahin hai 
Mehtaab na suraj na andhera na sawera 

Aankhon main dareechon main kisi husan ki jhalkan 
Aur dil ki panahon main kisi dard ka dera

Mumkin hai koi weham ho mumkin hai suna ho 
Galiyon main kisi chaap ka ek aakhri pehra

Shakhon main khyalon ky ghanay pairr ky shayed 
Ab aa kay karay ga na koi khwaab basera 

Na mehar na bair na ik rabat na ik rishta 
Tera koi apna na paraya koi mera 

Mana keh yeh sunsaan gharri sakhat bari hai 
Lakin meray dil yeh to faqat ik gharri hai 
Himmat karo jeene ko abhi umar parri hai

Ansoo main ne rok liye hain

Ansoo main ne rok liye hain 
Khawabon ka gharonda tor dia hai 

Khat bhi saray phaar diye hain 
Dil ko main ne baand liya hai 

band yeh darwazay khol na jana 
mujhay tum ab yaad na ana 

Sheesh mehal ky yeh sundar sapnay 
Tu ne chakna choor kiye hain 

Teray naam pe baithay aansoo 
Khamoshi se zabat kiye hain 

Zabat ky bandhan tor na jana
Tum mujhay ab yaad na ana 

Ek ek kar ky saray panchi
Apnay gharon ko chalay gaye hain 

Prem nagar ky woh darwaze 
Main ne thak ky band kar diye hain 

Dar yeh saray khol na jana 
Tum mujhay ab yaad na ana 

Hum hijar ky rastay pe safar kar nahin saktay


Hum hijar ky rastay pe safar kar nahin saktay 
Ek lamha teray bina basar kar nahin saktay 

Woh aakhri lamhon main mujhay maang raha hai 
Yeh waqat aisa keh guzar kar nahin saktay 

Khud hath se apnay ussay khona hi paray ga 
yeh zabat bhi kamhai magar kar nahin saktay 

Youn apni nighaon ko chura leyata hai tujh se 
Keh dil ky iradon ki khabar kar nahin saktay

Tum khwaab jalatay rahay hum aaj tak chup thay 
Ab dil ka youn jalna par sabar kar nahin saktay 

Yeh aankh andheron main hai piyaas ka sehra 
Is noor ky dariya par nazar kar nahin saktay 

Her chand keh meri aankh main ansoo hain laraztay 
Jaltay huwey sholay is par asar kar nahin saktay 

Ab chahein baand lein gy tumhain apni nazar se 
Hum is liye khuda se khafa ho nahin saktay  

Woh shaam woh rukhsati ka sama yaad rahaye ga

Woh shaam woh rukhsati ka sama yaad rahaye ga 
Woh shaher woh kacha makaan yaad rahay ga 

Woh tees si ubarti thi idhar yaad rahay gi 
Woh dard keh utha tha yahan yaadrahay ga 

Kuch mir ko abiyaat thay kuch faiz ky misray 
Ek dard ka tha jin main  bayaan yaad rahay ga 

Hum bhool sakey hi na tujhay bhool sakain gy 
Tu yaad rahay ga hamain hamesha yaad rahay ga

Hum issay jeet hi lain gy dil ko yeh yakeen tha


Hum issay jeet hi lain gy dil ko yeh yakeen tha 
Yeh khail bhi haar gaye hum koi gumaan honay tak 

Mom ka badan nahin hota yeh dhoop nahin itni tez hoti 
hum to jhulas ky reh gaye koi saiybaan honay tak 

Hum hi kam feham thay yeh zindagi hi dushwaar thi 
Intizaar main hum reh gaye is ky asaan honay tak 

Umar bhar tarastay rahay nazar-e-iltafaat ko 
Hum kahain keh nahin rahay us ky meharbaan honay tak

Ek diya dil main jalana bhi bhujha bhi dena


Ek diya dil main jalana bhi bhujha bhi dena
Yaad karna bhi issay roz bhula bhi dena

Kiya kahoon yeh meri chahat hai keh nafrat hai 
Naam likhna bhi mera likha kar mitta bhi dena 

Phir na milnay ko bicharti to hoon tujh se lakin 
Mur kar dekhna to palatnay ki dua bhi dena 

Khat bhi likhna ussay mayoos bhi rehna us se 
Juram karna bhi magar khud ko saza bhi dena 

Mujh ko rasmon ka takal'luf bhi gawara lakin 
Jee  main aye to yeh dewaar gira bhi dena

Badla na apnay aap ko jo thay wohi rahay


Badla na apnay aap ko jo thay wohi rahay
Milty rahay sabhi se magar ajnabi rahay

Duniya main jeet payo to to haro na khud ko tum
Thori bhout to zehan main naraazgi rahay

Apni tarah sabhi ko kisi ki talash thi 
Hum jis ky bhi qareeb rahay door hi rahay 

Guzro jo baagh se to dua mangtay chalo
Jis main khilay hain phool woh daali hari rahay 

Guzar hi jata hai pal us ki yaad main 
Jis ne milay main sadiyon ka faasla rakha 

Jo likhay thay tum ne kabhi fuqat ky lamhon main 
teray in khatoon ko hum ne dil se lagaye rakha 

Fursat main kabhi un ansoo'on ka bhi sochana 
Jin ko teri be'rukhi pe aankhon main chupaye rakha 

Ae dil tu us pyaar ko bhool ja


Ae dil tu us pyaar ko bhool ja 
Ae dil tu us yaar ko bhool ja 

Jo na mana kabhi tujhay apna 
Ae dil tu us dildaar ko bhool ja 

Dia hai zamanay main us ne tumhain dhoka 
Ae dil tu us dhokay baaz ko bhool ja 

Andheri raaton main to aisay roya na kar 
Ae dil tu un raaton ky intizaar ko bhool ja 

Kabhi ayi thi teray jeevan main bahaar
Ae dil tu us mousam-e-bahaar ko bhool ja 

Us ky dil se kabhi mila tha mera dil 
Ae dil tu us deedaar ko bhool ja 

Jo kiya tha kabhi tu ne us se iqraar 
Ae dil tu us iqraar ko bhool ja

Ulfat main kisi ko youn sataya nahin kartay


Ulfat main kisi ko youn sataya nahin kartay 
Raaij shab-e-furqat bhi mitaya nahin kartay 

Mana keh gham aur rang to deti hai mohabbat 
Shikayat bhi magar lab par to laya nahin kartay 

Ek waqat mukarar hai duaon main asar ka 
Be'waqat kabhi hath uthaya nahin kartay 

Bad'naam zamanay main wohi ashaaq hui hai 
Wada jo mohabbat main nibhya  nahinkartay 

Kehnay ko shab-e-gham bhi guzar jaye gi 
Toofan shab-e-furqat main uthaya nahin kartay

Hum bhi apnay dil ki haar se parishaan hain tum bhi ho


Hum bhi apnay dil ki haar se parishaan hain tum bhi ho 
Andar se reza reza meri jaan tum bhi ho 

Hum bhi hain ik ujrri hui basti ki tarah 
Aankhain bata rahi hain keh veeraan tum bhi ho

Parishaan hain hum bhi karri dhoop ky safar se 
Saaye ki aarzoo main parishaan tum bhi ho 

Hum bhi khizaan ki shaam ka aangan hain be'chraagh 
Shookay huwey pairr darakhton jaisay tum bhi ho 

Jaisay kisi khyaal ka saya hain do wajood 
Hum bhi agar be'qaraar hain be'chain tum bhi ho 

Mil jayein hum ko to kaisay suhana safar katay 
Ghayal hain hum bhi , dil se zakhmi tum bhi ho

Kaisay sukoon paaon tujhay dekhnay ky baad


Kaisay sukoon paaon tujhay dekhnay ky baad 
Ab kiya ghazal sunaon tujhay dekhnay ky baad

Awaaz de rahi hai meri zindagi mujhay 
Jayon main ya na jayon tujhay dekhnay ky baad

Kaabay ka ehtraam bhi meri nazar main hai 
Sar kis taraf jhukayon  tujhay dekhnay ky baad

Teri nigha-e-mast ne deewana kar dia hai 
Kiya mae'kaday ko jayon  tujhay dekhnay ky baad

Nazaron main taab-e-deed hi baaqi na rahi 
Kis se nazar milayon  tujhay dekhnay ky baad

Tu ne mangi thi Ae dil dua shaam na ho


Tu ne mangi thi Ae dil dua shaam na ho 
Ho gayi shaam main kahan jaon 

Na koi raasta na thikana na koi darwaza
Tu bata Ae dil-e-na'kaam main kahan jaon 

Reza reza meray jazbaat ko kar dia kis ne
Lut gaya meri zindagi ka aakhri armaan main kahan jaon 

Kis qadar boujh hai seenay pe tujhay kiya maloom 
Ab nahin takta issay tu hi bata kahan jaon 

Ek gharonda tha meray paas jo toot gaya 
Le ky na'kamiyon ka daagh main kahan jaon 

Aitbaar tootay to woh bhi aisay logon par


Aitbaar tootay to
Woh bhi aisay lagon par
Jin ko hum apna jaanain
Jab bhi gham se bhoujhal ho 
Un ko meharbaan maanain 

Aitbaar tootay to
Aisay zakham miltay hain 
jo kabhi nahin bhartay 
Meharbaan saaye jab 
Hum se rooth jayein to 
Aisi dhoop milti hai 
Jis main rooh jalti hai 

Aitbaar tootay to
Dil ka aanina jo hai
woh bhi toot jata hai 
Woh jo aks apna ho 
Woh bhi rooth jata hai 

Aitbaar tootay to
Aisay zakham miltay hain 
Aisi dhoop milti hai 
Aisay aks khotay hain 
Log hans bhi lain shayed 
Dil hamesha rota hai 
Aitbaar tootay to

Pehlu main dard-e-ishq ki duniya liye huwey


Pehlu main dard-e-ishq ki duniya liye huwey
Baithi hoon zindagi ka sahara liye huwey

Dil main us chaand ki roshni liye huwey
Aaghosh main hai chaand ka daagh liye huwey

Poonchay to dil main josh-e-tamana liye huwey
Loatay magar luti hui duniya liye huwey

Main jee rahi hoon in tanhayion ky andheray main
Teri mohabbat ka sehra liye huwey

Uthti hoon bazam-e-ishq se na janay kaisay
Behki si ek nazar ka sehra liye huwey

Hum kisi ky sath main aur dil kisi ky sath raha


Hum kisi ky sath main aur dil kisi ky sath raha 
Ajab mazaak meri zindagi ky sath raha 

Kamaal ka be'reham mera woh muqaddar tha 
Kinaar-e-aab bhi jo tishnagi ky sath raha 

Woh ik dukh main door chor ayi thi 
Tamaam umar meri zindagi ky sath raha 

Jo dil main baat thi honton se kis tarah ho 
Dil un ki bazam main ek be'basi ky sath raha 

Hansay jo hum to aankhon se aansoo nikal paray 
Hamesha gham koi meri kushi ky sath raha 

Aaj jo us ki yaad main jo ro dia tha main


Aaj jo us ki yaad main jo ro dia tha main 
Janay kab kiyon kahan kiya kho dia tha main ne 

Gira kar chand aansoo chashm-e-nam se apni 
Sadiyon se mila hua daag-e-dil dho dia tha main ne 

Wapis kar diya tha us ne sirf ik baar se
Piyaar mohabbat dosti main jo dia tha main ne 

Dekh nahin sakti thi kisi ky sath 
Yahi to ik haq nahin us ko dia tha main ne

Ek shakhs paas reh kar bhi samjha nahin mujhay


Ek shakhs paas reh kar bhi samjha nahin mujhay 
Is baat ka malaal hai shikwa nahin mujhay 

Main is ko be'wafai ka ilzaam kaisay doon 
Is ne ibtada hi se chaha nahin mujhay 

Kiya kiya umeedain baand kar aya tha samnay 
Afsoos teri aankh ne parkha nahin mujhay 

Kab tak thehrana mujhay us ky paas 
Acha hua keh us ne bhi roka nahin mujhay

Teray galay main jo banhoon ko daal rakhti hai


Teray galay main jo banhoon ko daal rakhti hai 
Tujhay mananay ka kaisa kamaal rakhti hai

Tujhay khabar hai tujhay sochnay ki khatar hum 
Bhout se kaam muqadar pe taal rakhti hai 

Koi bhi faisala hum soch kar nahin kartay 
Tumharay naam ka sika uchaal rakhti hai

Tumharay baad yeh aadat si ho gayi apni 
Bikhartay sookhtay paate sambhaal rakhti hai

Kushi se milti hai khud ko aziyaat de kar 
So jaan boojh ky dil ko nidhaal rakhti hai

Kabhi kabhi woh mujhay hans ky dekh lati hai 
Kabhi kabhi mera be'had khayal rakhti hai 

Tumharay hijar main yeh haal ho gaya apna 
Kisi ka khat ho ussay bhi sambhaal rakhti hai 

Kushi mile to teray baad kushi nahin hoti
Hum apni aankh main her dal nalaal rakhti hai 

Zamanay bhar se bichar ky woh apni pannah main 
Meray wajood ky tukray sambhaal rakhti hai 

Kuch is liye bhi to be'haal ho gaye hum log 
Tumhari yaad ka be'had khyaal rakhti hai

Chehrey pe gard pairon main safar hai keh nahin hai


Chehrey pe gard pairon main safar hai keh nahin hai 
Tu dekh keh meri manzal pe nazar hai keh nahin hai 

Jaa panay liye dhoond le kisi ahle-e-mahal ko
Na janay meri qismat main ghar hai keh nahin hai

Teray paas hai abhi aur dard to woh bhi mujhay de de 
Na pooch keh mujh main aur sabar hai keh nahin hai 

Meri neendain to mar chuki hain rat'jagon ky hath 
Teray khawabon ko bhi koi aisa dar hai keh nahin hai 

Yeh soch ky kay ayi hoon main  main jungle se kuch jugnoo
Na janay ab kismat main shaher hai keh nahin hai 

Tu dekh mera shouq mari shakiston ko na dekh 
Pairon talay teray ghar ki dagar hai keh nahin hai 

Managa hai tujhay rab se keh ek zid si hai kab se
Dekhon to meri duaon main asar hai keh nahin hai

Aankhon ko intizaar ka de ky hunar chala gaya


Aankhon ko intizaar ka de ky hunar chala gaya 
Chaha tha ek shakhs ko janay kidhar chala gaya 

Din ki woh mehfalain gayein raaton ky rat'jagay gaye
Koi samait kar meray shaam-o-sehar chala gaya 

Jhonka hai ik bahaar ka rang-e-khyaal yaar bhi
Her soo bikhar bikhar gayi kushboo jidhar chala gaya 

Us ky hi dam se dil main aaj dhoop bhi chandani bhi hai 
de ke woh apni yaad ky ansoo janay kahan chala gaya 

Koocha -ba-koocha dar-ba-dar kab se bhatak raha hai dil 
Hum ko bhula ky raah woh apni dagar chala gaya 
Chaha tha ik shakhs ko jane kidhar chala gaya

Mujh ko mout ne nahin zindagi ne pal pal sataya hai


Mujh ko mout ne nahin zindagi ne pal pal sataya hai
Lartay lartay is zindagi ne phir meray kamzor dil ko haraya hai 

Kaisay kahon is masoom dil pe kiya kiya beeti hai
Sun ky kisi se hawaon ne bhi be'sumaar ashkon ko bahaya hai 

Aisi zindagi ka to bas ek mout hi sahara hai 
Aaj zaroorat parnay pe khuda ne bhi munh mujh se phiraya hai

KAisay jiyon jeenay ka bahana bhi nahin milta hai 
Ghair to ghair apno ne bhi mujhay zaar zaar rulaya hai 

Na yeh aashiqui na yeh dostana meray kisi kaam aya hai 
|Mouka milnay pe sabhi ne meri hasti ko para para jalaya hai 

Sun ky meray gham ka afsana naseeb bhi mujh se sharmaya hai 
Aap apni hi nazron main main khudaya khud ko giraya hai
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...